Pages

Friday, 22 November 2013

All December Urdu Poetry













December Ab K Aao To

December Ab K Aao To
Tum Us Shehar_E_Tamanna Ki Khabar Laanaa
Keh Jis Mein Jugnuon Ki Kehkashaan Jhilmilaati Hai
Jahan Titlee K Rangoon Say Fizaain Muskarati Hain
Wahan Charon Taraf Khushboo Wafa Ki Hai
Aur us ko jo bhi pooron say
Nazar Say Choo Gaya Pal Bhar
Mehak Utha___!!

December Ab K Aao To
Tum Us Shehar_E_Tamanna Ki Khabar Laanaa
Jahan Par Rait K Zarray Sitaray Hain
Gul_O_Bulbul, Mah_O_Anjum Wafa K Ista’aray Hain
Jahan Dil Woh Samandar Hai Jis K Kayi Kinaray Hain__!!

December Hum Say Na Poocho Hamaray Shehar Ki Baabat
Yahan Aankhon Mein Guzray Karwan Ki Gard Thehri Hai
Muhabbat Barf Jaisay Hai Yahan
Yahan Dil K Lahoo Mein
Apni Palkon Ko Dabo Kr Hum
Sunehray Khawb Buntay Hain
Phir Unhi Khawbon Mein Jeetay Hain
Unhi Khawbon Pay Martay Hain
Dareeda Rooh Ko Lafzon Say Seena Gou Nahee Mumkin
Magar Phir Bhi__!!
December Ab K Aaou To
Tum Us Shehar_E_Tamanna Ki Khabar Laanaa__!!
_______________________________

Lambi Sarak Aur Ye DECEMBER

Lambi sarak or ye DECEMBER
Gum sum shamain sunehri ratain or ye DECEMBER
Bheigay din madham suraj halkey badal or ye DECEMBER
Behti nadiya gaatey panchi urti dhund or ye DECEMBER
Cofee,bister teri Mohabat or ye DECEMBER
Tanha main tanha chand mera kamra or yeh DECEMBER
Meri ankhain, meri neend, tere khuwab or ye "DECEMBER_____!!
_______________________________

Abhi Hijar Ka Qayaam Hai Aur December Aan Pohancha Hai

Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pohancha hai
Ye khabr shahar mein aam hai December aan pahuncha hai_____!!

Aangan mein utar aayi hai manoos si khushboo
Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai__________!!

Khamoshiyon ka raaj hai khizaan taak mein hai
Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai_________!!

Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom
Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai_______!!

Khunak rut mein udasi bhi chaukhat pe khadi ahi
Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai________!!

Tum aao tou mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye
Nayi rut tou sar e baam hai December aan pahuncha hai_______!!
_______________________________

Kia Hi Urtay Hain Teray Hijar K Shararay Mujh Mein

Kia hi urhtay hain teray hijr ke shararay mujh mein
Taiz hawaoo’n mein jhoolay shakh-e-shajar jaisay___!

Baat uthay jo meray fusoo’n ki namakdani ki
Aankh roti hai phir samandaro’n k pani ki______!!

Aa k jaan meri ab bhi simat jati hai
Garm baho’n mein koi roh pighal jati hai____!!

Aa jana’n ke ab jism ka rua’n rua’n
Tery nargasi lams ko tarasta hai___!!

Narm baho’n ki hiddat ko maira badan
Sard raton mein phir misl-e-sahama jalta hai___!!

Toot jatay hain bazoo us hawalay say
Halq-e-ja’n mein aaya wo taira paikr-e-gull__!!

Ja’n se roh talak aa gie taseer-e-damak
Us hiddat ko mairee rag-o-pe machalti hai___!!

Rok le khama ke sagar baat badhti hai
Sard mausum ki ab jub rut badalti hai____!!

Tairee qurbat ko mere jaan youn machalti hai
Jaisay parawanay ko shama se koi door kerday__!!
Jaisay machlee ko pani se koi juda kerday______!!
_______________________________

December Ab Bhi Tera Muntazir Hai

December _____
Ab bhi Tera muntazir Hay __!!

Woh Lamhay______
Soch Ki Dahleez Pay Tehray Hoy Hain_____! !

December K Mahenay Main
Hazaroon Saal Pahlay Jab_______

Teray Waday K Hathoon Ney_______
Meri Ankhoon Say Behtee Zindagi K Haath Choomay Thay____!

Meri Bayrang Batoon K Kinaray
Tum Nay Kwabon K_____
Sahary Aur Ashkon K Sitaray Rakh Diye Thay___!!

Aur ___________

Hawa Ko apni Chahat Ki
Hifazat Kaa Ishara Kar Diya Thaa_________!!

Hawa Ki Khunkiyon Main Ab Bhi Teri Naram Batain
Aahatoon Kaa Jaal Buntee Hian_________!!

Sama'at_________Ab Bhee Teray
Qahqahon Kaa Shoor Sunti Hay________!!

Khayal Ab Tak Tumhari Ungliyon Say
Meray Dil K Surkh Ansoo Pochta Hay_______!!

Nigahain Baraf K Phelay
Chamaktay Kenwas Par Jaa-Bajaa
Teri Rifaqat Ki Zarorat Paint Karti Hay_______!!

Tehtartay Paniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop
Tera Bagair rooti Hay
Kahan Hota Hay Too__________!!
Muhabat Ki Sulagtei Raahguzar K Kinaray Pay____!!

December __________
Ab Bhe Tera Muntazir Hay_________!!
_______________________________

December Ki Baarish Main

December Ki Baarish May
Bheegtay Peroo'n Say Pocho
Akela Pan Kya Hai____????

Tanhai Kisay Kehtay Hain___?
Seh-Peher Ki Dhoop Ko Tarashna
Aur Barish May Bheegtay Rehna
Jangal Ki Raaho'n May Akelay Chalna
Aur Barish May Bhegtay Rehna___

December Ki Barish May____

Leher-dar-Leher Mehekti Hawa Say Pochoo
Khushbo Sa Khayal Rakhne Wale
Tanha Kaise Rehte Hain_______??
Bhegti Hain Sard Raatein____!!

December Ki Barish Say Kaho_____!!

Kabhi Jungle K Us Paar Mile
Dhaltay Hon Sham K Saaye main
To Unn Aankhon Say Milay_______!!

December Ke Barish Say Kaho_______!!
_______________________________

Usay Kehna December Aa Gaya Hai

Usey Kehna December Aa Gyaa Hai
December K Guzarty Hee____
Bars Aik Aur Mazi Ki Chaao'n Main Doob Jaye Ga____

Usay Kehna December Laot Aye Ga
Magar Jo Khoon So Jaye Ga Jismo'n Mein
Na jagey Ga_____!!

Usey Kehna Hawaie'n Sard Hein, Aur Zindagi K Kuhrey
Dewaro'n Mein Larzaa'n Hein_____

Usay Kehna Shagofey Tehnio'n Mein So Rahy Hein
Aur Un Pay Barrf  Ki Chaadr Bichi Hi____

Usay Kehna Agar SoOoraj Na Nikley Ga
To Kaisy Barrf Piglay Gi
Usay Kehna Laot Aye____!!

Usey Kehna Laot Aye_____
Usey Kehna December Aa Gaya Hai____!!
_______________________________

Lambay Safar Ki Oat Mein Pal Bhar Nahin Ruka

Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka
Mein waqt k fareeb mein aa kar nahin ruka_________!!

Phir aa gaya aik naya sal dosto_______
Is bar bi kisi say December nahin ruka_____________!!

Lay kar kisi nay haath mein kashkol-e-waqt
Aisa safar kia k kahin per nahin ruka______________!!

Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya
Sheshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka________!!

Chalta raha adoo ki safain rondta howa_____
Lakhon ka khoun-e-jigar kar k b lashkar nahin ruka___!!

Bas yeh howa k Akhri lamha bi aa gaya
Dil ka tawaf koocha-e-dilbar nahin ruka____________!!
_______________________________

December K Haseen Din They

December k haseen din thay
Murree ki yakh fizaon mein

Humhare chaar haathon nay
Mujasma ek banaya tha

Kaha tha ek dooje ko
Nishani pyar ki apni

Bari he khoobsoorat hai
Mujhe ab yaad aata hai

Mujasma barf ka tha wo
Usse aakhir pighalna tha

Usse to mitt he jana tha_______!!
_______________________________

Tuj Say Judai Ka Dukh Tere Hijer Ka Karb

Tuj say judai ka dukh
Tere hijer ka karb
Dekh ! phir say aa gai hain
December key sard ratain
Azaab ratein_______!!
Tere karb main dobi
Khowbanak ratain
Teri wo pur noor ratain_____!!

Tujhey kiya khuber
December key sard ratoon main
Tere sung beeti sardion key____
Khosgawar khobsurut shamoon ko yaad kertha hoon
Is mohoom si tamana kay sahray
Teri talash main__________!!

Sarkoon per awara phirth hoon
Aatay jatay chehroon main tujhey kohja kerta hoon
Shayad kaywo tum ho_______!!

Aur thuk haar ker jo laut'ta hoon
To khud per khoub hastha hoon
Phir_____!!
Phoot phoot ker roota hoon_______!!
_______________________________

Ik BeDard December Thaa

Bus Ik Meri Baat Nhi Thi
Sub Ka Dard December Tha

Baraf Ke Shehr Me Rehne Wala
Ik Ik Fard December Tha

Pichhley Saal Ke Aakhir Me Bhi
Herat Me Hum Teeno They

Ik Mai Tha, Ik Tanhaai Thi
Ik Be dard December Tha_____!!
_______________________________

December Tum Na Jao Na

Abhi Lamhey Nahi Bikhrey
Abhi Mausam Nahi Bichrey_______!!

Merey Kamre Ki Thandak Me
Abhi Kuch Dhoop Baqi Hai_______!!

Meri Diary Ke Kuch Safhey
Abhi Kuch Keh Nahi Paaye________!!

Merey Aangan Ke Sub Pauday
Abhi Bhi Gungunatey Han________!!

Merey Be_Jaan Honton Par
Abhi Muskaan Vesi Hai_______!!

Kisi Ke Laut Aane Ka
Abhi Imkaan Baqi Hai______!!

DECEMBER________!!

Baat Ik Sun Lo____!!

Sonu_______!!
Tum Maan Jao Na_____!!

K Jab Tak Wo Nahi Aata_____!!
December Tum Na Jao Na____!!


Read More..

4 comments: