Pages

Friday 22 November 2013

Last Day Night December Urdu Hindi Poetry




















Aakhri Chand Din December K

Aakhri Chand Din December ke
Har Baras Hi Garaan Guzartay Hain
Khuwahishoon k Nigar Khanay Se
Kaisy Kaisy Gumaan Guzartay Hain
Raftigaan k Bikhray Sayoo Ki
Ik Mehfil Si Dil Mein Sajti Hay
Phone Ki Diary k Safhoon Se
Kitny Number Pukarty Hain Mujhy
Jin Se Marboot Be-Nawa Ghantii
Ab Faqat Mere Dil Mein Bajti Hay
Kis Qadar Pyary Pyary Namoon Par
Reengti Bad-Numa Lakeerein Si
Meri Aankhon Mein Phail Jati Hain
Dheeyan Ki Seerhiyon Pay Kaya Kaya Aks
Dard Ki Mash'alain Jalaati Hain
Naam Jo Kat Gaye Hain
Un k Harf
Aisy Kaghaz Par Phail Jatay Hain
Hadsay k Muqam Par Jaisy
Khoon k Sookhay Nishanoon Par
Chaak Se Liney Lagaty Hain


Phir December K Aakhri Din Hain
Har Baras Ki Tarah Ab k bhi
Diary Ik Sawal Karti Hay

Kya Khabar Iss Baras K Akhir Tak
Mere In Be-Charagh Safhoon Se
Kitnay Number Bikhar Kar Rastoon Mein
Gard Mazi Se Att Gaye Hon Ge
Khaak k Dhairoon k Daman Mein
Kitnay Toofan Simat Gaye Hon Ge


Har December Mein Sochta Hoon
Aik Din Aisa Bhi Hona Hai
Rung Ko Roshni Mein Khona Hay
Apnay Apnay Gharoon Mein Rakhi Hoyi
Diary Dost Dekhty Hon Ge
Un Ki Aankhoon k Khaak-Danoo Mein
Ek Sehra Sa Phailta Hoga
Aur Kuch Be Nishan Safhoon Se
Naam Mera bhi Katt Gaya Ho Ga…!!!
__________________________

Saal Ka Aakhri Din Hai

Saal Ka Aakhri Din Hai
Abhi Kuch Dhoop Hai Leikin
Zara See Dair Ko Tay Hai Kay Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai
Chaloo Mil Baith Kay Apnay Khasaray Bant Letay Hain
Sab He Rang Aur jugnoo Aur Sitaray Bant Letay Hain
Zara See Dair Ko Tay Hai key Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai_____!!

Too kyon Naa Kuch Shaam Say Pehlay
Jo Kuch Ghariyan Muyasir Hain
Unhee Mein Zindagi Kar Lain,
Kisi Ahsaas Kee Shama Jala Kar
Inn Andheron Main
Koyee Daam Roshni Kar Lain
Chaloo Hum Dosti Kar Lain
Zara See Dair ko Tay Hai Kay Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai______!!
__________________________

