Pages

Thursday 21 November 2013

December Poetry















December Phir Udaas Hai

Ajnabi C Raho'n Main
Door Tak Nigaho'n Main

Be-Rukhi Ka Masom Hai
Aj Phir Nigaho'n Ko

Betay Pal Ki Piyas Hai
Phir Raha Hon Dar-Badar

Mujzy Ki Aas Hai
Aisa Lagta Hai Jaisay

December Phir Udaas Hai
Baat Tu Kray Koi

Sath tu Chalay Koi
Khamoshi Ka Pehra Hai

Zakhm Dil Ka Gehra Hai
Kisi Bouht Apnay Ki

Ab Mujhay Talash Hai
Aisa Lagta Hai Jaisay

December Phir Udaas Hai
December Lout Aya Hai Tum Bhi Lout Ao Na______!!
______________________________

Thoray Din DECEMBER Hai 

Thoray din DECEMBER hai
Sard sard shamain hain
Or thitharti ratain hain
Bus tumhari yadain hain
Bheegy bheegy mosam k sakht khushk aalam me
Sard sard shamon me
Aisi sard-baari me
Jab alaow jalty hain
Tum ko yaad karty hain
Dhoop bun k chhao na !
Aao paas aao na !
Narm narm haathon se
Garm garm sanson se
Meri sari saanso me
Khushbuen basao na
Aao lout aao na !
Ab na you'n stao na
Bus thoray din DECEMBER ha__!!
______________________________

Sard Raatoon Main

December ki sard ratoon mein
Kuch lamhoon mein kuch Baatoon mein

Koi mere sath tha______________
Jisnay kaha tha Nibhaonga sath

Aj mein us say bohat Door aachuka hon
Mein wo Waqt ganwa chuka hon

Per jab uski Yaad aati hai
Neend bohat door chali jati hai

Meri Taanhaiyoon ko haseen banati hai
Ab aesey hi Zindagi bitaengey______!!
______________________________

Khamoshi December Ki

Khamoshi december ki
Veeran sard raaton main
Khunk Say her ahat main
Zabt ki kai koshishooo ko
Juhtlati hai__aur sard banati hain
Khamoshi december ki
Is terha nikharti hai
Hijr ko berhati hai___
Mujhe bechain kerti hai
Khamoshi December Ki_____!!
______________________________

Tanha December Ki Thandi Khanak Raat Main 

Tanha December ki thandi khanak raat main
Bohhat door jati hai apni nazar

Sitaron k uss par woh rahguzar
Jahan hum nay paya tha ik hamsafar

Bohhat bay kali thi,tha lamba safar
Jahan kitni sadiyan then bas ik pehar

Nazar ko jo palta aur dekha idhar
Wohi sard raatain jo thein muntazir

Main apnay hi kamray main bethi hoon ab
Na woh kahkishan hai na woh hamsafar

Bas apnay hi jaisay hain kuch chara gar
Mera dard_e_dil aur wafa bay samar

Meray dil ki dunya gae hai ujarh
Tumharay bina hai yeh khali dagar

Yeh kaisa december hai ay hamsafar
Na dunya k gham na hi apni fikar

Bhool jata ho jaisay koi apna hi ghar
Aa ja k tujh bin hai soona nagar

Hai sab kuch yahan,nahi kuch b magar
Goya apnay hi jaisa hai sara shehar__!!
______________________________

Main Lotoun Ga December Main

December jab bhi ata hai
Wo pagli
Pher se beete mosamon ki
Talkhion ko yaad karti hai
Porana card parhti hai
Ke jis main os ne likha tha

Main Lotoun Ga December Main

Naye kapre banati hai
Wo sara gher sajati hai
December k her ek din ko
Wo gin gin ker betati hai
Jonhi 15 guzerti hai
Wo kuch kuch toot jaati hai
Mager pher bhi
Porani album ko khool ker
Mazi bolati hai
Nahi maloom ye us ko
K beete waqt ki khushian
Boht takleef deten hain
Mahz dil ko jalati hain__!!

Yonhi den beet jaate hain
December lout jata hai
Mager wo khush-fehm si larki
Dobara se calender main
December ke maheene ke 
Safhe ko moor ker pher se
December ke saher main doob jati hai
Ke akhir os ne likha tha......

MAIN LOUTON GA DECEMBER MAIN__!!
______________________________

Suno December Usay Pukaro

Suno December usay pukaro
Suno December usay mila do
Ab is sai pehlay keh saal guzray
Ab is sai pehlay keh jaan niklay
Wo hi sitara meri lakeeron main qaaid kar do'
Is aakhri shab kai aakhri pal koi bara ikhtitaam kar do
Ye zindagi bhee tamaam kar do
Suno December usay bula do__!!

0 comments:

Post a Comment