Pages

Friday, 22 November 2013

Urdu Hindi Romantic December Poetry



 Tum Ko Kaisi Lagti Hai Chandni December Ki

Raat Uss Na Poocha Tha
Tum Ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December Ki
Barishain December Ki???

Main Nay Kehna Chaha Tha
Saal-O-Maah K Baray Main
Guftagu K Kiya Maani ??

Chahay Koi Manzer Ho
Dasht Ho , Samander Ho
June Ho , December Ho

Dharkano Ka Her Naghma
Manzaro Pay Bhaari Hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil Ko Ek Sahara Ho
Aisa Lagta Hai Jaisay
Ek Nasha Sa Taari Hai__!!

Lakin Uss Ki Qurbat Main
Kuch Nahi Kaha Main Nay
Takti Reh Gayee Mujh Ko
Chandni December Ki
Barishain December Ki___!!

Ab K Ehad Kia Hai

Ab K Ehad Kia Hai
Ess Saal Ki Aakhri Dhalti Shaam K Saath
Teri Yaadon K SoOoraj Ko Bhi Alwida Kar Dun Ga____!!

Ab K Baad Rat-Jagoon Ka Yeh Safar
Chaand Ko Tanha Hi Tay Karna Ho Ga_____!!

Mein Terey Jhootey Sachey Lafzoon Say Banney
Kachey Pakkey Rishtoon Ki Kamzoor Dori Ko
K Jis Say Jurtey Jurtey Khud Toot Gya Hoon
Us Say Khud Hi Torr Daaloon Ga_____!!
K Bohat Jheel Lia Dard
Teri Majboorion K Hijaboon Ka
Kisi Kitab Mein Rakh K
Bhooley Huvay Murjhaye Gulaboon Ka____!!

Yaqeeen Aur Be_Yaqeeni Ki
Aankh Machooli Say Bantay
Taptay Huvay Siraboon Ka_____!!

Teri Wapsi Ki Raah Takti
Pathrayee Hui Aankhoon Ki Palkoon Par
Bikhrey Huvay Chand Khawaboon Ka
Na Khatam Hoonay Walay Azaaboon Ka_____!!

Ab Ki Baar Khushion Ki Pehli Kiran
Merey Dil Mein Phootey Gi
Aur Naye Saal Ki Pehli Sehar
Merey Andar K Sab Aansoo Nikaaal Kar
Dharti Ki Goad Shabnam Say Bhar Day Gi_______!!

Jab Bhi Sochoon Tujhe Dard Apna Barha Leta Hoon 

Jab Bhi Sochoon Tujhe Dard Apna Barha Leta Hoon
Phir Har Naye Saal Ka SoOoraj Deikh Kar Muskura Leta Hoon

Mah_E_December Ki Sard Raatoon K Waaday Yaad Kar K
Thoray Thoray Ashk Ankhoon Say Apni Baha Lieta Hoon

Kabhi Jo Ankhoon Main Terey Ashk Dekhoon
Khawab Ban K Woh Tamam Ashk Chura Leta Hoon

Yeh Aadat To Husn'O Wafa K Qayal Jante Hain Mairi
K Piyar Miley Jahan Bhi Sir Apna Jhuka Leita Hoon

Jab Bhi Koi Ghazal Terey Naam Likhoon__________
Batein Likhta Hoon Tamam Magar Tera Naam Chupa Leita Hoon

Na Samjha Tou Nay Mujhey Aur Na Hi Mayri Mohabbat Ko A Dost
Naya Saal Mubarak Khush Rehney Ki Tujhe Dua Deita Hoon_____!!

Suna Hai Nayaa Saal Phir Aa Raha Hai

Suna Hai Nayaa Saal Phir Aa Raha Hai
Khushian Bhi Hon Gi , Baharain Bhi Hon Gi
Mager Hum To Guzray December Ki Sochoon Mein Gum Hain
K Jab Tou Meray Pass Thi
Hath Tera Meray Hath Mein Thaa
Aur Khushian Char Soo Hamaray Sath Theen
Mager Ab Akeilay Tumhain Sochtay Hain
Yahee Khoof Daman Say Lipta Hua Hai
K Aisa Na Ho Is Baras Bhi December
Tumharay Bina He Kaheen Beet Jaye
December To Har Saal Ata Rahay Ga
Mager Tum Na Ho Gay To Kuch Bhi Na Ho Ga_____!!

December K Haseen Din They

Murree ki yakh fizaon mein
Humhare chaar haathon nay

Mujasma ek banaya tha
Kaha tha ek dooje ko

Nishani pyar ki apni
Bari he khoobsoorat hai

Mujhe ab yaad aata hai
Mujasma barf ka tha wo

Usse aakhir pighalna tha
Usse to mitt he jana tha___!!

Her Saal Jaunary

Her Saal Jaunary
Humain Kuch Sapnay Dikhata Aai
Jis Ko Poora Karnay Main
December Aa Pohanchta Hai
Zindagi Aur Akheeeer Bhi Maaano
Umer K January Aur December Hain
Zindagi Ki January Bhi Jo Khwab Dikhati Hai
Admi Umar Bhar Un Ko Poora Karta Rehta Hai
Aur Umar Ka December Aan Pohanchta Hai
Aur Saal Ki Tarha
Saans Bhi Khatam Ho Jati Hai________!!

Read More..

0 comments:

Post a Comment