Pages

Thursday, 21 November 2013

Bhegi Sham Urdu Hindi Poetry




















Is Bheegi Sham K Saye Mein

Is Bheegi Sham K Sa'ey Mein Chupkey Se Agr Tum Aa Jao
Yeh Sham Suhani Ho Jaye Rangeen Kahani Ho Jaye

Wo Baat Jo Lab Na Keh Sakey Aankhon Ki Zubani Ho jaye
Koi Pyar Ka Naghma Tum chero Koi Pyar Ka Geet Sunaen Hum

Han Pyar Karen Yun Hum Dono Yeh Raat Suhani Ho Jaye
Main Baithoon Tere Pehlon Mein Kuch Dil Ki Baaten Ho Jayen

Tum Ungliyan Phairo Mere Baalon Mein Hum Meethi Neend So Jayen
Is Bhegi Sham Suhani Mein Chupky Se Agr Tum Aa Jao ??
_______________________________

Bheegi Sham K Sahil Per Kashtiyaan Chup Chup Rehti Hain

Bheegi Sham K Sahil Per Kashtiyaan Chup Chup Rehti Hain
Jese Hijr Ki Pehli Chout Per Larkiyan Chup Chup Rehti Hain

Meri Chup Ki Devaron Se Bhi Kayi Sawal Chispaan Hain
Us K Komal Honton Peh Bhi Kuch Paheliyan Chup Chup Rehti Hain

Us Purani Khushboo Se Mere Angan Ka Rishta Tha
Ab Phool Bhi Gum Sum Lagte Hain Or Titliyan Chup Chup Rehti Hain

Aakhir Shab-e-sawan Bun Kar Us Kid Ankhon Se Barasti Hain
Bazahir Us Ki Chat Per Jo Badliyan Chup Chup Rehti Hain

Jane Wo Kis Haal Mein Hai Kayi Dinon Se Khabar He Nahi
Meri Gali Se Guzren To Us Ki Saheliyan Chup Chup Rehti Hain
_______________________________

Us Bhegi Bheegi Sham Mein

Uss bhegi bheegi sham mein
Jab wo merey sath tha
Khamooshi thi___
Verani thi____
Pass ho ker bhi mein
Tanha thi___
Sarey wadey bikher gye
Uss ki majborion k angan mein
Palatey guzertey qadam uss k
Dil ki khahishon ko thukra gye
Judayi ka ye bey-sada manzer
Mugh ko pal pal terpaney laga
Phir sab lamhey kho gye
Buss aik lamha baqi hey
Hijer ki ratoon mein tanhayi ka
Or uss ki khamoosh judayi ka___!!
_______________________________

Koi To Guftugo Karo Sham Bohat Udas Hai 

Koi To Guftugo Karo Sham Bohat Udas Hai
Tum Merey Paas Hi Raho Sham Bohat Udas Hai

Kuch Bhi To Boltey Nahi Khof To Yeh Tortey Nahi
Main Ney Kaha Zara Suno Sham Bohat Udas Hai

Mujh Say Na Tum Milo Magar Mujh Sey Na Kuch kaho Magar
Sham Say Aa K Kuch Kaho Sham Bohat Udas Hai

Dekho Bohat Hai Sergiran Umr-E-Rawan Ki Dastaan
Is Main Aur Na Dukh Bharo Sham Bohat Udas Hai

Itna Hai Iztirab Kyun Kurb Main Hain Janab Kyun
Milna Hai Ger To Aa Milo Sham Bohat Udas Hai

Mana K Tum Khafa Nahi Kehney Ko Kuch Bacha Nahi
Acha Sher Hi Parho Sham Bohat Udas Hai

Koi Nahi Idher Udher Sarey Khamoosh Bam-O-Dar
Kis Say Kahain Dua Karo Sham Bohat Udas Hai

Kuch To Ilaj-E-Gum Karo SABIR Khasta Jaan Suno
Aaj Kisi Ko Khat Likho Sham Bohat Udas Hai____!!
_______________________________

Bheegi Hui Ik Sham Ki Dehleez Pay Bethey

Bheegi Hui Ik Sham Ki Dehleez Pay Bethey____
Mein Dil K Sulganay Ka Sabab Soch Raha Hoon

Duniya Ki To Adat Hai, Badaal Jana___________
Mein Us K Badal Janay Ka Sabab Soch Raha Hoon
_______________________________

Jati Sardion Ki Aj Udas Sham Hai

Jati Sardio'n Ki Aj Udas Sham Hay
Teri Yadoo'n Ka Dil Men Phr Qiyam Hay

Har Shay Beh C Jati Hay Udasiyo'n Men
Ankhoon Men Kajal Bara-E-Naam Hay

Udas Arzo Hay Khuwahish Or Dil
Teray Bagair Udas Zindagi Ka Jaam Hay

Yaad Hain Moujhe Aj Bhi Teray Saharay
Aj Bhi Meri Zindagi Teray Naam Hay

Lot Kion Nahi Ati Wo Shokh Hawain
Sarapa Muhbato'n Ka Jin Men Piyam Hay

Furqat Nay Lay Li Hay Jaan Sanso'n Ki
Madham Dharkano'n Men Ab Bhi Tera Nam Hay

Muhbbat Meri Thi Nagawar Tmhe'n Ya Aitbar
Khuch To Batao Ye Meri Kiss Ada Ki Sham Hay

