Pages

Friday 22 November 2013

Best December Poetry














Kabhi Jo Toot K Barsa December

Kabhi Jo Toot K Barsa December
Laga Apna Bohat Apna December

Guzar Jata Hai Sara Saal Youn To
Nahin Kat’ta Magar Tanha December

Bhala Barish Say Kia Sairaab Hoga
Tumharay Wasl Ka Piyasa December

Woh Kab Bichra, Nahi Ab Yaad, Lekin
Bus Ttna Yaad Hai K Tha December

Jama Poonji Yehi Hai Umar Bhar Ki
Meri Tanhai Aur Mera December___!!
_____________________________

Udaas Raaton Mei Taiz Coffee Ki Talkhion Mein

Udaas Raaton Mei, Taiz Coffee Ki Talkhion Mei
Wo Kuch Ziada Hi Yaad Aata Hy Sardion Mei

 Mjhe Ijazat Nahi Hai Us Ko Pukaarney Ki
Jo Goonjta Hy Lahoo Mei, Seeney Ki Dharkano Mei

 Tum Apni Pouron Se Jaaney Kia Likh Gaye They Jana
Charaagh Roshan Hain Ab Bhi Meri Hatheliyon Mei

 Jo Tu Nhi Hy To Ye Mukammal Na Ho Saken Gi
Teri Yeh Ehmiyat Hy Meri Kahaniyon Mei

 Har Ek Mousam Roshni Si Bikhairty Hain
Tumhary Gham Ke Charaagh Meri Udaasiyon Mei
_____________________________

Koi Jazba Adhoora Reh Gaya Hai
Koi jazba adhoora reh geya hai
December aansu’on mein beh geya hai__!!

Yeh dil khamosh ho kar reh geya hai
Najane aaj woh kya keh geya hai__!!

Yeh aannkhain hain hamari kitni gehri
Samundar mein samundar beh geya hai__!!

Tumhare sath wabasta tha sab kuch
Siwaye yaad k kya reh geya hai__!!

Palat kar dekhne per hum ne jana
Dil-e-nadaan kya kya seh geya hai__!!

Bohat bheerr hai bazaron mein lekin
Tera Arshad akela reh geya hai.__!!
_____________________________

Ek Baar To Milne Chaly Aao December Jany Wala Hai

Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy
Kesa guzra hy ye sal batao December jany wala hy__!!

Khush ho jao k milne ka saal aa raha hy phir
Wasi youn na ansu bahao December jany wala hy__!!

Shayed ab k baras bhi wo Loat kar na aye
Tanhaiyo k abi chor k na jao December jany wala hy__!!

Ye kia k raat din uski yaad mein doobay rehna
Na Gham ki barish me nahao December jany wala hy__!!

Ay mere Dukhon k sathiyo khush ho jao
Apny apny Gharon ko sajao December jany wala hy__!!

Kia pata phir DECEMBER aye na aye Jan-e-Wasi
Meri mano ab tm loat ao December jany wala hy__!!
_____________________________

December Ke Mahine Ka Wo Shayd 11wan Din Tha

December Ke Mahine Ka
Wo Shayd 11wan Din Tha

Kahin Guzrey Baras Mai Ne
Mohabbat Lafz Likha Tha

Kisi Kaghaz Ke Tukrey Par
Achanak Yaad Ayaa Hai

Kahin Guzrey Baras Mujh Ko
Kisi Se Baat Karni Thi

Usey Kehna Tha Jaan e Jaan
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai

Magar Mai Keh Nahi Payaa
Wo Kaghaz Aaj Tk Liptaa Paraa

Hai Dhool Mei Lekin
Kisi Ko De Nahi Payaa

December Phir Ke Ayaa Hai
December Chalaa Bhi Jaaye Ga

Magar!
Dobaraa Chaah Kr Bhi Mai

“Mohabbat”
Kr Nahi Payaa__!!
_____________________________

Teri Yadon Ki Rawaani Aur Ye December

Teri yadon ki rawani or ye__________ __________________December
Meri batein , teri kahani or ye_______________________ December__!!

Mera hath tera sath , lambi sarak or ye ___________________December
Gum sum shaamain , sunehri raatain or ye _________December_______!!

Bheigy din , madham suraj , halky badal or ye_____________ _December
Behti nadiya , gaatay panchi , urti dhund or ye______________ December

Tanha me , tanha chand , mera kamra or yeh_______________ December
Meri ankhein , mere aansu , meri neend , tere khawab or ye December___!!
_____________________________

December Mujh Se Bolaa Tha

December Mujh Se Bolaa Tha
Ab Ke Jb Mai Aaon Ga

Tujhe Phir Se Pukaron Ga
Usey Mai Sath Laon Ga

Jo Tujh Ko Bhool Baitha Hy
Ke Jis Ke Hijr Ka Laawa

Tera Tan Man Jalata Hy
Ke Jis Ki Yaad Ki JheeloN Mei

Akser Doob Jatey Ho
Ke Jis Ke Waastey Bethey
Yaahan Tum Geet Gaatey Ho!

