Pages

Wednesday 31 July 2013

Suna Hai Chand Nikla Tha


















Suna Hai Chand Nikla Tha

"Suna Hy Chand Nikla Tha
Suna Hy EID Bhi Hogayi"

"Humein To Aasman Pe Door Tak
Kuch Bhi Nahi Dikha Tha"

"Kahan Wo Chand Nikla Tha
K Jis K Wasty Hum Ney"

"Kabhi Palkein Nahi Jhapki
Wo Jis Ka Rasta Takty
Hai Guzri Zindagi Apni"

"Nahi Kuch Bhi Khabar Ke Wo
Nikly Ga To Kab Aakhir…..??"

"Humari Muntazir Aankhon Ko
Us Ki Deed Kab Hogi?"

"Abhi Tum Hum Se Mat Pucho
Humari EID Kab Hogi"

Kaho Kesay Guzarti Hai Tumhari Zindagi Pagal

















Kaho Kesay Guzarti Hai Tumhari Zindagi Paagal

"Kaho Kesay Guzarti Hai
Tumhari Zindagi, Paagal

Suna Hai, Ab To Eidein Bhi
Woh Pehlay Si Nahin Karty"

"Kisi K Ghar Nahin Jatey
Kisi Say Bhi Nahin Miltey

Kisi Ki Ek Nahin Suntey
Kisi Say Kuch Nahin Kehtey"

"Na Koi Gift Letey Ho
Na Koi Gift Detey Ho

Kabhi Khul Kar Na Hanstey Ho
Kabhi Khul Kar Na Rotey Ho"

"Bohat Bekal Bohat Upset
Bohat Be-Chain Hotey Ho

Suna Hai Chaand Raton Mein
Bohat Be-Mood Dikhtey Ho"

"Woh Kaghaz Phaarr Detey Ho
Kisi K Wastey Jin Par

Bohat Say Shair Likhtey Ho
Na Jeetey Jo Na Martey Ho"

"Suno Yeh Zindagi Pagal
Bassar Kis Taraha Kartey Ho?"

Kaho Kaisay Guzarti Hai?

Chand Kabhi To Taron Ki Bheer Say Niklay



Chand Kabhi To Taron Ki Bheer Say Niklay
"Chand Kabhi To Taaron Ki Bheer Say Niklay
Aur Meri Khirki Main Aaye"
"Bilkul Tanha Aur Akaila
Main Usko Banhon Main Bhar Lou"
"Aik He Sans Main Sub Voh Batain Kr Lu
Jo Mery TaaluU Say Chimti"
"Dil Main Simti Rehti Hain"
"Sub Kch Aisay Ho Jeye,Jab Hai Na
Chand Meri Khirki Mian Aaye Tab Hai Naa"

Chand Ko Daikh Kr




















Chand Ko Daikh Kr

"Chand Ko Daikh Kr
Tmhhain Sochna AcCha Lagta Hai"

"Pholon Ki Khushbu Main
Teri Khushbu Mehsos Krna AcCha Lagta Hai"

"Saahil Ki Geeli Rait Par
Tmhara Naaam likhna Accha Lagta Hai"

"Main Tmhari Hun
Mjhy Kehna Acha Lagta Hai"

Ab K Soch Rakha Hai Youn EID Manaon Ga

















Ab K Soch Rakha Hai Yun EID Manaon Ga

"Ab K Soch Rakha Hai Yun EID Manaon Ga
Dard Se Dil Tanhaiyun Se Ghar Sajaon Ga"

"Log Hain Muntazir Chaand K, Mujhe Intizaar Tumhara Hai
Logon Ki EID Chaand Se Main Tumein Dekh Kar EID Manaon Ga"

"Log Mil Kar Galay Muskuratay Hain
Main Bahon Mein kho Kar Teri Phir se Ashq Bahaon Ga"

"Ab To Aa Jao K Main Bhi EID Manna Lon
Tum Na Aaye To Main Yeh Dunia Hi Chhor Jaon Ga"

Ab K Phir Eid Ka Din Aa Puhncha Hai













Ab K Phir Eid Ka Din Aa Puhncha Hai

"Ab K Phir Eid Ka Din Aa Puhncha Hai
Neelay Akaash Pay Nikla Hai Abhi Fid Ka Chand"

"Bakhat Waloon K Liye Eid Ka Sandes Liye
Bhujti Ankhoon K Liye Deed Ka Sandes Liye"

"Saray Chehroon Say Thakan Door Hui Jati Hai
Hijar Waloon Ki Chuban Door Hui Jati Hai"

"Chand Nikla Hai Shab-E-Wasl Ka Sandes Liye
Kehkashan Bakhat Musafir K Paltnay Ki Naveed"

"Her Kiran Hath Main Thamay Ayee

Chand Nikla Hai

Mager Hasrat Say

Chand Ki Simat Meri Ankhien Taki Hati Hain"

"Chand Akaash Say Takta Hai Magar
Ankh Chura Laita Hai"

"Meri Ankhoon Ki Nami Aur Sawaloon Ki Chuban
Us Say Dekhi Nahi Jati Shayad"

"Meri Go-Yaee Maira Sath Nahi Day Paati
K Main Us Say Teri Babat Pochoon"

"Us Say Pochoon K Bata Mairay Muqadar K Najoom
Kin Andheeroon Main Hoye Toot K Reeza Reeza"

"Chand Ankhoon Ko Chura Ker Mujhe Say
Janne Kyun Tall Raha Hai Yeah Sawal"

"Kia Mairay Bakhat Main Ab K Bhi Nahi
Eid Ka Lamha??Wasaal"

"Kiya Palat Kr Nahi Aye Ga Wo Jannay Wala
Kia Meri Eid Faqat Ab K Bhi Ik Aur Naya Din Ho Gi?"

"Din Bhi Aisa Jo Qayamat Sa Ghuzarta Hai Sada
Durd K Rang Meri Ankhoon Main Jo Bharta Hai Sada"

"Ba-Kali, Dard, Jalan, Aur Sulagti Yadien
Dard Lo Aur Jaga Detien Hain"

"Karab Ko Aur Bharha Detien Hain
Meri Be-Rang Hatheeli Pay Dua Ki Titli"

"Akhri Saans Ki Had Pr Pohanchi
Meri Umeed K Saray Jugnu"

"Bhujti Ankhoon Main Bhujhay Jatay Hain
Hont Hansnay K Huner Say Aari"

"Dil Dharknay Ki Riwayat Say Juda
Ankh Say Khawab Alag"

"Mar Gaye Harf-E-Dua
Tooti Sansoon K Hontoon Pr"

"Faqat Sard See …Aaah
Dobtay Dil Say Bikharti See Sada Ati Hai"

"Kash…. Aye Kash K Yeh Eid Ka Chand
Apnay Hathoon Yeh Sandes Deta"

"Mujh Say Kehta K Huwa Hijer Tamam
Aye Mairay Chand Teri Eid Ki Shab Mairay Naam"

"Ab Faqat Mairay Naam
Lash Yeh Sandes Millay"

"Kash !! "

"Neelay Akash Pay Nikla Hai Abhi Eid Ka Chand
Dil K Akash Pay Doobay Ga Abhi Eid Ka Chand"

"Dil K  Aakash Say Tootay Ga Abhi Eid Ka Chand"

Main Hon Tera Khyal Hai Aur Chand Raat Hai




















Main Hon Tera Khyal Hai Aur Chand Raat Hai

"Main Hon Tera Khyal Hai Aur Chand Raat Hai
Dil Dard Say Nidhal Hai Aur Chand Raat Hai"

"Ankhon Main Chub Gaen Teri Yadon Ji Jirchiyan
Kandhon Pay Gham Ki Shaal Hai Aur Chand Raat Hai"

"Dil Toor K Khamosh Nizaron Ka Kia Mila?
Shabnam Ka Ye Sawal Hai Aur Chand Raat Hai"

"Phir Titliayan Si Urraanay Lageen Dashat Khawab Main
Phir Khawaish-E-Wasaal Hai Aur Chand Raat Hai"

"Campas Ki Nehar Par Hai Tera Hath Mery Hath Main
Mosam Bhi Laa-Zawaal Hai Aur Chand Raat Hai"

"Har Ik Kali NAy Orrh Liya Matami Libas
Har Phol Par Malal Hai Aur Chand Raat Hai"

"Meri To Poor Poor Main Khushbu Si Bus Gayi
Us Par Tera Khyal Hai Aur Chand Raat Hai"

"Chalka Sa Parh Raha Hai WASI Wehshaton Ka Rang
Har Zheez Pay Zawaal Hai Aur Chand Raat Hai"


Chand Rat Poetry














Main Hon Tera Khyal Hai Aur Chand Raat Hai

"Main Hon Tera Khyal Hai Aur Chand Raat Hai
Dil Dard Say Nidhal Hai Aur Chand Raat Hai"

"Ankhon Main Chub Gaen Teri Yadon Ji Jirchiyan
Kandhon Pay Gham Ki Shaal Hai Aur Chand Raat Hai"

"Dil Toor K Khamosh Nizaron Ka Kia Mila?
Shabnam Ka Ye Sawal Hai Aur Chand Raat Hai"

"Phir Titliayan Si Urraanay Lageen Dashat Khawab Main
Phir Khawaish-E-Wasaal Hai Aur Chand Raat Hai"

"Campas Ki Nehar Par Hai Tera Hath Mery Hath Main
Mosam Bhi Laa-Zawaal Hai Aur Chand Raat Hai"

"Har Ik Kali NAy Orrh Liya Matami Libas
Har Phol Par Malal Hai Aur Chand Raat Hai"

"Meri To Poor Poor Main Khushbu Si Bus Gayi
Us Par Tera Khyal Hai Aur Chand Raat Hai"

"Chalka Sa Parh Raha Hai WASI Wehshaton Ka Rang
Har Zheez Pay Zawaal Hai Aur Chand Raat Hai"
________________________________

Ab K Phir Eid Ka Din Aa Puhncha Hai

"Ab K Phir Eid Ka Din Aa Puhncha Hai
Neelay Akaash Pay Nikla Hai Abhi Fid Ka Chand"

"Bakhat Waloon K Liye Eid Ka Sandes Liye
Bhujti Ankhoon K Liye Deed Ka Sandes Liye"

"Saray Chehroon Say Thakan Door Hui Jati Hai
Hijar Waloon Ki Chuban Door Hui Jati Hai"

"Chand Nikla Hai Shab-E-Wasl Ka Sandes Liye
Kehkashan Bakhat Musafir K Paltnay Ki Naveed"

"Her Kiran Hath Main Thamay Ayee

Chand Nikla Hai

Mager Hasrat Say

Chand Ki Simat Meri Ankhien Taki Hati Hain"

"Chand Akaash Say Takta Hai Magar
Ankh Chura Laita Hai"

"Meri Ankhoon Ki Nami Aur Sawaloon Ki Chuban
Us Say Dekhi Nahi Jati Shayad"

"Meri Go-Yaee Maira Sath Nahi Day Paati
K Main Us Say Teri Babat Pochoon"

"Us Say Pochoon K Bata Mairay Muqadar K Najoom
Kin Andheeroon Main Hoye Toot K Reeza Reeza"

"Chand Ankhoon Ko Chura Ker Mujhe Say
Janne Kyun Tall Raha Hai Yeah Sawal"

"Kia Mairay Bakhat Main Ab K Bhi Nahi
Eid Ka Lamha??Wasaal"

"Kiya Palat Kr Nahi Aye Ga Wo Jannay Wala
Kia Meri Eid Faqat Ab K Bhi Ik Aur Naya Din Ho Gi?"