Bohot Khoob Jantay Ho Lafzoon Ka Hair Phair
Tera Ye Khail Meri Zindagi Tamaam Hay

Kia Tum Meray Liye Ji Nahi Sakti, Sad Afsos
Aitbar K Lafzoon Ka Or Hi Khuch Daam Hay

Muhbbat K Naam Pe Jo Khardtay Hain Lamhay
Diyar-E-Ishq Men Sulagti Un Ki Bi Jaan Hay

Dil To Faqat Muntazir Hay Ab Saber Ka Bella
Qismat Ko Apni Khangalta Subha Sham Hay__!!
_______________________________

Ya Sham Udas Na Kr Itni 

Ya sham udas na kr itni
Ya kr nazdeek seher !!

Me panchhi aik dua mangon
Tu kr manzoor agr!

Ya pinjra pinjra shaam na de
Ya Kaat le mere per !!!
_______________________________

Udas Sham Kisi Khawab Mein Dhali To Hai 

Udas Sham Kisi Khawab Mein Dhali To Hai
Yehi Bohat Hai K Taza Hawa Chali To Hai

Jo Apni Shaq Se Bahar Abhi Nahi Aai
Nai Bahar Ki Zameen Wohi Kali To Hai

Dhowan To Jhoot Nahi Bolta Kabhi Yaro
Humare Shaher Mein Basti Koi Jali To Hai

Kisi K Ishq Mein Hum Jan Se Gaye Lekin
Humare Naam Se Rasm-e-Wafa Chali To Hai

Hazar Band Hon Dair-O-Haram K Darwaze
Mere Liye Mere Mehboob Ki Gali To Hai __!!
_______________________________

Visal Rut Ki Yeh Pehli Dastak Hi Sarzanish Hai

Visal rut ki yeh pehli dastak hi sarzanish hay
Ky hijr mousam ny rasty rasty safar ka agaz kar dia hay
Tumhary hathon ka lams jab bhi meri wafa ki
Hatheliyon py henna bany ga
Tu soch lon ge
Ky rafaqaton ka sunehra soraj gurub ky imtehan main hay
Hamary bagon sy gar kabhi titliyon ka guzar na ho
Tu yeh na kehna k titliyon ny gulab rasty badal liy hain
Agar koi sham yun bhi ay
Ky jis main hum tum lagain paraey
Tu jaan lena
Ky sham bebas thi shab ki tarikiyon ky hathon
Tumhari khawahish ki muthiyan
Jo kabhi bediyano main khulain
Tu Yaqeen karma
Ky meri chahat ky jugno?on ny
Tumhary hathon k lams e taza ki khawish main
Bary ghanery andhery katy
Magar yeh khadshy
Yeh waswasy tu takalufan hain
Jo beirada safar py niklain
Tu yeh tu hota hay yeh tu ho ga
Hum apny jazbon ko munjamid raigaiyon ky supurd kar ky
Yeh soch lain gey
Ky hijr mousam tu vasl ki pehli shab sy
Safar ka agaz kar chukka tha___!!
_______________________________

Yeh Sham E Tanayi AUr Yeh Mosam Kisay Btaon

Yeh Sham_E_Tanayi AUr Yeh Mosam
Kisay Btaon__
K Meray DiL Main Hain Kitnay Toofan
Hai Kitni Chaahat
Yeh Saari Chaahat Teray Liye Thi__
Meri Mohabbat Teray Liye Thi__
Kisay Btaon
K Tou Nay Iski Qadar Na Jaani
Kisay Btaaon
K Meray Dil Nay Meri Na Maani
Ajab Yeh Ruswaayi Aur Yeh Mosam
Yeh Meray Aansu__
Jo Meri Aankhon Say Beh Gaye They Jam Gaye Hain__
Yeh Dukh K Mosam Yeh Meray Jeevan Main Aa K Kyn Kr Thehar Gaye Hain__
Kisay Btaon__
K Mera Jeewan Faqat Dua Hai__
Meri Duayein Teri Mohabbat__
Meri Kahaani
Yeh Shaam_E_Tanhaayi Aur Yeh Mosam__
Yeh Shaam_E_Tanhaayi Aur Yeh Mosam__
_______________________________

Sard Subhain Zard Shaamain

Sard Subhain Zard Shaamain
DiL Hmara Dard Shaamain

Dhundh Chaayi Hai Nazar Par
Roshni Main Gard Shaamian

Khwaab Laashay Na Dho Skou Gi
Daal Dain Gi Kumand Shaamain

Hayaat Sarakti Ja Rahi hai
Bhar Rahi Youn Zaqand Shaamain

Udaasi Ujala Kha Gayi hai
Chamak Rahi Hai Chand Shaamain

Hijar Apna Beichti Hun
Koi Khreeday Naqad Shaamain__!!
_______________________________

