Pages

Wednesday 20 November 2013

Urdu Eveninig Poetry













Sham Samay Aaik Oonchi Seehriyon Walay Ghar Kay Angan Mein

Sham Samay Aaik Oonchi Seehriyon Walay Ghar Kay Angan Mein
Chand Ko Utaray Daikha Hum Nay, Chand Bhi Kaysa ? Poora Chand

Insha Jee In Chahnay Wali, Daikhnay Wali Ankhoon Nay
Mulkoon Mulkon, Shehroon Shehroon, Kaisa Kaisa Daikha Chand

Har Aik Chand Ke Apni Dhuj Thi, Har Aik Chand Ka Apna Roop
Laykin Aisa Roshan Roshan, Hansta Battain Karta Chaand ?

Dard Ke Tees Tu Uth'ti Thee, Par Itni Bhi , Bharpor Kabhi ?
Aaj Say Pehlay Kab Utra Tha Dil Mein Itna Gehra Chaand !

Hum Nay Tu Kismat Kay Dar Say Jab Paye Andhayaray Paye
Yeah Bhi Chand Ka Sapna Ho Ga, Kaisa Chand, Kahaan Ka Chand ?

Insha Jee Duniya Waloon Mein Bay Sathi Bay Doost Rahay
Jaisay Taroon Kay Jhurmat Mein Tunha Chand, Akayla Chand

In Ka Daman Iss Doulat Say Khali Ka Khaali Hee Raha
Warna Tha Duniya Mein Kitnay Chandi Chand Aur Soona Chand

Jug Kay Charoon Koot Mein Ghooma Seelani Hayraan Howa
Iss Basti Kay Iss Koochay Kay Iss Angan Mein Aisa Chand ?

Ankhoon Mein Bhi Chitwan Mein Bhi Chand He Chand Jhalaktay Hain
Chand Hee Teeka, Chand Hee Jhoomar, Chehra Chand Aur Matha Chand

Aik Yeh Chand Nagar Ka Baasi Jiss Say Door Raha Sunjoog
Warna Iss Duniya Mein Sab Nay Chaha Chand Aur Paya Chand

Anbar Nay Dharti Par Phaikee Noor Ke Cheent Udaas Udaas
Aaj Ke Shab Tu Andhi Shab Th, Aaj Kidhar Say Nikla Chand ?

Insha Je Yeh Aur Nagar Hai, Iss Basti Ke Reet Yeahi Hai
Sab Ke Apni Apni Ankhain, Sab Ka Apna Apna Chand

Apnay Seenay Kay Mat'la Par Jo Chamka Woh Chaand Howa
Jis Nay Man Kay Andhyaaray Mein Aan Kiya Uj'yaara, Chaand

Chanchal Muskaati Muskaati Goori Ka Mukhra Mehtaab
Bath Jhar Kay Pairoon Mein At'ka Peela Sa Ik Patta Chand

Dukh Ka Darya Skh Ka Sagar Iss Kay Dam Say Daikh Liyeah
Hum Ko Apnay Saath He Lay Kar Dooba Aur Ubhra Chaand

Jhuki Jhuki Palkoon Kay Neechay Numnaaki Ka Naam Na Tha!
Yeah Kanta Jo Humain Chubha Hai Kaash Tujhay Bhi Chubhta Chand

Roshniyoon Ke Peeli Kirchain, Poorab Pacham Phail Gaieen
Tu Nay Kis Shay Kay Dhookay Mein Pathar Pay Day Tapka Chand

Hum Nay Tu Dono Ko Daikha, Dono He Bay Dard Khathoor
Dharti Walla, Anbar Walla, Pehla Chand Aur Dooja Chand

Chand Kissi Ka Ho Nahi Sakta, Chand Kissi Ka Hota Hai ?
Chand Ke Khatir Zind Nahi Kartay, Aye Mairay Achay Insha Chand__!!
_______________________________

Vo shakhs Subh Sham Kyon Meray Khyalo May Rha Hai


Vo shakhs Subh Sham Kyon Meray Khyalo May Rha Hai
Vo Kesay Btai Jo Khud Savalo May Rha Hai

Jb Tora Hai Is Nay Dil To Chahch Bhi Rhay Ga
Vo Khud Bhi Bray Shok Say Havalo May Rha Hai

Vo Kesay Sanbhalay Ga Meray Uljhay Hoay Mazi Ko
Khuf Toti Hoi Kurbat Ki Misalo May Rha Hai

Sandesay Pay Chalay Atay magar Hum Jantay Hain Usko
Vo Unglyon Pay Nachanay K Kamalo May Rha Hai__!!
_______________________________

Sitam Ka Ashna Tha Wo Sabhi K Dil Dukha Gaya



Sitam ka aashna tha wo sabhi ke dil dukha gaya
Ke sham e gham to kat li seher hui chala gya

Hawa e zulm sochti he kis bhanwar mein agai
Wo ik diya bujha to sainkron diye jala gaya

Sakoot mein bhi us ke ik ada e dilnawaz thi
Wo yar kam sukhan kai hikayeten suna gaya__!!
_______________________________


Jo Utar K Zina-E-Sham Say Teri Chashm-E-Khush Main Sama Gaye


Jo Utar K Zina-E-Sham Say Teri Chashm-E-Khush Main Sama Gaye
Wahi jalte bujhte se mahar-o-mah mere bam-o-dar ko saja gaye

Ye ajib khel hai ishq ka main ne ap dekha ye mojeza
Wo jo lafz mere guman main the vo teri zuban par a gaye

Wo jo git tum ne suna nahi meri umr bhar ka riyaz tha
Mere dard ki thi dastan jise tum hansi main ura gaye

Wo charag-e-jan kabhi jis ki lau na kisi hava se nigun hui
Teri bevafai ke vasava use chupke chupke bujha gaye

Wo tha chand sham-e-visal ka k tha rup tere jamal ka
Meri ruh se meri ankh tak kisi raushani main naha gaye

Ye jo bandagan-e-niyaz hai ye tamam hai vo lashkari
Jinhen zindagi ne aman na di to tere huzur main a gaye

Teri beruKhi k dayar main main hava ke sath hava hua
Tere aine ki talash main mere Khvab chehara ganva gaye

Tere vasvaon k fishar main tera sharar-e-rang ujar gaya
Meri khvahishon k gubar main mere mah-o-sal-e-vafa gaye

Wo ajib phul se lafz the tere honth jin se mahak uthe
Mere dasht-e-khvab main dur tak koi bagh jaise laga gaye

Meri umr se na simat sake mere dil main itne saval the
Tere pas jitne javab the teri ik nigah main a gaye___!!
_______________________________

Shaam K Saaye Jo SoOoraj Ko Chhupanay Niklay



Shaam k saaye jo sooraj ko chhupanay niklay
Ham diye le k andheron ko jalaane niklay

Aur tau kon tha jo jurm.e.baghawat karta
Aik ham hi thay jo ye rasm nibhaanay niklay

Sheher mai, dasht mai, sehra mai bhi tujh ko paya
Aye gham-e-yar tere kitne thhikaane niklay

Chaand nikla tau mein logon se lipat kar roya
Gham k aansu thay jo khushiyon k bahaane niklay__!!
_______________________________

Hui Hai Shaam To Aankhon Mein Bas Gaya Phir To

Hui Hai Shaam To Aankhon Mein Bas Gaya Phir To
Kahaan gaya hai mere shehar ke musaafir tuu

Bohat udaas hai ik shakhs tere jaane se
Jo ho sake to chala aa usi ki Khaatir tu

Meri misaal ke ik Nakhl-e-Khushk-e-sahara hun
Tera Khayaal ki Shaakh-e-chaman ka taa_ir tu

Main jaanata huu ke duniya tujhe badal degi
Main maanta hun ke aisa nahin bazaahir tu

Hansi Khushi se bichhad jaa agar bichha Danaa hai
Ye har muqaam pe kya sochata hai aakhir tu

'Faraz' tune use mushkilon men Daal diya
Zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tu__!!
_______________________________


Kahin Andhera Kahen Sham Hogi

Kahin andhera kahin sham hogi
Meri har khushi tere naam hogi
Ek baar aye dost kuchh mang ke to dekh
Hothon pe hansi aur yeh zindagi tere naam hogi
Aaj Ki Sham Jane
Aaj ki sham jane kyun ajeeb hai
Wo door hain mujse aur unki yaad kareeb hai
Mujse milte nahi “wo” jinki aarzoo hai mujhe
Jinhe “wo” roz milte honge wo kitne khush naseeb hai__!!
_______________________________

Jab Sare Sham Us ne Zulfon Ko Sanwara Hoga

Jb Sr-e-Sham Usny ZULFUN K0 Sanwara H0ga
Hath Me KANGAN Aankh Men KAJAL Awara H0ga

Us K JOOREY Men Saja W0 Sufaid GULAAB
Raat K0 S0ty Men Kisi Ney T0 Utara H0ga

Aalm-E-Tanhai Men SHAB Bhar Krwaten Lekr
K0i T0 H0Ga Jisey Usny Pukara H0Ga

Haey! W0 Neend Men D00bi Huwi MAKHM00R Aankhein
Jisny Dekha W0 Dil Waheen Pe Hara H0Ga

Uss k Betaab Lrzty Huy H0nT0n Pe Humein YAQEEN Hy "Haniya"
Machlta Huwa W0 Naaaaam Hamara H0Ga_____________!!
_______________________________

Kab Talak Shama Jali Yaad Nahi

Kab Talak Shama Jali Yaad Nahi
Sham-E-Gham Kaise Dhali ? Yaad Nahi

Iss Qadar Yaad Hai Apne The Sabhi
Kiss Ne Kya Chaal Chali Yaad Nahi

Hum Zamane Main Kuch Aise Bhatke
Ab Tu Unn Ki Bhi Gali Yaad Nahi

Abur Tha Jaam Tha Par App Na The
Woh Ghari Kaise Talli Yaad Nahi

Kat Gayi Umar Kissi Tarah Qateel
Woh Buri Thi Kay Bhali? Yaad Nahi__!!

Read More...

0 comments:

Post a Comment