Sham E Hijr Ki Rahi Wehshat Mery Peechy
Sham_E_Hijr Ki Rahi Wehshat Mery Peechy
Saaey ki terha jesy ho hasrat mery peechy
Maekhany main ab beth k peeny main maza kia?
Ghar laot k jany ki h moseebat mery peechy
Tiflan e shahar ko nahi maloom junoN ka Sung
hathon mn un k rhy shohrat mery peechy
Tha be rukhi ki bheer main aesa ghira hua
Laluch k libady main h gurbat mery peechy
Mujboor na hota agar ik ahd e wafa se
To kushkol liye phirtee mohbat mery peechy__!!
______________________________
Sham -E -Ghum Kuch US Nigah- E- Naaz Ki Baatein Karo
Sham -e -Ghum Kuch US Nigah- e- Naaz Kii Baatein Karo
Bekhudi Barhati Chali Hai Raz Kii Baatein Karo
Ye Sakoot -e- Naaz Ye DiL Kii Ragoun Ka Toot'na
Kahmoshi Main Kuch Shikast -e -Saaz Kii Baatein Karo
Kuch Kafas Ki Tiliyoun Sey Chann Raha Hai Noor Sa
Kuch Fiza Kuch Hasrat -e- Parwaz Kii Baatein Karo
Nikahat -e -Zulf- e -Pareshan, Dastan- e -Sham -e -Ghum
Subhoo Hone Tak Isi Andaz Kii Baatein Karo
Har Rug e Dil Vajd Main Atii rahe Dukhati Rahi
Yoon Hi Us Ke Ja- o- Beja Naz Ki Baatein Karo
Jiske Furqat Ne Palat Di Ishq Ki Ka'ya Firaq
Aaj Ussi Essa Nafas Damasaz Ki Baatein Karo__!!
______________________________
Jab Jab Sham Dhaley Gi
Jab jab sham dhaley gi
Dil mein werani utrey gi
Ankh’ein bhar ain gi
Dil dard ki sorat dhal jaye ga
Jab tu rasta badal jaye ga
To jana’n……
Hum tanha jee paen gey
Ya… mar jain gey..???
______________________________
Main Dil Par Jabr Karun Ga, Tujhe Bhula Dunga
Main dil par jabr karunga, tujhe bhula dunga
Marunga khud bhi tujhe bhi kadi saza dunga
Ye teergi mere gahr ka hi kyon muqaddar ho
Main tere sheher ke saare diye bujha dunga
Hawa ka haath battaon ga har tabaahi mein
Haray shajar se parinday main khud uda dunga
Wafa karunga kisi sogwaar chehre se
Purani qabr par qutba naya saja dunga
Isi khayal mein guzri hai shaam-e-dard aksar
Ke dard had se barhay ga to muskura dunga
Tu aasman ki surat hai, gir padega kabhi
Zameen hoon main bhi magar tujhko aasra dunga
Badha rahi hai mere dukh nishaniyan teri
Main tere khat teri tasveer tak jala dunga__!!
______________________________
Yeh Dasht-E-Hijr Yeh Wehshat Yeh Sham K Saaye
Yeh dasht-e-hijr,yeh wehshat,yeh sham k saaye
Khuda yeh waqt teri aankh ko na dikhlaye
Ussi kay naam say lafzon main chaand utray hain
Woh aik shakhs keh dekhoon tou aankh bhar aaye
Kali say main nay gul-e-tar jisay banaya thaa
Rutain badalti hain kaisay, mujhay hi samjhaye
Jo be-charaagh gharon ko charaagh deta hai
Ussay kaho keh meray shehar ki taraf aaye
Yeh iztaraab-e-musalsal azaab hai Ya Rab
Mera nahin tou kisi aur hi ka ho jaaye_________!!
______________________________
Meri Sham-E-Ghum Ko Wo Bhula Rahe Hain
Likha hai ye Khat main ki hum aa rahe hain
Thaher ja zara aur dard-e-furqat
Humare taswer main wo aa rahe hain
Ghum-e-aqbat hai na fikr-e-zamana
Piye ja rahe hain jiye ja rahe hain
Nahi shikawa-e-tashnagi mayakasho ko
Wo aNkhoon se maiKhane barasa rahe hain
Wo rashk-e-bahar ane wala hai Akhtar
Kanwal hasratoon ke khile ja rahe hain_____!!
Read More..
0 comments:
Post a Comment