"Din Bhi Aisa Jo Qayamat Sa Ghuzarta Hai Sada
Durd K Rang Meri Ankhoon Main Jo Bharta Hai Sada"

"Ba-Kali, Dard, Jalan, Aur Sulagti Yadien
Dard Lo Aur Jaga Detien Hain"

"Karab Ko Aur Bharha Detien Hain
Meri Be-Rang Hatheeli Pay Dua Ki Titli"

"Akhri Saans Ki Had Pr Pohanchi
Meri Umeed K Saray Jugnu"

"Bhujti Ankhoon Main Bhujhay Jatay Hain
Hont Hansnay K Huner Say Aari"

"Dil Dharknay Ki Riwayat Say Juda
Ankh Say Khawab Alag"

"Mar Gaye Harf-E-Dua
Tooti Sansoon K Hontoon Pr"

"Faqat Sard See …Aaah
Dobtay Dil Say Bikharti See Sada Ati Hai"

"Kash…. Aye Kash K Yeh Eid Ka Chand
Apnay Hathoon Yeh Sandes Deta"

"Mujh Say Kehta K Huwa Hijer Tamam
Aye Mairay Chand Teri Eid Ki Shab Mairay Naam"

"Ab Faqat Mairay Naam
Lash Yeh Sandes Millay"

"Kash !! "

"Neelay Akash Pay Nikla Hai Abhi Eid Ka Chand
Dil K Akash Pay Doobay Ga Abhi Eid Ka Chand"

"Dil K  Aakash Say Tootay Ga Abhi Eid Ka Chand"

________________________________

Ab K Soch Rakha Hai Yun EID Manaon Ga

"Ab K Soch Rakha Hai Yun EID Manaon Ga
Dard Se Dil Tanhaiyun Se Ghar Sajaon Ga"

"Log Hain Muntazir Chaand K, Mujhe Intizaar Tumhara Hai
Logon Ki EID Chaand Se Main Tumein Dekh Kar EID Manaon Ga"

"Log Mil Kar Galay Muskuratay Hain
Main Bahon Mein kho Kar Teri Phir se Ashq Bahaon Ga"

"Ab To Aa Jao K Main Bhi EID Manna Lon
Tum Na Aaye To Main Yeh dunia Hi Chhor Jaon Ga"
________________________________

Chand Ko Daikh Kr

"Chand Ko Daikh Kr
Tmhhain Sochna AcCha Lagta Hai"

"Pholon Ki Khushbu Main
Teri Khushbu Mehsos Krna AcCha Lagta Hai"

"Saahil Ki Geeli Rait Par 
Tmhara Naaam likhna Accha Lagta Hai"

"Main Tmhari Hun
Mjhy Kehna Acha Lagta Hai"
________________________________

Chand Kabhi To Taron Ki Bheer Say Niklay

"Chand Kabhi To Taaron Ki Bheer Say Niklay
Aur Meri Khirki Main Aaye"

"Bilkul Tanha Aur Akaila
Main Usko Banhon Main Bhar Lou"

"Aik He Sans Main Sub Voh Batain Kr Lu
Jo Mery TaaluU Say Chimti"

"Dil Main Simti Rehti Hain"

"Sub Kch Aisay Ho Jeye,Jab Hai Na
Chand Meri Khirki Mian Aaye Tab Hai Naa"
________________________________

Kaho Kesay Guzarti Hai Tumhari Zindagi Paagal

"Kaho Kesay Guzarti Hai
Tumhari Zindagi, Paagal

Suna Hai, Ab To Eidein Bhi
Woh Pehlay Si Nahin Karty"

"Kisi K Ghar Nahin Jatey
Kisi Say Bhi Nahin Miltey

Kisi Ki Ek Nahin Suntey
Kisi Say Kuch Nahin Kehtey"

"Na Koi Gift Letey Ho
Na Koi Gift Detey Ho

Kabhi Khul Kar Na Hanstey Ho
Kabhi Khul Kar Na Rotey Ho"

"Bohat Bekal Bohat Upset
Bohat Be-Chain Hotey Ho

Suna Hai Chaand Raton Mein
Bohat Be-Mood Dikhtey Ho"

"Woh Kaghaz Phaarr Detey Ho
Kisi K Wastey Jin Par

Bohat Say Shair Likhtey Ho
Na Jeetey Jo Na Martey Ho"

"Suno Yeh Zindagi Pagal
Bassar Kis Taraha Kartey Ho?"

Kaho Kaisay Guzarti Hai?
________________________________

Suna Hai Chand Nikla Tha

"Suna Hy Chand Nikla Tha
Suna Hy EID Bhi Hogayi"

"Humein To Aasman Pe Door Tak
Kuch Bhi Nahi Dikha Tha"

"Kahan Wo Chand Nikla Tha
K Jis K Wasty Hum Ney"

"Kabhi Palkein Nahi Jhapki
Wo Jis Ka Rasta Takty
Hai Guzri Zindagi Apni"

"Nahi Kuch Bhi Khabar Ke Wo
Nikly Ga To Kab Aakhir…..??"

"Humari Muntazir Aankhon Ko
Us Ki Deed Kab Hogi?"

"Abhi Tum Hum Se Mat Pucho
Humari EID Kab Hogi"
________________________________

Aankh Ki Nadya Ashk Ki NayaYad Tmhari Chand Ki Raat




















Aankh Ki Nadya Ashk Ki NayaYad Tmhari Chand Ki Raat

"Aankh Ki Nadya,Ashk ki nayya,Yaad Tmhari,Chand Ki Raat
Jherna,Jugnu,Tim Tim Taray,Kitni Pyari Chand Ki Raat"

"Sookhay Pattay,Sard Hawayen,Soni Sarrkein,Main Aur Tm,
Shah Aur Malka Haath Hain Thaamay Aur Darbari,Chand Ki Raat"

"Mera Bachpan,Dor Patangen,Paki Nenden,Kachay Ghar
Chhupan Chhupi, Cheena Jhapti,Raaj Dulari,Chand Ki Raat"

"Tash K Pattay,Yar Hamary,Maili Chadar,Gehri Chaal
Saans Ka Huqqa, Behki Baatein,Ham Pe Tari Chaand Ki Raat"


Tuesday 30 July 2013

Chand Raat Poetry














Dekhiyeh Chand Raat Aai Hai

"Dekhiyeh chand raat aai hai
Sath khushian hazar laee hai"

"Tum chaley aao aik lamhey ko
Ham bhi manain ke eid aae hai"

"Chaand bhia ya chand lamhon ko
Jaisey tum ney jhalak dikhai hai"

"Ham ne qismat ajeeb paee hai
Eid ka din hai aur judai hai"

"Keh rahe hai hawa mujhy
Us ne mehndi abhi lagaii hai"
________________________________

Chand Raat Ko Tujhe Khud Choorian Pehnahoon Main

"Chand Raat Ko Tujhe Khud Choorian Pehnahoon Main
Jee Karta He Tujhe Khud Sanwaroon Sajahoon Main"

"Mehndi Ki Khushboo K Saat Teri Sansoo Main Utroon
Ho Aisa K Teri Hathelioon Main Khud Ko Bikhrahoon Main"

"Har Khushi Ki Tarha Teri Zaat Main Rahoon Har Lamhe
Tere Mukhre Pe Kiran Si Ban Kar Muskarahoon Main"

"Jaise Hawa Ati He Jaise Chandni Ati He Ghar Tere
Pata Tujhe Na Chale Is Andaz Se Kabhi Aaoon Main"

"Tere Dil Main Samaa Jaoon K Aisa Hi Ho Jae
Kabhi Darkan Ban Kar Tere Dil Ko Dharkahoon Main"

"Wo Jo Khanakti Hain Chamakti Hain Teri Nazook Kalayoon Main
Ho Aisa K Khud Hi Wo Choraiaan Ban Jahoon Main"
________________________________

Meri Gulabi Hinaayii Hatheili Ko

"Meri Gulabi Hinaayii Hatheili Ko

Meri Kalayi Main Khanakti Sunehri Choorri ko

Meri Zulfon Say Urrti Khushbu

Meray Paaon Main Bajti Payal Ki Cchan Cchan Ko

Meri Aankhon Main Sahay Ro Pehlay KHawabon Ko

Mery Dil K Mehaktay Aangan Ko

Sajan!!

Chand Rat Tery Aanay Ki Naveed Sunany Lagi Hai

Mery Liye EID Abhi Say Gungunany Lagi Hai"
________________________________

Chand Raat Aur Palkon Par

"Chand Raat Aur Palkon Par
Tery Khawab Sajaye"

"Kabhi Chand Ko Daikhain
Kabhi Tera Rasta Daikhain"

"Aas K Bandhan Baandhain
Kabhi Ghar Ka Suuna Aangan"

"Tery Qehqhon Say Hansta Daikhain
Magar Par Intzar-E-Yaar Liye"

"Kuch Guzashta Hai Paivasta Yadain
Kuch Adh Khili Kaliyon Ki Batain"

"Kuch Saraab

Adhooray Khawab

Aur Khawabon K Gulaab"

"Kuch Be-Qrariyan Ley Kr
Akaila Betha Sochoun"

"K Ab K Bhala Tou Kyun Aaye Gi
Kahan Meri Soi Nagri Bhaaye GI"

"Teri Manzal Zar Ka Rasta
Tou Aakhir Kyun Aaye Gi"

"Chalo Youn To Youn He Sahi

Tery Bgair Guzari Hai

Tery Bgair Guzarain Gay

"Her EiD"
________________________________

Dhanak Rang Chooriyan Pehnay

"Dhanak Rang Chooriyan Pehnay
Sajay Hon Hath Mehndi Say"

"Kabhi Dheeray Say Tum Keh Do
Tmhain Ho EID Mubarak"

"Jo Teri Deed Ho Jaye
To Meri EID Ho Jaye"
________________________________

Aaj Chand Raat Hai

"Aaj Chand Raat Hai
Aur Main Apnay Hathon Main"

"Daikhty Hue Soch Raha Hun
K Yeh EID Kis K Naam Karu"

"Usk Naam..
Jo Dil Ki Dhakanon Main Hai"

"Ya Phir Usk Naam
Jo Hath Ki Lakeeron Main Hai"
________________________________

Friday 26 July 2013

Bashir Badar Poetry Book Aahat














Us Dar Ka Darban Bna Da Ya ALLAH

"Us Dar Ka Darban Bna Da Ya ALLAH
Mujhko B Sultan Bna Day Ya ALLAH"

"In Ankhon Say Tery Naam Ki Barish Ho
Pathar Hun Insan Bna Day Ya ALLAH"

"Sehma Dil,Tooti Kashti,Charhta Darya
Her Mushkal Aasan Bna Day Ya ALLAH"

"Main Jab Chahu Jhaank K Tujhy Daikh Saku
Dil Ko Roshan Dan Bna Day Ya ALLAH"

"Mera Bacha Sada Kagaz Jaisa Hai
Ik Harf-E-Emaan Bna Day Ya ALLAH"
________________________________

Jub Raat Ki Tanhayi Dil Ban Ke Dharakti Hai

"Jub Raat Ki Tanhayi Dil Ban Ke Dharakti Hai
Yaadon Ke Jharokon Mein Chilman Si Sirakti Hai"

"Lobaan Mein Chingaari Jaisay Koi Rakh Jaaye
Yun Yaad Teri Shab Bhar SeenayMein Sulagti Hai"

"Yun Pyaar Nahi Chhupta Palkon Ke Jhukaanay Se
Aankhon Ke Lifaafon Mein Tehreer Chamakti Hai"

"Khush Rang Parindon Ke Lout Aanay Ke Din Aaye
Bichray Howay Miltay Hain Jab Barf Pighalti Hai"

"Shohrat Ki Bulandi Bhi Pal Bhar Ka Tamasha Hai
Jis Daal Pe Bethay Ho Wo Toot Bhi Sakti Hai"
________________________________

Sun Li Jo KHUDA Ne Dua Wo Tum To Nahi Ho

"Sun Li Jo KHUDA Ne Dua Wo Tum To Nahi Ho
Darwaze Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho"

"Simti Hui Sharmayi Hui Raat Ki Raani
Soyi Hui Kaliyon Ki Ada Tum To Nahi Ho"

"Mehsoos Kiya Tumko To Geeli Hui Palkein
Bheege Hue Mausam Ki Ada Tum To Nahi Ho"

"In Ajnabee Raahon Mein Nahi Koi Bhi Mera
Kisne Mujhe Yun Apna Kaha Tum To Nahi Ho"
________________________________

Pass Reh Kr Juda Si Lagti Hai

"Pass Reh Kr Juda Si lagti Hai
Zindagi Aab bewafa Si Lgti Hai"

"Mein Tumhare Beghair Hi Jee Loon Ga
Ye Dua Bad,Dua Si Lagti Hai"

"Naam Is Ka Likha Hai Ankhon Par
Aansoon Ki Khata Si lagti Hai"

"Woh Abhi Is Taraf Se Guzra Hai
Ye Zameen Aasman Si Lgti Hai"

"PYAAR Karna Hi Jurm Hai Shaid
Aaj DUNYA Khafa Si Lagti Hai"

"Zindagi Pay Aik Khauf Sa Taari Hai
Teri Yadoon Ka Aik Azaab Sa Jari Hai"

"Bhullana Tujhay Iss Qadar Nahi Hai Aasan
Aik Umer Tere Naam Pay Guzaari Hai"

"Thak Kar Betha Hai Yahan Kaun Bhaala
Khwahishon Ka Safar Abhi Jaari Hai"

"Lagg Kar Deewar Say Nidhal Sa Betha Hai
Woh Jiss Nay Ro Ro Kar Raat Sari Guzari Hai"

"Ye Sab Teri Mohabbat Ka Kasoor Hai
Sab Khoo K B Dil Teri Yaad Main Tari Hai"
________________________________

Ye khala Ha Arsh-E-Bareen Nahi

"Ye Khala Hai Arsh-e-Bareen Nahi Kahan Paon Rakhon, Zameen Nahi
Tery Dr Pay Sajdy Ka Shoq Hai Jo Yahan Nahi To Kaheen Nahi"

"Kisi Butt Trash Nay Shehar Main Mujhay Aaj Kitna Badal Diya"
Mera Chehra Mera Nahi Raha Yeh Jabeen B Meri Jabeen Nahi"

"Hai Zaroor Is Main B Maslihat Voh Jo Pochain Hans K Hai Kheriat"
K Mohabbton Main Garaz Na Ho, Nahi Aisa Pyar Kahein Nahi"

"Wahein Dar_O_Ghum Ka Gulab Hai,Jahan Koi Khana Khrab Nahi
Jisay Jhuk K Chand Na Choom Lay Voh Mohabton Ki Zameen Nahi"

"Teri Zulaf Zulaf Sjaon Kya Tujhy Khwab Khwab Dikhaon Kya
Main Safar Say Laot Kr Aaon Mujy Khud B Iska Yaqeen Nahi"
________________________________

Kisi Ki Yaad Mein Palkein Zara Bhigo Lete

"Kisi Ki Yaad Mein Palkein Zara Bhigo Lete
Udaas Raat Ki Tanhai Mein Ro Lete"

"Dukhon Ka Bojh Akele Nahi SaMbhalta Hai
Kahin Wo Milte To Usse Lipat Kar Ro Lete."

"Agar Safar Me HaMara Bhi HuMsafar Hota
Badi Khushi Se Inhi Pathro Par So Lete"

"Tumhari Rah Me Shakhon Pe Phool Sokh Gae
Kabhi Hawa Ki Tarha Is Tarf Bhi Ho Lete"

"Yeh Kya Ke Roz Wohi Chandni Ka Bistar Ho
Kabhi Dhoop Ki Chadar Bacha Kar So Lete"
________________________________

Azad Kr Day Apna Giraftar Main He Hun

"Azaad Kr Day Apna Giraftar Main He Hun
Sir Pay Latak Rahi Hai Jo Talwar Main He Hun"

"Hindustan Ka Sacha Wafadar Main He Hun
Qabron Say Poch Asal Zameen Dar Main He Hun"

"Darya K Sath Woh To Sumandar Main Beh Gya
Mati Main Mil K Mati Ka Haqdar Main He Hun"

"Apni Gazal Say Kis Ka Kaleija Nikaal Lu
Nagmo'on Ki Dhaar Shair Ki Talwaar Main He Hun"

"Us Beesviin Sadi Main They Faiz Fraq B
Is Beesvin Sadi Ka Adakar Main He Hun"

"Apnay Siwa Kisi Say Mohabbat Nahi Mujhay
Gaalib Bohat Shareef They, Makaar Main He Hun"

"Kya Wasta Gazal Ko Puranay Arooz Say
Andhay Tatool Mujhy K Fankaar Main He Hun"

"Voh Aish Kr Raha Hai Bohat Kaafiron K Sath
Mola Ki Rehmaton Ka Talabgar Main He Hun"

"Ab So Karorr Log Sambhalain Gay Raaj Paat
Urdu Gazal Ka Aakhri Darbar Main He Hun"

"Ik Meer Tha So Aaj B kaghaz Main Qaid Hai
Hindi Gazal Ka Doosra Autaar Main He Hun"

"Kalma Parhaaya Phir Usay Hindi Bna Diya
Mulk-E-Sukhan Ka Paak Gunehgar Main He Hun"

"Chola Badal K Phir Main Satta Main Aaon Ga
Jo Girny Wali Hai Voh Sarkar Main He Hun"

"Main Larty Larty Toot Gya Apny Aap Say
Rawan Ka Roop Raam Ka Autaar Main He Hun"

"Meri Zameen Nayi Hai, Mera Asman Hai Aur
Subh_E_Adab Hun Sham Ka Akhbaar Main He Hun"

"Apna Qasida Bheju Ga Apny Hazoor Main
Sooraj Hun Apni Doop Ka Darbar Main He Hun"
________________________________

Jo Apny Dukh Sukh Baant Saky Hum Usko Aurat Kehty Hain

"Jo Apny Dukh Sukh Baant Saky Hum Usko Aurat Kehty Hain
Warna Her AcChi Soorat Ko Pathar Ki Moorat Kehty Hain"

"Yeh Raam Janam Bhoomi Ka Lahu, Yeh Baabri Masjad K Shaheed
Tum Inko Mazhab Kehty Ho,Hum WehshiSiyasat Kehty Hain"

"Is Mulak Main Hindu Muslim Sikh Sub Pagal Hoty Jaaty Hain
Mulla, Pandat, Naita Isko ALLAH Ki Rehmat Kehty Hain"

"Duniya K Ujly Kurty Say Hum Nay To Jooty PoncCh Liye
Voh Shayar Hain Jo Ruswayi Ko Apni Shohrat Kejty Hain"
________________________________

Shehr-E-Dil Dhoondh Rahi Hain Galiyan

"Shehr-E-Dil Dhoondh Rahi Hain Galiyan
Zulaf Ki Chaal Chali Hain Galiyan"

"Band Darwazy,Mjalad, Naawal
Daastanon Say Bhari Hain Galiyan"

"Kamray Darwazay Dareechy Khamosh
Chilmanain Taak Rahi Hain Galiyan"

"Kaali Mohron Say Bhara Khat Pa Kar
Siskiyan Bharti Rahi Hain Galiyan"

"Aik Lamhay Ko Thehra Jaany Do
Mujhko Pehchan Rahi Hain Galiyan"

"Rat Shabnam Giri Kuch Had Say Siwa
Ya Bohat Roti Rahi Hain Galiyan"

"Kon Aata Hain Yahan Kis K Liye
Subko Pehchan Gayi Hain Galiyan"

"Mery Hathon Ki Lakeeron Ki Tarha
Asman Par B Bichi Hain Galiyan"

"Behty Ansu Tery Daman Ki Taraf
Shehr Ki Simat Chali Hain Galiyan"

"In Main Mil Jayein Bhoolay Bichray
Dil Main Aisi B Kayi Hain Galiyan"

"~Badar~ Tareekh K Safhon Main Nahi
Mery Dil MaiN Basi Hain Galiyan"
________________________________

Tha Meer Jinko Shair Ka Aazaar Mar Gaye

"Tha ~Meer~ Jinko Shair Ka Aazaar Mar Gaye
Galib Tumhary Saary Tarafdar Mar Gaye"

"Jazbon Ki Voh Sadaqtain Marhoom Ho Gayi
Ehsas K Naye Naye Izhar Mar Gaye"

"Tashbe-O-Ista'ara-O-Maz-O-Knaya Kaya
Paikar Trash Shair K Fankar Mar Gaye"

"Saqi Teri Shrab Bara Kaam Kar Gayi
Kuch Rasty Main, Kuch Pas-E-Dewar Mar Gaye"

"Taqdes Dil Ki Assiya Nigari Kahan Gayi
Shayad Gazal K Saary Gunehgar Mar Gaye"

"Shairon Main Ab Jahaad Hai,Roza Nmaz Hai
Urdu Gazal Main Tany They Kuffaar Mar Gaye"

"Akhbaar Ho Rahi Hai Gazal Ki Zuban Ab
Apny Shaheed Aath (8) Idhr Chaar(4) Mar Gaye"

"Misro'on Ko Hum Nay Nara-E-Takber Kr Diya
Geeton K Pukhta-Kaar Gulu-Kaar Mar Gaye"

"Aslob Tehat Itna Garaj-Daar Ho Gya
~Mehdi Hasan~ K Hasiya Bardaar Mar Gaye"

"Tanqedi Istilahoon K Mushtaq She-H-Swaar
Ghorron Pay Dorray Aaye Sardaar Mar Gaye"

"Naz-O-Ada Say MacChliyan Ab Hain Ghazal Sara'an
Tehmad Pakar K Saaheb-E-Dastaar Mar Gaye"

"Ya Rab Talism-E-Hosh Raha Hai Musha'ira
Jink Ko Nahi Bulaya Voh Gum-Khvar Mar Gaye"
________________________________

Seeeny Main Khanjar Ki Nook Chaboti Hain

"Seeeny Main Khanjar Ki Nook Chaboti Hain
Kuch Yadain B Kitni Zalim Hoti Hain"

"Bachpan Main Yeh Baat Mujhy Maloom Na Thi
Main Jab Hansta Hun Yeh Ankhain Roti Hain"

"Dil Main A Kar Tum Mat Gin'nay Lagna
Mery Andar Kitni Qabrain Soti Hain"

"Mera Haal Khuda He Behtar Jany
Mujh Par Din Hansta Hai Ratain Roti Hain"

"Jitny Taary Aasman Par Sab Tery
 Bol Sumandar Tery Andar Kitny Moti Hain"

"Tum Cchat Par Jab B Zulfain Bikhraty Ho
Baal Baal Main Ratain Os Parti Hain"

"Sab Ko MainTera In-Aam Samjhta Hun
Raahon Main Jo B Takleefain Hoti Hain"
________________________________

Kainat KiChilmaniyon Say Koi Jhankta B Ho

"Kainat KiChilmaniyon Say Koi Jhankta B Ho
Is Kainat Main Koi Manzar Naya B Ho"

"Itni Siyah Raat Main Kisko Sadayain Du
Aisa Chirag Day Jo Kabhi Bolta B Ho"

"Main Kis Tarha Yeh Maan Lu Fasl-E-Bahaar Hai
Ik Phool To Khilay Koi Pata Hara B Ho"

"Voh Mery Sath Chal Saky Is Dhoop Cchaon Main'
Meboob Khush Mizaj Ho Ghum Aashna B Ho"

 "Duniya Badal Gayi Hai Aur Badlay Gi
Kaisay Kahun K Aankh Main Sharm-O-Haya B Ho"

"Voh Chand To Nahi Hai Magar Chand Ki Tarha
In Pathron Ki Oat Say Ab Jhankta B Ho"
________________________________

Meri Aankho Main Tery Pyar Ka Ansu Aaye

"Meri Aankho Main Tery Pyar Ka Ansu Aaye
Koi Khusbu Main Lgaon Teri Khusbu Aaye"

"Waqt-E-Rukhsat Kahein Taary Kaheen Jugnu Aaye
Haar Pehnany Mujhy Phool Say Baazu Aaye"

"Mainy Din Raat Khuda Say Yeh Dua Maangi Thi
Koi Aahat Na Ho Dar Pay Mery Jab Tou Aaye"

"In Dinon Aapka Aalam B Ajeeb Aalam Hai
Teer Khaya Hua Jaisay Koi Aahu Aaye"

"Uski Baatain K Gul-O-Lala Pay Shabnam Barsay
Sab Ko Apna Bnany Ka Us Shokh Ko Jadu Aaye"

"Us Nay Cchu Kr Mujyhy Pathar Say Insan Kiya
Mudaton Bad Meri Aankhon Main Aansu Aaye"
________________________________

Zmana Kuch Nahi Badla Mohabat Ab B Baqi Hai

"Zmana Kuch Nahi Badla Mohabat Ab B Baqi Hai
Mohabbat Zindagi K Bagon Main Pholon Ki Tehni Hai"

"Mohabbat K Irady Mo'jazon Say Kam Nahi Hoty
Sumandar Par krny K Liye Kagaz Ki Kashti Hai"

"Kabhi Socha Khuda K Samny Ik Roz Jata Hun
Tera Mazhab Gazal Hai Aur Gazal But Parasti Hai"

"Kabhi Bolon To Shehron K Maka'an B Bat Karty Hain
Tumhary Zehan Main To Sirf Qasbay Ki Haveili Hai"

"Agar Beti Ki Shadi Ho To Phir Koi Nahi Dushman
Meri Basti Ki Yeh Mukhlis Kahawat Ab B Sachi Hai"

"Tery Sooraj Nikalny Say Mera Mosam Nahi Badla
Wohi Gehri Udasi Thi Wohi Gehri Udasi Hai"
________________________________

Teer Hai Aur Na Talwar insan Hai

"Teer Hai Aur Na Talwar insan Hai
Pyar Kr, Pyar He Pyar Insan Hai"

"Jo Mohabbat Say Lay Usi K Liye
Jaan Dainy Ko Tyar Insan Hai"

"Ik Ghar Kitny Hiso'on Main Taqseem Hai
Apni Raahon Ki Dewaar Insan Hai"

"Yeh Zameen Aasman Ko Cchooti Hui
Aur Majbur Lachaar Insan Hai"

"Apni Zanjeer  Main Khud He Jakra Hua
Aap Apna Giraftaar Insan Hai"

"Tum B Baazar Ho Hum B Bazaar Hain
Aaj Apna Khridar Insan Hai"

"Dushmano Say Bara Apna Dushman Bana
Apni Gardan Pay Talwar Insan Hai"

"Doosron K Diyon Ko Bhujata Hua
Roshni Ka Talabgar Insan Hai"
________________________________

Khon-E-Dil Khud Dra Say Tehreer Krain Gay

"Khon-E-Dil Khud Dara Say Tehreer Krain Gay
Hum Halaq Bareeda He Say Taqreer Karain Gay"

"Mumtaz Doob Gayi Hai Aab-E-Rawa'an Main
Hum Taj Mehal Pani Main Ta'ameer Karain Gay"

"Aqleem Sukhan Par To Hakoomat  Hai Hamari
Taqseem Gareebon Main Yeh Jaagerain Krain Gay"

"Taabeer Badalny Ka Hunar Seekh Liya Hai
Ab Hum B Tmhain Khawab Main Tasveer Karain Gay"

"Voh Fakhar Karay Ga K Mujhy Daikh Chuka Hai
Is Tarha Say Mulaqat Ki Tadbeer Karain Gay"

"Hum Apk Waris Hain Musaahib To Nahi
Hum Apki Taqreer Pay Taqreer Karain Gay"

"Ab 'Laa' Ka Safr Khatam Hua Aa Galay Lag Ja
Tou Khawab Hai Hum Khawab Ko Taabeer Karain Gay"

"Paani Ki Jaga Hum Nay Sada Zehar Piya Hai
Mar Jaaye Ga Hum Jisko Bagal-Geer Karain Gay"
________________________________

Jub Raat Ki Tanhayi Dil Ban Ke Dharakti Hai

















Jub Raat Ki Tanhayi Dil Ban Ke Dharakti Hai

"Jub Raat Ki Tanhayi Dil Ban Ke Dharakti Hai
Yaadon Ke Jharokon Mein Chilman Si Sirakti Hai"

"Lobaan Mein Chingaari Jaisay Koi Rakh Jaaye
Yun Yaad Teri Shab Bhar SeenayMein Sulagti Hai"

"Yun Pyaar Nahi Chhupta Palkon Ke Jhukaanay Se
Aankhon Ke Lifaafon Mein Tehreer Chamakti Hai"

"Khush Rang Parindon Ke Lout Aanay Ke Din Aaye
Bichray Howay Miltay Hain Jab Barf Pighalti Hai"

"Shohrat Ki Bulandi Bhi Pal Bhar Ka Tamasha Hai
Jis Daal Pe Bethay Ho Wo Toot Bhi Sakti Hai"
________________________________

Wednesday 17 July 2013

Mere Ishq Ko Nidhaal Kar


Mere Ishq Ko Nidhaal Kar














Mere Ishq Ko Nidhaal Kar

"Mere Ishq Ko Nidhaal Kar
Kabhi Hij'r Ko Bhi Wisaal Kar"

"Meri Aankh Ko Beenaai De
Mere Kalb Ko Ujaal Kar"

"Mujhe Dars De Tu Fana Ka
Mera Ishq Ma Bura Haal Kar"

"Mujhe De Saza Koi Sakht Si
Mujhe Is Jahaan Ma Misaal Kar"

"Meri Asal Soorat BigaR De
Kisi Ishq Ki Bhatti Ma Daal Kar"

"Mujhe Bhi Pila Koi Aisi Shay
Kabhi Meri Aankhein Bhi Laal Kar"

"Wo Jo Us Jahaan Ma Halaal Hai
Kabhi Is Jahaan Ma Halaal Kar"

"Teri Talab Ma Hoon Ma Dar'ba'dar
Kabhi Is Taraf  Bhi Khayaal Kar"

Dono Jahan Teri Mohabbat Mein Haar K


Dono Jahan Teri Mohabbat Mein Haar K













Dono Jahan Teri Mohabbat Mein Haar K

"Dono jahan teri mohabbat meiN haar ke
Wo ja raha hai koi shab-e-Gham guzaar ke"

"VeeraaN hai maikada Khum-o-saaGar udaas hai
Tum kya gaye ke rooTh gaye din bahaar ke"

"Ek fursat-e-gunaah mili, wo bhi chaar din
Dekhe haiN ham ne hausle parvar-digaar ke"

"Duniyaa ne teri yaad se begana kar diya
Tujh se bhi dil-fareb haiN Gham rozgaar ke"

"Bhoole se muskuraa jo diye the wo aaj ‘Faiz’
Mat pooch val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke"

Mohabbat Na Rahe Tou Phir


Mohabbat Na Rahe Tou Phir

Mohabbat Na Rahe Tou Phir

"Mohabbat Na Rahe Tou Phir
Raha Kuch Bhi Nahi Kerta"

"K Itni Taiz Aandhi Main
Bachaa Kuch Bhi Nahi Kerta"

"Wo Mujh Ko yaad Rakhna
Ab Gawara Hi Nahi Kerta"

"Main Jis Ko Yaad Rakhne
K Siwa Kuch Bhi Nahi Kerta"

"Kaha Tha Tujh Se Nadaan
K Zulm Ki Taiz Baarish Main"

"Siwaye Kachy Makano’n k
Gira Kuch Bhi Nahi Kerta"

Mohabbat Ki Aseeri Say Rhayi Mangtay Rehna
















Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna

"Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna
Buhut asaan nahiin hota judai mangtay rehna"

"Zara sa ishq kar lena zara si aankh bhar lena
Phir us kay baab main saari khudai maangtay rehna"

"Kabhi mehroom honton per dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat main uski narsai mangtay rehna"

"Wafaon kay tasalsal se mohabbat ruth jaati hai
Kahaani main zara si bewafai mangtay rehna"

"Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kay adat ho gayi dil ki
Sukoot-e-sham-e-ghum se hum navai mangtay rehna"

"Kabhi bachay ka nanhe haath per titli kay per rakhna
Kabhi phir us kay rangon say rehai mangtay rehna"

Muhabbat B Ajab Shay Hai Bari Takleef Deti Hai


Muhabbat B Ajab Shay Hai Bari Takleef Deti Hai

Muhabbat B Ajab Shay Hai Bari Takleef Deti Hai

"Muhabbat bhi ajab shay hai bari takleef deti hai
Isi meiN lutf haiN saare, yahi takleef deti hai"

"Yehi dastoor hai shaayad wafaadari kii duniya ka
Jise jee jaan se chaaho wahi takleef deti hai"

"Shikaayat kar rahaa tha aasmaaN se aik sehra kal
Mujhe khawaaboN meiN aksar ik naddi takleef deti hai"

"Palak bhar ka milan hota hai do anjaan chehroN meiN
Magar phir umr bhar ye ik ghaRi takleef deti hai"

"Kazaa ka khauf lekar jee rahe haiN sab zamaane meiN
Haqiiqat meiN sabhi ko zindagi takleef deti hai"

"Kabhi mauka-b-mauka ho to koii sabr bhi kar le
Magar aathoN pehar kii bekhudi takleef deti hai"

"Savaa neze pe jab aa jaayega sooraj to kya hoga
HumeN to garmiyoN kii loo baRi takleef deti hai"

"Zaraa kachche makaanoN kii taraf bhi tum nazar dalo
JahaaN baarish kii har teekhee jhaRi takleef deti hai"


"Adaavat ke jinhoNne har taraf parcham uRaaye the
UnheN ab dostoN kii berukhi takleef deti hai"

"Numu hote hi jiske baaghbaaN hasrat se taktaa hai
Kaii kaaNtoN ko wo taazaa kalii takleef deti hai"

"Bhulaane kii tago-dou meiN jalaa daale haiN khat mere
Magar usko usii kii diary takleef deti hai"

"Nazar aaye jahaaN se roshnii masloob aaNkhoN kii
Bayaaze-dil ko aisii shayri takleef deti hai"

Usay Mujh Say Mohabbat Hai




Wahi Takraar Lafzoon Ki

"Wahi Takraar Lafzoon Ki
Wahi Andeshey Furqat K"

"Wahi Gumnaam Si Kasak
Wahi Hr Baat Pr Ranjish"

"Wahi Hr Baat Pr Larna
Wahi Likhna Humaray Naam Ko Be_Reham Mojon Pr"

"Wahi Apni Kitabon Main Gulabi Titlian Rakhna
Wahi Be_Mayni Baton Main Humara Zikr Ley Aana"

"Humay Parday Say Cchup Kr Dekhna Aur Muskura Dena
Wahi Muskan Dheemi Si"

"Wahi Kuch Bolti Aankhein
Wahi Chup Chaap Sa Lehja"

"Wahi Bechain Si Halchal
Wahi Saye Say Ghabrana"

"Wahi Sakhiyon Say Katrana
Wahi Kehnay Say Kuch Darna"

"Sab Hi Aasaar Kehtay Hain
Usay Mujh Say Mohabbat Hai"

Mera Naam Hy Mohabbat
















Mera Naam Hy Mohabbat

"Khoyi Khoyi Si Dheemi Dheemi Si 
Thori An-kahi Thori Si Muskurati"

"Do Dilo’n ki Hy Ijazat
Mera Naam Hy Mohabbat"

"Bheege Sapne
Kachi Yaadei’n"

"Choti Choti Dil Ki Baatei’n
Kehti Hy Ye Zindagi
Kesi Hy Deewangi
Koi Rehta Hy
Aahato’n k Kinarey
Choo Loon Tou Sansanahat"
"Mera Naam Hy Mohabbat"

"Kuch Tehreerei’n
Likhte Rehna
Apne Ghar Main
Chalte Rehna
Anjani Baato’nMain Bhi
Hoti Hy Dil Ki Lagi
Sookhey Lamho’n Main
Baarisho’n k Kinarey
Honto’n Pe Hy Shararat"

"Mera Naam Hy Mohabbat"

Kabhi Zindagi Ka Naam Hai Mohabbat



















Kabhi Zindagi Ka Naam Hai Mohabbat

"KABHI ZINDAGI KA NAAM HY MOHABBAT
KABHI MOUT KA PEGHAM HY MOHABBAT"

"KAABHI MOHABBAT SY MILTI HY KHUSHI
KABHI GHAM KI SHAAM HY MOHABBAT"

"KABHI AANSUON KA RELA HY MOHABBAT
KABHI HANSI KA JAAM HY MOHABBAT"

"KABHI HY MOHABBAT DIL KI JALAN
KABHI DIL KA ARMAN HY MOHABBAT"

"KABHI MOHABBAT HI MILAN KA ROOP
KABHI TANHAI KI TARHAN BENAAM HY MOHABBAT"

"KABHI MOHABBAT SHAHNAYON KI GHARI
KABHI RUSWAI KA ANJAAM HY MOHABBAT"

"KABHI MOHABBAT SY HY ZAMANE MEIN IZZAT
KABHI BESHARMI KA ILZAM HY MOHABBAT"

"KABHI MOHABBAT HY BENAAM ZINDAGI
KABHI ZINDAGI KAHTI HY "MERA NAAM HY MOHABBAT"

Mohabbat Say Inayat Say Wafa Se Chot Lagti Hai













Mohabbat Say Inayat Say Wafa Se Chot Lagti Hai 

"Mohabbat Se, Inayat Se, Wafa Se Chot Lagti Hai
Bikharta Phool Hoon Mujhko Hawa Se Chot Lagti Hai"

"Main Shabnam Ki Zabaan Se, Phool Ki Awaaz Sunta Hoon
Ajab Ehsaas Hai Apni Sada Se Chot Lagti Hai"

"Meri Ankho'n Main Ansoo Ki Tarha Ek Raat Aa Jao
Takalluf Se, Banavat Se, Ada Se Chot Lagti Hai"

"Tujhay Khud Apni Majboori Ka Andaza Nahi Shayad

Na Kar Ehd-E-Wafa Ehd-E-Wafa Se Chot Lagti Hai"

Mujhe Jis Se Mohabbat Hai Usey Main Paa Nahi Sakti

















Mujhe Jis Se Mohabbat Hai Usey Main Paa Nahi Sakti

"Mujhe Jis Se Mohabbat Hai Usse Main Paa Nahi Sakti
Usse Paana Bohat Mushkil Usse Main Kho Nahi Sakti"

"Yeh Kaisa Jabr Hai Dil Per Yeh Kaisi Meri Majboori
Meri Aankhein Hain Nam Nam Si Magar Main Ro Nahi Sakti"

"Usse Hai Pyaar Mujh Se WOH Mujhe Her Roz Kehta Hai
Mujhe TUM Se Mohabbat Hai Usse Main Keh Nahi Sakti"

"Kabhi Milta Nahi Jo Woh To Chain Aata Nahi Mujh Ko
Juddayi Ka Khayaal Aaye To Phir Main So Nahi Sakti"

"Tera Israar Ek Din Ek Ho Jayenge Hum Dono
Mera Her Baar Keh Dena Ke Main Teri Ho Nahi Sakti"

Mohobbat Ik Dua Hai
















Mohobbat Ik Dua Hai

"Mohobbat Ik Dua Hai
Mujhay Bus Ye Dua Daina"

"Khata Koi Ju Ho Jaey
Kabhi Lehja Badal Jaey
Zaroori Baat Reh Jaey
Mera Chehra Bigar Jaey
Ager Pehchaan Na Paoon
Tumhay Gr Jaan Na Paoon
Dua Daina
Mohobbat Ik Dua Hai
Tum Mujhay Bus Ye Dua Daina
Sitaray ToRr Na Paoon
Tumharay Kaam Na Aaon
Tawazun Ju Na Reh Paey
Nazar Bandi Nazar Aaey
Ishara Ho Shararat Ka
Koi Dhoka Basarat Ka
Dua Daina
Mohobbat Ik Dua Hai
Tum Mujhay Bus Ye Dua Daina
Main Tum Se Keh Nai Paya
Tumharay Naam Ka Saya
Meray Humrah Rehta Hai
Mujhay Her Pal Ye Kehta Hai
Koi Mushkil Ju Dar Aaey
Tasawur Mera Dhundlaey
Dua Daina"

"Mohobbat Ik Dua Hai
Tum Mujhay Bus Ye Dua Daina"

Sawal Tu Hy Jawab Tu Hai















Sawal Tu Hy Jawab Tu Hai

"Sawal Tu Hy Jawab Tu Hy
Mohabbato’n Ki Kitaab Tu Hy"

"Be-sabat Jaha’n k Rung Saray
Meri Nazar Mein Shabaab Tu Hy"

"Ye Kainaat Hy Jis Se Roshan
Aftab, Taray, Mehtaab Tu Hy"

"Kabhi Tou HoTa Hy Paas Mere
Kabhi Chamakta Saraab Tu Hy"

"Phool, Kaliyo’n Ka Khush-Rung Pairhen
Khushbuo’n Ka Hijaab Tu Hy"

"Tu Meri Khwahish, Tu Meri Hasrat
Meri Aankho’n Ka Khwaab Tu Hy"

"Nisaab-e-Zindagi Hy Ishq
Meri Zindagi Ka Nisaab Tu Hy"

Mohabat Phir Mohabat Hai




















Mohabat Phir Mohabat Hai

"Mohabat phir mohabat hai
Kabhi dil say nahi jati"

"Lakhon rang hein is kay
Ajab hi dhang hein is k"

"Kabhi sehra
Kabhi deriya
Kabhi jugno
Kabhi anso"

"Hazaron roop rukhti hai
Badan jhulsa k jo rakh day
Kabhi woh dhoop rakhti hai"

"Kabhi ban ker yeh eik jugno
Shab_E_gham ki andheron mein
Dilon ko aas deti hai"

"Kabhi manzil kinarey pr
Sadyon k musafir ko
Faqat eik piyas deti hai
Aziyat hi Aziyat hai"

"Mohabat phir mohabat hay
Kabhi dil say nahi jati"

Mohabbat Meherban Hogi














Pareshan Tum Nhi Hona

"Pareshan Tum Nhi Hona
Mere janey pe
Ae Jaana’n"

"Pareshan Tum Nhi Hona
Kabhi Chup Kr Nhi Rona"

"Judai Zeher Hoti Hy
Mjhy Maloom Hy"

"Lekin"

"Firaq-O-Hijr Ka Mausam
Yaqeenan Beet Jayega"

"Yaqeenan Wasl k Lamhy
Dobara Laut Aayen Gy"

"Wohi Shaamein, Wohi Raatein
Wohi Qissey, Wohi Baatein
Wohi Phir Dastaan Hogi"

Mohabbat Meherban Hogi

Mohabbat Seekh Kr Krna

















Mohabbat Seekh Kr Krna

"Mohabbat seekh ker karna
Kay bin seekhey mohabbat ka safar dushwar hota hai
Gareeban tar hota hai
Kabhi inkar hota hai, kabhi iqrar hota hai
kay bin seekhe mohabbat to sarabon ki kahani hai
Dukhon ki raaj dhani hai
Jo kal ban jaye ga badal
Yeh wo dariya ka pani hai"

"Mohabbat seekh ker karna"

"Kay bin seekhey mohabbat to azab-e-zindagi thehri
Sarab-e-zindagi thehri
Na ho takmeel jis ki woh
Kitab-e-zindagi thehri"

BADNAM ZAMANY MEIN MOHABBAT NAHI KARTY













BADNAM ZAMANY MEIN MOHABBAT NAHI KARTY

"BADNAM ZAMANY MEI MOHABBAT NAHI KARTY
DIL WALY TO DUSHMAN SY B NAFRAT NAHI KRTY"

"IK BAR JISY CHAHA SADA IS K RAHAY PHR
HM LOG AMANAT MEI KHAYANT NAHI KRTY"

"TANHAI MEI KAR LETY HEN YAD ANSON BAHA KR
ZAHIR HUM APNI EBADAT NAHI KRTY"

"WAQT AANY PAR MALOOM YE HO JAE GA TM KO
HUM SIRF DIKHAWAY KI MOHABBAT NAHI KRTY"

"LIKHTY HEIN FAQT IK TUMHARY LIYE GHAZLAIN
HR SHAKS PAR HUM AESI ENAYAT NAHI KRTY"


Mohabbar Chup Nahi Rehti




















Mohabbar Chup Nahi Rehti

"Woh Boli, Phir Palat Aye,Chalay To Phir Palat Aye
Main Bola, Band Koochay Ka Safar Hay Zindagi Apni"

"Woh Boli, Har Sarrak Jati Hay Gham K Shehar Ki Janib
Main Bola, Aur Agar Woh Shehar Apney Dil Mein Ho To Phir?"

"Woh Boli, Gham Hamesha Sath Deta Hay Museebat Mein
Main Bola, Ik Zara Thehro Mujhay Kuch Ghor Se Dekho"

"Woh Boli, Kya Zaroori Tha Mujhay Tum Sath Hi Rakhtey?
Main Bola, Rooh Bin Main Jism Kya Karta, Kahan Jata?"

"Woh Boli, Aa Gaya Hay Raitla Mausam Judayi Ka
Main Bola, Main Tera Sehra Nord Mutaqil Thehra"

"Woh Boli, Rait Urrti Hay To Aankhon Mein Bhi Parti Hay
Main Bola, Dard Ki Maari Hui Aankhon Ko Iss Se Kya"

"Woh Boli, Soch Lo Iss Dhoop Mein Kantey Barastey Hain
Main Bola, Yeh To Acha Hay Bohut Par Phool Mehkein Ge"

"Woh Boli, Raat Zakhmon Par Bohut Teesein B Barsein Gi
Main Bola, Zakhm Par Zakhmon Ko Seh Janey Ki Aadat Hay"

"Woh Boli, Aarzooun K Lahu Ka Zaiyeqa Kya Hay?
Main Bola, Talkh Hay Meetha Hay Karrwa Hay Raseela Hay"

"Woh Kehti Hay, K Main To Maang Mein Suraj Sajaon Gi
Main Kehta Hoon, K Suraj Ki Wazahat Ho Magar Pehaley"


Mohabbat Cheez Aisi Hai















Mohabbat Cheez Aisi Hai

"Mohabbat Cheez Aisi Hai"

"Kabhi Hoti Hai Apnon Se
Kabhi Anjaan Rahoon Sy
Kabhi Gumnaam Rahon Sy"

"Mohabbat Cheez Aisi Hai"

"Kabhi Hoti Hai Phoolon Sy
Kabhi Bachpan Ky Jhoolon Sy "

"Kabhi Be-Ikhtiyaari Mein
Kabhi Pakke Usoolon Sy"

"Mohabbat Cheez Aisi Hai"

"Mohabbat Bas Mohabbat Hai
Mohabbat Ik Sadaqat Hai"

"Mohabbat Cheez Hi Aisi Hai"

"Dukhon Mein Rool Deti Hai
Dard Anmool Deti Hai
Zehar Bhi Ghool Deti Hai"

"Mohabbat Cheez Aisi Hai"

Mohabbat Jeet Hoti Hai


















Mohabbat Jeet Hoti Hai

"Mohabbat Jeet Hoti Hai
Magar Ye Har Jati Hai"

"Kabhi Dil Soz Lamhun Se
Kabhi Bekar Rasmoon Se"

"Kabhi Taqdeer Walun Se
Kabhi Majboor Kasmoon Se"

"Mohabbat Jeet Hoti Hai
Magar Ye Har Jati Hai"

"Kabhi Ye Phool Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhool Jaisi Hai"

"Kabhi Ye Chand Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhoop Jaisi Hai"

"Kabhi Masroor Karti Hai
Kabhi Ye Rog Daiti Hai"

"Kabhi Le Par Jati Hai
Kabhi Ye Mar Jati Hai"

"Mohabbat Jeet Hoti Hai!
 Magar Ye Har Jati"




















Mohabbat Ho Bhi Sakti Hai

"Pighal Patahr B Sakty Hain
Ulat Darya B Sakty Hain
Koi Awaara Sa PanCchi
Palat Kr Aa B Sakta Hai

Jo Shab

Mujh Pay Hansti Hai
Wohi Shab Ro B Sakti Hai
Mohabbat Ho B Sakti Hai"

Baray Masoom Jazbon Say




















Baray Masoom Jazbon Say

Baray Masoom Jazbon Say
Wo Apnay Shokh Haathon Par

"Wafa Ki Surkh Mehndi Say
Usi Ka Naam Likhti Hai"

"Jisay Wo Pyaar Karti Hai"

"Magar Wo Na_Samajh Larki
Abhi Tak Ye Nahi Samjhi"

"K Sapnay Toot Jaatay Hain To Bohot Barbaad Krtay Hain"

"Ye Uljhay Rang Haathon Par
Kabhi Thehra Nahi Kartay"

"Mohabbat To Haqeeqat Hai
Koi Sapna Nahi Hota"

"Kisi Ka Naam Likhnay Say
Koi Apna Nahi Hota"

Mohabbat Rog Hai Jaana
















Mohabbat Rog Hai Jaana 

"Mohabbat Rog Hai Jaana
Ajab Sanjog Hai Jaana
Yeah Kaisa Jog Hai Jaana"

"Baray Borhay(Elders) Batatay Thay
Kai Qisay Sunatay Thay
Magar Hum Mantay Kab Thay
Yeah Sab Kuch Jaantay Kab Thay
Yeah Baatein Zikir Ke Qabil
Bhala Gardantay Kab Thay"

"Anna Ke Takht Per Bethay
Humein Maloom He Kab Tha
Anna Ke Takht Se Oper
Bohat Sari Bulandi Per
Kehin Pariyoon Ke Jurmat Mein
Tere Pairon Ki Payal Mein
Tere Chhotay Se Gaaon Mein
Ghani Zulfon Ki Chaaon Mein
Sitaray Chand SoOraj
Walehana Raqs Kerte Hein"

"Humein Maloom He Kab Tha
Tere Qadmon Ki Aahat Per
Gulabi Muskrahat Per
Tere Honton Ki Jumbish Per
Tere Sar Ke isharay Per
Sada-e-Dilbrana Per
Nigah-e-Qaatilana Per
Jafa-e-Mehermana Per
Adaa-e-Kaafirana Per
Chamun Ke Phool Saray
is Tarah Se Dheeyaan Dete Hein
Zara Se Wasl Ke Jhansay
Mein Apni Jaan Dete Hein"

"Humein Kab Ilim Tha Jaana
Tere Pekar Se Dhul Ker
Chandni Her Su Bikharti Hai
Shab-e-Mehtaab Ki Doshezgi
Kaisay Nikharti Hai
Teri Payal Ki Chhun Chhun
Mann Mein Kia Ghanti Bajaati Hai
Teri Awaz Veeranay Mein
Kia Jaadu Jagati Hai
Tere Naghmay Faza Mein
Kis Tarah Jaltrang Bajatay Hein
Bohat Pukhta Iraday
Kis Tarah Se Toot Jaatay Hein"

"Humein Idraak He Kab Tha
Humein Kamil Bhrosa Tha
Humaray Saath Kisi Soorat
Bhi Aisa Nehin Ho Ga
Dil-e-Naadaan Kabhi
Qaboo Se Be-Qaboo Nehin Ho Ga
Yeah Duniya Daar
Duniya Daar Se Saadhoo Nehin Ho Ga"

"Magar!!!
Magar Phir Yoon Hua Jaana
Najaanay Kyon Hua Jaana
Bara Afsoon Hoa Jaana
Jigar Ka Khoon Hua Jaana"

"Tere Abru Ki ik Junbish
Se Ghaail Ho Gaye Hum Bhi
Baray Be-Multafit Phirtay Thay
Maail Ho Gaye Hum Bhi
Sakhawat Kerne Aaye Thay
Aur Sail Ho Gaye Hum Bhi
Baray Borhoon Ki in Baatoon Ke
Qaail Ho Gaye Hum Bhi

"K"

"Mohabbat Rog Hai Jaana
Ajab Sanjog Hai Jaana
Yeah Kaisa Jog Hai Jaana"

Main Aisi Mohabbat Karta Hon

















Main Aisi Mohabbat Karta Hoon

"Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho"

"Tum Jahan Peh Beth K Jati Ho
Main Waheen Pe Betha Rehta Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbt Karta Hoon"

"Tum Jis Se Huns K Milti Ho
Main Us Ko Dost Banata Hoon"

"Tum Jis Rustay Par Chalti Ho
Main Us Say Aata Jata Hoon"

"Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho"

"Tum Jin Ko Dekhti Rehti Ho
Wo Khuwab Sarhanay Rakhta Hoon
Tum Say Milnay Julnay K
Kitnay Hi Bahanay Rakhta Hoon"

"Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho "

"Tum Jahan Bhi Beth K Jati Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagati Ho
Main  Waheen Peh Baytha Rehta Hoon
Us Jaga Ko Choota Rehta Hoon"

"Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho"

"Kuch Khuwab Saja Kar Aankhoon Main
Palkon Say Moti Chunta Hoon
Koi Lums Agar Choo Jaa A To
Main Pehroon Us Ko Sochta Hoon"

"Sawal-E-Muhabbat"

"Tum Jehan Bhi Beth Ker Jati Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagata Hoon
Main Waheen Per Baitha Rehata Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon"

"Main Aisi Muhabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Karti Ho"

"Jis Bagh Main Subh Tum Jaati Ho
Jis Sabzay Par Tum Chalti Ho
Jo Shakh Tumhein Choo Jati Hai
Jo Khushbu Tum Ko Bhaati Hai
Wo Oas Tumharay Chehray Par
Jo Qatra Qatra Girti Hai
Wo Titli Choom Kay Phooloan Ko
Jo Tum Sai Milnay Aati Hai
Wo Tum Ko Choomnay Aati Hai"

"Jawab-E-Muhabbat"


"Main Aisi Muhabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Kartay Ho"

"Tum Jab Bhi Ghar Per Aatay Ho
Aur Sab Sai Batein Kartay Ho
Main Oat Sai Parday Ki Jaanah
Bas Tum Ko Daikhti Rehti Hoon
Ik Tum Ko Daikhnay Ki Kahtir
Main Kitni Pagal Hoti Hoon"

"Jab Darwazay Par Dastak Ho
Ya, Ghanti Phone Ki Bajti Ho
Main Sab Kuch Chore Kay Bhagti Hoon
Aur Tum Ko Jo Na Paon To
Ji Bhar Kay Ronay Lagti Hoon"

"Main Aisi Muhabbat Karti Hoon
Mehfil Main Kaheen Jab Jana Ho
Kaproan Ka Selection Karna Ho
Rung Bahut Sai Samnay Bikhray Hoon
Us Rang Pai Dil Ajata Hai
Wo Rung Tum Ko Bhata Hai"

"Main Aisi Muhabbat Karti Hoon"

"Rozana Apnay College Main
Kisi Aur Ka Lecture Suntay Huay
Ya, Break Kay Khali Ghantay Mein
Sakhion Sai Batein Kartay Huay
Mairiay Dehaan Main Tum Aajatay Ho
Main, Main Nahi Rehti Jaanah
Main Tum Mein Gum Ho jati Hoon
In Ankhoan Main Kho Jaati Hoon
Bas Tum Mein Gum Ho Jati Hoon"

"Main Aisi Muhabbat Karti Hoon"

Love Poetry




















Suno Mohabbat To Khush Gumaan Hai

"Tumhari Anghistri K Naag Mein
Meri Muhabbat Chamak Rahi Hai
Agar Kabi Ye Gumaan Guzray
K Main Tumhain Bhulnay Laga Hon
To Is Nageenay Ko Daikh Laina
Meri Nigahoon Ki Jagmagahat
Tumhari Ankhoon Say Ye Kahe Ge"

"Sunoo Mohabbat Khush Gumaan Hai"

"Agar Kohi Bughz-e-Dil Ka Mara
Nazar Say Toota Howa Sitara
Tumhare Seenay Main Waswason K
Kaseelay Khanjar Utarta Ho
K Wo Jo Dil Phaink-o-Bewafa Hai
K Wo Sab Par Fareeqta Hai
K Wo jo Pardes Ja Basa Hai
Tmhain Bhanwar Beech Chor Dega
Wafa K Sab Qaul Tor Dega
Tou Is Se Pehle K Ro Paro Tum
To IS Pehlay K Jal Bujho Tum
Tou Is Se Pehle K Ye Kaho Tum
Wo Ehad-o-Paiman Sab Ghalat Thay
Wafa K Unwan Sab Ghalat Thay
Sehar K Imkan sab Ghalat Thay
Tum Apni Inghst-e-Dilruba Par
Gulab Chehra Jhuka K Kehna"

"SUNO WO SACH MAIN BEWAFA HAI?"

Tumhara Rota Sawal Sun Kar
Ye Shokh Rang Muskura Pare Ga
Mohabbato'n K Safeer Ban K
Ye Surkh Nagg Aur Haseen Anghothi
Meri Numaindagi Karen Ge
Tumhare Chehre Se Cher Charh Kartay
Tumhari Aankhon K Rung Parhtay
Tumhare Baalo'n Pay Hath Phiartay
Tumhare Gaalo'n Ko Thapthapa K
Haseen Anghistri Kahay Gi

"SUNO MOHABBAT KHUSH GUMAAN HAI"
________________________________

Ab Kia Kahoon K Tujh Say Muhabat Nahi Rahi

"Ab Kia Kahoon ke Tujh se Muhabat nahi Rahi
Teri Talab mein Pehli Si Shidat Nahi Rahi"


"Ya To Teri Wafaon ka Musam Guzar gaya
Ya ye ke Tujh ko Meri Zaroorat Nahi Rahi"


"Us ko bhi Wada kar ke bholane ka Shouq Hai
Hum ko bhi Intzaar ki Adat Nahi Rahi"


"Un ko Ae Dost Fursat-e-Purish Mili to Kia
Ab hum ko Arz Haal ki Hasrat Nahi Rahi"
________________________________

Keh Gayi Ek Haseena Yeh Raat Mere Khwaab Me Aa Kr

"Keh Gayi ek Haseena Yeh, Raat Mere Khwaab Me Aakar
Karti Hoon Mohabbat Tujhse, Aur Sirf Marti Hoon Tujhpe"

"Aaina-e-Dil Me Tasveer Rahati Hai Teri Hi E-HumNasheen
Jo Sochti Hoon Khat Likhne ki, Gazal Likh Jaati Hoon Tujhpe"

"Aankhen Khulte Hi Kahin Bhool Na Jana Mujhko E-Sanam
Main Wo Saawan Ki Baarish Hoon, Jo Barsoongi Sirf Tujhpe"

"Jo Aa Gai Saamne Kabhi, To Kaise Pahachanega Tu Mujh ko
Isliye Badan Ki Khusbu Apni, Chode Ja Rahi Hoon Tujhpe"

"Apne Seene se Lagaaye Rakhna, Aankhon me Basaye Rakhna
Na Todna Kabhi Dil Mera, Bas Itna Ehasaan Tu Karna Mujhpe"

"Aaj Khwaabon Me Aayi Hoon, Kal Zindgi Me Bhi Aaungi
Main Hoon Sirf Teri, Dil-o-Jaan Jo Luta Baithi Hoon Tujhpe"

"Aaj Ja Rahi Hoon Sirf Izhaar Karke, Ikraar Ke Intzaar Me
Kal Raat Phir Aa Kar Mohabbat Apni, Bikhraaungi Main Tujhpe"

"Keh Gayi ek Haseena Yeh, Raat Mere Khwaab Me Aakar
Karti Hoon Mohabbat Tujhse, Aur Sirf Marti Hoon Tujhpe"
________________________________

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye

"Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye"

"Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye"

"Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye"

"Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye"

"Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye"
________________________________

Chori Se Woh Chupke Se Aankhon Mein Samaaya Hai

"Chori Se Woh Chupke Se, Aankhon Mein Samaaya Hai
Khwabon Mein Bhi Aa Aa Kar, Neendon Ko Churaya Hai"

"Aangan Mein Yeh Khushbu Ka, Jhonka Sa Jo Aaya Hai
Woh Aane Hi Wala Hai, Mausam Ne Bataya Hai"

"Tasveer Bani Baithi, Suntii Hi Chali Jaoon
Us Shokh Ki Baaton Ne, Jaadoo Sa Jagaya Hai"

"Khamosh They Ham Phir Bhi, Kuchh Shor Huaa Aisaa
Dil Mein Tiri Yaadon Ne Ik Hashr Uthaya Hai"

"Lo Aaj Isharon Mein Woh Keh Hi Gaya Aakhir
‘Main Ne Bhi Tujhe Apne Sapnon Mein Sajaaya Hai"

"Raston Ko Gulon Se To Sab Log Sajaate Hen
Hum Ne Teri Raahon Mein Dil Apna Bichhaaya Hai"
________________________________

Aaya Tha Ghar Sanvaranay Ehasaan Kr Gayaa

"Aaya tha ghar saNvaarane ehasaan kar gayaa
Barbaadiyon kaa aur bhii saamaan kar gayaa"

"Ab tak rahii us kii yaad merii zindagii ke saath
Do char pal kii mujh se jo pahachaan kar gayaa"

"AaNkhon ne jis ke shauq men raaten sajaaiy thiin
Khvaabon ke anjuman vahii viraan kar gayaa"

"Jhonkaa nasiim-e-subah kaa aayaa to thaa magar
Gul_shan kii har kalii ko pareshaan kar gayaa"
________________________________

Hazaron Bar Kehte Hain Hmein Tum Say Mohabbat Hai

"Hazaron bar kehte hen hamen tum se mohabbat ha
Sar e bazar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha"

"Kabhi jin ki ghani chaon men dono beth jatey they
Wo sab ashjar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha"

"Mein jab bhi pochta hon apney barey men khayal un ka
To wo har bar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha"

"Baharai'n jab chaman ki mehfilon men muskurati hen
Gul_O_Gulzar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha"

"Hamara raz e ulfat aashkara ho gaya kese
K ab aghyar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha"

"Sar_E_Mehfil jo apna hal e dil kehtey nahi
Pas_e_Diwar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha"
________________________________

Mere Humsafar Teri Nazar Hain Meri Umar Bhar Ki Yeh Dolatain

"Mere hamsafar teri nazar hain meri umr bhar ki yeh dolatain
Mere shair meri sadaqatain meri dharkanain meri chahatain"

"Tujhay jazb karlon lahu main main ke firaq ka na rahe khatar
Teri dharkanon main utar don main yeh khwab khwab rifaqatain"

"Yeh ridaye jaan tujhay sonp don ke na dhoop tujhko kari lage
Tujhay dukh na dain mere jeete ji sar e dasht gham ke tamazatain"

"Meri subah teri sada se ho meri shaam teri zia se ho
Yehi tarz pursish e dil rakhain teri khushbuon ki sifaratain"

"Koi aisi bazm e bahar ho main jahan yaqeen dila sakon
K tera hi naam hai fasl e gul ke tujhi se hain ye karamatain"

"Tera qarz hain mere roz o shab mere paas apna to kuch nahen
Meri rooh meri mata e fan meri saans teri amanatain"
________________________________

Musafir To Bicharty Hein Rafaqat Kab Badalti Hai

"Musafir to bicharty hein,rafaqat kab badalti hay
Mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hay"

"Tum hee ko chahtey hein,tum hee say pyar karty hein
Ye hee barsoon say adat hay aur adat kab badalti hay"

"Tumhein jo yaad rakha hay ye hee apni ibadat hay
Jo pathar pay likhi jay, ibarat kab badalti hay"

"Kali ka phool banna aur bikhar jana muqadar hay
Yehi kanoon-e-fitrat hay aur fitrat kab badalti hay"

"Jo dil pay naqash kar jay aur aankon mein simat aye
Alaamat hay ye chahat ki aur chahat kab badalti hay"

"Usay chaha,usy pooja,ye hee toqeer hay apni
Humein gumrah mat samjho,ibadat kab badalti hay"
________________________________

Meri Mohabbat Ki Itni Si Kehani Hai

"Meri Mohabbat Ki Itni Si Kehani Hai
Tuti Hui Kashti Aur Ruka Hua Pani Hai"

"Ik Gulab Jo Unki Kitab Main Dum Tord Chuka
Aur Unko Yad He Nahi Yeh Kis Ki Nishani Hai"
________________________________

Hazaron Dukh Parein Sehna, Mohabbat Mar Nahi Sakti 

"Hazaron Dukh Parein Sehna, Mohabbat Mar Nahi Sakti
Hai Tum Say Bus Yehi Kehna, Mohabbat Mar Nahi Sakti"

"Tera Mere Har Khat Ko Parhna Aur Ro Dena
Mera Har Baar Likh Dena, Mohabbat Mar Nahi Saktii"

"Kiya Tha Hum Nay Campus Ki Nadi PAy Ik Haseen Wada
Bhale Humko Paray Marna,Mohabbat Mar Nahi Sakti"

"Jahan Main Jab Talak PancChi Chehakte Urtay Phirtay Hain
Hai Jab Tak Phool Ka Khilna, Mohabbat Mar Nahi Sakti"

"Puranay Ehad Ko Jab Zinda Krnay Ka Khayal Aaye
Mujhe Bas Itna Likh Dena, Mohabbat Mar Nahi Sakti"

"Woh Tera Hijr Ki Shab Phone Rakhe Say Zara Pehlay
Bohat Rotay Huye Kehna, Mohabbat Mar Nahi Sakti"

"Agar Hum Hasraton Ki Qabr Mein Hi Dafan Ho Jayein
To Yeh Qutbon Pay Likh Dena, Mohabbat Mar Nahi Sakti"

"Puraanay Raabton Ko Phir Naye Wade Ki Khwaish Hai
Zara Ik Baar To Kehna, Mohabbat Mar Nahi Sakti"

"Gaye Lamhaat Fursat K Kahan Say Dhoond Kr Laoon
Wo Pehron Haath Pay Likhna, Mohabbat Mar Nahi Sakti"
________________________________

Ghar Moom Ka Pehley To Banaaya Nahin Jata

"Ghar Maum Ka Pehleh To Banaaya Nahin Jata
Bann Jaaye To Suraj Sey Bachaaya Nahin Jata"

"Marzi Hai Samundar Ki Dubbo De Ya Bachaa Ley
Takkat Pe Koi Hukamm Chalaaya Nahin Jata"

"Mein Apney Gareeban Mein Agar Dekhoon To Mujh Sey
Ilzaam Kissi Par Bhi Lagaaya Nahin Jata"

"Mill Jaaye Agar Peissa To Uthaa Letey Hein Pull Bhi
Insaane Gira Hum Sey Uthaaya Nahin Jata"

"Sachayi Ko Yeh Jhoot Bhala Keissey Mitaaye
Phoonkon Sey To Khursheed Bhujaaya Nahin Jata"

"Abb Baat Nahin Aahoon Ki Cheekhon Ki Hai ae Dost
Abb Mujh Sey Mera Dard Chupaaya Nahin Jata"
________________________________

Read More..

Mohabbat Poetry In Urdu













Mohabbat Paani Paani Hai Meri Paani Ki Basti Hai

"Mohabbat Paani Paani Hai Meri Paani Ki Basti Hai
Samandar Paar Krnay K Liye Kaghaz Ki Kashti Hai"

"Dilon Ki Khanaa Veerani Ka Youn Matam Nahi Krtay
Jahan Badal Nahi Hotey Wahan Rehmat Barasti Hai"

"Mohabbat K Khreedaran Miyaan Upar Say Aate Hain

Mohabbat Zindigi Day Kr Agar Mil Jaye Sasti Hai"
________________________________

Kisi Say Ab Etni Mohabbat Bhi Nahi Rakhni Hai

"Kisi Say AbEtni Mohabbat Bhi Nahi Rakhni Hai
Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai"

J"is Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday
Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai"

"Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil
Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai"

"Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen
Aise Logon Se Muraw’wat Bhi Nahi Rakhni Hai"

"Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka
Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai"
________________________________

Zindagi Apni Hans K Basar Krna

"Suno! Zindagi Apni Hans 
K Basar Kerna 

Nafrato’n k Raasty Py 
Na Safar Kerna" 

"Suno! Wafa Na Ho Tou 
Mohabbat Adhuuri Hy 

Mohabbat K Safar Main 
Wafa Ki Fikar Kerna" 

"Suno! Zamana Jitna Bhi 
Ho Humdard Tumhara 

Zamany Ko Na 
Shareek-e-Safar Kerna" 

"Suno! Mohabbat Har Kisi 
Ka Muqaddar Nahi Hoti 

Milay Jo Mohabbat Tou 
Us ki Qadar Kerna"
________________________________

Faqt Pehluu Badalny Sy

"Faqt Pehluu Badalny Sy 
Rafaqat Kam Nhi Hoti" 

"Mgr Phir Bhi Na Milne Ki 
Aziyat Kam Nho Hoti" 

"Jahan Koi Bichar Jaye 
Wahin Per Uski Manzil Hy" 

"Kisi k Saath Chalny Sy 
Musafat Kam Nhi Hoti" 

"Humare Dushmano Me 
Chahne Wale Bhi Shamil Hyn" 

"So Hum Jis Haal Main Bhi Hon 
Mohabbat KamNahi Hoti"
________________________________

Kaheen Ik Masoom Nazuk Si Larki

"Kaheen ik masoom nazuk si ladki 
Bohat khobsoort mager sanwali si" 

"Mujhay apnay khwabon ki banhoon main paa ker 
Kabhi neend main muskurati tu ho gi" 

"Usi neend main karwaten badel ker 
Serhaanay se takiyay girati tu ho gi" 

"Wohi khawab din ki khamoshi main aa ker 
Usay man he man main lubhatay tu hongay" 

"Kaii saaz seenay ki khamoshion main 
Meri yaad se jhun jhanatay tu hongay" 

"Woh besakhta dheemay dheemay suron main 
Meri dhun main kuch gun gunati tu ho gi" 

"Mujhay khat likhnay wo bathi tu hogi 
Mager ungliyan kapkapati tu hon gi" 

"Qalam haath se choot jata tu ho ga 
Mager qalam phir say uthati tu ho gi" 

"Mera naam apni kitabon per likh ker 
Woh Danton main ungli dabati tu ho gi" 

"Zuban se kabhi uff nikkalti tu ho gi 
Badan dheemay dheemay sulagta tu ho ga" 

"Kahiin k kahiin paoon pertay tu hongay 
Zameen pe dupata larakta tu ho ga" 

"Kabhi subah ko shaam kehti tu ho gi 
Kabhi raat ko din banati tu ho gi" 

"Kahheen ik masoom nazuk si ladki 
Bohat khoobsorat mager sanwali si"
________________________________

Mohabbat Humse Na Hogi

"Mohabbat Humse Na Hogi" 

"Suna hy Is Mohabt mE Bohat 
Nuksan hota hai 

Mehakta Jhoomta Jevan 
Ghamo k Naam hota hai" 

"Suna hai Chain Kho kr Wo Sehr 
Say Sham Rota hai 

Mohabbat Jo b krta hai Bohat 
Bdnaam hota hai" 

"Mohabbat Humse na hogi"

"Suna hai Is Mohabbat mE Kahin 
Bhi Dil nahi lgta 

Bina Uski Nigahon main Koi Mosam 
Nahi Jachta" 

"Khfa Jis se Mohabbat ho Wo Jevan 
Bhr nahi Hansta 

Bohat Anmol hai Jo Dil 
Ujjar kar Phir nahi basta" 

"Mohabbat Humse na ho gi"
________________________________

Zindagi Rukh Badal Gayi Hoti

"Zindagi rukh badal gayi hoti
Kash tu mujh ko mil gayi hoti"

"Zindagi ko galey laga leta
Har tamana pighal gayi hoti"

"Kash tu mujh ko mil gayi hoti
Khawab palkon pe mein sajaa leta"

"Tujh ko seeney se mein laga leta
Apne dil mein tujhe basaa leta"

"Meri kismat badal gayi hoti
Kash tu mujh ko mil gayi hoti"

"Aahh nikle gi hont si loon ga
Jis tarah ho sake ga jee lon ga"

"Zeher bhi hanste hanste pee loon ga
Gham ki yeh dhoop dhal gayi hoti"

"Kash tu mujh ko mil gayi hoti
Ab tere gham ko dil mein paloon ga"

"Haan judai ka zakham kha loon ga
Maut ko bhi galey laga loon ga"

"Maut bhi aa ke tall gayi hoti
Kash tu mujh ko mil gayi hoti"
________________________________

Dekha Palat K Us Nay K Hasrat Usay Bhi Thi

"Dekha palat k us ne k hasrat usay bhi thi
Hum jis pe mitt gae thay mohabbat usay bhi thi"

"Chupp ho gya tha dekh kar wo bhi idhr udhar
Dunya se meri tarha shikayat usay bhi thi

"Ye soch kar andhere galay se laga liye
Raaton ko jaagne ki aadat usay bhi thi"

"Wo ro dia tha mujh ko pareshaan dekh kar
Us din khula k meri zaroorat usay bhi thi"
________________________________

Mana Ke Tu Qatil Hai

"Mana Ke Tu Qatil Hai
Phir Bhi Rahat-E-Dil Hai"

"Zeher Ki Nadi Hai Tu
Phir Bhi Keemti Hai Tu"

"Jin Ke Hosle Kam Ho
Tera Saath Kya Denge"

"Zindagi Idhar To Aaa
Hum Tujhe Guzarenge"
________________________________

Kaha Us Nay Bharosa Dil Pr Etna Nahi Krtey

"Kaha usne bharosa dil par itna nae karte
Kaha mein ne k mohabat mein kabhi socha nae karte"

"Kaha usne bohat khush rang dunya k nazare hain
Kaha mein ne k jab tum ho tu kch dehka nae karte"

"Kaha usne mein tum se dur hun lekin tmara hun
Kaha mein ne k sapne dil ko behlaya nae karte"

"Kaha usne tmari chahat mein ruswayan hongi
Kaha mein ne shorat se gabraya nae karte"

"Kaha usne samjh jao samjh jao ae mere paga
Kaha mein ne k dewaney ko samjhaya nae karte"
________________________________

Mujhe Kaamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Ik Din

"Mujhe Kaamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Ik Din
Tumhare Dil Main UtrUnGa, Muhabbat Ki Sada Ban Kar"


"Mere Josh-e-Junoon Par Saari Khalqat Mujh Ko Takti Hai
Zara Tum Bhi Nazar Dalo, Na Bhetho U Khuda Ban Kar"


"Tumhein Ye Raaz Batla Doon, K Aksar Chaand Raaton Main
Tere Aangan MaiN Aata Hoon SitarOn Ki Zaya Ban Kar"


"Jigar Ka Khoon Laya Hoon Tere Singhar Ki Khaatir
Hatheli Per Racha Lena Ye MehkeGa Heena Ban Ker"


"Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kese Jaan Sulagti Hai
Tumhein Bhi Taras Aaye Ga Kabhi Socho 'Mohsin' Ban Ker"
________________________________

Teri Aankhon Man Meray Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hay

"Teri Aankhon Man Meray Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hay
Jisay Deewar Samjha Hai Woh Rasta Ho Bhi Sakta Hay"

"Zamana Ghour Say Dekhay Jisay Is Na-Khuda Samjha
Woh Is K Haath Ka Pathar Tarasha Ho Bhi Sakta Hay"

"Nazar Say Door Reh Kar Bhi Kisi Ki Soch Main Rehna
Kisi K Pass Rehnay Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hay"

"Woh Apni Sard Mehri Se Mujhey Had Main To Rakhta Hay
Mera Had Se Guzarnay Ka Irada Ho Bhi Sakta Ha"

"Bhari Dunya Ka Maila Sath Ho To Kon Si Mushkil
Magar Aik Shakhs Mailay Mein Akela Ho Bhi Sakta Hay"

"Ye Seedhi Raah Par Chalna Kahan Se Seekh Aaye Ho
Ye Raasta Dosti Ka Hai Ye Terha Ho Bhi Sakta Hay"

"Mein Apnay Jism-o-Jaan Ko Sath Rehtay Daikh Kar Samjha
Nibhana Ho Jisay Mushkil Wo Rishta Ho Bhi Sakta Hay"

"Uchalta Thokrain Khata Huwa Paani Ka Aik Dhaara
Teray Dil Tak Pohnchnay Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hay"

"Nikal Kar Band Kamrey Se Zara Bazaar Main Aao
Ager Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hay"
________________________________

Haatheli Pr Jisay Likhti Mitati Ho

"Haatheli par jise likhti mitati ho
Woh naam mera hi to hai"

"Mehndi jiske naam ki rachai hai tune
Woh naam mera hi to hai"

"Sunke jisko palke teri jhuk jaati hai
Woh naam mera hi to hai"

"Dil pe tere jo naam likha hai
Woh naam mera hi to hai"

"Tere honthon pe jo kaanp raha hai
Woh naam mera hi to hai"

"Dhadkan mein jo teri gunj raha hai
Woh naam mera hi to hai"

"Apna naam jisse joda hai tune
Woh naam mera hi to hai"

"Tere naam ke bina jo adhura hai
Woh naam mera hi to hai"
________________________________

Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho

"Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho
Wo Sada Tumhain Naseeb Ho"

"Tujhe Wo Khulos Milay Ke Jo
Teri Zindagi Pe Muheet Ho"

"Jo Mayaar Tujhko Pasand Ho
Jo Tumhare Dil Ki Umang Ho"

"Teri Zindagi Jo Talab Kare
Teray Hamsafar Ka Wo Rang Ho"

"Jo Khayaal Dil Main Aseer Ho
Or Dua Main Bhi Taseer Ho"

"Teray Haath Uthtay Hi Khuda Karay
Teray Saamne Tabeer Ho"

"Tujhe Wo Jahan Milay Jidhar
Ghamon Ka Koi Guzar Na Ho"

"Jidhar Rooshni Ho Khuloos Ki
Or Nafratoon Ko Khabar Na Ho"
________________________________

Sath Roti Thi Mery Sath Hasa Krti Thi

"Sath roti thi mery,sath hasa karti thi
Wo larki jo mery dil mein basa karti thi"

"Meri chahat ki talabgar is darja thi k wo
Musalay pe namazun mein dua karti thi"

"Ik lamhy ka bicharna bhi gira tha usko
Rotay huy mujhko khud sy juda karti thi"

"Mery dil mein raha karti thi dharkan ki tarah
Aur saaye ki tarah sath chala karti thi"

"Rog dil ko laga bethi anjany mein
Meri aaghosh mein marny ki dua karti thi"

"Baat kismat ki hai FARAZ Juda hogaye hum 
Warna wo tou mujhe taqdeer kaha karti thi"
________________________________

Tujy Dekhti Hein Ankhien To Yeh Bolti Hein Ankhen

"Tujy dekhti hen ankhien to yah bolti hen ankhen
Too jo kash Ashk hooti too kuch aur batt hoti"

"Tujy har khushi mein apni meri ankh dhondti ha
Yeh jo sab sey chup key roti to kuch aur bat hoti"

"Tujy samney bethata to yah ankh na jhapakti
Tujy takty taktey sOti too kuch aur bat hoti"

"Tary girtey ansoo ko jo mein hath sey metata
Phir to rotey rotey hansti to kuch aur bat hoti"

"Meri ankh jab bhi khulti teri deed ko tarasti
Bina ansoo key roti too kuch aur bat hoti"

"Mary dil ki har yah dharkan tujy yad ab b krti
Tarey naam sey dharakti to kuch aur bat hoti"

"Mary bahty ansoo ney tujy har dua mein manga
Bas dua qobol hoti too kuch aur baat hotii"

"Tera Youn bechar k jana mary hath ko chura kar
Too jo jatey jatey rukti to kuch aur bat hoti"

"Mujey eshq ney rulaya tujy eshq ney hansaya
Kabhi to bhi youn tarapti to kuch aur bat hoti"

"Thi Mohsin ki tamana k yah sans chaltey chaltey
Tarey bazuon pa rukti to kuch aur bat hooti"
________________________________