Pages

Wednesday, 20 November 2013

Urdu Sham Poetry


















Laut Aati Hai Meri Shab Ki Ibadat Khali

Laut Aati Hai Meri Shab Ki Ibadat Khali
Jaane Kis Arsh Pe Rehta Hai Khuda Shaam Ke Baad

Din Ajab Muthi Main Jakray Rehta Hai Mujhay
Mujh Ko Is Baat Ka Ehsaas Hota Hai Shaam K Baad

Koi Bhoola Hua Ghum Hai Jo Musalsal Mujhko
Dil K Paataal Say Deita Hai Sada Shaam K Baad

Maar Deta Hai Ujad Jane Ka Dohra Ehsaas,
Kaash Ho Koi Kisi Say Na Juda Shaam Ke Baad,

Wo Jo Tal Jati Rahi Sar Se Bala Shaam Ke Baad,
Koi To Tha Ke Jo Deta Tha Dua Shaam Ke Baad,

Aankh Ban Jaati Hai Sawan Ki Ghata Shaam Ke Baad,
Laut Jaata Hai Agar Koi Khafa Shaam Ke Baad,

Aahain Bharti Hai Shab Yateemon Ki Tarha
Hawa Her Roz Ho Jaati Hai Sard Shaam K Baad

Shaam Tak Qaid Raha Karte Hai Dil Ke Andar,
Dard Ho Jaate Hai Saare Riha Shaam Ke Baad,

Log Thak Haar K So Jaatay Hain Lekin
Hum Nay Khushi Say Saha Tera Her Dard Shaam K Baad

Shaam Tak Laakh Sulaaye Rakhain Magar
Jaag Uthti Hai,Mohabbat Ki Anaa Shaam K Baad

Khwab Takra Ke Palat Jaate Hai Band Aankhon Say,
Jaane Kis Jurm Ki Kisko Hai Saza Shaam Ke Baad,

Chaand Jab Ro K Sitaaron Say Galay Milta Hai
Ik Ajab Si Hoti Hai Fiza Shaam K Baad

Main Nay Tanhaayi Say Pocha Milo Gi Kab??
Us Nay Be_Chaini Say Yehi Kaha Shaam K Baad

Tum Jab Say Gaye Ho Siyaah Rang Pehnay
Udaasi Meray Ghar Main Phirti Hai Shaam K Baad

Itna To Hota Nahi Khandir Shaam Ke Baad
Jitna Veeran Hua Jaata Hai Ghar Shaam Ke Baad

Toot Padti Ahi Nayi Roz Khabar Shaam Ke Baad
Waqt Hota Hai Azabon Mein Basar Shaam Ke Baad

Meri Aankhon Se Baraste Hue Daryaon Mein
Doob Jaati Hai Teri Reh-Guzar Shaam Ke Baad

Gher Lete Hai Mujhe Raaste Teri Yaadon Ke
Jab Bhi Karta Hoon Tere Baad Safar Shaam Ke Baad

Din Bhi Veeran Hi Guzarta Hai Hamara Lekin
Aur Badh Jaata Hai Veerani Ka Dar Shaam Ke Baad

Hijar Ke Saaye To Har Roz Hi Aa Jaate Hai
Kya Kabhi Hoga Tumhara Bhi Guzar Shaam Ke Baad

Laut Aaye Kisi Roz Wo Awara Mijaaz_____!!
Khol Rakhte Hai Isi Aas Par Dar Shaam Ke Baad


Mujh Ko Har Roz Hota Hai Yeh Guma Sham K Bad
Aaj Har Haal Mein Jal Jaye Gi Jaan Sham K Bad

Rat Bhar Gum K Musalay Pay Para Rehta Hoo
Hijar Deita Hai Jab Bhi Teri Azaan Sham K Bad

Be_Qrari Ksi Aari Ki Tara Katti Hai
Taray Beimar Ko Ab Chain Kahan Sham K Bad

Aaj Ka Din Bhi Guzaar Aaya Hoo Kin Logo Mein
Aur Barh Jata Hai Ehsas_E_Zia Sham K Bad

Aik To Pehlay Hi Barbad Hai Dil Phir Is Par
Aan Parta Hai Koi Baar_E_Gira Sham K Bad

Aisi Barbadi Deki Na Hogi Kabhi Tum Nay
Na Koi Raakh, Na Shola, Na Dhuwan Sham K Bad

Is Tarha Hoti Hai Barish Koi Andr Andr
Jaisay Rota Hai Koi Cchup K Yahan Sham K Bad

Jab Ksi Bholay Huway Dukh Pay Nazar Par Jaye
Ashk Ho Jatay Hain Rawaan Sham K Bad

Apni Tasveer Rakhoo Rat Ki Almaari Mein
Koi To Mera Bhi Reh Jaye Nishan Sham K Bad

Neend Aati Hi Naheen Aankho Ki Dehleezo Tak
Khali Reh Jata Hai Aksar Yeh Makan Sham K Bad
______________________________

Aankh Mein Be Karan Malal Ki Sham

Aankh Mein Be Karan Malal Ki Sham
Dekhna,Ishq K Zawal Ki Sham

Meri Qismat Hai Tere Hijar Ka Din
Meri Hasrat Tere Wisal Ki Sham

Dehki Dehki Tere Jamal Ki Subha
Mehki Mehki Mery Khayal Ki Sham

Roop Sadiyon Ki Dupehr Pe Muheet
ORHNI hai K Mah O Sal Ki Sham

Phr Wohi Dar Wohi Sadaa Hashmi
Phir Wohi Mein Wohi Sawal Ki Sham__!!
______________________________

Us Nay Kaha mujh Say Tumhen Kitna Pyar Hai

Us ne kaha mujh se tumhen kitna piyar hai?
Main ne kaha sitaron ka koi shumaar hai?

Us ne kaha keh kon tumhen hai bohot aziz?
Main ne kaha keh dil pe jisy akhteyar hai

Us ne kaha keh kon sa tohfa hai man pasand?
Main ne kaha woh sham jo ab tak udhar hai

Us ne kaha keh khizaon mein mulaqat ka jwaz?
Main ne kaha keh qurb ka matlb bahaar hai__!!
______________________________

Mera Sham Salona Shah Pia

Mera Sham salona shah pia
Mujhy maar gai teri chah pia
Mujhy jungle jungle bhatka do
Mujhy sooli sooli latka do
Jo jee chahy yaar karo
Hum par jo gaye teri rah pia

Mera Sham Salona Shah Pia
Kahin rooh mein aas pukary gi
Kahin labon ki piyas pukary gi
Kahin khoon, kahin dil boly ga
Kabhi aana maqtal gah pia

Mera Sham Salona Shah Pia
Tera khyal riazat ankhoon ki
Tera lams hararat sansoon ki
Tera naam laboon ki aadat hy
Meri ik ik saans gawah pia

Mera Sham Salona Shah Pia____!!
______________________________

Aisi Hi Sard Sham Thi Vo Bhi

Aisi Hi Sard Sham Thi Vo Bhi
Jab vo mahndi rachaye hathon main
Apni ahat k khauf se larazan
Surkh anchal main munh chipaye hue
Apne khat mujh se lene ai thi
Us ki sahmi hui nigahon main
Kitni khamosh iltijayen thin
Us k chehre ki zard rangat main
Kitni majaburiyon k saye the
Mere hathon se khat pakarte hi
Jane kya soch kar achanak vo
Mera shana pakar kar roi thi
Us k yaqut rang honthon k
Kapkapate hue kinaron par
Saikaron ankahe fasane the
Sard shamon main der tak aksar
Jab ye manzar dikhai deta hai
Ek lamha hinai hathon se
Mujh ko apani taraf bulata hai
Humnashin ruth kar na ja mujh se
Aisi hi sard sham thi vo bhi__!!
______________________________

Ajnabi Shehr Lagay Sorat-E-Zindan Mujh Ko

Ajnabi Shehr Lgy sorat-e-zindan mujh ko
Le chaL ay mauj-e-Hawa soo-e-buyaban mujh ko
Mein bhi bujhnay ko hon ay QatL'gaah-e-sheher mgr
Yaad rakhegi Teri sham-e-ghariban mujh ko
Tou keh darya pe barasta hai na sahra'on mein
Apni manziL tou bta abr-e-Gurezan mujh ko
Apna Ghar kitna he weeran ho phir apna ghar hai
Bistar-e-Khaak Lgy takht-e-SuLeman mujh ko
Janta hon mein khad-o-khal ki Qeemat "MOHSIN"
Aaina kr na sake'ga kbhi hairan mujh ko______!! 
______________________________

Shaam e Gham Ki Qasam

Aaj GhamgEen Hain Hum
Aa Bhe Jaa Aa Bhe ja Aaj Meray Sanam
Dil PreShan Hai Raat Veeraan Hai
Dekh Ja Kis Trah Aaj tAnhA Hain Hum

Shaam e Gham Kii Qasam

Khail Kaisa Jo PehlOo Mein tOo Hi Nahien
Maar Dalay Na dArd e jUdaii Kahien
Rut HaSEen Hai To Ko Kya Chandni Hai To Kya
Chandhi Zulam Hai Or jUdaii Sitam

Shaam e Gham Ki Qasam

Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii
Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii
DhOondhatii Hai Nazar tOo Khaan Hai Magar
Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Nam
Shaam e Gham Ki Qasam______!!
______________________________
Is Sham Wo Rukhsat Ka Sama Yaad Rahay Ga

Is Sham wo Rukhsat ka Sama Yaad rahe ga
Wo Shehar, wo koocha, Wo Makaa’n yad rahe ga

Wo Tees K ubhri thi idhar Yaad rahe gi
Wo dard k Utha tha Yaha Yaad rahe ga

Hum Shoq k Sholey ki Lapak Bhool bhi Jayein
Wo Shama Fasoorda Ka Dhuwa yad rahe ga

Haan Bazm-e-Shabana mein Hume Shoq Jo is din
Hum to Teri Janib -e- nigraa’n yaad rahe ga

Kuch meer k Abiyat thay , Kuch FAIZ k Misray
Ik dard ka tha Jin mein Biyaa’n Yaad rahe ga

Jaa’n Bakhash si is Barg -e- gull taar ki Tarawat
Wo Lamas Aazeez-o-Do Jahaa’n yaad rahe ga

Hum Bhool sake hain Na Tujhe Bhool sakein gey
Tu yaad rahe ga , Hume Haan Yaad rahe ga__!!


Read More..

0 comments:

Post a Comment