Pages

Thursday, 21 November 2013

Urdu Sard Sham Poetry




















Kachi Basti K Baam O Dar Par Utarti Jaray Ki Sard Shamein

Kachi Bastii K Baam O Dar Par Utarti Jaray Ki Sard Shamein
Shafaq Ki Gehri Udaas Aankhon Mein Dheeray Dheeray Simat'ta SoOoraj

Mein Balcony Mein Sard Hotay Gulaabii Phoolon Ko Daikhta Hon
Gharon Say Utht'te Dhowen K Baadal Fiza Mein Tehleel Ho Rahay Hain

Mein Sochta Hon, Najane Aisay Udaas Mosam Mein Tum Kahan Ho ?
Chalay Bhi Aao, Chalay Bhi Aao_______
K Ab Udasi Ki Shaal Oorhay Sisaktay Mehtaab Ki Nigahain Bhi Muntazir Hain

Chalay Bhi Aao__________ Chalay Bhi Aao___________
K Ab To Raahon K Naram Jugno Bhi So Gaye Hain

Chalay Bhi Aao__________Chalay Bhi Aao_______
K Rotay Rotay Yeh Ansoo Pathar K Ho Gaye Hain
Chalay Bhi Aao______________________!!
______________________________

Ye Sard Shamain Ye Zard Patay

Ye sard shamain ye zard pattay
Ye mere qadmon main larkharahat__!!

Guzarti sa'at ke in palon main
Main jis ki chahat ko khojta hoon
Wo ja chuka hay meheeno pehlay__!!

Tapish thi jis ki lahoo main mere
Wo is december main ruk gayee hain

Boht hay mushkil ke ab ho aisa
Ke mujh pay ab kay ye saal guzray__!!
______________________________

Khizan K Mosam Ki Sard Shamain

Khizan k mosum ki sard shamain
Sarab yadon k hath thamay
Kabhi jo tum say hisab mangain
Mayoosiyon ka nisab mangain
Bay-noor ankhon say khuwab mangain__!!

To jan laina k khuwab saray
Gulab rutt k sarab saray
Meri hadon say nikal chukay hain
Tumhari cokhat pay aa rukay hain
Musafaton say thakay howay hain
Ghubar-e-rah say at'tay howay hain
Tumhari galion main chup kharay hain
Kuch iss tarah say daray howay hain
Sawali nazron say, takk rahay hain
Tumhari chokhat pay janay kub say
Jabeen jhukaey howay kharay hain__!!

Khizan k mosum ki sard shamain...
Sarab yadon k hath thamay__!!
______________________________

Thory Din DECEMBER Hai 

Thory din DECEMBER hai
Sard sard shamain hain
Or thitharti ratain hain
Bus tumhari yadain hain
Bheegy bheegy mosam k sakht khushk aalam me
Sard sard shamon me
Aisi sard-baari me
Jab alaow jalty hain
Tum ko yaad karty hain
Dhoop bun k chhao na !
Aao paas aao na !
Narm narm haathon se
Garm garm sanson se
Meri sari saanso me
Khushbuen basao na
Aao lout aao na !
Ab na you'n stao na
Bus thoray din DECEMBER ha__!!
______________________________

Meri Tamana Ka Sard Mosam Meri Aa'na Ki Sulagti Shaamain

Meri Tamana Ka Sard Mosam Meri Aa'na Ki Sulagti Shaamain
Teri Haya Ka Wo Baraf  Lehja Teri Wafa Ki Machalti Shaamain

Meray Muqadar K Zaa'echoon Main Meri Qismat K Zaa'vion Main
Har Aik Lamha Har Aik Pal Ko Ulajti Subhain Ulajti Shaamain

Wo Khawab Meray Wo Saraab Meray Wo Rut Jaghoon K Azab Meray
Wo Behki Behki Si Dhalti Shamain Wo Larkharati Sambhalti Shamain

Wo Urtey Lamhay Uray Tu Youn They K Jesay Badal K Jesay Titli
Magar Dar-E-Dil Pay Youn Rukay Hain Jesay Ruk Jaa'ein Chalti Shamain

