Pages

Friday 7 February 2014

Akbar Allahabadi Poetry



















Duniyaa Mein Hun Duniya Ka Talabgar Nahin Hun 

Duniyaa mein hun duniyaa kaa talab_gaar nahin hun
Baazaar se guzaraa hun Kharidar nahin hun

Zinda hun magar zeest ki lazzat nahin baqi
Har chand k huN hosh mein hoshiyar nahin hun

Is Khaanaa-e-hastii se guzar jaun gaa be_laos
Saayaa hun faqat naqsh-e-diivaar nahin hun

Afasurdaa hun ibarat se davaa kii nahin haajat
Gam ka mujhe ye zauf hai biimaar nahin hun

Wo gul hun Khizan ne jise bar_baad kiya hai
Uljhun kisii daaman se main vo Khaar nahin hun

Yaa Rab mujhe mehfooz rakh us but ke sitam sey
Main us kii inaayat kaa talab_gaar nahin hun

Afasurdagii-o-jaur ki kuchh had nahin "Akbar"
Kaafir ke muqaabil mein bhii deen_daar nahiN hun____!!

Hungama Hai Kyon Barpa Thodi Si Jo Pii Lii Hai

Hungama Hai Kyon Barpa, Thodi Si Jo Pii Lii Hai
Daakaa Toh Nahin Daalaa Chori Toh Nahi Kii Hai

Naa Tajurbakaari Se Vaais Kii Ye Baatein Hai
Is Rang Ko Kyaa Jaane Puchho Toh Kabhi Pii Hai

Us Mai Se Nahi Matlab, Dil Jis se Hai Begaanaa
Maqasudd Hai Us Mai Se Dil Hii Mein Jo Khinchati Hai

Vaa Dil Mein Ki Sadame Do Yaa Jee Mein Ke Sab Sah Lo
Unkaa Bhi Ajab Dil Hai Mera Bhi Ajab Jee Hai

Har Zarra Chamaktaa Hai Anwaar-e-Ilaahi Se
Har Saans Ye Kehati Hai Hum Hai To Khuda Bhi Hai

Suraj Mein Lage Dhabba Fitrat ke Karishme hain
But Hum ko Kahein Kaafir Allah Ki Marzi Hai_____!!

Ankhein Mujhe Talvon Say Wo Malaane Nahin Detey

Ankhein Mujhe Talvon Say Wo Malaane Nahin Detey
Armaan Mere Dil Ka Nikalaney Nahin Detey

Khatir Say Terii Yaad Ko Talane Nahin Detey
sach Hai K Hum He Dil Ko Sanbhalaney Nahin Detey

Kis Naaz Say Kehtey Hain Wo Jhunjhala K Shab-E-Wasl
Tum To Humein KaravaT Bhi Badalane Nahin Detey

Paravaanon Ney Faanoos Ko Dekhaa To Ye Boley
Kyun Hum Ko Jalaatey Ho K Jalaney Nahin Detey

Hairaan Hun Kis Tarah Karun Arz-E-Tamana
Dushman Ko To Pehlu Say Wo Talaney Nahin Detey

Dil Wo Hai K Fariyaad Say Lab_Rez Hai Har Waqt
Hum Wo Hain K Kuch Munh Say Nikalaney Nahin Detey

Garmi-E-Mohabbat Mein Wo Hai Aah Say Maaney
Pankha Nafas-E-Sard Ka Jhalaney Nahin Detey___!!

Shoq E Nazaara Kabhi Dil Say Nikalta Hi Nahi

Shoq e nazara kabhi dil se nikalta hi nahi
Jee hamara hai tery dekhy bina bhealta hi nahi

chain se ho bethna q kr naseeb ay Kam nasheen
Hosh wehshat se mizaaj apna sambhalta hi nahi

Wasal ke ayyam mai kya kya dikhae inqilaab
Hijar mai rang e falak ab to badalna hi nahi

Kis ghazab ka hai MAAZ ALLAH taul e hijr
Hashar mujh pr hogaya laikin ye dhakta hi nahi

Hr qadam pr dil bary hen hasrat e pamal mai
Ab zameen pr paon rakh kr paar chalna hi nahi

Chand roz aya tha meri qabr pe wo shola ro
Ab to muddat se chiragh e gor chalta hi nahi

Soorat e parwana jal kr khaak bhi hogaya
Dil tera ay shama ro laikin pighalta hi nahi_______!!

Dil Mera Jis Say Behalata Koi Aisa Na Mila

Dil meraa jis se bahalataa ko_ii aisaa na milaa
But ke bande to mile allaah kaa bandaa na milaa

Bazm-e-yaaraa.N se phirii baad-e-bahaarii maayuus
Ek sar bhii use aamaadaa-e-saudaa na milaa

Gul ke Khvaahaa.N to nazar aaye bahut itr_farosh
Taalib-e-zamzam-e-bulbul-e-shaidaa na milaa

Waah kyaa raah dikhaa_ii hame.n murshad ne
Kar diyaa kaabe ko gum aur kalisaa na milaa

Sayyad uTThe jo gazaT le ke to laakho.n laaye
ShaiKh quraan dikhaataa phiraa paisaa na milaa____!!

Sans Letey Hue Bhii Darta Hun 

Sans lete huye bhii Darataa huu.N
Ye na samajhe.n ki aah karataa huu.N

Bahar-e-hastii me.n huu.N misaal-e-hubaab
MiT hii jaataa huu.N jab ubharataa huu.N

Itnii aazaadii bhii Ganimat hai
Saa.Ns letaa huu.N baat karataa huu.N

SheKh saahab Khudaa se Darate ho
Mai.n to angrezo.n hii se Darataa huu.N

Aap kyaa puuchhate hai.n meraa mizaaj
Shukr allaah kaa hai marataa huu.N

Ye bara aib mujh me.n hai Akbar
Dil me.n jo aaye kah guzarataa huu.N___!!

0 comments:

Post a Comment