Pages

Thursday 1 August 2013

Aaj Chand Raat Hai

















Aaj Chand Raat Hai

"Aaj Chand Raat Hai
Aur Main Apnay Hathon Main"

"Daikhty Hue Soch Raha Hun
K Yeh EID Kis K Naam Karu"

"Usk Naam..
Jo Dil Ki Dhakanon Main Hai"

"Ya Phir Usk Naam
Jo Hath Ki Lakeeron Main Hai"

Dhanak Rang Chooriyan Pehnay












Dhanak Rang Chooriyan Pehnay

"Dhanak Rang Chooriyan Pehnay
Sajay Hon Hath Mehndi Say"

"Kabhi Dheeray Say Tum Keh Do
Tmhain Ho EID Mubarak"

"Jo Teri Deed Ho Jaye
To Meri EID Ho Jaye"

Chand Raat Aur Palkon Par
















Chand Raat Aur Palkon Par

"Chand Raat Aur Palkon Par
Tery Khawab Sajaye"

"Kabhi Chand Ko Daikhain
Kabhi Tera Rasta Daikhain"

"Aas K Bandhan Baandhain
Kabhi Ghar Ka Suuna Aangan"

"Tery Qehqhon Say Hansta Daikhain
Magar Par Intzar-E-Yaar Liye"

"Kuch Guzashta Hai Paivasta Yadain
Kuch Adh Khili Kaliyon Ki Batain"

"Kuch Saraab

Adhooray Khawab

Aur Khawabon K Gulaab"

"Kuch Be-Qrariyan Ley Kr
Akaila Betha Sochoun"

"K Ab K Bhala Tou Kyun Aaye Gi
Kahan Meri Soi Nagri Bhaaye GI"

"Teri Manzal Zar Ka Rasta
Tou Aakhir Kyun Aaye Gi"

"Chalo Youn To Youn He Sahi

Tery Bgair Guzari Hai

Tery Bgair Guzarain Gay

"Her EiD"

Meri Gulabi Hinayii Hatheili Ko














Meri Gulabi Hinaayii Hatheili Ko

"Meri Gulabi Hinaayii Hatheili Ko

Meri Kalayi Main Khanakti Sunehri Choorri ko

Meri Zulfon Say Urrti Khushbu

Meray Paaon Main Bajti Payal Ki Cchan Cchan Ko

Meri Aankhon Main Sahay Ro Pehlay KHawabon Ko

Mery Dil K Mehaktay Aangan Ko

Sajan!!

Chand Rat Tery Aanay Ki Naveed Sunany Lagi Hai

Mery Liye EID Abhi Say Gungunany Lagi Hai"


Chand Raat Ko Tujhe Khud Choorian Pehnahoon Main


















Chand Raat Ko Tujhe Khud Choorian Pehnahoon Main

"Chand Raat Ko Tujhe Khud Choorian Pehnahoon Main
Jee Karta He Tujhe Khud Sanwaroon Sajahoon Main"

"Mehndi Ki Khushboo K Saat Teri Sansoo Main Utroon
Ho Aisa K Teri Hathelioon Main Khud Ko Bikhrahoon Main"

"Har Khushi Ki Tarha Teri Zaat Main Rahoon Har Lamhe
Tere Mukhre Pe Kiran Si Ban Kar Muskarahoon Main"

"Jaise Hawa Ati He Jaise Chandni Ati He Ghar Tere
Pata Tujhe Na Chale Is Andaz Se Kabhi Aaoon Main"

"Tere Dil Main Samaa Jaoon K Aisa Hi Ho Jae
Kabhi Darkan Ban Kar Tere Dil Ko Dharkahoon Main"

"Wo Jo Khanakti Hain Chamakti Hain Teri Nazook Kalayoon Main
Ho Aisa K Khud Hi Wo Choraiaan Ban Jahoon Main"

Dekhiyeh Chand Raat Aai Hai


















Dekhiyeh Chand Raat Aai Hai

"Dekhiyeh chand raat aai hai
Sath khushian hazar laee hai"

"Tum chaley aao aik lamhey ko
Ham bhi manain ke eid aae hai"

"Chaand bhia ya chand lamhon ko
Jaisey tum ney jhalak dikhai hai"

"Ham ne qismat ajeeb paee hai
Eid ka din hai aur judai hai"

"Keh rahe hai hawa mujhy
Us ne mehndi abhi lagaii hai"

Eid Moon Night Poetry
















Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai

"Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Tou Khuwab Hai Kisi Aankh Ka"

"Jissy Jaagne Ki Saza Mili
Ye Jo Chand Hai, Ye Azaab Hai"

"Wo Azzab
Jisne Mila Diya Hai Gulaab Lamhoun Ko Khaak Main"


"Ye Jo Chand Hai, Ye Jawaab Hai
Kisi Is Tarha Ke Sawal Ka
Ke Jo Aaj Tak Na Utha Kabhi Kisi Zehan Mai"


"Ye Jo Chand hai
Ye To Baab Hai kisi Dard ka
Kisi Hijr Ka, Kisi Wasl Ka
Kisi Zard Zard Si Fasl Ka"


"Ye Thaka Thaka Sa Jo Chand Hai
Kabhi Ban Pare To Ye Us Se Pooch Ke Dekhna
Issey Gehri Gehri Si Neend Se
Bhala Kisne a Ke Jaga diya?
Issey Rog Kisne Laga diya?"
____________________________

Ae Chand Suno Kuch Baat Karo

"Ae chand suno
Kuch baat karo"

"Tere baat chale
Meri raat katy"

"Baat karo us basti ki
Badal barish or masti ki"

"Ya baat karo us bandhan ki
Payal chori oa kangan ki"

"Yaa baat karo un sapno ki
Jinhe tm b socha karty ho
 Khawaboo may pooja karty ho"

"Yaa baat karo hawa may urty aanchal ki
Jo jab lehraye kuch yaad dilaey
 Tera chen churaye teri nend uraey"

"Tum mujh se kaho
Ae chand suno
 Kuch baat karo
Teri baat chale
Meri raat katy"
____________________________

Badan mein rang bharta hay tumhara chand sa chehra

"Badan mein rang bharta hay tumhara chand sa chehra
Mujhy beichain karta hay tumhara chand sa chehra"

"Ishq ehsaaska Nashaa liey phirta hay dunia mein
Meri khatir sanwarta hay Tumhara chand sa chehra"

"Mujhy yeh chandni raatain bohat Dillgirr lagti hain
Jab ankhoon mein ubalta hay tumhara chand sa chehra"

"Koi chehraa meri ankhon ko seerab kar nehi sakta
Mujhy madhosh karta hay tumhara chand sa chehra"

"Meri bastti sey shayad ess liey tum duor rehtya ho
Girehan lagney sey darta hay tumhara chand sa chehra"

"Tawajha kis qadar deiney laga hun ajh kal main khud pe
Tasawur sey guzarta hay tumhara chand sa chehra"

"Mery charon taraf jab raatain pheil jati hain
Toh phir mujh mein utarta hay Tumhara chand sa chehra"

"Shab-e-hijrrain sey Shaan yunhi apni dosti rakhna
Andheirey mein nikharta hay tumhara chand sa chehra"
____________________________

Gaye Baras Ki Eid Ka Din Kya Acha Tha

"Gaye baras ki eid ka din kya acha tha
Chaand ko dekh ke uskaa chehra dekha tha"

"Fazaa mein cactus ke lehjey ki nermahat thi
Mausam apne rang mein faiz ka missraah tha"

"Dua ke be-awaz, ulohi lamhon mein
Woh lamhaa bhi kitna dilkashh lamha tha"

"Haath utha ker jab Aankhoon hi aankhon mein
Us ne mujh ko apne Rab se mangaa tha"

"Phir mere chehre ko haathon mein le ker
Kitney pyar se mera maatha chooma tha"

"Hawa! kuch aj ki shab ka ahwaal suna
Kya woh apni chat per aj akela tha?"

"Ya koi mere jeisi saath thi, aur uss ne
Chand ko dekh ke us ka chehra dekhaa tha?"
____________________________

Allah Kary Har Raat Chand Ban K Aaye

"Allah kary har raat chand banke aye
Din ka ujala shaan ban ke aye"

"Kabhi na door ho apky chehre se muskurahat
Har din aisa mehman ban k aye"
____________________________

MUBARIK MUBARIK MUBARIK
MUBARIK MUBARIK MUBARIK
MUBARIK MUBARIK MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK MUBARIK
MUBARIK MUBARIK
MUBARIK MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK MUBARIK MUBARIK
MUBARIK MUBARIK MUBARIK
MUBARIK MUBARIK MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK
MUBARIK MUBARIK
MUBARIK?MUBARIK
MUBARIK?..MUBARIK
MUBARIK??.MUBARIK
MUBARIK??.MUBARIK
MUBARIK??.MUBARIK
MUBARIK??.MUBARIK
MUBARIK??.MUBARIK
MUBARIK??.MUBARIK
MUBARIK??.MUBARIK
MUBARIK??.MUBARIK
MUBARIK??.MUBARIK
MUBARIK?..MUBARIK
MUBARIK?MUBARIK
MUBARIK MUBARIK
________________________aaaaaaaaaaaaaaaa_______________*
__________________________aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa
_______________________aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa
_____________________aaaaaaaaaaaaaaaaa___________aaaaaa
___________________aaaaaaaaaaaaaaaa__________________aaaa
__________________aaaaaaaaaaaaa_aa______________________aa
_*_______________aaaaaaaa______aa_________________________a
_________________aaaaaaa_aa_aaaa
___________*____aaaaaaaaa____aaaa
________________aaaaaaaaaaa_aaaaaaa_?????? CHAND RAAT MUBARAK
________________aaaaaaa____aaaaaaaaaa
________________aaaaaa_a_aaaaaa_aaaaaa
_________________aaaaaaa__aaaaaaa
_________________aaaaaaaa_________________________________a
__________________aaaaaaaaaa____________________________aa
___________________aaaaaaaaaaaaaaaa__________________aaaa
_____________________aaaaaaaaaaaaaaaaa___________aaaaaa________*
_______*_______________aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa
__________________________aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa

____________________________

Tanhayi Ki Yeh Kuch Aisi Ajab Raat Hai

"Tanhayi Ki Yeh Kuch Aisi Ajab Raat Hai
Tujhse Judi Hui Har Yaad Mere Saath Hai"

"Kis Kadar Ki Thi Mohabbat Humne Tumse
Soch Kar Hui Aaj Ashqon Se Mulaqaat Hai"

"Kaisa Junoon Tha Us Ishq Mein Dil Ro Aya
Machal Utha Phir Se Har Woh Jazbaat Hai"

"Tu Mujhko Bewafa Keh Gaya Najane Kyo
Gar Chahna Bewafayi Hai , To Bewafayi Ki Raat Hai"

"Tadap Raha Hai Tanha Chand Bina Chandni K
Is Andheri Raat Mein Aaj Kuch Aur Hi Baat Hai"

"Yu Aye Zindagi Mujhe Akela Chordh Diya Tune
Ke Kafan Odh Rahi Mujh Par Aaj Yeh Raat Hai"
____________________________

Kitni Zulfain Khuleen Kitnay Aanchal Uray Chand Ko Kia Khaber

"Kitni Zulfain Khuleen Kitnay Aanchal Uray Chand Ko Kia Khaber
Kitna Maatam Howa Kitnay Aansoo Bahay Chand Ko Kia Khaber"

"Mudatoon Us Ki Khwahish Main Chaltay Rahay Haath Aata Nahi
Chah Main Uski Pairoon Main Hain Aablay Chand Ko Kia Khaber"

"Woh Jo Nikla Nahi Hai Tu Bhataktay Rahay Hain Musafir Kayee
Aur Lut Tay Rahay Hain Kayee Qaaflay Chand Ko Kia Khaber"

"Woh Tu Apni Hi Nigri Main Mudhosh Hai Kab Se Khamosh Hai
Kon Raaja Bana Kitnay Sayed Lutay Chand Ko Kia Khaber"

"Usko Daawa Buhat Meethay Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho
Uski Kirno Se Kitnay Hi Gher Jal Gaye Chand Ko Kia Khaber"
____________________________

Zikar Uska Meri Kahani Main

"Zikar Uska meri Kahani main
Chand ka aks jaise pani main"

"Wo to khamosh hi rahe or hum
Jane kya keh gaye rawani main"

"Apni ankhian gawai hain hum ne
Apne khuwabon ki pasbani main"

"Itni muddat ka sath choot gaya
Ik chhoti si badgumani main"

"Zikar Uska meri Kahani main
Chand ka aks Jaise Pani main"
____________________________

Tohfa Duaon Ka Tmhain Pohnchay Mera

"Tohfa Duaon Ka Tmhain Pohnchay Mera
Sada Rahay Tmhary Gird Khushiyon Ka Ghera"

"Musaratain Tmhain Eid Ki Mubarak Hon
Tmhari Zeest Main Na Aaye Kabhi Ghamon Ka Phera"
____________________________

Yeh Shala Maar Main Ik Barg-E-Zard Kehta Tha

"Yeh Shala Maar Main Ik Barg-E-Zard Kehta Tha
Gaya Voh Mosam-E-Gul Jis Ka Raz-Daar Hun Main"

"Na Paamaal Karain Mujhko Zairein-E-Chaman
Inhein Ki Shakh-E-Nisheman Ki Yad-Gar Hun Main"

"Zara Say Patay Nay Beitab Kar Diya Dil Ko
Chaman Main Aa K Sarapa Bahar Hun Main"

"Khizan Main Mujhko Rulati Hai Yad-E-Fasl-E-Bahar
Khushi Ho Eid Ki Kyun-Kr Sogwar Hun Main?"

