Pages

Saturday 4 October 2014

ILhaam Ki Rim Jhim Kahin Bakhshish Ki Ghata Hai

ILhaam Ki Rim Jhim Kahin Bakhshish Ki Ghata Hai

ILhaam Ki Rim Jhim Kahin Bakhshish Ki Ghata Hai...
Ye Dil Ka Nagar Hai K Madinay Ki Fiza Hai...?
Sanso'n Main Mehakti Hain Manajaat Ki Kaliya'n
Kaliyo'n K Katoro'n Pay Tera Naam Dhara Hai
Galiyo'n Main Utarti Hain Malaayak Ki Qatarein
Ehsas Ki Basti Main Ajab Jashan Bapa Hai...!!

Hai Qariya_E_Idrak Munawar Teray Dam Say
Har Sa'at_E_Khush Bakht Jaha'n Naghma_Sara Hai...!!
Sun Lay Ga Mera Maajra Tou Bhi K Azal Say
Peigham Bar_E_Deeda_O_DiL Moj_E_Saba Hai.....!!
Hain Nazar Teri Barigaah_E_Naaz Main Afkaar
Tou Markiz_E_Dildarii_E_Arbaab_E_Wafa Hai...!!

Ab Kon Had_E_Husn_E_Talab Soch Sakay Ga?
Konein Ki Wus'at To Tah_E_Dast_E_Dua Hai...!!
Hai Teri Kasak Main Bhi Dhamak Hashar K Din Ki
Woh Youn K Mera Qariya_E_Jaan Goonj Raha Hai....!!
Aasaab Pay Haavi Hai Sada Heibat_E_IQRA
Jabreel_E_Mu'adat Ko Yeh Dil_E_Gaar_E_Hira Hai...!!!

Ayaat K Jhurmat Main Teray Naam Ki Musand
Lafzo'n Ki Angoothi Main Nageena Sa Jura Hai..!!
Ik Baar Tera Naqsh_E_Qadam Choom Liya Tha
So Baar Falak Shukr K Sajday Main Jhuka Hai....!!
Khursheed Teri Raah Main Bhatakta Hua Jugnu
Mehtab Tera Reza_E_Naqsh_E_Kaf_E_Paa Hai...!!

Talmeeh_E_Shab_E_Qadr Tera Aks_E_Tabasam
"Noroz" Tera Husn_E_Gireban_E_Qaba Hai...!!
Her Subh Teray Farq_E_Falak Naaz Ka Par Tou
Her Sham Teray Dosh_E_Mua'la Ki Rida Hai.....!!
Taaray Teray Rahwaar K Qadmon K Shiraray
Gurd'on Tera Daryoza_Gar_E_Aabla_Paa Hai...!!

Ya Teray Khad_O_Khaal Say Kheera_Mah_O_Anjam
Ya Dhoop Nay Khud Saaya Tera Orh Liya Hai....!!
Ya Raat Nay Pehni Hai Malaaahat Teri Tan Par
Ya Din Teray Andaz_E_Sabaahat Pay Gaya Hai...!!

Yaseen Teray Ism_E_Girami Ka Zameema
Hai Noon Teri Madh, Qalam Teri Sana Hai...!!
Walayal Teray Saaya_E_Gaisu Ka Taraasha
Wal_Asar Teri Neem Nigaahi Ki Ada Hai...!!!

Faaqo'n Say Khameeda Hai Sada Qaamat_E_Darba'n
Thokar Main Magar Silsila_E_Arz_O_Sama Hai....!!
Geiro'n Pay Bhi Altaaf Teray Sab Say Alag They
Apno'n Pay Nawazish Ka Bhi Andaz Juda Hai...!!
Dil Main Ho Teri Yaad To Tufaan Bhi Kinaara
Haasil Ho Tera Lutf To Sar_Sar Bhi Saba Hai...!!

Lamho'n Main Simat Kar Bhi Tera Dard Hai Taza
Sadiyo'n Main Bikhar Kar Bhi Tera Ishq Naya Hai...!!
Dekho To Teray Dar Ki Ghulami Main Hai Shaahi
Sochou'n To Tera Shoq Mujhay "Zil_E_Huma" Hai...!!
Rag Rag Ne Sameti Hai Tere Naam Ki Faryad...
Jab Jab Bi Pareshan Mujhe Dunya Ne Kia Hai...

Khaaliq Nay Qasam Khaayi Hai Us "Shehr_E_Ama'an" Ki
Jis Shehar Ki Galiyo'n Nay Tujhay Wird Kiya Hai...!!
Ye Qos_E_Qazah_Hai K Sar_E_Safha_E_Afaaq
Barsaat Ki Rut Mein Tera Mehraab_E_Dua Hai..!!
Ab Aur Bayaa'n Kaya Ho Kisi Say Teri Midhat?
Yeh Kam To Nahi Hai K Tou Mehboob_E_Khuda Hai...!!

Suraj Ko Ubharne Nhi Deta Tera Habshi...
Be Zar Ko Abu-Zar Teri Bakhshish Ne Kia Hai...
Hai Moj_E_Saba Ya Teri Saanso'n Ki Bhikaaran?
Hai Mosam_E_Gul Ya Teri Khieraat_E_Qaba Hai...!!
Khursheed_E_Qayaamat Bhi Sarzfaraaz Bohat Hai
Lekin Teri Qaamat Ki Kashish Is Say Siva Hai...!!

Zam_Zam Teray Aaain_E_Sakhaawat Ki Gavaahi
Kosar Tera Sarnaama_E_Dastoor_E_Ata Hai..!!
Jalta Hua Mehtaab Tera RehRav_E_Betaab
Dhalta Hua Sooraj Teray Kheimay Ka Diya Hai...!!
Saqlain Ki Qismat Teri Dehleez Ka Sadqa...
Aalam ka Muqaddar Tere Hathon Me Likha Hai...

Utray Ga Kahan Tak Koi Ayaat Ki Teh Mein
Quran Teri Khatir Abhi Masroof_E_Sana Hai...!!
Mehshar Mein Paristaar Teray Youn To Bohat Hain
Sad Shukr Mera Naam Tujhay Yaad Raha Hai...!!

A Gumbad-e-Khizra K Makeen Meri Madad Kr...
Ya Phir Ye Bata Kon Mera Tere Siwa Hai...??
Bakhshish Teri Ankhon Ki Taraf Dekh Rhi Hai...
"Mohsin" Tere Darbar Mn Chup Chap Khara Hai..!!

16 comments:

  1. Mashallah bht khobsorat... Yaqeen nh ata k eik ahl e tasheeh poet sunniyon k aqida k ain mutabiq likh sakta hai. bas 2st last sher main sarkar e do alam S.A.W se yun mukhatib hona badtamizi bhi ha eik taraf se dekha jaye to.. sarkar ko yun kehna k... ya phr yeh bta kon mera tere siwa hai... is sher ko mansookh kr dia jaye I think.. baqi all over bht khobsorat

    ReplyDelete
    Replies
    1. har ksi ka apna mind leval hota hy.shaier jab kuch likhta hy us main ishq ki qafiyet hoti hy.

      Delete
    2. Ab ap Bataynge ki kia sahi ha kia Galat. Wo b aise Shair ko jis ne

      Delete
    3. don't mind bro but
      Lgta h aapne allama iqbal ki nazm "shikwa" nhi pdhi jisme allama ne khuda se kch shikwe kye h... jb aap is 2nd last misre ko rsul se badtamizi qrar de rhe h to wo namz padh kr allama iqbal ko kafir bol dege ..
      Shayri ki ek alg zaban hoti h aapse galti ye hui k aap shyri ko aam bolchaal wali zaban or nasr se mila rhe h .

      Delete
  2. Amanat Ali Butt9 June 2017 at 15:47

    Allah karim qubool farmai aour Huzoor s.a.w.w. ki shafaat ka zareea banai.

    ReplyDelete
  3. Shia aqeedai kai mutabiq jis kai pass Ishq e Rasool s.a.w.w aur Alle Rasool a.s nahi hai woh shaitaan hai insan nahi hai.

    ReplyDelete
  4. Itna comprehensive kalaam koi maqbool e dar e rasool e keh skta he

    ReplyDelete
  5. https://www.urdusadpoetry.net/apny-khali-kamry-mein-tanha/

    https://www.urdusadpoetry.net/dhekty-rhny-ki-adat-ho-gai/

    https://www.urdusadpoetry.net/aziyat-say-mar-geya-tha/

    ReplyDelete
  6. Khuda ki qasam aisa kalam likhna aasaan baat nahi hai Allahu Akbar Subhan Allah

    ReplyDelete
  7. yea kalam ahsana azeem hea. ashqoun k liyea jzak allah mohsin naqvi sahub

    ReplyDelete
  8. The most prestigious and remarkable kalam in the history of 'naat sharif'

    ReplyDelete