Milo Hum Say K Hum Bichray Hue Hain
Milo Hum Say K Hum Bichray Hue Hain
Hmaaray Khwaab Aankhon Say Juda Hain
Tabeer Jeewan Say
Hmaaray Aanso'on Main Aarzo'on Ki Kasak Wesi Nahi Ab
Dilon Main Dard Bhi Pehlu Badal Kar Aur Ban Beitha
Hmaari Shaam Ab Roe To Palkon Say Judaayi Ki Jaga Maayosiyon Ka Ghum Tapakta Hai
Hmara DiL,Dil_E_Wieraan Ho Kr Bhi Kisi K Dard Ki Khwahish Nahi Karta
Milo Hum Say_____________
Hmara Haal Deikho
Mohabbat K Mraahil Jis Tarha Say Sir Kiye Hum Nay
Lahu Ko Bhi Paseena A Gaya Aksar
Hmaaray Cheithrray Pagal Hawa Jaisay Urra Laati Thi Basti Say
Shab_E_Heiraan Say Poucho
Shab_E_Wieraan Heirat Say Humain Takti To Kehti
Mujtama Ho Kar Yahan Say Laot Aakhir Kyun Nahi Jaatay
Milo Hum Say_____________
Humain Tanhaayi Kehti Hai
Mujhay Bhi Saath He Rakho
Humain Tanhaayi Yeh Kehti Hai Aur Daaman Pakar Kar Saath Chal Parti Hai Basti Main
Wo Jis Shab
Tum Nay Aaanay Ka Kaha Leikin Nahi Aaye
Usi Pal Say Sitaaray Raat Say Bicchray Hue Hain
Aur Kayi Jangal Bhari Barsaat Say Bicchray Hue Hain
Ab Kahan Ho Tum?
Milo Hum Say,Milo Hum Say_______________
Hum Apni Zaat Say Bicchray Hue Hain
Haan Milo Hum Say
Humain Zakhmi Tamanaon K Afsurda Ghulaafon Aur Rida_E_Karb Main Paala Gaya Hai
Aur Hmaari Parwarish Jis Hijar K Haathon Hui Hai
Umar Say Be_Saaiebaani K Katehray Main Khara Apn Safayi Day Raha Hai
Jo Adaalat Mar Chuki Ho
Us Adaalat Main Kisi Ki Kon Sunta Hai
Ya Aakhir Kon Sun Sakta Hai Aisay Main
Jahan Khud Muddaii Mulzim Ho
Aur Ilzaam Ka Matlab Jahan Bus Jurm Ho
To Faislay Main Dair Kaahay ki
Milo Hum Say___________
Humaaray Faislay Bhi Ho Chukay Hain Bin Gawaahon K
Faqat Taqdeer Ki Maani Gayi Hai
Hum Muqadar K Sitaaray Say Giray
Umeed Ki Ujrri Hui Shaakhon Pay Latkay Haath Aur Paon Hilaatay Ja Rahay Hain
Hum Yehi Kuch Hain
Humaaaray Naam Jin Teeilon Pay Koi Dhoop Likh Kar Gayi Thi Jal Chukay Hain Aur
Humara Rizq Jin Raston Pay Koi Bhook Pheila Kar
Humaari Kaawishon Par Hans Gayi Thi
Hum Wohi Kuch Hain_______
Humain Ab Aakhri Lamhay Kisi Dehleez Par Aankhain Bichaanay Do
Ana Nay Kab Nahi Torra Humain
Ab Aakhri Lamhay Kisi Dehleez Par Aankhain Bichaanay Do
Humain Milnay Milaanay Do
Milo Hum Say_______________
Humaaray Dard Say Kheilo
Humain Laachaar Rehnay Do
Meri Jaan Tum Sitaaray Torr Laanay Ki Jahan Bhi Baat Kartay Ho
Humaaray Haath Rotay Hain
Humara DiL Bhi Rota Hai
Tumhaaray Bhol_Pan Ki Shaklain Ya Mushkilon Ka Bhol_Pan
Aksar Humain Beimaar Rakhta Hai__________
Milo Hum Say Humaari Khaak Raahon Main Urrao
Aur Humaaray Gird Kheilo
Zubaan Par Na Samjh Baaton K Ilzaamaat Ki BoCchaarr Kar Do
Aur Sakoot_E_Zard Say Kheilo
Galay Lag Kar Humaari Khwahishon Ki Barf K Asraat Jheeilo
Aur Saanson Ki Hawa_E_Sard Say Kheilo
Sumandar Paar Karnay Ka Musamam Khwaab Deikhain
Aur Phir Iski Ajab Ta'beer Say Nazrain Chura Lain,Kaisa Lagta Hai?
Hum Apnay Saahilon Par Adh Khilay Jin Baad Baano Saay Bandhay Hain Baadbaan Kab Hain
Saleibon Nay Bhala Kab Kashtiyan Is Paar Lagnay Dein
Humaari Raat Hum Say Baatain Karti Hai To Barsaatain Barasti Hain
Humaari Shaam Tera Naam Leiti Hai To Kitnay Kaam Aa Partay Hain Sir Par
Aur Humaari Doopehar Jitna Safar Kar Lay Kaheen Cchaaon Nahi Milti
Hum Aisay He Hain Saaeibaani K
Milo Hum Say_____
Hum Aisay He Hain Apni Raaiegaani K
Aur Apni Zindgaani K
Milo Hum Say________
Humara Haath Dekho Aur Batao Bhi
Lakeeirain Is Tarha Kab Talak Uljhi Rahain Gi Khusnaseebi Say___Btao?
Kab Talak Ik Doosray Ko Kaat'ti Mit'ti Rahain Gi Bad_Naseebi Ki Siyaahi Say
Humara Is Qadar Weiraan Ho Jana Kabhi Tabdeel Ho Ga?
Humara is Qadar Sunsaan Ho Jana,Ujarr Jana Kabhi Aabaad Ho Ga?
Humaari Khushnumaayi Ki haqeeqat Bhi Humain Maloom Hai
Kaya Sub,Yeh Sub Adaakari Hmesha Jaar_O_Saari Rahay Gi Zindagaani Bhar
Humaari Aankh Hansti He Rahay Gi
Aur DiL Rota He Rahay Ga Kaya?
Youn He Hum Boltay He Jaayein Gay Be-Baat Baaton Par
Magar Andar Koi Chup Saadh K Youn He Humain Takta Rahay Ga Dard Doobi Nigahon Say?
Milo Hum Say________
Hum Ko Kisi Footpath Par Chalta Hua Deikho
Humaaray Muztarib Baazo Khalaa Main Aik Doojay Ki Mukhaalif Simat Uth'tay
Palat'tay Aur Takraatay Hain Aapis Main
K Jesay Hum Khud Apnay Aap Main Jakray Cchurranay Ki Kisi Kamzor Si Ik Kashmakash Main Hon
Humain Deewaar Say Lag Kar Kaheen Beitha Hua Deikho
Udaasi Goad Main Bhar Kar Kisi Gumnaak Afsurda Dili Say Soch Main Doobay
Zamaanay Say Katay,Ujrra Ghironda Lag Rahay Hotay Hain Jab Bhi Hum
Parinday Hum Pay Rotay Hain
Hawaayein Sogwaari Say Humain Sehla Rahi Hoti Hain
Humdardi K Kisi Jazbay Say,Humain Soya Hua Deikho_____
Kabhi Deewaar Par,Kabhi Cchat Par,Kabhi Kursi K Paaiyon Par
Kitaabon Say Atay Table
Qalam ki Cape Ya Guldaan K Sookhay Hue Phoolon Pay Nazrain Ghaarr K
Jaanay Kahan Khoye Hue,Bikhray Hue Rehtay Hain Deewanay
Milo Hum Say________________
Humain Dhoondho
Humain Dhondo K Aksar Hum Khud Apnay Jisam Main Hotay Hue Bhi Door Itni Door
Hotay Hain K Hum Ko Loat Aanay Main Bhi Khaasa Waqt Lagta hai
Hum Apni Zaat Main Kaafi Muyassar Ho K Bhi Kaafi Nahi Hotay
Hum Apnay Zikr Main Miltay Hain Phir Bhi Baat Poori Ho Nahi Paati
Humain Dhoondo________
Hum Apni Shaayeri Main Zara,Zara,Qatra,Qatra But Chukay Hotay Hain
Aur Kisi Kal Ko Tarastay Hain
Humara Markiza Jaanay Kahan Taqseem Kar Bethi Hai Mehroomi
Humara Daaira Tanhaaiyon Nay Torr Daala Hai
Humain Be-Simaton Nay Is Tarha Say Morr Dala Hai K Ab Koi
Ta'aiyun He Nahi Baaqi
Humara Naqsh_E_Pa Tak Khaak Nay Aisay Ulat Maara Hai Jaisay
Badnaseebi Mehnatoon K Saath Koi Haath Karti Hai
Humain Dhoondo_____________
Humain Chehra Badalnay Main Mahaarat Hai
