Pages

Thursday, 21 November 2013

Sham Short Poetry




















Teri yadon me sham hoti ja rahi hai_____
Meri chaht sar-e-Aam hoti ja rhi hai____!!

Tu ab bi azad hai mohabt se lekin______
Meri har sans tari gulam hoti ja rhi hai___!!
_____________________________

Bitaayi Ek Shaam Phir Say Tumharey Sangh Hum Nay
To Un Beetey Hui Kai Shaamon Ki Yaad Aa Gayi_____!!

Liya Haathon Mein Jo Tumhaaraa Haath Mainey Kal
To Yaadon Mein Mere Wo Pehli Mulaquaat Aa Gayi___!!
_____________________________

Main Udas Rasta Hon Sham Ka ,Mujhay Ahaton Ki Talash Hai___
Ye Sitaray Sab Hain Bujhay Bujhay ,Mujhay Jugnuon Ki Talash Hai
Wo Jo Ek Darya Tha Aag Ka Wo To Raasto Se Guzar Gaya_____
Mujhe Kab Se Rait Ke Shahar Mein Nai Barishoo Ki Talash Hai__!!
_____________________________

Aaj ki sham jane kyun ajeeb hai___________________
Wo door hain mujse aur unki yaad kareeb hai_________
Mujse milte nahi “wo” jinki aarzoo hai mujhe__________
Jinhe “wo” roz milte honge wo kitne khush naseeb hai__!!
_____________________________

Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai__________
Har Khwab Me Tera Didar Kiya Karte Hai________!!
Diwane Hi To Hai Hum Tere____________________
Jo Har Waqt Tere Milne Ka Intzaar Kiya Karte Hai__!!
_____________________________

Woh sham woh rukhst ka sama yaad rahega____
Woh shehr woh safar woh makan yaad rahega__
Hum bhool na sakay hain na tujhay bhool sakeinge
Tu yaad hai yaad tha aur yaad rahega_________!!
_____________________________

Zindagi youn us ki chahat k naam krdi
Jesy ghane darakht k neeche sham krdi__!!
Laut jate hain parinde b sham hote hi
Hum ne to har sham hi us K naam krdi__!!
_____________________________

Aisi lagi udas sar-e-sham zindgi
Jaisy kisi ki aankh ka ilzam zindgi_____!!

Apny jahan main dekha tery baad kuch nahi
Hum ne laga di aaj tere naam zindgi___!!
_____________________________

Isi khyaal me guzri hai sham-e-dard aksar
K dard had se barhay ga tu muskra doon ga__!!

Tu Aasman ki surat hai gir paray ga kabi
Zameen hoon me' Phir b tujhay asra de doon gi__!!
_____________________________

Kabhi Sham Dhale Jab Hum Mile
Na Din Dhale Na Raat Ho
Ye Aarzoo Din Raat Ho
Ye Zindgi Tere Sath Ho_____!!
_____________________________

Tum aao meray aangan mein zra sham k bad
Mil k mangen ge mohabat ki dua sham k bad

Jin ki taqdeer mein khawab nahi neend nahi
Aur letay hain sitaron ki rida sham k bad

Aao mil baith k kuch waqt guzaren jaana
Main sunaon tujhy, tu apni suna sham k bad

Tum mujhy chor gaye sham se pehle pehle
Yeh na poocho mera kia haal hua sham k bad__!!
_____________________________

Wohi Sham E Ghum Ki Udasiyan Wohi Subho Ki Mayoosiyan
Kbi Aesa Din B To Aaye,K Muje B Rahat E Dil Mile _____!!
_____________________________

Ye Sard Shamain Bhi Kis Qadar Zalim Hain_________
Ba-Zahir Sard Hoti Hain, Par In Main Dil Sulagta Ha__!!
_____________________________

Wohi Muntazir Nighaien Wohi Sham-e-Gham Ka Aalam____
Hum Azal Se Dekh Rahay Hain Teri Wapsi Ki Raahaien____!!
_____________________________

