Pages

Sunday, 24 November 2013

Raat Shayeri


















Raat Phaili Hai Terey Surmayi Aanchal Ki Tarha

Raat phaili hai tere surmaie aanchal ki tarhan
Chand nikla hai Tujhay dhoondhnay pagal ki tarhan

Khushk patton ki tarah log uray jatay hain
Shehr bhi ab to nazar aanay laga jungle ki tarah

Phir khayalon main Tere kurb ki khushbu jaagi
Phir barasnay lagi anakahin meri badal ki tarhan

Be-wafaoon say wafa kartay guzari zindagi
Main barasta raha weeranay pe badal ki tarhan_____!!
___________________________

Meri Hatheli Say Phot’ti Roshni 

Meri hatheli se phot’ti roshni
Mere muqaddar ki siyah raaton ko
Ek aisa sitara bakhshe gi
Jiski chamak
Teri aankhon ko chundhiya de gi
Raaton ko phir tu so na sake ga
Hath rakh ke aankhon pr
Kabhi ro na sake ga_____!!
___________________________

Kabhi Aansu Chupa Chupa K Roye

Kabhi Aansu Chupa Chupa K Roye
Kabhi Daastan-e-Gham suna Suna K Roye

Raat Katti Hai Intzar-E-Yaar Mein
Hum Raat Bhar Taaron Ko Jaga Jaga K Roye

Phir Wo N Aaye Raat Ka Wada Kar K
HUm Tamam Raat Shama Jala Jala K Roye

Aaj Raat Un K Aane Ki Umeed Thi Humen
Wo N Aaye Hum Ghar Ko Saja Saja K Roye

Suna Hai “WASI” Dua Se Hoti Hai Murad Poori
Hum Saari Raat Haath Utha Utha K Roye____!!
___________________________

Jab Raat K Tanha Daman Mein

Jab raat ky tanha daman mein
Tum chand ko madham pao gay

Jab khud sy batain karty karty
Tum door kahin kho jao gay

Jab dil ki baat chupanay ko
Tum hum sy nazar churao gay

Hum tum sy muhabat krtay hain
Her baar ye kehna chaho gay

In sab lamhon mein jaan lena
Tum,TUM se HUM bn jao gy____!!
___________________________

Kaisi Thi Woh Raat Kuch Keh Sakta Nahi Main

Kaisi thi woh raat kuch keh sakta nahi main
Chahoon kehna to bayan kar sakta nahi mai

Dulhan ban ke meri jab woh bahoon main aayee thi
Sej saji thi phoolon ki par us ne mehkai thi

Ghunghat mein ik chand tha aur sirf tanhai thi
Awaaz dil ke dhadak ne ki bhi phir zor se aayee thi

Pyar se jo maine ghunghat chand par se hataya tha
Pyar ka rang bhi utarkar uske chehre par aya tha

Bahoon mein le kar usko phir laboo ki lali churai thi
Us sard raat mein saanse bhi shola ban kar takrai thi

Tika,bindi,kangna, payal sabne shor machaya tha
Jab uske shokh badan ko maine haath lagaya tha

Doob gaye the hum dono us dehekti pyar ki aag mein
Tod diya tha hum ne kaliyo ko uske pyar ke baag mein

Kya batlaaye ab hum, woh raat kis kadar nirali thi
Hamare suhag ki woh raat,jo itni matwali thi________!!
___________________________

Tanha Tanha Si Raat

Tanha tanha si raat
Our
Tanha tanha se hum

Afsurda afsurda yaden
Bheega bheega mosam
Sookhe patton ka shor
Andhere ki sargoshi
Dharkan ki aahat
Qismat se apne shikwey
Tere ahsas ka atoot bandhan
Tere sath guzre pal
Tere lout ane ki umeden
Tere raste pe nazar
Lamha lamha raat ka dhalna
Pal pal apni aas ka tootna
Dil k zakhmon ka gehra hona
Phir
Subha suraj ka nikalna
Phir
Sham ho jani
Phir tanha tanha si raat
Our
Tanha tanha se hum_______!!
___________________________

Hijar Ki Raat Kaa Kisi Isam Say Katna Muskil 

Hijar Ki Raat Kaa Kisi Isam Say Katna Muskil
Chaand Poora Hay To Phir Raat Kaa Katna Muskil