Hum Apnay Dard Ko,Ehsas Ko,Jazbay Ki Komalta Ko
Apni Naram Khooni Ko
Hum Apnay Soz Ko Aankhon Say Zaahir Kyun Krain
Apni Karaahon Ko Zubaan Par Kis Liye Laayein
Hum Apnay Aansuon Ko Apnay Apnay Rukhsaaron Par Aakhir Kyun Barasnay Dain
Zamaana To Zamaana Hai
Hum Apna Aap Aakhir Kyun Karain Is K Hawaalay
Aur Kyun Kar Sonp Dain Is Ko Dil_O_Jaan Raakh Kr Dainay
Sub Kuch Raakh Kar Dainay Ko
Aakhir Kyun Karain Is K Hawaalay Rooh Bhi Apni
Milo Hum Say_______
Humaray Shehar Main Aao
Bohat Aaram Hai,Khushiyon Ki Khwahish Khoon Roti Hai
Bohat He Aman Hai,Qaatil Sakoon Main Hai,Unhain Poora Tahafaz Hai
Milo Hum Say_____
Humaaray Shehar Ki Galiyan Humaari Dard Say Bhoojal Wareedon Ki Tarha Har_Su Bohat
Weiraan Pheili Hai
Humaaray Chok Aaaye Din Kisi Ki Laash Par Maatam K Markaz Hain
Humaaray Shehar K Baazaar Ik Doojay Ki Jeibain Kaatnay Ki
Tarbeeyat Gaahain Banay Maqsad Main Pooray Hain
Humaray Ghar Humain Heiraan_O_Weiraani Say Taktay Hain To Lagta Hai
Humaaray Aur In K Darmiyaan Kuch Wehshiyana Si Ajab Ik Ajnabiyat Hai
Humaray Shehar K Gulshan Mohabbat Karnay Waalon Ki Bjaaye Aur Logon Say Bharay Rehtay Hain Aksar He
Wahan Mil Kar Beithna Ik Doosray Say Piyaar Ki Baatain Nahi Mumkin
Bohat Khof Ata Hai
Wahan Pairron Pay Koyal Ki Jaga Kaway Hain
Kou Kou Ki Jaga Par Kaayein Kaayein Ki Sadayein Reh Gayi Hain Dil Jalaany Ko
Humaray Shehar Ki Ik Ik Sarak Par Moat Chalti Hai
Kayi Galiyan To Qadmon Ko Gawaara He Nahi Karti
Dukaano Par Subhi Ashiya Humari Aarzu Par Lipakti Hain,Cchipat'ti Hain
Ta'aluq Main Bharay Bazaar Be-Zaari Say Aagay Barh Nahi Saktay
Hujom_E_Be_Kraaan Be-Taab Bhaga Phir Raha Hai
Raaston Ki Badshagooni Par
Wasaayeil K Masaayeil Main Ghiray Hum Apnay Seenay Main Kisi Bhi Dard K Saaail Say Munkir Hain
Milo Hum Say________
Magar Kuch Dard Say Taakay Humaari Roshni Roshan Rahay
Warna Andheira He Andheira Hai
Humaaray Shehar Main Aao
Tumhain Taarikiyan Sehnay Ki Aadat Daal Dain Gay Hum
Milo Hum Say_______
Humain Aizaaz Haasil Hai
Hum Apnay Zakham Shaano Par Sajaaye
Shaan Say Phirtay Hain Basti Main
Humaaray Zakham Zinda Hain
Kisi K Aib Ki Jhooti Gawaahi Par Nahi Maaail
Kisi K Jhoot Ki Ba_Barkati K Bhi Nahi Qaail
Mohabbat Nay Waqtan Fa_Waqtan Jis Tarha Charkay Lgaaye
Aur Wafa Nay Khoon Ro Ro Kar Jo Sub Say Waaday Nibhaaye
Zakham Ban Ban Kar
Humaari Sur_Khuruui K Silay Main Parwarish Paatay Rahay Hain
Ab Hum Apni Be_Qaraari Par Bohat Khush Hain
Kasak Suchi Ho Aur DiL Main Kaheein Koi Siyaah Kaari Na Bethi Ho
To Laachaari Nahi Aati
Humaaray Zakham Taaqat Hain_______
Humain Taareek Raston Par Diye Bun Bun K Aagay He Barhaatay Hain
Humain Aizaaz Haasil Hai
Humaaray Zakham Suchay Hain
Khud Apnay Aap Ko Bhi Mundmil Honay Nahi Deitay
Milo Hum Say__________________________!!
Tumhara Piyar Chup Chup Ker Kai Chehre Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho
Tumhara Piyar Chup Chup Ker Kai Chehre Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho
Tumhara Hijar Shidat Se Mere Dil Ko Masalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho
Samunder Ashna Aankhoon Main Sehra Aan Baste Hain Tumhain Jab Bhool Jata Hoon
Phir In Sehraaoon Main Ik Khawab Ka Chashma Niklata Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Main Apne Haath Se Teri Sunehri Yaad Ki Palkain Sajata Hoon Khyaloon Main
Khayaloon Main Tera Mausam Kai Pehlo Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Teri Parchaiyaan Her Su Meri Tanhaiyoon Ka Raqs Kerti Hain Udaasi Per
Mere Seene Main Ik Bechain Sa Bacha Machalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Kisi Footpath Per Bazar Main Baaghat Main Ya Phir Kisi Darya Kinare Per
Bohat Khush Ho Ke Jab Koi Kisi Ke Saath Chalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho
Main Sara Din Koi Sangi Majasma Ban Ke Rehta Hoon Mager Jab Shaam Dhalti Hai
Mere Dill Ki Jagah Per Koi Pather Sa Pighalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Tasawoor Main Tumhare Sang Beeti Baarshain Aksar Tumhain Awaz Deti Hain
Nigahoon Main Tumhari Dhoop Ka Ik Deep Jalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Kabhi Koi Sitara Aankh Se Hota Howa Bhujta Hai Aa Ke Goad Main Gir Ker
Kabhi Koi Bohat Hi Door Ubharta Hai Dhalta Hai Mujhe Tum Yaad Aaate Ho_______!!
____________________________
Mujhe Tum Yaad Aatey Ho
Mujhe tum yaad aate ho
Kisi sunsaan sapne mein chuppi khwahish ki hiddat mein
Kisi masroofeyyat ke maur per
Tanhaee ke sehraoon mein
Ya phir kisi anjaan bemaari ki shiddat mein
Mujhe tum yaad aate ho
Kisi bichre huwe ki chashm-e-purnam nazaare per
Kisi beete huwe din ki thakkan ki out se
Ya phir tumhare zikar mein guzri huwi shab ke ishare per
Kisi basti ki baa-raunaq sarak per
Aur kisi dareyaa, kisi weeraan jungle ke kinaare per
Mujhe tum yaad aate ho
Meri chup ke kunwain mein
Aarzooon ke badan jab tairte hain
Aur kinare se koi bolay
Tu lagta hai ajjal awaaz deti hai
Meri becheneyyoon mein jab tumhare tand-khor baksh khatakti hai
Tumhari be-sabab door sulaghti hai
Ya phir jab meri aankhoon ke sehra mein
Tumhari yaad ki tasveer jalti hai, judaee haath malti hai
Mujhe tum yaad aate ho
Mujhe tum yaad aate ho
Muqaddar ke sitaroo per
Zamaano ke ishaaroo per
Udaasi ke kinaaroo per
Kabhi weeraan shehroon mein
Kabhi sunsaan rastoon per
Kabhi hairaan aankhoon mein
Kabhi be-jaan lamhoon per
Mujhe tum yaad aate ho
Suhaani shaam ho koi
Kaheen badnaam ho koi
Bhale gulfaam ho koi
Kisi ke naam ho koi
Mujhe tum yaad aate ho
Kaheen baarish baras jaaye
Kaheen sehra taras jaaye
Kaheen kaali ghatta utray
Kaheen baad-e-saba thehray
Tumhare aur mere darmeyaan aa kar Khuda thehray
Tau, meri zindagi ke awwal-o-aakhir
Tum us lamhay
Khuda ke baad aatay ho
Mujhe tum yaad aate ho_____!!
0 comments:
Post a Comment