Pages

Monday, 25 November 2013

Urdu Hindi Sad Poetry On Night




















Dost Ban Ban K Miley Mujhko Mitaane Waaley

Dost Ban Ban Ke Mile Mujhko Mitaane Vaale
Mai Ne Dekhe Hain Kai Rang Badalane Vaale

Tumne Chup Rahkar Sitam Aur Bhi Dhaayaa Mujh Par
Tumse Acche Hain Mere Haal Pe Hansne Vaale

Mai Tou Ikhlaaq Ke Haathon Hi Bikaa Kartaa Hoon
Aur Honge Tere Baazaar Mein Bikne Vaale

Aakhrii Daur Pe Salaam-E-Dil-E-Muztar Le Lo
Phir Naa Lautenge Shab-E-Hijr Pe Rone Vaale_____!
_____________________________

Us Ney Piyaam Bhejey To Raastey Mein Reh Gaye

Us ne peyaam bheje to raste mein reh gaye
Hum ne jo khat likhe woh hawaa burd ho gaye

Mein sheher e gul mein zakham ka chehra kisey dikhaon
Shabnam badast log tou kantey chubho gaye

Aanchal mein phool le ke kahan ja rahi hoon mein
Jo aney waley log they, woh log to gaye

Kya janiye ufq ke udhar kya talism hai
Lautey nahin zameen pe ik baar jo gaye

Jese badan se qos-e-qaza phootne lagi
Barish ke haath phool ke sab zakhm dho gaye

Ankhon mein dheere dheerey utar ke puraney gham
Palkon main nanhe nanhe sitarey piro gaye

Woh Bachpnay Ki Neend To Ab Khawab Ho Gayi
Kya Umar Thi K Raat Hui Aur So Gaye_____!!

Kya Dukh They, Kon Jaan Sakay Ga, Nigar-E-Shab
Jo Merey Aur Terey Dupatay Bhigo Gaye_____!!
_____________________________

Tere Hijar Ne Kar Rakha Hai Khafa Mujh Ko

Tere Hijar Ne Kar Rakha Hai Khafa Mujh Ko
Roothay Hain Mujh Se Mere Yaar, Sajan

Woh Jo Shab Ki Dehleez Pe Rehtay Thay Mere Sath
Woh Khilonay Pehron Kartay Hain Mujhay Yaad, Sajan

Azal Se Thi Tamanna Keh Tamanna Ko Bhi Tamanna Rahi
Tum Milay Hotay Mujhay Baar Baar, Sajan

Soch Ka Zawiya Har Dam Sochta Hai
Kis Uqba Mein Rahay Ga Mata e Jaan, Sajan

Tere Hijar Ne Kar Rakha Hai Khafa Mujh Ko
Roothay Hain Mujh Se Mere Yaar, Sajan____!!
_____________________________

Darman-E-Gham-E-Hijar Agar Ho To Mujhy Kya

Darman-e-Gham-e-Hijar Agar Ho To Mujhy Kya
Tumhain Ab Meri Khaber Ho To Mujhy Kya?

Jab Ho Gai Gam Sy Meri Dunya Teh-o-Bala
Ab Ek Jahan Zair-o-Zabar Ho To Mujhy Kya?

Jab Khaaq Bhi Baqi Na Rahi Qalb-o-Jigar Ki
Ab Koi Mere Liye Khaaq Basar Ho To Mujhy Kya?

Han Ab DiL-e-Veraa’n Me Ujala Nahi Hota
Tum Gherat-e-Khursheed-o-Qamar Ho To Mujhy Kya?

Aur Hy Ab Meri Dunya Me Sarasar Shab-e-Furqat
Ab Is Shab-e-Furqat Ki Sehar Ho Tu Mujhy Kya?

Achha Hy Bin iffi K Guzar Jaye Kisi Ki
Aur Phir Bhi Kisi Ki Na Guzar Ho Tu Mujhy Ky1____!!
_____________________________

Mosam-E-Hijar K Lamhaat Koi Kaya Jany

Mosam-e-hijar k lamhaat koi kia jany
Kia guzarti hai mery sath koi kia jany

Dooriyon main bhi tery sath marasim hain wohi
Rooz hoti hai mulaqat koi kia jany

Loog hansti hui ankhon pe yaqeen rakhty hain
Mery ansoo mery jazbaat koi kia jany

Ik tu hai jisy maloom hain sari baten
Shab-e-hijar mery halat koi kia jany

Koi kia jany k khamoshiyan kia kehti hain
Meri ankhon k sawalat koi kia jany___!!
_____________________________

Jaan-E-Bahaar Ab Kabhi Bhool K Bhi Na Aaye Ge

Jaan e bahar abb kabhi bhool ke bhi na aaye ge
Lamhe firaaq e yaar ke or nagar basaein ge

Tu hama paikar e ghazal dil hama saaz e aarzoo
Naghma ba lab rahein ge ham or ghazal sonaein ge

