Pages

Thursday, 28 November 2013

Jaun Elia Poetry Book Gumaan




















Kaya Yaqeen Aur Kaya Gumaan Chup Reh

Kaya Yaqeen Aur Kaya Gumaan Chup Reh
Sham Ka Waqt hai Miyan Chup Reh

Ho Gaya Qisa_E_Wajood Tamam
Hai Ab Aaghaz_E_Daastan Chup Reh

Main To Pehlay He Ja CHuka Hun Kaheen
Tou Bhi Jana Nahi Yahan Chup Reh

Tou Ab Aya Hai Haal Main Apnay
Jab Zameen Hai Na Aasman Chup Reh

Zikr Ccheira Khuda Ka Phir Tou Nay
Yaa'n Hai Insan Bhi Raaiegaan Chup Reh

Sara Soda Nikaal Day Sir Say
Ab Nahi Koi Aastan Chup Reh

Darmiyani He Ab Subhi Kuch Hai
Tou Nahi Apnay Darmiyan Chup Reh

Ab Koi Baat Teri Baat Nahi
Nahi Teri,Teri Zuban,Chup Reh

Hai Yahan Zikr_E_Haal_E_Mojoda
Tou Hai Ab Zikr_E_Azguzashtgan Chup Reh

Hijar Ki Jaan Kani Tamaam Hui
DiL Hua JON Be_Amaan Chup Reh____!!
______________________________

Aik Gumaan Ka Haal Hai Aur Faqt Gumaan Main Hai

Aik Gumaan Ka Haal Hai Aur Faqt Gumaan Main Hai
Kis Nay Azaab_E_Jaan Saha,Kon Azaab_E_Jaan Main Hai

Lamha Ba Lamha,Dum Ba Dum,Aan Ba Aan,Ram Ba Ram
Main Bhi Guzashtgaan Main Hun tou Bhi Guzashtgaan Main Hai

Aadam_O_Zaat_E_Kibriya Karab Main Hain Juda Juda
Kaya Kahun In Ka Maajira Jo Bhi Hai Imtihan Main Hai

Shaakh Say Urr Gaya Prind Hai Dil_E_Sham_E_Dard_Mand
Sehan Main Hai Malaal Sa Huzan Sa Samaa Main Hai

Khud Bhi Be_Amaan Hun Main,Tujh Main Bhi Be_Amaan Hun Main
Kon Sahay Ga Us Ka Ghum Jo Meri Amaan Main Hai

Kaisa Hisaab Kaya Hisab Haalat_E_Haal Hai Azaab
Zakham Nafas Nafas Main Hai Zehar Zamaan Zamaan Main Hai

Us Ka Firaaq Bhi Ziyan Us Ka Wisaal Bhi Ziyan
Aik Ajeeb Kashmakash Halqa__Be_Dilaan Main Hai

Bood O Nabood Ka Hisaab Main Nahi Janta Magar
Saaray Wajood Ki 'Nahi' "Meray Adm Ki" 'Haan' Main Hai___!!
______________________________

Hum Tera Hijar Manaanay K Liye Niklay Hain

Hum Tera Hijar Manaanay K Liye Niklay Hain
Shehar Main Aag Jalaanay K Liye Niklay Hain

Shehar Kocho Main Karo Hashar Bapa Aaj K Hum
Us K Waaday Ko Bhulaanay K Liye Niklay Hain

Hum Say Jo Roth Gaya Hai Woh Bohat Hai Masoom
Hum To Auron Ko Manaanay K Liye Niklay Hain

Shehar Main Shor Hai Woh Youn K Gumaan K Safari
Apnay He Aap Main Aany K Liye Niklay Hain

Woh Jo They Shehr_E_Tahaur Teray Pur Fun
Wohi Pur Fun Tujhay Dhaanay K Liye Niklay Hain

Rehguzar Mein Teri Qaaleen Bichanay Waalay
Khoon Ka Farash Bichaanay K Liye Niklay hain

Sar_E_Shab Ik Nayi Tamseel Bapa Honi Hai
Aur Hum Parda Uthaanay K Liye Niklay Hain

Humain Seiraab Nayi Nasal Ko Karna Hai So Hum
Khoon Main Apnay Nihaanay K Liye Niklay Hain_____!!