Sham-e-tanhai Mein Izafa-E-Be_Chain______________!!
Aik tera,,khayal na jana Doosra tera___jawab na aana___!!
_____________________________

Akela hon Mgr aabad Kr leta hon Veerany...
Bohat Roye Gi Mere bad Meri Shaam-e-Tanhai
_____________________________

Wohi sham-e-Gham ka Aalam,Wohi muntazir nigahain_____
Hum Azzal say Dekh Rahaay hain teri Wapsi ki Raahain___!!
_____________________________

Dhalti sham ka khula ehsas ha
Meray dil ma teri jaga kuch khas ha
Tou nahi hay yahan maloom ha mujhay
Magar dil keh raha ha ka tu yahi as pas ha__!!
_____________________________

Aaj ki Sham Bhi Qayamat Ki Tarha Guzri Ay Dost
Najane Kiya Baat Thi Har Baat Pe Tum Yad Aye___!!
_____________________________

Chand Nikla, Na Tum Ne Di Dastak
Aaj Ki Sham Kitni Bojhal Hai____!!
_____________________________

Main sham-e- farozaa'n hoon, main aatish-e-larzaa'n hoon
Main sozish-e-hijraa'n hoon, main manzil-e-parwana___!!
_____________________________

Yun To Her Trha Ka Mosam Mera Waqif rha sawan
Mgr Sham Udasi Ki Mujy Kuch Alag He Janti Hy__!!
_____________________________

Sham Ki Sarhad Se Rukhsat Hai Woh Rind-e-Lam-Yazil
Rakh Ke Maikhane Ke Sare Qaeede Balaye Taaq__!!
_____________________________

Ye Agar Sach Hai To Hai Kis Darja Ibrat Ka Maqam
Rang Ek Pal Mein Badal Jata Hai Ye Neeli Riwaaq___!!
_____________________________

Tu To Sooraj Hai Tujhy Kia Maloom Shaam Ka Dukh
Tu Kisi Roaz Mere Ghar Utar Sham Ke Bad_______!!
_____________________________

Ta gardish e falk se yun hi subha sham ho
Saki ki chashm e mast ho aur dor e jaam ho__!!
_____________________________

Yon to her Sham Omeedon me guzar jati thi
Aaj kuch baat hai__jo Sham se rona aya__!!
_____________________________

Ujar ujar k sanwarti hai______Tere hijar ki sham___!!
Na puch,kese guzarti hai tere hijar ki sham________!!
_____________________________

Zindagi pheli hui thi sham-e-hijra’n ki tarha
Kis ko hosla tha kon je ker dekhta________!!
_____________________________

Tum yahan thay to her ek sham saji rehti thi
Ab to lagta hai sham hoti nahi sham k bad___!!
_____________________________

Mumkin hai osse koi taaluq ho tumhi se
Woh shaks ke jo shaam se raste mein khara hai__!!
_____________________________

Borhi ho jati hai kuch aor tasali farhat
Dard ho jata hai kuch awr jawan sham k bad__!!
_____________________________

Itna udas shaam ka manzar kabhi na tha
Sooraj ke sath doob gaya mera dil bhi aaj__!!
_____________________________

Jis K Begar Sham Guzri Na Thi Kabhi, Mohsin
Us K Bagar "Eid" Guzar Gai _____________!!
_____________________________

Yun To Her Trha Ka Mosam Mera Waqif rha sawan
Mgr Sham Udasi Ki Mujy Kuch Alag He Janti Hy__!!

Read More..

1 comment:

  1. https://www.urdusadpoetry.net/apny-khali-kamry-mein-tanha/

    https://www.urdusadpoetry.net/dhekty-rhny-ki-adat-ho-gai/

    https://www.urdusadpoetry.net/aziyat-say-mar-geya-tha/

    ReplyDelete