December Mujh Se Bolaa Tha
Suno Tum Bhool Na Jana

Jo Yaadein Us Ne Sonpi Han
Jo Lamhay Us Ne Bakhshey Han

Chaahe Ye Zakhm Saary
Rooh Ka Naasoor Ban Jaaen

Inhen Barhney Nahi Dena
Inhen Marney Nahi Dena_____!!
_____________________________

Raat Us Nay Poocha Tha Tum ko Kaisi Lagti Hai

Raat Uss ne Poocha tha
Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki_____!!

Main ne Kehna Chaha Tha:
Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?
Chahey koi Manzir ho
Dasht ho , Sumnadar ho
June ho , December ho
Dharkanoo'n ka Har Naghma
Manzaroo'n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise
Ik Nasha sa Taari hai

Lakin Uss ki Qurbat mein
Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko
Chandni December ki_____!!
_____________________________

December Ki Sard Hawao 

December ki sard hawaoo
Us se milo to kehna
K aaj bhe
Us ki yaad
Kisi k dil main
Mustaqil
Khaima zan hay
Koi aaj bhe usay
Uthtay,bethtay,sotay ,jagtay,
Hanstay,rotay
Yaad karta hay_____!!
_____________________________

December Ki Sard Hawao Us Say Milo To Kehna

December ki sard hawaoo
Us se milo to kehna___!!

K aaj bhe
Kisi ki palkain
Sir e sham he
Us k intizar main
Beech jati hain,
Aaj bhe koi
Us kay liye
Udas rehta hay___!!

December ki sard hawaoon
Us se milo toa kehna
K aaj bhe
Kisi k din rat
Us kay bin
Sogawar guzertay hain,
Aaj bhe
Kisi ki aankhain
Us kay liye
Num rehti hain__!!

December ki sard hawaoo
December ki sard hawaoo
December ki sard hawaoo__!!
_____________________________

Kayi Saal Guzrey Kayi Saal Beetey

Kayii Saal Guzrey
Kayii Saal Beetey
Shab-o-Roz Ki Gardishon Ka Tasalsul
Dil-o-Jaan Mein Saanson Ki Partein Ultatey Hue
Zalzalon Ki Tarah Haanpta Hay!
Cheekhtey Hue Khuwab
Aankhon Ki Nazuk Ragein Cheeltey Hain
Magar Main Har Ik Saal Ki Goud Mein
Jagti Subah Ko
Bey Karaan Chahton Se Atti Zindagi Ki Dua Dey Kar
Ab Tak Vohi Justaju Kar Raha Hoon
Safar Zindagi Hay
Safar Aagahi Hay
Safar Aabla Payii Ki Dastan Hay
Safar,Umer Bhar Ki Sulagti Hui Khuwahishon Ka Dhuwan Hay
Kayii Saal Guzrey
Kayii Saal Beetey
Musalsal Safar k Kham-o-Paich Mein
Saans Leti Hui Zindagi Thak Gayii Hay
k Jazbon Ki Geeli Zameenoo Mein
Boye Hue Roz-o-Shab Ki Har Ik Fasal Ab Pakk Gayii Hay
Guzarta Hua Saal b Aakhrii Hichkiyaan Ley Raha Hay
Mery Paish-o-Pass
Khauf, Dehshat, Ajal,Barood Ki Mouj
Aabadian Noch Kar Apney Jabrron Mein Jhakrri Hui Zindagi Ko
Darindoo Ki Surat
Nigalney Ki Mashqon Mein Masroof Tar Hain
Har Ik Rasta, Maut Ki Rahguzar Hay
Guzarta Hua Saal Jaisy b Guzra
Magar Saal k Aakhri Din
Nihayet Kathin Hain
Har Ik Simt Laashon k Anbaar
Zakhmi Janazon Ki Lambii Qitarein
Kahan Tak Koi Dekh Paye?
Hawaon Mein Barood Ki Baas
Khud Aman Ki Noha Khuwan Hay
Koi Chara Gar, Asr-e-Hazir Ka Koi Maseeha Kahan Hay?
Mery Milney Walon!
Naye Saal Ki Muskuratii Subah Gar Haath Aye
To Milna!!
k Jatay Hue Saal Ki Saaton Mein
Yeh Bujhta Hua Dil
Dharakta To Hay
Muskurata Nahi
December Mujhay Raas Aata Nahi_____!!
_____________________________

December Mujhey Raas Aata Nahi

Suno____!!!
Guzarta Hua Saal Jaisey Bhi Guzraa
Magar Saal Kay Aakhri Din
Nihaayat Kathhin Hain..
Suno_______!!!
Naye Saal Ki Muskuraati Hui Subha
Yeh Bujhhta Hua Dil Dharakta To Hai..
Muskuraata Nahi..
December Mujhey Raas Aata Nahi_________!!

Read More..

7 comments:

  1. So nice i like all poetry very hurt

    ReplyDelete
  2. Hahahaha boohhht acha hai collection

    Zero three four five three seven triple eight seven eight

    ReplyDelete

  3. Read online Urdu Digests,Urdu Books,Novels,Magazines,Safarnama,Islamic Books,http://zubiweb.net/

    ReplyDelete
  4. As December tum kasi aur ke ho jauo gay

    Shayed main phr kabhi December ka intzer na kar pauo
    Mobeen Alam

    ReplyDelete