Hum Kaheen K Bhi Nahi Par Yeh Hai Rodaad Apni
Hum Kaheen Say Bhi Na Jaanay K Liye Niklay Hain
______________________________

Kab Uska Visaal Chahiye Tha

Kab Uska Visaal Chahiye Tha?
Bas Ik Khayal Chahiye Tha
Kab Dil Ko Jawab Se Gharaz Thi?
Honton Ko Sawaal Chahiye Tha
Ek Chehra Saada Tha Jo Hum Ko
Be Misl-O-Misaal Chahiye Tha
Ik Qarb Main Zaat-O-Zindagi Hain
Mumkin Ko Muhaal Chahiye Tha
Main Kya Hoon Bas Ik Malaal-E-Maazi
Us Shakhs Ko Haal Chahiye Tha
Hum Tum Jo Bichar Gaye Hain Hum Ko
Kuch Din To Malaal Chahiye Tha...!!!
______________________________

Us Nay Hum Ko Gumaan Main Rakha

Us Nay Hum Ko Gumaan Main Rakha
Aur Phir Kam He Dheiyaan Main Rakha

Kaya Qiyaamat Namou Thi Wo Jis Nay
Hashar Us Ki Uthaan Main Rakha

Josh_E_Khoon Nay Apnay Fun Ka Hisaab
Aik Choob,Ik Chitaan Main Rakha Hai

Lamhay Lamhay Ki Apni Thi Ik Shaan
Tou Nay He Aik Shaan Main Rakha

Hum Nay Peiham Qabool Dard Kr K
Us Ko Aik Imtihaan Main Rakha

Tum To Us Yaad Ki Amaan Main Ho
Us Ko Kis Amaan Main Rakha

Apna Rishta Zameen Say He Rakho
Kuch Nahi Aasman Main Rakha____!!
______________________________

Apni manzil Ka rasta bhejo

Apni manzil Ka rasta bhejo...
Jan ham ko wahan bullaa bhejo...

Kya Hamara nahee'n raha savan...
Zulf yaa'n bhi koi ghataa bhejo...

Nayi kaliyaa'n jo ab Khili hai'n wahan...
Un ki khushbo ko ek zara bhejo...

Hum na jeety hai'n aur na marty hai'n...
Dard bhaijo, na tum davaa bhejo...

Dhool urti hai jo us aangan men...
Us ko bhaijo saba, saba bhejo...

Aye faqeeron gali ky us gull ki...
Tum hamein apni khaak-e-paa bhejo...

Shafaq-e-shaam hijar ky hatho'n...
Apni utri hoi qaba bhaijo...

Kuch to rishta hai tum say kam'bakhto...
Kuch nahi, koi bad'dua bhejo...........!!!!
______________________________

Khud Say Rishtay Rahay Kahan Unk

Khud Say Rishtay Rahay Kahan Unk
Ghum To Jaanay They Raaiegaan Unk

Mast Unko Gumaan Main Rehnay Day
Khana Barbaad Hain Ghumaan Unk

Yaar Sukh Neend Ho Naseeb Unko
Dukh Yeh Hai Dukh Hain Be_Amaaan unk

Kitni Sir_Sabz Thi Zameen Unki
Kitnay Neelay They Aasmaan unk

Noha Khwaani Hai Kaya Zaror Unhain
Unk Naghmay Hain Noha Khawaan Unk

3 comments:

  1. بہت ہی زبردست شاعر تھے جناب jaunelia.com آپ کی کاوش قابل تعریف ہے

    ReplyDelete
  2. Boht achi sharing ki ha ap na jaun elia jaisay poet sadion ma paida hota hain

    ReplyDelete
  3. hazrat jhon elia ki shairi agr gunga b pady to bolny lag jayay

    ReplyDelete