Meri Wafa Ko Milay Hain "Atif" Gham-E-Zamana K Khotey Sikay
Meri Udasi Pay Hansti Shaamain Machalti Shamain Bilakti Shamain___!!
______________________________

Bheeghi Rutt Mehak Uthi Sunehri Sham Ki Tarha

Bheeghi rutt mehak uthi sunehri sham ki tarah
Utri hay sahfa e dil par muhabat alham ki tarah

Samjhote ki dehleez par jazbe dam todne lagein
To aaghaz bhi lagne laga hay ab anjam ki tarah

Zard paton ki tarah bikhr gaye hein khwab mere
Aur dil bhi to ho gaya toote huye jaam ki tarah

Ihsas ki hidat mein jhulas kar yehi jaana hay aaj
K bewafayon k basti mein hay wafa ilzam ki tarah

Khuda ki khudayi mein jisko alag samjha tha shaz
Woh shakhs bhi to nikla hay fard e aam ki tarah
______________________________

Un Sub Ka Kya Hua

Kya Howa???
Un sub ka kya hoowa
Wo kasmain wo waday kya howa
Wo ne-dar iraday kya howa
Wo Gher ka sapna
Wo sard shamain
Wo dhelta soraj
Wo chand ratain
Wo Muhabbet ki haandi ka kya howa
Wo jo aik tohfah tha
Tum nay dayna
Or us ko daynay ka aik lamha
Jiss nay aana tha kya hoowa
Wo khet likh ker khoo deeay
Us main roonay bi Ro deeay
Un khetoon ka kya hoowa
Un aansoon ka kya hoowa
Wo jo peeyar k ahsaas they
Kuch dabay hoey 
Kuch khulay hoey
Un ahsasoon ka kya hoowa
Us bay-chaini ka kya hoowa
Jo qatra qatra barti thi
Dil main dhak dhak kerti thi
Ab Dil ka dharakna kya hoowa
apnay bas main kya hoota hai
Kya soocha or kya hoowa
Ya kya hoowa?
Ji kya hoowa?
______________________________

Bujhnay Lag Jayen To Phr Shamain Jala Di Jayen

Bujhnay lag jain to phr shamaiN jala di jaiN
Meri aankhaiN me're dushman ko laga di jaiN

Be-hunr loog kahaN, harf ki sachai kahaN
Ab kitabain kisi darya main baha di jain

Un ki pehchaan ka dukh jaaN se guzr jata hai
Ye shabeehaiN sar-e-Aaina ganwa di jaiN

Ab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunr
Ishq main tuhmataiN aaiN to bhula di jaiN

Ya to khursheed chamakta rahay peshaani main
Ya lakeeraiN me'ry mathy ki mitta di jaiN

Kitni bholi huwi batain hamain aaj us ki 
Yaad aai hain to ab us ko bata di jaiN__!!
______________________________

Kitni Shammein Roshan Hon Gi Kitne Deep Jalao Gi

Kitni Shammein Roshan Hon Gi Kitne Deep Jalao Gi
Pyaar Ki Pehli Saalgirah Tum Kiske Saath Manao Gi

Main To Rukhsat Ho Hi Raha Hoon Aaj Tumhari Galiyo Se
Ab Tum Kiske Saath Raho Gi Kiska Saath Nibhao Gi

Aakhir Wo Din Kab Aaye Ga Jab Khalwat Mein Mujhse Tum
Mere Dil Ka Haal Suno Gi Apna Haal Sunao Gi

Farz Karo Gar Baad-e-Furqat Main Tumko Mil Jaoon To
Hairat Mein Parr Jao Gi Ya Seene Se Lag Jao Gi

Jane Se Pehle Bus Itna Soch Lo Gar To Behtar Hai
Dil Ki Galiyan Band Milein Gi Jab Tum Laut Ke Aao Gi

Theek Hai Tum Lauta Do Mujhko Mere Tohfe Aur Khatoot
Lekin Jo Din Pyar Mein Guzre Wo Kese Lautao Gi

Ho Jao Tum Laakh Kisi Ki Lekin Sun Lo Phir Bhi Tum
Mujhse Hi Mansoob Raho Gi Meri Hi Kehlao Gi___!!

0 comments:

Post a Comment