Yunhi Be_Sabab Na Phira Karo
Yunhi besabab na phira karo Koi sham ghar main raha karo
Wo ghazal ki sachi kitab hai Usay chupke chupke parha karo
Koi hath b na milaye ga Jo galay milo gay tapak se
Ye naye mizaj ka shaher hai Zra faslay se mila karo
Abe rah main koi morh hai Koi ayega koi jayega
Tmhain jis ne dilse bhula dia Usay bholnay ki dua karo
Mujhy ishtihar si lagti hain Yeh mohabton ki kahanian
Jo kaha nae wo suna karo Jo suna nae wo kaha karo
Nahi behajab wo chand sa K nazar ka koi asar na ho
Usay itna garm-e-shoq se Yun dair tak na taka karo
Kabe husn-e-parda nasheen b Ho zra ashiqana libas main
Jo main bansanwar k kahin chalon Mere sath tum b chala karo
Wo khizan ki zard c shal main Jo udas pairh k pas hai
Ye tmharay ghar ki bahar hai Isay ansuon se hara karo__!!
______________________________
Pyaar Kabhi Kam Nahi Hota Ye Ehsaas Huwa
Pyaar Kabhi Kam Nahi Hota, Ye Ehsaas Huwa
Kal Ki Shaam Kuch To Mere Saath Khaas Huwa
Doob K Dekha Phir Say Gehri Aankhon Mein Mai Nay
Koi To Hai Mera Jo Mere Dil Ke Aur Paas Huwa
Tohfe Me Jab Tumhe Maine Wo Laal Gulaab Diya
Tumne Sharmaa K Use Aanchal Me Chhupa Liya
Ek Gulaab Hi To Tha, Koi Qeemti Samaan Nahi
Jaane Tum Pay Us Gulaab Nay Asar Kya Khaas Kiya
______________________________
Sham-E-Firaq Aab Na Pooch Aai Aur Aa K Tal Aai
Sham-e-firaq aab na pooch, aai aur aa ke Tul gai
Dil tha ke phir bhehal gaya, jaaN thee ke phir sanbhal gai
Bazm-e-Khayal maiN tere husn ki shama jal gai
Dard ka chaand bujh gaya, hijr ki raat Dhal gai
Jab tujhey yaad kar liya subha mehak mehak uThee
Jab tera ghum jaga liya raat machal machal gai
Dil se to her muamla kar ke chale thai saaf hum
Kehney maiN onkey samney baat badal badal gai
AaKhir-e-shab ke humsafar "Faiz" najaney kya hoey
Reh gai kis jaga saba, subha kidhar nikal gai__!!
Read More..
0 comments:
Post a Comment