Pages

Wednesday, 20 November 2013

Urdu Poetry On Sham




















Ansuon Shaam Ki Palkon Pe Larazty Rehna

Ansu’oon ! Shaam Ki Palkon Pe Larazty Rehna
Dob Jaye Jo Ye Manzar To Barastay Rehna____!!

Us Ki Aadat Wohi Her Baat Adhori Karna
Or Phir Baat Ka Mafhom Badaltay Rehna_____!!

Aaj Se Seekh Lia Hai Ye Qareena Hum Ne__
Bujh Bhi Jana To Bari Dair Tak Sulagtay Rehna___!!

Jany Kis Umer Main Jaye Gi Ye Aadat Us Ki
Rothna Khud Se To Auron Se Ulajhtay Rehna____!!
_____________________________

Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Sham Honay Do

Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Sham Honay Do
Mai Khud Hi Laut Jaoonga Mujhe Nakaam Honay Do
Mujhey Badnam Karne Ke Bahanay Dhoondtay Ho Kyun____??
Mai Khud Hojaoonga Badnam Pehley Naam Honey Do
Abhi Karna Nahi Aetraaf-E-Shikast Mujhko
Mai Sab Tasleem Kar Loonga Ye Charcha Aam Honay Do
Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nahi Sakta
Wafayen Bech Lena Par Zara Neelam Honay Do
Naye Aaghaz Main Hi Hosla Kyun Haar Bethey Ho___??
Jeet Jaogay Tum Sab Kuch Zara Anjaam Honay Do____!!

_____________________________

Sham K Surmai Andheron Me

Sham K Surmai Andheron Me
Youn Teri Yad Sath Chalti He
Jese Parbat K Sabz Perron Per
Barf K Baad Dhoop Parti Hai
Jese Sehra Ki Rait Urr Urr Kar
Ajnabi Ka Tawaf Karti Hai
Aah Bharta Hon Ashk Peeta Hoon
Roz Marta Hoon Phir B Jeeta Hoon
Kitni Masoom Aarzuon Ko Kis Tarah Log Torr Jatey Hain
Jese Dam Torrty Musafir Ko
Qafly Waly Chor Jate Hain
Sham K Surmai Andheron Mai
Youn Teri Yaad Sath Chalti Hai___!!
_____________________________

Baar Haa Aisey Bhii Apne Dil Ko Bahlaanaa Parh

Baar_haa Aisey Bhi Apnay Dil Ko Behlaanaa Para
Shaam-E-Tanhaai Mein Yaadon Say Lipat Jaanaa Para

Har Dafa Pehli ShanaaSaai Na Yaad Aayein Usay
Har Dafa Apnaa Ta’arruf Phir Say Karvanaa Para

Rezaa-Rezaa Ho Gaye Hain Aaj Merey Khvaab Phir
Aaj Aik Patthar Say Phir Sheeshey Ko Takraanaa Para

Naa-Rasaa’ii Ki Thakan Nay Kar Diyaa Halkaan Phir
Dasht Say Nikley To Waapis Dasht Mein Aanaa Para

Phir Bhi Hum Nay Aqal Ko Rahbar Nahi Maanaa “Jaleel”
Dil K Go Har Faislay Par Ham Ko Pachtaanaa Para____!!
_____________________________

Sham Honey Ko Hai

Sham hone ko hai
Mey b tanha hu
Is bhary shehar mey kahan jau
Koi apna b nhi hai
Or tum b nhi ho
Ye waqt kese guzrey ga
Ab to soch soch kr dimaag b thak chuka hai
Kahan mey jau
Sochta hu kash tm aa pati
Phir waqt boht acha guzarta
Waqt ka pta hi na chalta
K kb rat hui
Kuch batein tm krti
Kuch batein mey krta
Kbi tm hansti to kbi mey hansta
Mgr afsos
Aisa mumkin nhi
Tum kahan or mey kahan
Tumhari naa aney ki zid
Meri milne ki zid
Mera bar bar milne ka israar
Tumhara hr bar inkar
Ye zid humari Muhabat le doobey gi
Sochta hu tm bin ye sham kese katey gi
Sham ab hone ko hai________!!
_____________________________

Kabhi Sham Dhal Jaaye

Kabhi sham dhal jaye
Koi rasta badal jaye
Kabhi ansoo nikal jaye

Koi deewar tham’on gi
Tum’hein phir sey bula’on gi
Khodi ko azma’on gi

Mein sach kehti hun meri jaa’n
Bohat ziada sata’on gi
Tum’hein mein yaad aon gi

Kabhi dil sey pukaro gey
Koi pal youn guzaro
Meri hi deed chaho gey

To meri yaad ka daman
Tumhara zabt torey ga
Tum’hein pal pal jalaye ga

Tum’hein itna sataye ga
Key sab sey dor ho key tum
Kabhi ansoo bahao gey

Bohat ziada satao gey
Bohat ziada rulao gey
Mujhey tum yaad aao gey___________!!
_____________________________

Wo Aam Si Sham Thi

Wo Aam Si Sham Thi
Jab Juda Hoey Thy Hum
Na Toot Kar Piyar Kiya.
Or
Na Ro Saky Thy Hum
Tum Sey Gila kia
Na Zamany Se Kuch Kaha,,,
Barbad Ho Gaey
Bohat Sadgii Se Hum_____!!
_____________________________

Sham K Saanwly Chehre Ko Nikhara Jai

Sham K Saanwly Chehre Ko Nikhara Jai
Kion Na Sagar Se Koi Chand Ubhaara Jaae

Raas Aya Nahi Taskeen Ka Sahil Koi
Phir Mujhe Pyaas K Darya Mein Utaara Jaae

Mehrban Teri Nazar Teri Adaen Qatil
Tujhe Kis Naam Se Ay Dost Pukaara Jaae

Mujhko Dar Hai Tery Wadey Pe Bhrosa Ker K
Muft Mein Ye Dil-E-Khush Fehm Na Maara Jaae

Jis K Dam Se Mery Din Raat Darkhshan The “QATEEL”
Kesy Ab Us K Bina Waqt Guzaara Jaae_______!!
_____________________________

Kabhi Tum Khud Bhi Aa Dekho Ye Manzar Shaam Say Pehley

Kabhi tum khud b aa dekho ye manzar shaam say pehley
Ye lab kaisy Larraztay hein tumhary naam say pehlay

Nahi mumkin mein Raah-e-shoq say wapas palat jaoon
Parinday to nahi lotey kabhi ghar sham say pehlay

Nahi maloom kab say hy taluQ"tum sy." apna
Tumhara Aks tha DiL me tumhary Naam sy phly______!!
_____________________________

Aisey Lagi Udas Sare Sham Zindgi

Aise lage udas sare sham zindgi
Jaise kisi  ka ho ilzam zindgi

Apne jahn mein dekh tere bad kch na tha
Hum ny lega de aj tere nam zindgi

Jis k bina mujhe yeh sans dobti lage
Ja kr usey b dhondh kisi sham zindgi

Ye pyar dard na ban sake jis k nashe mein
Pela dy mujh ko wohi jam zindgi_____!!

Read More...

0 comments:

Post a Comment