Pages

Wednesday, 20 November 2013

Urdu Hindi Sham Poetry












Tumhe Jab Kabi Milain Furstain Mere Dil Say Bojh Utar Do


Tumhe jab kabi milain furstain mere dil se bhoj utar do
Main bohat dinon se udas hon mujhe koi sham udhar do

Mujhe apne roop ki dhop do ke chamak sakain mere khal-o-khad
Mujhe apne rang main rang do mere sare zang utar do

Kisi aur ko mere haal se na garz ha koi na wasta
Main bikhr gya hon smait lo, main bigad gya hon sanwar do

Meri wehshton ko badha dya ha jodaion k azab ne
Mere dil pe haath rakho zara meri dadhknon ko qrar do

Tumhe subhu kaisi lagi, kaho, meri khawahshon k dyar ki
Jo bhali lagi to yahi raho, ise chahton se nikhar do

Wahan ghar main kon ha muntzar k ho fikar dair sawair ki
Badi mukhtsar si ye raat ha isi chandni main guzar do

Koi baat krni ha chand se kisi shakhsar ki oot main
Mujhe raste main yahin kahin kisi kunj gul main utar do__!!
_______________________________

Koi Sham Aati Hai Teri Yad Ley Kar

Koi Sham aati hai teri
YAD lekar
Koi Sham Jati hay teri
YAD dekar

Mujhe to intezaar hay us
Sham ka
Jo Aaye Tujhe Sath Lekar__!!
_______________________________

November Ki Ye Akhri Sham

November ki ye akhri Sham
Mere Doston k naam
Ulfat Bhara Salam
Mere Doston k naam
Kuch ko Me ne Manaya
Kuch ne Mujhe Manaya
Hm ne diye Ilzam
Ek Dusre k naam
Kuch Waday kiye Pure
Kuch reh gaey Adhure
Nibhayen ge her Rishta
Ehd-e-Wafa k naam
Chalti rahe Ye Dosti
Ta Dum-e-Ikhtitam
Mera hai Ye Pegham
Mere Doston k naam
Likha hai ye Kalam
Me ne Doston k naam
November ki akhri Sham
Mere Doston k naam__!!
_______________________________

Sakoot-E-Sham Main Goonji Sada Udasi Ki

Sakoot-e-Sham main goonji sada udasi ki
K hai mazeed udasi dawa udaasi ki

Amoor-e-Dil main, Kisi teesre ka dakhal nahi
Yahan faqat tere chalti hai ya udaasi ki

Bohat shareer tha main or hansta phirta tha
Phir ik faqeer ne de di dua udaasi ki

Chiragh-e-Dil ko zara ehtiyaat se rakhna
K aaj raat chale gi hawa udaasi ki

Bohat Dino se mulakaat hi nahi "Mohsin"
Kahin se kher khabar le k aa udassi ki__!!
_______________________________

Is Bheegi Sham Ke Saey Mein Chupke Se Ager Tum Aa Jao

Is Bheegi Sham Ke Saey Mein Chupke Se Ager Tum Aa Jao
Yeh Sham Suhani Ho Jai Rangeen Kahani Ho Jai

Woh Bat Jo Hum Keh Na Sake
Ankhon Ki Zubani Ho Jai

Koi Piyar Bat Tum Chherho
Koi Piyar Ki Bat Sunain Hum

Han Piyar Kren Youn Hum Dono
Yeh Rat Suhani Ho Jai

Mein Bethoun Tere Pehloo Men
Kuchh Dil Ki Baten Ho Jain

Tum Unglian Phero Mere Balo Men
Hum Meethi Niend So Jain

Is Bheegi Sham Suhani Men Chupke Se Ager Tum Aa Jao__!!
_______________________________

Phir Tere Na Ane Ki Khabar Sham Mein Aayi

Phir tere na aane ki khabar sham mein aayi
Zohrab ki talkhi si mere jaam mein aayi

Aye kash na poora ho koi bhi mera arman
Yeh aur tamanna,dil-e-nakaam mein aayi

Kia kia na ghazal us ki judai mein kahi hai
Barbadi-e-jaan bhi to kisi kaam mein aayi


Kuch tera sarapa mere ashaar mein utra
Kuch shairi meri,tere inam mein aayi

Kab tak ghum-e-doran mujhe fitrak mein rakhta
Aakhir ko to duniya bhi mere daam mein aayi

Kal sham ke tha sheikh-e-haram,sahib-e-mehfil
Sehba ki pari jaama-e-ehraam mein aayi

Har chand Faraz aik faqeer-e-sar-e-reh hoon
Par mumlikat-e-harf mere naam to aayi__!!
_______________________________

Teri Meri Ankh Mein Ay Gul Fark Agar Hai To Itna Hai

Teri meri aaNkh meiN ay gul fark agar hai to itna hai
Tere maqabil sehar khadi hai, mera kissa sham ka manzar.

Gehri-gehri ek udasi damane-shab par chha jati hai
Ik dhuNdhla-sa aaNchal lekar baam se utra sham ka manzar.

Humko bhi maloom hai logoN hasile-hizraN kya hota hai
Kuchh talkhi kuchh gham milte haiN aur akela sham ka manzar.

Kuchh to hum khud chup rehte haiN kuchh mehfil se darte haiN
Apne ghar se dekh rahe haiN iska uska sham ka manzar.

Apni sooni aNgnaaii meiN kal kuchh baadal barse the
BooNdoN ke jadoo se muattar bheeg rahaa tha sham ka manzar__!!
_______________________________

Hui Hai Shaam Tau Aankhoon Mein Bus Gaya Phir Tu

Hui hai shaam tau aankhoon mein bus gaya phir tu
Kahan gaya hai meray shehr ke musafir tu

Mein jaan ta hoon keh dunya tujhe badl de gi
Mein maan ta hoon keh aisa naheen bazahir tu

Bicharna hai tau hansi khushi se bichar ja
Yeh kya sochta hai hur muqaam peh aakhir tu

Faraz tu ne oose mushkiloon mein daal dya
Zamana sahib-e zar aur sirf shair tu__!!
_______________________________

Aisi Lagi Udaas Sar-E-Shaam Zindagi

Aisi lagi udaas sar-E-shaam zindagi
Jaisay kisi ki aankh ka ilzam zindagi
Apne jahan main daikha tere baad kuch nehi
Hum ne laga di aaj tere naam zindagi
Jis k bina ye saans mujhay doobti lagi
Ja k usay bhi dhoond kisi shaam zindagi
Ye pyar dard na ban sakay jis k nashay main
Mujh ko pila de aaj wohi jaam zindagi
Ab doston k haath mere haath main nahi
Girnay laga hoon aaj mujhay thaam ZINDAGi__!!
_______________________________

Sham Honay Ko Hai

Sham honay ko hai
Laal sooraj samandar maiN khonay ko hai
Aur uske paray kuch parinday
QataraiN banaye huwe
Unhi jangloN ko chalay
Jin k pairoN ki shakhoN pe haiN ghonslay
Yeh parinday
WaheeN lot kar jayeN gay
Aur so jayeN gay
Hum hi hairan haiN
Is makanoN k jangal maiN
Apna kahiN bhi thikana nahiN
Sham honay ko hai
Hum kahaN jayeN gay?__!!

0 comments:

Post a Comment