Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati
Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati
Yadoon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati
Ab Umar, Na Moasam, Na Wo Rasty Keh Palat.te
Iss Dil Ki Magar Kham Khiyali Nahe Jati
Aye Koi Aa ker Ye Tere Dard Sambhaley
Hum Sai To Yeh Jageer Sambhali Nahi Jati
Malum Humay Bhe Hain Bohat Se Tery Qisay
Har Baat Teri Hum Sai Uchaali Nahi Jati
Humrah Tere Phool Khilati Thi Jo Dil Mein
Abb Sham Woh Dard Se Khali Nahe Jati
Hum Jaan Se Jayan Ge Tabhi Baat Banay Gi
Tum Se Tou Koi Rah Nikali Nahi Jati_____!!
___________________________
Raat Bhi Nind Bhi Kahani Bhi
Raat bhii niind bhii kahaanii bhii
Haaye kyaa chiiz hai javaanii bhii
Ek paiGaam-e-zi.ndaganii bhii
Aashiqii marg-e-naagahaanii bhii
Is adaa kaa terii javaab nahii.n
Meharabanii bhii saragaraanii bhii
Dil ko apane bhii Gam the duniyaa me.n
Kuchh balaaye.N thii aasmaanii bhii
Mansab-e-dil Khushii luTaataa hai
Gam-e-pi.nhaa.N bhii paasabaanii bhii
Dil ko sholo.n se karatii hai sairaab
Zindagii aag bhii hai paanii bhii
Shaad-kaamo.n ko ye nahii.n taufiiq
Dil-e-Gamagii.n kii shaadamaanii bhii
Laakh husn-e-yaqii.n se ba.Dakar hai
In nigaaho.n kii badagumaanii bhii
Tanganaa-e-dil-e-malaal me.n hai
Behr-e-hastii kii bekaraanii bhii
Ishq-e-naakaam kii hai parachhaa_ii
Shaadamaanii bhii kaamaraanii bhii
Dekh dil ke nigaar-Khaane me.n
ZaKhm-e-pi.nhaa.N kii hai nishaanii bhii
Khalq kyaa-kyaa mujhe nahii.n kahatii
Kuchh sunuu.N mai.n terii zabaanii bhii
Aaye taariiKh-e-ishq me.n sau baar
Maut ke daur-daramiyaanii bhii
Apanii maasuumiyo.n ke parde me.n
Ho ga_ii vo nazar sayaanii bhii
Din ko suuraj-mukhii hai vo naugul
Raat ko vo hai raat-raanii bhii
Dil-e-badanaam tere baare me.n
Log kahate hai.n ik kahaanii bhii
Nazm karate ko_ii na_ii duniyaa
Ki ye duniyaa hu_ii puraanii bhii
Dil ko aadaab-e-ba.ndagii bhii na aaye
Kar gaye log hukmaraanii bhii
Jaur-e-kam-kam kaa shukriyaa bas hai
Aap kii itanii meharabaanii bhii
Dil me.n ik huuk bhii uThe ai dost
Yaad aa_ii terii javaanii bhii
Sar se paa tak sapurdagii kii adaa
Ek andaaz-e-turkamaanii bhii
Paas rahanaa kisii kaa raat kii raat
Mehamaanii bhii mezabaanii bhii
Jo na aks-e-jabiin-e-naaz ki hai
Dil me.n ik nuur-e-kahakashaanii bhii
Zindagii ain diid-e-yaar "Firaq"
Zindagii hijr kii kahaanii bhii ____!!
___________________________
Us Nay Sakoot E Shab Mein Bhi Apna Payaam Rakh Diya
Usne sakoot-e-shab mein bhi apna payaam rakh diya
Hijar ki raat baam par maah-e-tamaam rakh diya
Aa`mad-e-dost ki naveed kuu-e-wafa meiN aam thi
Mein ne bhi ek chiraagh sa dil sar-e-shaam rakh diya
Dekho ye mere khwaab thay dekho ye mere zakhm haiN
Mein ne to sab hisaab-e-jaan bar sar-e-aam rakh diya
Us Nay nazar nazar mein he aise bhale sukhan kahay
Mein ne to uske paa`OoN mein saaraa kalaam rakh diya
Shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-maikashi rahi
Us Nay jo phair li nazar mein ne bhi jaam rakh diya____!!
___________________________
Dil Hai Ainaa-E-Hairat Se Do-Chaar Aaj Kii Raat
Dil Hai Ainaa-E-Hairat Se Do-Chaar Aaj Kii Raat
Gam-E-Dauran Main Hai Aks-E-Gam-E-Yaar Aaj Kii Raat
Aatish-E-Gul Ko Daaman Se Havaa Detii Hai
Diidanii Hai Ravish-E-Mauj-E-Bahaar Aaj Kii Raat
Aaj Kii Raat Kaa Mahamaa Hai Malbuus-E-Hariir
Is Chaman-Zaar Main Ugate Hain Sharar Aaj Kii Raat
Main Ne Farahad Kii Aagosh Main Shiriain Dekhii
Main Ne Paravez Ko Dekhaa Sar-E-Daar Aaj Kii Raat
Jo Chaman Sarf-E-Khizaan Haain Vo Bulaate Hain Mujhe
Mujhe Fursat Nahe Ai Jaan-E-Bahaar Aaj Kii Raat
Dar-E-Yazadain Pe Bhii Jhukatii Nahiain Is Vaqt Jabiain
Mujh Se Ankhain Na Lara Aaj Kii Raat
Mashaal-E-Sher Kaa Laayaa Hun Charhavaa “Abid”
Jagamagaatain Haain Shahiidon Ke Mazaar Aaj Kii Raat___!!
___________________________
Me Hon Tera Khyal Hai Aur Chand Raat Hai
Me hon tera kheal hai aur chand raat hai
Dil dard se nidhal hai aur chand raat hai
Ankhon me chob gaen teri yadon ki kirchiyan
Kandhon pe gham ki shal hai aur chand raat hai
Dil toor k khamosh nizaron ka kia mila?
Shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai
Phir titliayan si orane lagen dashat khawab me
Phir khawaish-e-wasal hai aur chand raat hai
Campas ki nehar par hai tera hath hath me
Mosam bhi lazawal hai aur chand raat hai
Har ikk kali ne orah lia matami libas
Har phol par malal hai aur chand raat hai
Meri to por por me khoshbo si bus gai
Us par tera kheal hai aur chand raat hai
Chalka sa parh raha hai WASI wehshaton ka rang
Har cheez pe zawal hai aur chand raat hai
___________________________
Main Is Hisar Say Niklon To Aur Kuch Sochon
Main is hasar se nikalon to aur kuch sochon
Tumhare piar se nikalon to aur kuch sochon
Teri galii k ilawa bhi aur qarye hain
Jo is diyar se nikalon to aur kuch sochon
Tumhare hijar ki sadiyan tumhare wasal k din
Main is shumar se nikalon to aur kuch sochon
Racha hoa hai tera ishq meri poron me
Main is khamar se nikalon to aur kuch sochon
Ye mera jisam k matam sara-e-hasrat hai
Main is mazar se nikaln to aur kuch sochon
Ye mujh ko kon mere raat din sambhalata hai
Iss ikhteyar se nikalon to aur kuch sochon
Tumhare jisam ki khoshboo ne kar dia masahoor
Iss abshar se nikalon to aur kuch sochon
Ye bekarari meri rooh ka ojala hai
Main iss karar se nikalon to aur kuch sochon____!!
___________________________
Pa Barhna Aur Mere Charon Taraf Tanhaiyan
Pa barhna aur mere Charon taraf tanhaiyan
Chon raha hon teri yadon ki solagati kirchiyan
Kia kahen tarak-e-etaluq ka irada to nahin
Yaad jo karne lage ho tum purani talkhiyan
Aah! Wo mosam wo heele aur kinara nehar ka
Yaad ati hain mujhe campus ki sari shokhiyan
Kia kisi wehshat zada mosam ka tum ko khof hai
Kiss lie khamosh ho kholo na dil ki khirkiyan
Me use shohrat k baam-o-dar pe pohchane k bad
Apne daman me chopa le jaon ga ruswaiyan
Apni barbadii ka me ja kar kise ilzam don
Apne hathon se dabaen mene apni kashtiyan
Jeet to jata hon phir bhi dukh sa rehta hai mujhe
Kab talak us se me khelon ga shikasta baziyan
Boliyan lagati hain abb bhi khoshiyon k sheher me
Ajj bhi bazar me bikati hain nazak titliyan
Lijiye iss dil Ka phir mah-e-Moharam aa gea
Matamon ka shor hai aur chal rahi hain bar-chaiyan
Yaad hai mujh ko December me judai ki wo raat
Chaand ki kirnain lahoo me ban gaen changariyan
Hijar k sahil pe kiss k muntazir baithe ho tum
Iss sumandar se bhala kab lotati hain kashtiyan
Phir kasila zaiqa mosam ka iss dil ko laga
Phir se ankhon me otar aen purani talkhiyan
Kon jane kiss se badala le raha hon me WASI
Aik modat se ragon me paal kar weraniyan___!!
___________________________
Daricha E Nigah Kisi K Khayal Mein
Daricha_E_nigah ksi k khayal mein
Koi rat bhar jaga kisi ky khayl mein
Merii Rang o bu bhi wabal mein
Koi surkhuru hogya pataal mein
Log khwabon sy badlty hain zindgi
Hum ny umar guzar di ek sawal mein
Zara ayan hoa jo hal un par
Tu jana wo bhi hum nawa hai ahwal mein
Is trah sy samae meri jism o jan mein
Goya behty hoye dariya thy chal mein
Ada, wafa,nigah goya har shae uski
Mila na kuch umar bhar uski masal mein____!!
___________________________
Sardi Ki RaaT Thi
Sardi Ki Wo Raat Thi
Aur Paas My Jalti Aag Thi
Ab Tak Tu Tanha Jiye Thy Hum
Par Shayad Aaj Millan Ki Raat Thi
Naa Jane Kyun Laga
Par Aaj Unky Chuan My Kuch Khas Baat Thi
Aag Tu Jall Rahi Thi Magar
Woo Sardi Bhi Kuch Khas Thi
Unki Bahoo Ki Garmi My Bann Ky Momm
Pighlaty Rahy Sari Raat Hum
Aur Us Aag My Sari Raat Jalty Rahi Woo
Jo Anjany My Sulga Rahy Thy Hum
Sansoo Sy Sansy Takrayi Tu
Hony Lagi Taaz Dono Ki Dharkan
Aur Jab HonthoKyAngaroNy Hamy Chuma
To Sar Sy Paw Talak Jal Utthy Thy Hum
Ishq Ki Aag Kab Bujhti Hy Aap Batye
Chahy Darya Ya Samndar My Doob Jayn
Jinko Milaya Hy Khud Khuda Ny
Milngy Wo Zarur
Chahy Duniya Idhar Ki Udhar Ho Jaye___!!
___________________________
Parveen Shakir ki Ghazal
Chaand Meri Tarah Pighalta Raha
Neend Mein Saari Raat Chalta Raha
Jaanay Kis Dukh Se Dil Girifta Tha
Mun Pe Baadal Ki Raakh Malta Raha
Mein Tou Paaon Ke Kaantay Chunti Rahi
Aur Wo Raasta Badalta Raha
Raat Galyon Mein Jub Bhatakti Thi
Koi Tou Tha Jo Saath Chalta Raha
Sard Rut Mein, Musaafiron Ke Lye
Payrr, Ban Kar Alaao, Jalta Raha
Mausami Bel Thi Mein Sookh Gayi
Wo Tanaawar Darakht, Phalta Raha
Dil, Mere Tan Ka Phool Sa Bacha
Patharon Ke Nagar Mein Palta Raha
Neend Hee Neend Mein Khilonay Lye
Khwaab Hee Khwaab Mein Behelta Raha_____!!
___________________________
Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak
Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak
Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak
Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq
Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak
Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko
Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak
Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri
Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak
Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak_____!!
___________________________
Ajnabi Khauf Fizaon Main Basa Ho Jaisay
Ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise
Shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise
Raat ke pichle pahar ati hain avazain si
dur shahara main koi chiKh raha ho jaise
Dar-o-divar pe chai hai udasi aisi
Aj har ghar se janaza sa utha ho jaise
Muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar
Dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise
Ab agar dub gaya bhi to marunga na Kamal
Behtey pani pe mera nam likha ho jaise____!!
___________________________
Jab Raat Ki Nagan Dasti Hai
Jab raat ki nagan dasti hai
Naas naas me zehar otarta hai
Jab chand ki kirnain tezi se
Uss dil ko cheer k ati hain
Jab ankh k andar hi ansoo
Zanjeron me bhand jate hain
Sab jazbon par cha jate hain
Tab yaad bahot tum ate ho
Jab dard ki bhanjar bajati hai
Jab raqas ghamon ka hota hai
Khawabon ki taal pe sare dukh
Wehshat k saaz bajate hain
Gate hain khawaish ki lee me
Masti me jhomate jate hain
Sab jazbon par cha jate hain
Tab yaad bohat tum ate ho
Tab yaad bohat tum ate ho____!!
Read More..
0 comments:
Post a Comment