Abb koi raaz ashna pooche ga haal e dil tu ham
Hans ke bare tapak se sher yeh ek sonaein ge

Kaise bhula sake ga, Dil Hijar Kashi ke Roz o Shab
Lakh bure sahi magar din tu woh yaad aayein ge

Jhoot tha jo kaha geya sach na tha jo leekha geya
Tum hamein bhool jao ge ham tumhain bhool jayein ge_____!!
_____________________________

Shab-e-Hijar Main Kho Kar Sub Kuch Bhola Dala

Shab-e-Hijar Main Kho Kar Sub Kuch Bhola Dala
Tash Nagi Jub Bhi Bhre Kud Ko Meta Dala

Tum Tu As Qadar Masroof ho gaye janaa
Tumhare Yaad Ko Hum Ne Dulhaan Bana Dala

Kub Raha Kudh Par Akhteyar Jo Gela Karte
Hum Tu Majboor Thai Dil Sey Sub Kuch he Dekha dala

Dil par Asar na ho Terey Aye He soch kar Hum ney
Kittab-e- Mazi ko Tere naam intesab karwa dala

Tumey Ahsas tu ho Jub Main Door jaon ga
Zindagi Dekh Tujhey Hum Ney kud he Bujha Dala

Kabhi Jo yaad ayon Main Mazi Ke Jharkon sey
Ali Maatam nahi karna Tumhey sub Kuch Bata dala_____!!
_____________________________

Aaj Kuch Suno Mujh Say K Dil Ki Haalat Ajeeb Hai

Aaj kuch suno mujh se k dil ki haalat ajeeb he
Ghamgeen hai tabiat rang-e-chahat ajeeb he

Uski baatein uski ankhain badal rahi hen
Lag raha hai shab-e-hijar qareeb he

Tor kar qasmein wo badal raha he nigahein
Main samajh gaya ab us k pas raqeeb he

Bhula kar mujhe ab rehta hai wo khush
Aur mujhe wo marz diya jis ka na koi tabeeb he

Musalsal mere dil pe gham-e-yaar k sitam hen
Youn lagta hai Mohsin" k ab meri mout qareeb he_____!!
_____________________________

Mere Qatil Ko Pukaro K Me Zinda Hu Abhi

Mere Qatil Ko Pukaro K Me Zinda Hu Abhi
Phr Se Maqtal Ko Sanwaro K Me Zinda Hu Abhi

Ye shab-e-hijar To Saathi He Meri Barson Se
Jao So Jao Sitaron K Me Zinda Hu Abhi

Ye Pareshan Se Gesuu Nahi Dekhy Jaty
Apni Zulfon Ko Sanwaro K Me Zinda Hu Abhi

Lakh Mojon Me Ghira Hu Abhi Dooba To Ni
Mujh Ko Sahil Se Pukaro Ke Main Zinda Hun Abhi

Qabr Se Aaj Bhi MOHSIN^ Ki Ye Aati He Sdaa
Tum Kahan Ho Mere Yaaron Ke Main Zinda Hun Abhi____!!
_____________________________

Dil Husn ke Sholon Main Jala Kiyon Nahi Detey

Dil Husn ke Sholon Main Jala Kiyon Nahi Detey
Tum Mujh ko Mohabbat ki Saza kiyon Nahi Detey

Bheegi Hui Palkon se Guzar Jaate Ho Chup Chap
Jo Dil Pe Guzarti Hai Bata Kiyon Nahi Detey

Ro Ro Ke shab-e-hijar Guzaro ge Kahan Tak
Tum Unki Mohabbat ko bhula Kiyon Nahi Detey_____!!
_____________________________

Hawaa E-Hijar Mein Jo Kuch Tha Ab Khak Howa

Hawaa-e-Hijar Mein Jo Kuch Tha Ab Khak Howa
K Peerhin To Gia Tha Badan Bhi Chak Howa

Ab Us Se Tark-e-Ta'aluq Karon To Mar Jaon
Badan Se Rooh Ka Is Darja Ishtarak Howa

Yehi K Sab Ki Kamanain Humi Pe Tooti Hain
Chalo Hisab-3-Saf-E-Dostaan To Pak Howa

Na Poch Apni Taraf Phir Se Lootne Ka Amal
K Main Pahaar Tha Simta To Musht-E-Khak Howa

Wo Besabab Youn Hi Rootha Hai Lamha Bhar K Liye
Ye Saneh Na Sahi Phir Bhi Karbnak Howa

Usi K Qurb Ne Taqseem Kar Dia Aakhir
Wo Jis Ka Hijar Mujhe Wajha-3-Inhmak Howa

Shadeed Warn Na Dushman Dalair Tha Mohsin
Main Apni Bekhabri Se Magar Halak Howa____!!
_____________________________

Sakot-E-Shaam-E-Khizaan Hai Qariib Aa Jaao

Sakuut-E-Shaam-E-Khizaan Hai Qariib Aa Jaao
Baraa Udaas Samaan Hai Qariib Aa Jaao

