Mundair Par Chiragh Rakh Diye Hain Khud Jalaye Ga
Mundair per chiragh rakh diye hain khud jalaye ga
Woh aanay wala shakhs janay kis taraf se aaye ga
To taye howa na, is gali k more tak to sath hain
Per is gali k more tak bhi ik zamana aaye ga
Udaas parbatoon se sardiyon ki barf aa mili
Magr ye rabt dhoop ki kiran se toot jaye ga
Jo log hijr ki musafaton main thak k so gaye
Khyal e mousam e wisaal hi unhain jagaye ga
Wo ajnabi to shehr chor kar kabhi ka jaa chuka
Kitab e dil ki roo-numai main kisay bulaye ga
To apnay harf us k naam kar k khud ko bhol ja
Ye ehd e be-hunr hai kis ko mou'ajza dikhaye ga
Sivaye us k apni teergi main aap jal utthain
Saleem shab zadoon ko kon roshni dikhaye ga
0 comments:
Post a Comment