Sambhala Hosh Hai Jab Se Muqaddar Sakht'Tar Nikla
Sambhala Hosh Hai Jab Se Muqaddar Sakht'Tar Nikla
Para Hai Waasta Jis Se Wohi Teer-O-Tabar Nikla
Sabaq Daita Raha Jo Umer Bhar Roshan Khyali Ka
Usey Jab Pas Se Daikha To Khud Bhi Tang Nazar Nikla
Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabat Kar Rahey Thay Hum
Usey Jab Chhu K Daikha To Faqat Khaki Bashar Nikla
Mohabat Ka Khumaar Utra To Tab Saabit Hua
Jisey Manzil Samajhte Thay Wo Be'Maqsad Safar Nikla.
0 comments:
Post a Comment