Na Tum Ko Khud Pe Bharosaa Na Ham Ko Zom-E-Wafaa
Na Aitabaar-E-JahaaN Hai Qariib Aa Jaao

Raah-E-Talab Men Kisii Ko Dhyaan Nahiin
Hujuum-E-Ham_SafaraaN Hai Qariib Aaa Jaao

Jo Dsht-E-Ishq Men BichhaDen Wo Umr Bhar Na Mile
YahaaN WahaaN DhuaaN Hii dhuaaN hai qariib aa jaao

Ye AaNdhiyaaN Hain To Shahar-E-Wafaa Kii Khair Nahiin
Zamaanaa Khaak_FashaaN Hai Qariib Aa Jaao

Faaqih-E-Shahar Kii Majalis Nahiin K Duur Raho
Ye Bazm-E-Piir-E-MaGaaN Hai Qariib Aa Jaao

‘Faraz’ Duur K Suuraj Garuub Samajhe Gaye
Ye Daur-E-Kam_Nazaaraa Hai Qarib Aa Jaao____!!
_____________________________

Hijar Mein Khoon Rulatay Ho Kahan Hotay Ho

Hijar Mein Khoon Rulatay Ho,Kahan Hotay Ho?
Laut Kar Kyun Nahi Aatay Ho,Kahan Hotay Ho?

Mujh Se Bichray Ho To Mehboob e Nazar Ho Kis k?
Aaj Kal Kis Ko Manaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Yaad Aati Hain Akaily Mein Tumhari Neendein
Kis Tarah Khud Ko Sulaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Tum To Bichray They Khushion Ki Rafaqat k Liye
Ab Kiun Ashk Bahaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Shehar k Log b Kartay Hain Ab Yehi Sawal
Tum bohat Kam Nazar Aatay Ho,Kahan Hotay Ho____???
_____________________________

Is Dil Mein Khayaal Jab TumhareY Hote Hai

Is Dil Mein Khayaal Jab Tumhaare Hote Hai
Mere Daaman Mein Chaand Aur Sitaare Hote Hai

Ek Main Aur Meri Tanhai Shab-E-Hijar Mein
Aur Tumhari Yaadon Ke Sahare Hote Hai

Tera Aana,Muskurana,Mujhse Lipat Jaana
Haath Mein “Kamal” Ye Chalti Hai Khud-Ba-Khud

Ek Khayaal Aur Kamaal Kitne Saare Hote Hai
Jab Kalam Ko Zakhmo Ke Ishaare Hote Hai____!!
_____________________________

HIJAR KI SHAB NAA'LA E DIL WOH SADA DENE LAGE

HIJAR KI SHAB NAA'LA E DIL WOH SADA DENE LAGE
SUN NE WALE RAAT KATNE KI DUA DENE LAGE

BAGHBAN NE AAG DI JAB AASHIYANE KO MERE
JIN PE TAKYA THA WOHI PATE HAWA DENE LAGE

MUTHIYOON MAIN KHAAK LE KAR DOST AAYE WAQT E DAFAN
ZINDAGI BHAR KI MOHABBAT KA SILA DENE LAGE

AAI' NA HO JAYE MERA ISHQ UN KE HUSN KA
KYA MAZA HO DARD AGAR KHUD HE DAWA DENE LAGE


SEE'NA E SOZ'AAN MAIN SAQIB GHAT RAHA HAI WOH DHOWAN
UF KAROON TO AAG KI DUNYA HAWA DENE LAGE_____!!
_____________________________

Woh Silsilay Woh Shoq Who Nisbat Nahi Rahi

Woh silsilay woh shoq who nisbat nahi rahi
Ab zindagi main hijar ki wehshat nahi rahi

Toota hay jab say uski masihai ka tallism
Dil ko kisi maseha ki hajat nahi rahi

Phir yuon hoa kay koi shanasa nahi raha
Phir yuon hoa kay dard main shiddat nahi rahi

Phir yuon hoa kay ho gaya masroof who bohat
Or ham ko yaad karnay ki fursat nahi rahi

Ab kya kisi ko chahain kay hamko to in dino
Khud apnay aap say bhi muhabbat nahi rahi_____!!
_____________________________

Woh Hijar Thehra Wisaal Shehra

Woh hijar thehra, Visaal thehra
Kya aadmi tha kamaal thehra

Afsurdgi ke har ik nagar mein
Woh qehkahon ki misaal thehra

Woh kis ki khatir guzar geya hai
Sab ki khatir sawaal thehra

Haan us ke lehje ki taazgi se
Jo khawb tha woh khayal thehra

Kahan se layen rafeeq tujh sa
Mohabbaton mein zawaal thehra

Tu ne hum ko yeh dukh diya hai
Ke ab tu jeena muhaal thehra____!!

Read More..

0 comments:

Post a Comment