Aaj Bhi Shaam Udaas Rahi

Aaj Bhi Shaam Udaas Rahi
Aj Bhi Tapti Dhoop Ka Sehra
Teray Naram Labon Ki Shabnam
Teri Bikhri Bikhri Zulf K Saaye Say Mehroom Raha
Aaj bhi Pathar Hijar Ka Lehja
Sadiyon Say Be_Khwaab Ruton Ki
Ankhon Ka Maqsom Raha
Aj Bhi Apnay Wasal Ka Tara
Raakh Uraati Shokh Shafak ki
Manzal Say Ma'adoom Raha
Aaj Bhi Shehar Main Paagal DiL Ko
Teri Deed Ki Aas rahi
Muddat Ki Gum Sum Tanhaayi
Aaj Bhi Meray Saath Rahi
Aaj Bhi Shaam Udaas Rahi__!!
_______________________________

A Sard Mosam Udas Hun Main Udas Subhain Udas Saaamain

A Sard Mosam Udas Hun Main Udas Subhain,Udas Saaamain
Udas Logon Sa Zard Chehra,Udas Lehja Udas Baatain

Udas Pairon Say Gir Rahay Hain Yeh Zard Pattay Sisak Sisak Kr
Ajab Udasi Si Chaar Su,Udaas Aangan,Udaas Raahain

Wisaal Lamhon Ki Khwaahishon Main Yeh DIn To Saalon Say Ho gaye Hain
Tumharay Ghum Main Laraz Rahay Hain,Udaas Aansu,Udaas Palkain

Udaasiyon Ka Sabab Yehi Hai, K Door Nazron Say Ho Gaye Ho
Tumhain bulaati Hain Jaan_E_Mudassar,udaas Nazrain,udaas Aankhain__!!
_______________________________

December Ki Sard Shaamain

December Ki Sard Shaamain
Meray DiL Ki Zameen Ki Tarha Sard Hain
Yeh Jo Kehar Hai
Yeh Meray DiL Ka Zang Hai
Suno December Ki Kisi Shaam Aao
Meray DiL Ki Banjar Zameen Ko
Apni Aankhon Say
Apni Palkon Say
Apni Baaton Say
Aabaad Kar Jaao__!!
_______________________________

Ujar Ujar K Sanwarti Hai Terey Hijar Ki Shaam 

Ujar Ujar K Sanwarti Hai Terey Hijar Ki Shaam
Na Pooch Kaisey Ghuzrti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Yeh Barg Barg Udaasi Bekhar Rahi Hai Merey__!
K Shaakh Shaakh Utarti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Ujaar Ghar Main Koi Chaand Kab Utarta Hai__?
Sawal Mujh Say Yeh Karti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Merey Safar Main Ek Aisa Bhi Morr Atta Hai
Jab Apnay Aap Say Darti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Buhat Aziz Hain Dil Ko Yeh Zakhm Zakhm Ruttain
Unhi Ruttoon Main Nekharti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Yeh Mera Dil, Yeh Sara Sar Nighaar Khanah-E-Ghum
Sada Isi Main Utarti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Jahan Jahan Bhi Milain Teri Qurbatoon K Nishaan
Wahan Wahan Say Ubharti Hai Terey Hijar Ki Shaam

Yeh Haadsa Tujhay Shayad Uddas Kar Dey Ga
K Merey Saath Hi Marti Hai Terey Hijar Ki Shaam__!!
_______________________________

Main Dil Par Jabr Karun Ga, Tujhe Bhula Dun Ga 

Main dil par jabr karunga, tujhe bhula dunga
Marunga khud bhi tujhe bhi kadi saza dunga

Ye teergi mere gahr ka hi kyon muqaddar ho
Main tere sheher ke saare diye bujha dunga

Hawa ka haath battaon ga har tabaahi mein
Haray shajar se parinday main khud uda dunga

Wafa karunga kisi sogwaar chehre se
Purani qabr par qutba naya saja dunga

Isi khayal mein guzri hai shaam-e-dard aksar
K dard had se barhay ga to muskura dunga

Tu aasman ki surat hai, gir padega kabhi
Zameen hoon main bhi magar tujhko aasra dunga

Badha rahi hai mere dukh nishaniyan teri
Main tere khat teri tasveer tak jala dunga__!!
_______________________________

Yeh Dasht E Hijar Yeh Wehshat Yeh Sham K Saye

Yeh dasht-e-hijr,yeh wehshat,yeh sham k saaye
Khuda yeh waqt teri aankh ko na dikhlaye

Ussi kay naam say lafzon main chaand utray hain
Woh aik shakhs keh dekhoon tou aankh bhar aaye

Kali say main nay gul-e-tar jisay banaya thaa
Rutain badalti hain kaisay, mujhay hi samjhaye

Jo be-charaagh gharon ko charaagh deta hai
Ussay kaho keh meray shehar ki taraf aaye

Yeh iztaraab-e-musalsal azaab hai Ya Rab
Mera nahin tou kisi aur hi ka ho jaaye_____!!

Read More..

1 comment: