Pages

Saturday, 23 November 2013

Urdu Hindi Raat Poetry
















Raat Darwazey Pey


“Raat

Darwazey Pe“

Kitni Dustakon k

Zakhm Thay Mohsin

Phir Wohi

Pagal Hawa Thi

Phir Mujhey

Dhoka Hua_______!!
___________________________

Kaati Hai Ghum Ki Raat Baray Ehtram Say

Kaati Hai Ghum Ki Raat Baray Ehtram Se
Aksar Bujha Chuke Hain Chiragon Ko Shaam Se

Roshan Hai Apni Bazm Or Is Ehtimaam Se
Kuch Dil Bhi Jal Rahay Hain Chiragon K Naam Se

Muddat Hui Hai Khoon-E-Tamanna Kiiye Magar
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahu Dil K Jaam Se

Subha-E-Bahar Hamko Bulati Rahi Magar
Ham Khailte Rahay Kisi Zulfon Ki Shaam Se

Har Saans Per Hai Maut Ka Pehra Laga Hua
Ahista Ay Hayat Guzar Is Maqaam Se

Kaati Tamaam Umar Fareb-E-Bahar Main
Kaante Samet'te Rahay Phoolon K Naam Se

Ye Aur Baat Hai K DUA Ham Ne Usey Di
Awaaz Us Ne Di Hai Hamain Har Maqaam Se
___________________________

Dil Ne Tanha Jheili Raat

Dil Ne Tanha Jhaili Raat
Hijr Ki Raat, Sahaili Raat

Din Waale Kab Boojh Sake
Mushkil Shaam Pahaili Raat

Ik Safe Ki Tashreehein
Chand, Chakor,Chanbaili, Raat

Din Apne Har Dard Ka Dost
Is Ki Aik Sahaili Raat

Ik Sunsaan Nagar Har Saans
Ik Weeraan Hawaili Raat

Is Ka Roop Har Kie Dhoop
Meri Sard Hathaili Raat

Is Ki Aankh Se Chalke Shaam
Us Ki Zulf Se Khaili Raat

Mohsin Ke Anjaam Ke Naam
Hijr Ki Naii Nawaili Raat
___________________________

Wo Raat Dard Aur Sitam Ki Raat Ho Gi

Wo raat Dard aur sitam ki raat hogi
Jis raat ruksat un ki Baraat hogi

Uth jatay hain ye soch kar neend se k
Kisi ghair ki baahon me Meri jan hogi

Hosh nahi tha mujhe Us ki shaadi ki raat
Main ne kabhi ye na Socha tha k meri zindagi Nelaam hogi

Meri jan ab zinda hon Teri khatir
Kal shehar me tere kafan Me lipti meri lash hogi

Tum dekh kar khoon k Ansoo ro gi
Youn khoon se bhari Meri lash hogi

Qayamat hi qayamt hogi Tere shehar me
K har gali har ghar me Likhi meri dukh bhari Daastaan hogi
___________________________

Zindagi Jab Bhi Teri Bazam Main Laati Hai Humain

Zindagi jab bhi teri bazm main laati hai hamain
Yeh zameen chand se bahtar nazar ati hai hamain

Surkh phoolon se mahak uthti hain dil ki rahain
Din dhalay yun teri aawaz bulati hai hamain

Yaad teri kabhi dastak kabhi sargoshi se
Raat ke pichale pehar rooz jagati hai hamain

Har mulaqaat ka anjaam judayi kyun hai
Ab to har waqt yehi baat satati hai hamain
___________________________

Raat K Pichlay Pehar

Raat K pichlay pehar
Us ki shab bedar aankhoon main
Nami ka ahsas uss kayy dil ka haal
Bata raha tha
Un aankhon main chayay surk doray
Us ki haya ki surkhi nahin
Us K dil kay haal ki gahmaz thee
Lekin shabash aay larki
Tu nay usay kitni khobsorti say
Apnay dil ka haal
Aankhoon main chupa lia_____!!
___________________________

Ho Raat Akeli Pichlay Pehar

Ho raat akeli pichlay pehar
Aur chand Gagan mai aa jaye__!!

Tum chand ke manind tanha ho
Ye baat tumhe tarpa jaye____!!

Kuch khwab saja kar palkon pe
Tum chand se batain kar lena__!!

Hum yaad tumhain to kartain hai
Tum yaad hamain bi kar lena___!!

Kuch baat na ho jab aisey hi
Num aankh tumhari ho jaye___!!

Tum baat kahin per kartay ho
Dil aur Kahin per kho jaye___!!

Jazbat ke aisey aalam mai
Muskan labon per bhar lena__!!

Hum yaad tumhain to kartay hai
Tum Yaad Hamain Bi Kar Lena___!!
___________________________

Meri Tanhayi Dasti Hai Mujhe Kabhi Tanha Raat Mei

Meri Tanhayi Dasti Hai Mujhe Kabhi Tanha Raat Mein
Shor Se Bhi Jee Ghabrata Hai Rang Bhari Mehfil Mein
Koi Apna Hai Dil Kehta Hai Bula Lo Paas Unhe Paas Apne
kyun tadpati Hai Raat Bhar Kyun Phunkte Hai Armaan Apne
Koi Kya Jaane Kitni Dur Ho Kar Bhi Kitne Hai Paas Mere
Haaye Meri Tanhai Mein Tanha Aur Kar Dete Hai Armaan Mere
Jao Hasrat Bhare Sapno Kahin Dur Mujhse Dur Chale Jao
Yun Nahi Jeeya Jata Kahin Inhe Shamshan Mein Hi Chor Aao
Bahot Der Ho Chuki Hai Koi Na Samjhega Yeh Meri Tanha Zubaan
Beet Gayi Hai Sapno Bhari Raat Tanha Bayaan Kya karegi Tanha Zubaan
___________________________

Hum Tum Hon Gay Badal Ho Ga

Ham Tum hongay badal hoga
Raqss main sara jungal hoga____!!

Wasl ki shab aour itni kali
Un ankhon ka kajal hoga___!!

Kiss nay kiya mahmez hawa ko
Shayed unka aanchal hoga___!!

Piyar ki rah par chalnay walo
Rasta sara daldal hoga_____!!

Kiya milna Farooq say logo
Hoga koi pagal hoga_____!!
___________________________

Kisi Ki Yaad Nay Jagaya Mujh Ko Raat Bhar

Kisi ki yaad ne jagaya mujh ko raat bhar
Kya saja di hai mohabbat ne khudaya mujh ko___!!

Din ko na araam hai na raat ko chain hai
Jane kis khak se banaya hai kudrat ne mujh ko___!!

Dukh to yeh hai ki jamane mile gair sabhi
Jo mila, woh mila ban k paraya mujh ko ban ke___!!

Jab koi kandha na rone ko
Ghar ki diwaro ne gale lagay mujhko___________!!

U to umid e wafa nahi hai tum se koi
Fir charagaho ki tarah kis ne jalaya mujho_____????

Bewafa jindagi ne jab chora hai tanha
Maut ne payar se pehluo me bithaya hai mujh ko___!!

Voh diya hu jise mohbbt ne kabhi jalaya tha kabhi
Gum ki andhi ne sar e aam bujhaya hai mujh ko____!!

Kaise kahu woh vasal k lamhien?
Yaad aata raha mujhe julfo ka saaya mujh ko_____!!
___________________________

Mere Khawaab Meri Kahaniya


Mere Khawaab Meri Kahaniya
Mere Be-Khabar Tujhe Kya Pata
Teri Aarzuo ke Dosh per
Teri kaifiyat ke Jaam mein
Mere Khawaab'Meti Kahaniya
Mere Zaiche'Mere Raastein
Mere laikh ki Ye Nishaniyaan
TERI Chah mein hai Ruki hue
Kabhi Ansuoon ke Kitaar mein
Kabhi Patharo ke Hisaar mein
Kabhi Dasht-e-Hijar ki Raat mein
Kabhi bad naseebi ki Ghaat mein
Kai rang Dhoop se jal gaye
Kai Chaand Shaakh se dhal gaye
Kai tan sulag ke pighal gaye
Tere ulfato ke Qayaam mein
Tere Dard ke Daro baam mein
Koi kab se Sabt-e-Saleeb hai
Teri kainaat ki Raat mein
TERI Azdhaam ki Shaam mein

Tujhay Kya Khabar Meray Be-Khabae_____!!
___________________________

Har Raat Us Say Milnay Ki Aadat Si Ho Gai

Har Raat Us Say Milnay Ki Aadat Si Ho Gai
Phr Rafta Rafta Us Say Mohabat Si Ho Gai

Shayed Ye Taza Taza Judai Ka Tha Asar
Har Shakal Yak-Baek Teri Soorat Si Ho Gai

Ik Naam Jhilmilany laga Dil K Taak Par
Ik Yaad Jesay Baesy Raahat Si Ho Gai

Khud Ko Saja Sanwaar K Rakhnay Ka Shok Tha
Phir Apnay Aap Say Mujhay Wehshat_______!!
___________________________

Gehri Gehri Raat Samander

Gehri Gehri Raat Samander
Din Sehra Aur Raat Samundar

Phir Bhi Main Hun Tishna Tishna
Warna Uski Zaat Samundar

Samnay Uski Aankhon K
Teri Kya Oqaat Samundar

Phir Bhi Gham Kya? Raah Mein Meri
Haayel Hain Gar Saat Samundar

Meri Gaftagu Hai sehra sehra
Uski Har Ek Baat Samundar

Boond Boond Ko Tarsay Sehra
Pee Jaye Barsaat Samundar____!!
___________________________

Dil Ki Aasmaan Mein Udasi Ka Andhera Hai

Dil ki aasmaan mein,udaasi ka andhera hai
Gham ki nisha ka ab na koi savera hai
Ankhon mein aansuon ki barsaat bhi tanha hai
Woh raat bhi tanha thi, yeh raat bhi tanha hai
Bujha hua chaand hai, woh khamosh kinaare
Na neend hai apni, no koi humaare
Baadalon ki taaron se mulaakaat bhi tanha hai
Woh raat bhi tanha thi, yeh raat bhi tanha hai____!!
___________________________

Dasht-E-Firaaq Ki Wo Raat Kesi Thi Raat Kuch Na Pooch

Dasht-e-firaaq ki wo raat, kesi thi raat? kuch na poch
TaaroN ka zikr ab na cheR, chand ki baat ab na poch

Qariya-e-jaaN ujaaR kr, jany kahaN nikal gaey
Wo jo di'ay thy bazm k, un ki hayaat kuch na poch

Tu ne saleebaiN gaR deiN, jhool gaye khushi se ham
Kam se apny kaam rakh, aur nukaat kuch na poch

Apni khushi se naam likh, khali paRi hay loh-e-dil
Naam-o-numood kuch na dekh, zaat sifaat kuch na poch

Baant'ty thy hathoN hath jam, kesi thi bazm rang pr
Kiesy luTa wo meykada, haaye wo baat kuch na poch__!!
___________________________

Wo Shoq E Be Panah Main Alfaaz Ki Talash

Wo shoq-e-be.panah main alfaaz ki talash
Izhaar ki zubaan main luknat ke raat din

Wo ibtida-e-ishq , wo aghaaz-e-shayri
Wo dasht-e-jaaN meiN pehli musafat ke raat din

Saudaa-e-aazari meiN hawa-e-sanamgari
Wo but parastiyooN meiN ibaadat ke raat din

Ruu-e-nigaraaN-o-chashm-e-ghazaleiN ke tazkarey
Gaisu-e-yaar-o-Harf-o-Hikayat ke raat din

Nakarda.kariyooN pe bhi badnamiyooN ka shor
Akhtar shumariyooN pe bhi tuhmat ke raat din

Mir-o-Anees-o-Ghalib-o-Iqbal se alag
Rashid, Nadeem, Faiz se raghbat ke raat din

Sheelay ka sahar, Keats ka dukh, Byran ki dhaj
Inn kaafirnaan-e-ishq se nisbat ke raat din

Jesay mae-e-sukhan se suraaHi bhari hui
Zor-e-bayaan-e-Husn-e-tabiyat ke raat din

Rakh kar kitab-e-aqal ko nisiyaaN ke taaq per
Wo aashiQi meiN dil ki Hukoomat ke raat din

Har rose, rose-e-abar tha, har chaand, chaand raat
Azaad zindagi thi, faraghat ke raat din

Ek raazdaar-e-khas ko har waqt dhoondna
Be.aitbaariooN meiN zaroorat ke raat din

Wo har kisi se apna hi aHwaal poochhna
Apney se bhi tajahul-e-ghaflat ke raat din

Ek dushman-e-wafa ko bhulaney ke waastey
Chara.GarooN ki pind-o-naseeHat ke raat din

Pehlay bhi jaaN.gusl thae magar iss qadar na thae
Ek shehr-e-be.amaaN meiN sukoonat ke raat din

Phir ye hua shewa-e-dil tark kar diya
Aur taj diey thae ham ne mohabbat ke raat din

Fikr-e-muaash shehr badar kar gai hamaiN
Phir ham thae aur kalam ki mushaqqat ke raat din

Phirtay thae Mir khwaar koi poochhta na tha
Qismat meiN jab talak thae qanaa.t ke raat din

Naauwardaan-e-shehr-e-tamanna ko kya khabar
Ham saaknaan-e-koo-e-malamat ke raat din_____!!

Read More..

0 comments:

Post a Comment