December Mujhay Raas Aata Nahi 

Kayii Saal Guzrey
Kayii Saal Beetey
Shab-o-Roz Ki Gardishon Ka Tasalsul
Dil-o-Jaan Mein Saanson Ki Partein Ultatey Hue
Zalzalon Ki Tarah Haanpta Hay!
Cheekhtey Hue Khuwab
Aankhon Ki Nazuk Ragein Cheeltey Hain
Magar Main Har Ik Saal Ki Goud Mein
Jagti Subah Ko
Bey Karaan Chahton Se Atti Zindagi Ki Dua Dey Kar
Ab Tak Vohi Justaju Kar Raha Hoon
Safar Zindagi Hay
Safar Aagahi Hay
Safar Aabla Payii Ki Dastan Hay
Safar,Umer Bhar Ki Sulagti Hui Khuwahishon Ka Dhuwan Hay
Kayii Saal Guzrey
Kayii Saal Beetey
Musalsal Safar k Kham-o-Paich Mein
Saans Leti Hui Zindagi Thak Gayii Hay
k Jazbon Ki Geeli Zameenoo Mein
Boye Hue Roz-o-Shab Ki Har Ik Fasal Ab Pakk Gayii Hay
Guzarta Hua Saal b Aakhrii Hichkiyaan Ley Raha Hay
Mery Paish-o-Pass
Khauf, Dehshat, Ajal,Barood Ki Mouj
Aabadian Noch Kar Apney Jabrron Mein Jhakrri Hui Zindagi Ko
Darindoo Ki Surat
Nigalney Ki Mashqon Mein Masroof Tar Hain
Har Ik Rasta, Maut Ki Rahguzar Hay
Guzarta Hua Saal Jaisy b Guzra
Magar Saal k Aakhri Din
Nihayet Kathin Hain
Har Ik Simt Laashon k Anbaar
Zakhmi Janazon Ki Lambii Qitarein
Kahan Tak Koi Dekh Paye?
Hawaon Mein Barood Ki Baas
Khud Aman Ki Noha Khuwan Hay
Koi Chara Gar, Asr-e-Hazir Ka Koi Maseeha Kahan Hay?
Mery Milney Walon!
Naye Saal Ki Muskuratii Subah Gar Haath Aye
To Milna!!
k Jatay Hue Saal Ki Saaton Mein
Yeh Bujhta Hua Dil
Dharakta To Hay
Muskurata Nahi
December Mujhay Raas Aata Nahi_____!!
__________________________

Woh Mohabbat Ka Aakhri December

Chalo Khatam Hui Aj Say Dastaan-E-Mohabbat
Ab Hum Tareekh-E-Wafa Main Tera Naam Kanda Krtey Hain
Chalo Aaj Say Hum Chahat K Zanda'n Main Muqeed Hue
Teri Yaad K Sehra Main Dard-E-Maazi Ki Wa'eeed Hue__!!

Chalo Ab Kitaab-E-Zeest Say Auraq-E-Wafa Palat'te Hain
K Ab Hum "Wafa" Ko Jafa Likhain Gay , Saza Likhain Gay
K Ab Hum Apni Bheegi January Ki Shuru'aat
Tere Bakhse Hue Azaab-E-Tanhaai Say Kartey Hain_____!!

Chalo Ab Teri Mohabbat Ki Umar Qaid Muqaddar Hui
K Hum Ko Wafa Nibhaaney Ki Saza To Milni Thi
Chalo Ab Hum Apnay Haathon Ki Lakeero'n Say
Tera Aks-E-jaa'n Mita Dain Gey____!!

Qalb-E-Jaa'n Main Saji Tasveer-E-Mohabbat
Shab Ki Tanhaai Main Chupkay Say Hata Dain Gay____!!

Is Par Bhi Sehar Koi Ghum Nahi Hota
K Hum Ko Zamane Main Teri Ruwai Manzoor Nahi
Shayad Isi Liye Yeh Lehja Ghum Nahi Hota
Magar Jab Faseel-E-Jaa'n Say Saans Ukharti Hai To
Aisey Main Hum Aseer-E-Mohabbat
Phir Say Ehed-E-Wafa Dohraaney Lagtey Hain
Itne Zakham Kha Kr Bhi , Nishtar Jaan Ko Teri Ankhon Ka
Surmai Sumandar Yaad Aata Hai
Aise Main Hum Dair Tak Mazar-E-Mohabbat Par
Noha Giri Kartey Hain , Aaahain Bhartey Hain_____!!

Aise Main Yaad-E-Maazi Ki Har Yaad
Nakhl-E-Yadaa'n Say Mehav Ho Jaati Hai_____!!

Aise Main Bus December Ki
Siskiyan Lieti Hui Sard Tareek Yaad Ka
Alvidai Manzar Yaad Aata Hai
Aisey Main Humain Tu Bhi Nahi Teri Chahat Bhi Nahi
Bus Woh Mohabbat Ka Aakhri December Yad Aata Hai_____!!

Haan Bus Woh Aakhri December _________!!
__________________________

Yeh Jaatay Baras K Aakhri Lamhay

Yeh Jaatay Baras K Aakhri Lamhay
Guzarti Saa'atoo K Dhundelkay
Aur
Palkoon Pat Yadoon K Sitaaray
Pal Bhar Ko Youn Laga Jaisay
Unhi Yaadon, Unhi Kahaaniyoon K Beech
Waqt Tham Sa Gaya Ho Jaisay
Woh Jo Chiraag Jala Thaa Roshni K Liye
Madham Ho Gaya Ho Jaisay
Aur Jo Dariya Mohabbatoon Ka Tha
Ab Utar Gaya Ho Jaisay
Aakhri Shaam Ka Doobta SoOoraj
Kuch Keh Raha Ho Jaisay
Un Chaahatoon Ka SoOoraj Bhi
Doob Raha Ho Jaisay__________!!

Magar Ab Dil Mein Yaadoon K Siwa
Aur Aankh Mein Aanso'oon K Siwa
Aur Bacha Hi Kya Hai_________!!
Jo Ab Aakhri Saa'atoon K Naam Karoon
Woh Sab Chaahatain Aur Sab Mohabbatein
Aur Un Mohabbatoon Ki Saari Shiddattein
Sab Kuch To Usi K Naam Kar Diya Thaa_____!!


Haan, Magar Ab Tak Yaad Hai
Us Waqt Bhi SoOoraj Youn Hi Doob Raha Thaa
Aur________Woh Bhi
December Ki Aakhri Sard Shaam Thee_______!!
Jab Us Nay Dheeray Say Kaha Thaa
Naya Saal Mubarak__________________!!
__________________________

December Last Night

Raat Bhar Neend Na Aanay Ka Sabab To

Maloom Nahi

Haan Mager

December Ki Guzarti Hoii

Aankhri Adhori Shab

Meri Zindagi Ki Adhori

Kahani See Lagi__________!!
__________________________

Ye Saal Bhi Chala Gaya Har Saal Ki Tarha

Ye Saal Bhi Chala Gaya Har Saal Ki Tarha
Ye Saal Bhi Chala Gaya Har Saal Ki Tarhan
Mujh Se Bichhar Gaya Jo Gaye Saal Ki Tarhan

 Is Ka Bhi Haal Hoga Mere Haal Ki Tarha
Aaya Nhi Wo, Reh Gaye Raste Sajey Sajaye
Ye Saal Bhi Chala Gaya Har Saal Ki Tarha
__________________________

December Ke Mahine Mein

December Ke Mahine Mein
Saal E Nau Ki Aahat Par__

Mera Dil Chonk Uttha Hai
Kia Koi Bichhraa Aan Mile Ga

Ya Phir_____!!

Koi Hum Se Judaa Ho Jaae Ga_______!!
__________________________

Koi Haar Gaya Koi Jeet Gaya

Koi Haar Gaya, Koi Jeet Gaya
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya

 Kabhi Sapne Sajae Aankho Mei
Kabhi Beet Gae Pal Baato Mei

 Kuch Talkh Se Lamhaat Bhi Thy
Kuch Haadse Aur Sadmaat Bhi Thy________!!


Read More..

2 comments:

  1. Guzarta saal hai,
    Aur saal ka ye aakhiri din hai..
    Abhi kuchh dhoop hai lekin,
    Zara si derr ko tayy hai ki aakhir shaam honi hai,
    Haqeeqat ya kahaani jo bhi hai anjaam honi hai.
    Agar tayy hai yehi hona,
    Toh phir kis baat ka khadsha ?
    Toh phir kis baat ka rona ?
    Chalo mil baith kar apne khasaare baant lete hain,
    Sabhi rang aur jugnu aur sitaare baant lete hain.
    Guzarta saal hai,
    Aur saal ka ye aakhiri din hai..
    Abhi kuchh dhoop hai lekin,
    Zara si derr ko tayy hai ki aakhir shaam honi hai,
    Haqeeqat ya kahaani jo bhi hai anjaam honi hai.
    Agar tayy hai yehi hona,
    Toh kyon na shaam se pehle..
    Kisi anjaam se pehle..
    Bhula kar har pareshaani,
    Jhatak kar har takalluf ko,
    Jo kuchh ghadiyan mayassar hain..
    Inhi mein zindagi kar lein.
    Kisi ehsaas ki shama jala kar in andheron mein,
    Koi dum roshani kar lein,
    Chalo hum dosti kar lein.
    Guzarta saal hai,
    Aur saal ka ye aakhiri din hai ...!
    By:Abrar Nadeem

    ReplyDelete