Pages

Thursday, 21 November 2013

December Urdu Poetry













December Beet Raha Hai

Wo gham
Wo aansoon
Wo dard
Ab bhi mehsoos hota hai____!!

Wo batain
Wo sapnain
Wo ratain
Ab bhi jeetain hain_________!!

Wo rahain
Wo sasain
Wo bahain
Ab bhi tarpati hain________!!

Par sard shamain guzar rahi hai
Wo garm sasain thehar rahi hain

Aankhon ki un surkhion main lehar thi jo wo jam rahi hai
Aur zindagi bhi tham rahi hai

K Ab

December Beet Raha Hai_____!!
________________________________

Dekh December Ab Mat Aana

Dekh December Ab Mat Aana
Dekh December Mere Ander
Kitnay Sehra Phail Chukay Hain
Tanhayi Ki Rait Ne Mere
Saaray Darya Paat Diye Hain
Ab Main Hoon
Aur Mere Banjar Pun Ki Bojhalta Hay
Dekh December
Teri BarFaab Shaboon Mein
Teri BeKhuwab Shaboon Mein
Khuwab Sweater Kon Bunay Ga
Rooh k Ander Girti Barfein Kon Chunay Ga
Dekh December Ab Mat Aana
Aur Agar Tu Aye b To
Apnay Dukh Ki Baraf Pehan Kar
Dhoop Diyaroon Tak Mat Jana
Mere Pyaroon Tak Mat Jana
Dekh December Ab Mat Aana________!!
________________________________

December Ki Thatharti Shaam

December ki tatharti shaam hai
Aur mein sulagta hoon dooston

Dil mein ik mehfil jami hai
Aur mein tanha hoon dooston

12 Maahh ki ronkeen tanha hi dekh ker
Aaj najany kiuon wo mere taraf chala aya hai dooston

Aankein khush hein dekh ker usay
Aur dil gay dinon ka soog mana raha hai dooston

Zaalim halaat ka sitam suna raha hai
Bekhabar mere barbadi suna raha hai doston

Shaid aab kay koi aietbar ki sorat nikal hi aay
Usay roko kay wo phir se rooth ker ja raha hai doston_______!!
________________________________

Udas December Ki Haseen Yaadein

Mujh Se Poochtey Hain Log
Kis Liye December Mein
Yun Udas Rehta Hoon
Koi Dukh Chupata Hoon
Yaa Kisi k Janey Ka
Sog Main Manata Hoon

Aap Mery Album Ka
Safha Safha Dekhein Ge?
Aayiee Dikhata Hoon
Zabt Aazmata Hoon

Sardion k Mausam Mein
Garam Garam Coffee k
Chotay Chotay Sip Ley Kar
Koi Mujh Se Kehta Tha
Haye Iss December Mein
Kis Bala Ki Sardi Hay
Kitna Thanda Mausam Hay
Kitni Yakh Hawayein Hain
Aap b Ajab Shay Hain
Itni Sakht Sardi Mein
Ho k Itney Bey Parwah
Jeans Aur T-Shirt Mein
Kis Mazey Se Phirtey Hain

Shaal b Mujhay Dey Di
Coat b Oorrha Dala
Phir b Kaanpti Hoon Main
Chaliye Ab Sharafat Se
Pehan Lijiye Sweater
Aap k Liye Main Ne
Bun Liya Tha Do Din Mein

Kitna Maan Tha Uss Ko
Meri, Apni Chahat Par
Ab b Har December Mein
Uss Ki Yaad Aati Hay

Garam Garam Coffee k
Chotay Chotay Sip Ley Kar
Haath Gaal Par Rakhey
Hairat Aur TaAjjub Se
Mujh Ko Dekhti Rehti
Aur Muskura Deti

Shokh-o-Sard Lehjay Mein
Mujh Se Phir Vo Kehti Thi
Itney Sard Mausam Mein
Aadhi Sleeves Ki T-Shirt
Iss Qadar Na Itrayein
Seedhay Seedhay Ghar Jayein

Ab Ki Baar Jab Aayein
Brown Trouser K Sath
Black High Neck Pehnein
Coat Koi Dhang Ka Ley Lein
Warna Main Qasam Se Phir
Aisy Rooth Jaon Gi
Dhoondtey Hi Rahiye Ga
Samney Na Aaon Gi

Pass Baithey Abbu k
Politics Par Kijiye Garam Garam Discussion
Coffee Ley Kar Kamrey Mein
Main To Phir Na Aaon Gi
Khali Khali Nazron Se Aap In Khalaon Mein
Yunhi Taktey Rahiye Ga
Aur Bey Khayali Par Daantt Khatey Rahiye Ga

Kitni Mukhtalif Thi Vo
Sab Se Munfarid Thi Vo
Apni Aik Lagzish Se
Main Ne Kho Diya Uss Ko
Ab b Har December Mein
Uss Ki Yaad Aati Hay...!!!
________________________________

Suno December Ki Thatharti Hui Shamien

Suno!
December Ki Thatharti Hoi Shamien
Kohar Mein Lipti Dhundali Se Subhien
Darakhto'n Se Girtey Huay
Khushk Zard Pattey
Woh Gao'n Ke Tama'm Raste
Mohabbato'n Ke Tama'm Rishtey
Khiyaal Abad Karte Hain
Tumhein Sab yaad Karte Hain___!!
________________________________

Read More..

0 comments:

Post a Comment