"Ujaarr Ho Gaye Ehd-E-Kehan K May-Khaanay
Guzashta Baada-Paraston Ki Yad-Gaar hun Main"

"Piyam-E-Aish-O-Musarat Hmain Sunata Hai
Hilal-E-Eid Hmari Hansi Urata Hai"
____________________________

Bin Tery Jane Jaan Qayamat Hai Chand Raat

"Bin Tery Jane Jaan Qayamat Hai Chand Raat
Mat Pooch Mujsay Kesi Museebat Hai Chand Raat"

"Ho Gi Teray Wasty Behjat Ki Ibtida
Mery Luiye To Sakhat Aziyat Hai Chand Raat"
____________________________

Rishtaa Tore K Janey Waley

"Rishtaa tore ke janey waley
Mujh ko chorr ke janey waley
Ab ki Eid pe
Mujh ko jitney card miley hain
Un cardon mein sab se pyara
Sab se acha
Pehla card tumhara hai"

"Mujh ko chorr ke janey waley
Zara kaho to
Yeh kiss aur ishaara hai ???"
____________________________

Kya Sunayain Kis Haal Mein Aati Hai Pardes Ki Eid

"Kya sunayain kis haal mein ati hai pardes ki eid
Nikal aate hain aansu jab yad ati hai dess ki eid"

"Rahain woh khush-o-huram ghar mein apne
Jin ke liye hum ko rulaati hai pardes ki eid"

"Aate hain yaad jab woh phool se chehre
Us lamhe hum ko kitna tarpati hai pardes ki eid"

"Kis se galley milain kisey kahain ge apna hum
Bas yu’n hi guzar jati hai pardes ki eid"

"Kehte hain har bar bas pardes ki hai ye akhri eid
Agley saal phir aa jaati hai pardes ki eid"
____________________________

Kehta Tha Na Mujh Ko Pardes Bhejo Maan

"Kehta Tha Na Mujh Ko Pardes Bhejo Maan
Ab Mery Baghair Eid Kaisy Manao Gi Maan"

"Sab K Bety Jab Aayen Gey Eid Parh K
Tum Darwazy Mein Khari Takti Reh Jaogi Maan"

"Saway’yan Jab Bantny Lago Gi Mohally Mein
Tumhari Palk Aanson Say Bheeg Jaye Gi Maan"

"Sham Tak Bhi Jab Na Pohnch Paonga Ghar
Tery Dil Ki Dharkan Jaisy Ruk Si Jayegi Maan"

"Eid Parh Kr Jab Wapis Aaonga Duty Pay
Tasali Ye Dil Ko Dey Kr So Jaonga Maan
Eid Ka Kaya Hai Agly Saal Phir Aa Jaye Gi Maan"
____________________________

Usay Kehna K Laot Ao Suna Hai Eid Aayi Hai

"Usay khna k loat ao suna h eid ayi hai
Ek bar to a kr mil jao suna h eid ayi hai"

"Usay khna k bin tere bohat eiden guzri hn
Is bar tu milny a jao suna h eid ayi hai"

Usay khna judai se muhabat kam nhi hoti
Ye dunia ko batla jao k suna h eid ayi hai"

"Usay khna k chaht ka bhram na totane dena
Tum pal do pal hi a jao suna h eid ayi hai"

"Usay khna k tanha hi koi eid k din b
Ye tanhai mita jao suna h eid ayi hai"
____________________________

Aankh Ki Nadya Ashk Ki Naya Yaad Tmhari Chand Ki Raat

"Aankh Ki Nadya,Ashk ki nayya,Yaad Tmhari,Chand Ki Raat
Jherna,Jugnu,Tim Tim Taray,Kitni Pyari Chand Ki Raat"

"Sookhay Pattay,Sard Hawayen,Soni Sarrkein,Main Aur Tm
Shah Aur Malka Haath Hain Thaamay Aur Darbari,Chand Ki Raat"

"Mera Bachpan,Dor Patangen,Paki Nenden,Kachay Ghar
Chhupan Chhupi, Cheena Jhapti,Raaj Dulari,Chand Ki Raat"

"Tash K Pattay,Yar Hamary,Maili Chadar,Gehri Chaal
Saans Ka Huqqa, Behki Baatein,Ham Pe Tari Chaand Ki Raat"
____________________________