Pages

Wednesday 27 November 2013

Farhat Abbas Poetry Awara Mizaj



Ankh Say Rooh Ka Gham Zahir Hai

Ankh say rooh ka gham zahir hai
Iss ka aik aik sitam zahir hai

Bay khiyali main tumhari hi taraf
Mairay utain gy qadam zahir hai

Kuch chupa lainay say kia hai hasil
On ka jitna hai karam zahir hai

Dil k bheegay hoay mosam ki fiza
Az roo'ay deeda nam zahir hai

Tum bhula 2 gy tho phir tum ko be
Bhool hi jain gy ham zahir hai_____!!
__________________________

Badal Gaye Mere Mosam To Yaar Ab Aye

Badal Gaye Mere Mosam To Yaar Ab Aye
Ghamo'n ne Chaat Liya, Gham-Kisar Ab Aye

Ye Waqt Is Tarha Rone Ka To Nhi Lekin
Mein Kya Karu'n K Mere SoGawar Ab Aye

Wo Dhoop Dhoop Hi Mein Hogya Basar Chup Chap
Shajar Shajar Pe Mere Barg-o-Bar Ab Aye

Wo Jin Pe Dhoka Sa Jheela Tha Ham Ne Manzil Ka
Wo Qafilay To Sar-e-RahguZar Ab Aye

Na Dailio'n Pe Koi Phool Hai No HonTo'n Par
Maza To Jab Hai K Bad-e-Bahar Ab Aye
__________________________

Jab Tera Intezar Rehta Hai

Jab Tera Intezar Rehta Hai
Dil Bohat Beqarar Rehta Hai

Rooh Ko Bebasi Si Rehti Hai
Dard Ba Ikhteyar Rehta Hai

Ik Tera Dheyan Ariyon Ki Tarah
Rooh K Aar Paar Rehta Hai

Wehm Hai Yeh Mujhay K Teri Taraf
Ik Mera Gham Gusaar Rehta Hai

Shab Bohat Beqarar Rehti Hai
Din Bohat Sogwaar Rehta Hai
__________________________

Na Pocho Zindagi Kitni Karri Hai

Na Pocho Zindagi Kitni Karri Hai
Samajh Lo Moat Seenay Main Garri Hai

Liye Phirtay Hain Sub Apnay Janazy
Subhi Ko Apni Qabron Ki Parri Hai__!!
__________________________

Tune Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Ke Baad

Tune Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Ke Baad
Kitane Chup-Chaap Se Lagte Hain Shajar Shaam Ke Baad

Itne Chup-Chaap Ke Raste Bhi Raheinge Laa-Ilm
Chor Jaayeinge Kisi Roz Nagar Shaam Ke Baad

Main Ne Aise Hi Gunaah Teri Judai Mein Kiye
Jaise Tufaan Mein Koi Chor De Ghar Shaam Ke Baad

Sham Se Pahle Vo Mast Apni Uraanon Mein Raha
Jis Ke Hathon Mein The Tote Hue Par Shaam Ke Baad

Raat Biti To Gine Aable Aur Phir Socha
Kaun Tha Baa_Is-E-Aaghaz-E-Safar Sham Ke Baad

Tu Hai Sooraj Tujhe Maloom Kahan Raat Ka Dukh
Tu Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Sham Ke Baad

Laut Aaye Na Kisi Roz Wo Aavara Mizaaj
Khol Rakhte Hain Isi Aas Pe Dar Shaam Ke Baad_____!!
__________________________

Usay Mujh Say Mohabbat Nahi Thi

Usay Mujh Say Mohabbat Nahi Thi
Phir Bhi Us Nay Hamesha Tasleem Kiya
K Main Us Ka Aanay Wala Waqat Hun
Lekin
Usay Yeh Ilm Nahi Tha
K Anay Wala Waqt Hamesha Door He Dikhaayi Deita Hai
Aur Phir Achaanak He Guzar Jata Hai
Ye Bataaye Bgair
K Woh Guzar Raha Hai_____!!
__________________________

Bain

Kab Talak Dil Ko Cchupa Rakhain Gay
Dukh Deemak K Nazar Paar Utar Jaayein Gay
Zindagi Jeisay Ghata Toop Andhairay Main Basar Hoti Hia
Naaghaani Kisi Bhaphray Hue Wehshi Ki Tarha
Rooh Ki Dhool Urra Jaati Hai
Sukh Ki Be-Sood Tamanao Ki Paadaash Main Yaktarfa Saza
Aan Girti Hai Kisi Gareeb Say Naadeedgi Adal K Palrro Pay Safar Karti hui
So Rahay Hotay Hain Thak Haar K PuncChi Ghum K
Daar K Daar Urra Jaati Hai
Kab Talak Dil Ko Cchupa Rakhain Gay
Khoon Main Utri Hui Moat Say Oojhal Hai
Shaakh Say Liptay Hue Saanp Ki Maanind Bohat Dheeray Say
Aashiyaanay Ki Taraf Barhti Hai
Jhir Jhiri Bhi Nahi Leinay Deiti
Bain Izzat He Sahi Maiyat Ki Magar Baad Baaton Say Kabhi
Saaibaan Jurrtay Nahi Tootay Hue
Aasman Zinda Nahi Ho Jaatay
Aasman Martay Hain Aur Waqt Bigarr Jata Hai
Aasmaan Martay Hain Aur Shehar Ujarr Jata Hai
Kon Si Subha Jagaayein Gay Sir Ehd O Wafa, Kon Si Raat Sula Rakhain Gay
Kab Talak, Aur Bhala Kis Kis Say Khafa Rakhain Gay
Koi Awaz Lotay Gi
Koi Mehroom Dilaasa Bhi Nahi Paltay Ga
Kab Talak DiL Ko Cchupa Rakhain Gay
Sog Ka Sog Mana Lainay Say Kaya Hota Hai____!!
__________________________

Labon Pay Geet Aur Aankhon Main Khawab Rakhtay They

Labon Pay Geet Aur Aankhon Main Khawab Rakhtay They
Kabhi Kitabon Main Hum Bhi Gulaab Rakhtay Thay_____!!

Kabhi Kisi Ka Jo Hota Tha Intzaar Humain___________
Bara He Sham_O_Sehar Ka Khyaal Rakhtay They____!!
__________________________

Muj Par Sitam Zareef Zamanay K Sath Sath

Muj Par Sitam Zareef Zamanay K Sath Sath
Muska Raha Tha Hashar Uthanay K Sath Sath

Main Mit Raha Tha Un Ko Mitaanay K Saath Saath
Ruktay They Haath Teir Chalaanay J Saath Saath

Dushman Agarcha They Woh Magar They To Aadmi
DiL Ro Raha Tha Theek Nishanay K Saath Saath

Thay Ishq Main Ajab Say Rakhnay Parray Hue
Khud Rooth'ta Tha Mujh Ko Manaanay K Sath Sath

Aisa Laga K Ghum K Siwa Kuch Nahi Yahan
Aalam Sisak Raha Tha Dawaanay K Saath Saath

Is Shehar Main Ajeeb Tamasha Hai Zindagi
Hanstay Hain Log Neeir Bahaanay K Saath Saath_____!!
__________________________

Bichray Hue Logon Ki Ik Ik Baat Rula Deiti Hai

Bichray Hue Logon Ki Ik Ik Baat Rula Deiti Hai
Hum Ko To Her Aanay Jaanay Waali Baat Rula Deiti Hai

Waisay To Hum Dil K Barray He Pakkay Hain Her Ghum Main
Wo To Kabhi Kabhi Youn He Barsaat Rula Deiti Hai

Jaisay Pathar Kar Deiti Hai Baaz Auqaat Khushi Bhi
Jaisay Baaz Auqaat Koi Baaraat Rula Deiti Hai

Jinhon Nay Haar Kabhi Nahi Deikhi Hoti Hai Jeewan Bhar
Aisoon Ko To Cchoti Si Ik Maat Rula Deiti Hai

Ghamon Say To Kuch Aur Bhi Barh Jata Hai Zabt Hamara
Haan Albata Khushiyon Ki Bohtaat Rula Deiti Hai________!!
__________________________

Aakhir Shab To Abhi Door Thi 

Aakhir Shab To Abhi Door Thi
Kyun Toot Gira
Woh Sitara K Jisay Sir Pay Chamakna Tha Abhi
Kaisay Doopehar Pay Dhal Aayi Acchaanak Koi Weeiraan Si Shaam
Hum to Pehlay He Bohat Zard They DiL K Apnay
Kis Nay Torri Khizaan Serenay Main
Toot Kar Phail Jaati Hai Barri Sur'at Say
Aankh Say Rooh Ki Be_Naayi Talak
Jo Nazar Aata Hai Peeila Hai Bohat
Dil K Sartaan Say Kal Aalim_E_Tanhaayi Talak
Jo Smjh Ata Hai Neela Hai Bohat
Sog Ka Apna Asar Hota Hai
Sog Main Lagta Hai Aaye Hi Nahi
Roq Say Lagta Niklay He Nahi
Us Sitaaray Ka Chamakna Khawahish Thi
Kon Is Khaam Khyaali Ki Hawa Main Ata
Dard Ki Deedah Daleiri Hai K Paishaani Pay A Chamka Hai
Warna Be_Noor Diyaaron Main
Charaagon Ka Koi Kaam Nahi________!!
__________________________

Dil Udaas Rehta Hai

Dil Udaas Rehta Hai
Baarishon Ke Mausam Mein
Zindagi Pighalti Hai
Khwaahishon ke Mausam Mein
Waqt Thehar Jata Hai
Muntazir Nigahon Mein
Janglon Ke Khatray Hain
Bastion Ki Raahon Mein
Ho Sake Tou Lout Aana
Pyar Ki Panahon Mein
Ishq Ka Ijaara Hai
Dil Ki Shahraaon Per__!!
__________________________

 Raat Ka Sumandar Hai

Raat Ka Sumandar Hai
Raat Bhi Mohabbat Ki

Baat Ka Ujaala Hai
Baat Bhi Mohabbat Ki

Ghaat Ki Zruurat Hai
Ghaat Bhi Mohabbat Ki

Narm Garm Khamoshi
Sehaj Sehaj Sargoshi

Chor Chor Darwazay
Kon Chup K Aya Hai

Aarzu Nay Jungal Main
Raasta Bnaaya Hai

Jheinptay Hue Aangan
Nay Drakht Say Mil Kar

Kuch Na Kuch Cchupaya Hai
Aasman Ki Khirki Main

Sukh Bahri Shrarat Say
Chand Muskuraya Hai

Chand Muskuraya Hai
Chandni Nahaayi Hai

Khushbuon Nay Mosam Main
Aag Si Lagaayi Hai

Ishq Nay Mohabbat Ki
Aankh Choomna Chaahi

Aur Hawa K Halqay Main
Shokh Si Nizaakat Say

Shaakh Kamsaayi Hai
Raat Ka Sumandar Hai

Raat Bhi Mohabbat Ki
Bat Ka Ujaala Hai

Raat Bhi Mohabbat Ki
Baat K Sawaiary Main

Zindagi K Ghairay Main
Rooh Tamtamaayi Hai

Wasal Jhilmilaya Hai
DiL Nay Band Seenay Main

Hashar Sa Uthaaya Hai
Kon Cchup K Aaya Hai_______!!
__________________________

Jazba O Shoq Ki Rawani Mein

Jazba-O-Shoq Ki Rawani Mein
Ghalti Ho Gai Jawani Mein

Zindagani To Jaise Doob Gai
Hijar Aur Gham Ki Be Karani Mein

Jane Kia Keh Gia Hai Ashkon Ko
Aag Si Lag Gai Hai Pani Mein

Ek Din Dil Hawas Kho Baitha
Ek Choti Si Nagihani Mein

Tajzia Hi Nahi Kia Us Ka
Umar Beeti Hai Khush Gumani Mein

Us Ki Aadat Se Mujh Ko Lagta Hai
Koi Lazat Hai Bad Gumani Mein

Ek Kashish Si Ajeeb Hoti Hai
Ishq Ki Saltanat Ki Rani Mein

Wo Mujhe Dekh Kar Bahut Khush Hai
Dukh K Soraj Ki Sayebani Mein

Ek Mohabbat Hai Aur Judai Hai
Umar Ki Mukhtasar Kahani Mein____!!
__________________________

Ik Baar Kaho Tum Mere Ho

Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho
“Ik Baar Kaho Tum Mere Ho”

Mujhe Tum Bin Kuch Dikhaayi Na De
Kiun Itnay Ghoor Andheray Ho ?

Mein Panchi Pyaar Ke Deson Ki
Tum Mere Rain Basairay Ho

Mein Maal-O-Manaal Mohabbat Ka
Tum Daaku Chor Lutairay Ho

Kuch Bolo Ya Aazaad Karo
Kiun Khamooshi Se Ghairay Ho ?


2 comments: