Pages

Thursday, 28 November 2013

Jon Elia Poetry Book Gumaan















Zakham E Umeed Bhar Gaya Kab Ka

Zakham_E_Umeed Bhar Gaya Kab Ka
Qais Tou Apne Ghar Gaya Kab Ka

Ab Tou Mu Apna Mat Dikhaao Mujhe
Naa-siho Main Sudhar Gaya Kab Ka

Aap Ab Poochne Ko Aaye Hain
Dil Meri Jaan Mar Gaya Kab Ka

Aap Ik Aur Neend Le Lijiye
Kaafila Kooch Kar Gaya Kab Ka

Mera Fehrist Se Nikaal Do Naam
Main Tou Khud Se Mukar Gaya Kab Ka_____!!
____________________________

Azaab E Hijar Barha Loun Agar Ijazat Ho

Azaab-e-hijar barha loon agar ijazat ho
Ik aur zakhm kha loon agar ijazat ho

Tumharay aaraz o lab ki judai kay din hain
Mein jaam munh say laga loon agar ijazat ho

Tumhara husn tumharay khayal ka chehra
Shabahatoon me chhupa loon agar ijazat ho

Tumhi say hai meray her khowab-e-shoq ka rishta
Ik aur khowab kama loon agar ijazat ho

Thaka diya hai tumharay firaaq nay mujhay
Kahin mein khud ko gira loon agar ijazat ho___!!
____________________________

Tumhara Hijar Mana Loun Agar Ijazat Ho

Tumhara Hijar mana lon agar ijazat ho
Mein dill kise se laga lon agar ijazat ho

Tumhare bad bhala keya hen wada-o-peman
Bus apna waqt ganwa lon agar ijazat ho

Tumhare hijar ke shab haye kar men jana
Koi charagh jala lon agar ijazat ho

Jano-n wohe he wohe men magar he shehar neya
Yahan bhe shoor macha lon agar ijazat ho

Kise he khawahish marham gire ke magar pher bhe
Mein apne zakham dekha lon agar ijazat ho

Tumhare yad men jene ke aarzo he abhe
Kuch apna hal sanbhalon agar ijazat ho_____!!
____________________________

Juz Gumaan Aur Tha Hi Kaya Mera

Juz gumaan aur tha hi kia mera
Bas faqat mera naam tha mera____!!

Mujh main khuwahish hi dhoondne ki na thi
Mujh main khoya raha khuda mera___!!

Jab tujhe meri chah thi jaana'an
Bas wohi waqt the kara mera____!!

Khudkushi karle jaan le woh agar
Aalam-e-tark-e-muda'a mera____!!

Aa chuka paish woh murawwat se
Ab chaloon kaam ho chuka mera____!!

Aaj main khud se hogaya maayoos
Aaj ik yaar mar gaya mera____!!

Koi mujh tak puhanch nahi sakta
Itna aasaan hai pata mera_____!!

1 comment:

  1. Download Jaun Elia Poetry Collection

    https://play.google.com/store/apps/details?id=com.wJohnEliaPoetry

    ReplyDelete