Mojha-e-kawab Hay Woh, Uskay Tikhanay Maloom
Aab Gaya Hay To Yeh Samjhoo Kay Palatna Muskil

Jin Darahtoon Ki Jareein Dil Mein Uter Jaati Hein
Unka Andhi Ki Daranti Say Katna Muskil

Kuwat-e-ghaam Hay Jo Is Terha Sambhalay Hay Mujhay
Warna Bikhroon Kisi Lamhay To Simatna Muskil

Is Say Miltay Hoay Chehray Bhi Nohat Honay Lagay
Shehar Kay Shehar Say Aik Saath Nimatna Muskil

Aab Kay Bhi Hoshoon Pay Kuch Naam Thay Pehlay Say Likhay
Aab Kay Bhi Fasal Kaa Dehkanoo Mein Batna Muskil________!!
___________________________

Ek Raat Hui Barsaat Bohat

Ek Raat Hui Barsaat Bahut
Main Roya Saari Raat Bahut

Har Gham Tha Zamaane Ka Lekin
Main Tanha Tha Us Raat Bahut

Phir Aankh Se Ek Saawan Barsa
Jab Sehar Hui To Khyal Aaya

Woh Baadal Kitna Tanha Tha
Jo Barsa Saari Raat Bahut____!!
___________________________

Ye Shehar Ki Galiyaan Aur Raat K Sanatey

Ye shehar ki galiyaan aur raat k sanatey
Hein mujh ko ye bohat hi daratey
Chor ker janay walay lout aao tum
Tujhy kia khabar kesy hein hum ye din guzar patay
Dasney lagti hai shehr ki tanhai hum ko
Jab hum in raston per hain jatay
Tu kiun nahi ata hum ko milney
Kia tujhy wo guzrey huay din yaad nahi atay
Kash kabhi hum ye kar saktey ‘Gul’
Teri tarha hum bhi tujh ko bhula patay___!!
___________________________

Kal Raat Urr Rahay Thay Saitary Hawa K Saath

Kal Raat Urr Rahay Thay Saitary Hawa K Saath
Aur Mein Udass Baithha Tha Apnay KhudaK Saath

Ya to QABOOLIYYAT ka Tareeka Sikha MUJHE
Ya MERE DIL ko BAANHD day APNI RAZA kay Saath___?
___________________________

Raat Dhaley Tak Jagna Apna

Raat Dhaley Tak Jagna APna
Karna Taaron Se Baatein
Subah Nasheeli Aankhen Lekar
Laali Ko Takna Jaatey
Kehte Hain Sab Pyaar Isey
Humko To Samajh Na Aaye
Roz Roz Ka Jagna Humse
Ab To Saha Na Jaaye_____!!

Aankhon Mein Saagar Bhar Aana
Jhukna Bojhil Palkon Ka
Gaalon Par Dehki Garmi
Jalna dhak-Dhak Saanson Ka
Suntey Hain Yeh "GARAM HAWAAN"
Ab Aur Jalaa Na Jaaye
Roz Roz Ka Jagna Humse
Ab To Sahaa Na Jaaye_____!!

Dhundley Se Yaadon Ke Saaye
Dhalna Pyaasi Shaamon Ka
Dard Ka Kaske Seeney Mein
Kahan "VIRHA SAUGAT" Isey
Ab Durr Rahan Na Jaaye
Roz Roz Ka Jagna Humse
Ab To Saha Na Jaaye______!!

Seeney Mein Tere Jo Dharka
Kya Mera Dil Hain Sajna
Nainon Se Mere Beh Nikla
Teri Yaadon Ka Jharna
Dil Dekar Dard Liya Humne
Chain Kahan Ab Paaye
Roz Roz Ka Jagna humse
Ab To Saha Na Jaaye______!!
___________________________

Chahton Ki Chandni Thi Hijar Ka Saya Na Tha

Chahton ki chandni thi hijar ka saya na tha
Tujh se hatt kar sochtey woh marhala aya na tha

Arzoo thi be’niyaz lafz o maayini un dinon
Ab woh naghmaa hai labon per jo kabhi gaya na tha

Band they sab dareechey band hi rehne diye
Thi anaa hi meri dushman, mera hamsaaya na tha

Waqt hi me’meher tha, halaat hi be’faiz they
Kon sa gham tha jo Mohsin hum ne apnaaya na tha____!!



0 comments:

Post a Comment