Pages

Wednesday, 5 February 2014

Wasi All Poetry




















Jab Say Yeh Peighaam Mila Hai

Jab se yeh peghaam mila hai
Jaana’n! tum aaney wali ho
Mausam ne sarey ghar ki tarteeb badal kar rakh daali hai
Chokhat per ik chaand bhi aa kar beth geya hai
Keyi sitaare lounge mein kab se pare huye hain
Kehte hain ke
Is raste se tum guzro gi
Nanhe mune gulabon ka kehna hai
Jitne din tum pass raho ge
Ghar ke har konay mein aakar woh mehkain ge
Phoolon ne mil kar sab konay baant liye hain
Jugnu kab se chat pe, ghar ke
Har goshay mein chamak rahe hain
Suraj aur barish bhi kal se saaye’baan per tikkay huye hain
Dheemey dheemey chehek rahe hain
Shaam to kab se kayi tarah ke mausam le ker
Is kamrey mein ruki hui hai, Jis kamrey mein tum thehro ge
Tum aao ge to yeh shaam hazaron mausam,
Sundar sundar sajji huyi ankhon ko de ker
Kho jayegi
Phir na kabhi wapis aaye gi
Is se pehle ke yeh shaam bhi
Sarey mausam leker mujhko khaali karke kho jaye
Tum aajao naa’n
Aabhi jao_____!!
_________________________

Koi Malaal Koi Aarzoo Nahin Karta

Koi malaal koi aarzoo nahin karta
Tumhare baad yeh dil guftagu nahin karta

Koi na koi cheez meri toot jati hai
Tumhari yaad se jab bhi wuzu nahin karta___!!
_________________________

Ajeeb Sanihaa Guzraa Hai Mujh Pay Aaj Ki Shaam

Ajeeb saanehaa guzraa hai mujh pe aaj ki sham
Main aaj shaam tumhare hijar main udaas na tha

Ab aik saal to yeh aik gham hi kaafi hai
Tumhari salgiraah par bhi tumhare paas na tha___!!
_________________________

Jis Ko Ik Baar Cherr Dain To Phir

Jis ko ik baar cherr dain to phir
Chain ka aik pal nahin hota

Koi aljabrey ka sawaal ho tum
Jo kisi taur hall nahin hota________!!!
_________________________

Dil Jo Toota Hai To Dil K Kono'on Say

Dil jo toota hai to dil ke konon se
Teri meri nishaniyan nikli’n

Tu gaya hai to mere yaaron mein
Kesi kesi kahaniyan nikli’n____!!
_________________________

Jab Tak Tere Aanchal Say Yeh Paimaa’n Bandhey Hain

Jab tak tere aanchal se yeh paimaa’n bandhe hain
Janaan, Mere laut aaney ke imkaa’n bandhe hain

Us ko kabhi aati bhi nahin ho gi meri yaad
Jis shakhs se har lamhaa mere dheyaa’n bache hain__!!
_________________________

Diya Diye Say Jala Loon To Chain Aaye Mujhe

Diya diye se jala loon to chain aaye mujhe
Tumhain galey se laga loon to chain aaye mujhe

Mohabbton ke saheefay hain ya azaab koi
Tere khatoot jala loon to chain aaye mujhe____!!
_________________________

Tanzz Kartey Hain Jo Log Un Ko Dikhane K Liye

Tanzz karte hain jo log un ko dikhane ke liye
Laut aao na mere yaar zamane ke liye

Is liye bhi teri tasveer jala di mene
Aur kuch tha hi nahin dil ko jalane ke liye

Tere baayess hi to saktay ka hai aalam taari
Khud ko naraaz kiya khud ko mananey ke liye

Aaj phir shaam guzari hai usi jungle mein
Un darakhton se tera naam mitaney ke liye
_________________________

Abhi To Ishq Mein Aisa Bhi Haal Hona Hai

Abhi to ishq me aisa bhi haal hona hai
K ishq rokana tum se mahal hona hai

Har aik lab pe hain meri wafa k afsane
Tere sitam ko abhi la zawal hona hai

Baja k khar hain lakin bahar ki rot me
Ye teh hai abb k humen bhi nahal hona hai

Tumhen khabar hi nahin tum to loot jao ge
Tumhare hijar me lamha bhi saal hona hai

Hamari rooh pe jab bhi azab otaren ge
Tumhari yaad ko us dil ki dhal hona hai

Kabhi to roe ga wo bhi kisi ki banhon me
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hai

Milen gi hum ko bhi apne naseeb ki khoshiyan
Bus intazar hai kab ye kamal hona hai

Har aik shakhas chale ga hamari rahon par
Mohabbaton me humen wo masal hona hai

Zamana jis k gham-o-pech me olajh jae
Hamari zaat ko aisa sawal hona hai

WASI yakeen hai mujh ko wo loot ae ga
Use bhi apne kie ka malal hona hai_____!!
_________________________

Hijar Ka Naag To Pathar Ghaayal Kar Deta Hai

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai
Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai

Mere ishq mein shayed koi kami huyi ho
Tera hussn to ab bhi paagal kar deta hai

Aesi lazzat kahin nahin milti, shayed woh
Apna pyaar bhi chaaye mein hall kar deta hai

Dil mera veeran hua to hasrat kesi
Hijar ka zeher to daryaa ko thall kar deta hai

Mujh ziddi ko rab bhi raazi na kar paye
Lekin teri aankh ka kaajal kar deta hai

Tere lamss ka jadu bhi kesa jadu hai
Jiss ko chuu le us ko sandal kar deta hai

Tera chahra har chehre per chaa jata hai
Yeh manzar har manzar aujhal kar deta hai

Aankh ke registaa’n ko teri yaad ka badal
Chuu jaye to pal mein jal’thall kar deta hai____!!
_________________________

Ae Dilkash Masom Larkiyo  TUM

Ae dilkash masom larkiyo_____ TUM
Kabhi kisi se bhi dukh na kehna
Un anchalon se
Khankati rangeen choriyon se
Badan ki apni hi khoshbo se
Palak k othane palak jhapakne
Ki samaton se
Chaton k konon me chop k bethi
Wo shokh-o-shang aur naaz paror si chandani se
Diyon ki loo se
Ya un kutab se k jin me pholon k titliyon k haseen dukh hon
Palang pe saloton bhari saf chadaron se
Gadaz takyon se jin me zolfon ki khoshboen rakas kar rahi hon
Tum ainon aur jognoan se
Saheliyon aur doston se
Kabhi bhi larkiyon_____TUM
Wo dukh na kehna
Sea raton me jis ko apni
Odas ankhon se
Apne hi dil ki dharkanon se
Chopa chopa kar bikhar rahi thin
Kabhi bhi daikho wo dukh na kehna
Kabhi bhi ae larkiyon_________!!
_________________________

U.S.A

Kab talak tujh pe inhisaar karain
Kyon na ab doosron se pyar karoon

Tu kabhi waqt per nahin pohancha
Kis tarah tera aitbaar karain_______!!
_________________________

Har Ik Shab Meri Taza Azaab Mein Guzari

Har ikk shab meri taza azaab me guzari
Tumhare bad tumhare hi khawab me guzari

Main aik phol hon wo mujh ko rakh k bhol gea
Tamam umer usi ki kitab me guzari_____!!
_________________________

Jab Say Tum Bicharey Ho Tab Say

Jab se tum bichare ho tab se
Adha chand agar daikhon to
Meri ankhen bhar ati hain____!!
_________________________

Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka

Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka
Tumhara Chaahnay Waala Tou Mar Gaya Kab Ka

Na Meri Rooh Meri Hai Na Mera Jism Mera
Tera Wajood Tou Mujh Mein Utar Gaya Kab Ka

Wo Ik Shakhs Jo Sab Ko Sambhaalay Rakhta Tha
Tumhain Khabar Hee Nahi Hai Bikhar Gaya Kab Ka

TU Jis Ke Waadon Ko Dil Se Lagaye Baitha Hai
Wo Apni Baat Se Pyaaray Mukar Gaya Kab Ka

“Wasi” Mein Ishq Mein Ro Bhi Chuka Hun Mar Bhi Chuka Hun
Hudood-e-Jism Se Mein Tou Guzar Gaya Kab Ka_____!!
_________________________

Falak Pay Chaand K Haaley Bhi Sog Kartey Hain

Falak pe chand k hale bhi sog karte hain
Jo to nahin to ojhale bhi sog karte hain

Tumhare hath ki chori bhi ben karti hai
Hamare hont k tale bhi sog karte hain

Nagar nagar me wo bikhare hain zulam k manzar
Hamare rooh k chale bhi sog karte hain

Use kaho k sitam me wo kuch kami kar de
K zulam torane wale bhi sog karte hain

Tum apne dukh pe akaile nahin ho afsorda
Tumhare chahne wale bhi sog karte hain_____!!
_________________________

Mein Hon Tera Khyal Hai Aur Chaand Raat Hai

Me hon tera kheal hai aur chand raat hai
Dil dard se nidhal hai aur chand raat hai

Ankhon me chob gaen teri yadon ki kirchiyan
Kandhon pe gham ki shal hai aur chand raat hai

Dil toor k khamosh nizaron ka kia mila?
Shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai

Phir titliayan si orane lagen dashat khawab me
Phir khawaish-e-wasal hai aur chand raat hai

Campas ki nehar par hai tera hath hath me
Mosam bhi lazawal hai aur chand raat hai

Har ikk kali ne orah lia matami libas
Har phol par malal hai aur chand raat hai

Meri to por por me khoshbo si bus gai
Us par tera kheal hai aur chand raat hai

Chalka sa parh raha hai WASI wehshaton ka rang
Har cheez pe zawal hai aur chand raat hai_______!!
_________________________

Ashkk Girtey Rahay Dhol Bajta Raha

Ashkk girte rahe, dhol bajta raha
Log marte rahe, dhol bajta raha

Ronqain lag gayi’n, roshni barh gayi
Khawab jalte rahe, dhol bajta raha

Kitne lachaar they, kitne be’bas they hum
Hath milte rahe, dhol bajta raha

Raqss they maseeha mere dam-be’dum
Dil tarrapte rahe, dhol bajta raha____!!
_________________________

Mujh Ko Bhi Khof E Tark E Ta'aluq Ney Aa Lia

Mujh ko bhi khof-e-tarak-e-taloq ne aa lia
Wo bhi isi kheal se aoron ki ho gai

Pehle to us k hath ki mashal bhojhi WASI
Phir yon hoa kahen meri taqdeer kho gai____!!
_________________________

Hum Tere Hijar Mein Andar Say Bikhar Jatey Hain

Hum tere hijar mein andar se bikhar jate hain
Zinda lagte hain magar asal mein mar jate hain

Jab kabhi bolta hai hai hanss ke kisi aur se tu
Kitne khanjar mere seeney mein utar jate hain

Teri yaadon ki agar’batiyan jal uthte hi
Hum tere dard ki khushbu’on se bhar jate hain

Hum se awaara phira karte hain galiyon mein kahin
Shaam hote hi Wasi log to ghar jaate hain____!!
_________________________

Hum Ney Jo Deep Jalaaye Hain Teri Galiyon Mein

Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon mein
Apne kuch khawb sajaye hain, teri galiyon mein

Jaane yeh ishq hai ya koi karamat apni
Chaand le ker chale aaye hain, teri galiyon mein

Tazkraa ho teri galiyon ka to dar jata hai
Dil ne woh zakhm uthaye hain, teri galiyon mein

Is liye bhi teri galiyon se humain nafrat hai
Hum ne armaan ganwaye hain, teri galiyon mein

Kyon har ik cheez adhoori si lagti hai
Jaane kya chorr aye hain, teri galiyon mein____!!
_________________________

Hum Say Kaya Poochtey Ho Hijar Mein Kaya Kartey Hain

Hum se kya poochte ho hijar mein kya karte hain
Tere laut aaney ki din raat dua karte hain

Ab koi hont nahin in ko churaaney ate
Meri aankhon mein agar ashk hua karte hain

Teri tu jane, par aye jane-tamana hum to
Saans ke sath tujhe yaad kiya karte hain

Tu hi pehlu mein nahin warna december mein wahin
Dhoop mein akhbaar parhaa karte hain

Kabhi yaadon mein tujhe baa’hon mein bhar lete hain
Kabhi khawbon mein tujhe choom liya karte hain

Teri tasveer laga lete hain hum seeney se
Phir tere khat se teri baat kiya karte hain

Gar tujhe chorrne ki soch bhi aaye dil mein
Hum to khud ko bhi wahin chorr diya karte hain_____!!
_________________________

Ab Jo Lotay Ho Itney Saalon Mein

Ab jo lotay ho itne saalon mein
Dhoop utri huyi hai baalon mein

Tum meri aankh ke samundar mein
Tum meri rooh ke ujaalon mein

Phool hi phool khill uthey mujh mein
Kaun aaya mere khayalon mein

Mene jee bhar ke tujh ko dekh liya
Tujh ko uljhaa ke kuch sawalon mein

Meri khushiyon ki kaayenat bhi tu
Tu hi dukh dard ke hawalon mein

Jab tera doston mein zikar aaye
Theess uthti hai dil ke chaalon mein

Tum se abaad hai yeh tanhai
Tum hi roshan ho ghar ke jaalon mein

Saanwli shaam ki tarah hai woh
Woh na goron mein hai na kaalon mein

Kya usey yaad aaraha hoon Wasi
Rang ubhrey hain us ke gaalon mein___!!
_________________________

Pehli Baar Jab Us Ney Meri Maan Ko Ami Jaan Kaha To

Pehli baar jab us ne meri maan ko ami jaan kaha to
Mujh ko yu’n mehsoos hua
Apna sab kuch chorr ke jese
Ik lamhe mein____!!
Mera sab kuch us ne apna maan liya hai
Mujh ko sab kuch jaan liya hai_______!!
_________________________

Ab Mera Phone Kyun Uthao Gay Tum

Ab mera phone kyon uthao ge tum
Ab mera tum ko ehtraam nahin
Ab tumhain mujh se koi kam nahin____!!

Read More..

0 comments:

Post a Comment