Pages

Friday 7 February 2014

Aitbar Sajid Poetry


















Paikar Tha Wafa Ka Mohabbat Ka Khuda Tha

Paikar tha wafa ka, mohabbat ka khuda tha
Woh shakhss zamaney mein sab se hi juda tha

Chahat ke khazaney they har lafz mein us ke
Daaman mera us ne duaaon se bhar tha

Mujh ko nahin dekha karri dhoop ne chu kar
Baba mera duniya main mujhe aesa jo mila tha

Fikrain na zamaney ki kabhi paas bhi ayin
Hard dard meri hasti se dartaa hi raha tha

Jab taka raha saanson ka basera mere baba
Tab tak main ghamon se bachta hi raha tha

Us shaam ki hiddat mere dil se nahin jati
Jis shaam tera saaya mere sar se utha tha___!!

Judaa Bhi Honay Ka Andhesha Seh Nahin Saktey

Judaa bhi honay ka andheshaa seh nahin saktey
Hum aik sheher mein ab khush bhi reh nahin saktey

Yeh roz-o-shab hain hamarey ke aik dusrey se
Chupaye phirtey hain ehwaal, keh nahin saktey

Shakist-e-zaat ka izhaar chahtey bhi nahin
Ajeeb haal hai, hum chup bhi reh nahin saktey

Haqeeqton ki chattanain bhi apni raah main hain
Khayal-o-khawb ke daryaa main beh nahin saktey

Woh be’qasoor hai, aesi bhi koi baat nahin
Qasoor’waar hain hum, yeh bhi keh nahin saktey_____!!

Kal Yeh Likhti Theen Bicharna Tumhey Manzoor Nahin

Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin
Ab yeh kehti ho “mere khat mujhe wapis kar do

Main safaayi koi doon ga na wazaahat doon ga
Tum ko wapis main tumhari yeh amaanat doon ga

Phir kabhi tumse na milney ki zamanat doon ga
Bas tumhe tark-e-marasim pe yeh zehmat doon ga

Tum ho bechain to mein bhi koi masroor nahin
Kal yeh likhti theen bicharna tumhe manzoor nahin

Ab yeh kehti ho “mere khat mujhe wapis kar do________!!

Dhoop K Dasht Mein Shishay Ki Radain Di Hein

Dhoop Kay Dasht Mein Shishay Ki Radain Di Hein
Zindagi Tune Hmain Kesi Sazain Di Hein

Sholo Jesi He Ata Ki Hein Solagti Bondain
Aag Barsati Hoi Hum Ko Gataye Di Hein

Ek Dua Go Ne Rafaqat Ki Tasali Day Ker
Umer Bhar Hijar Mein Jalne Ki Sazain Di Hain

Dil Ko Bujne Ka Bahana Koi Darkar Tu Tha
Dukh Tu Ye Hai Tere Daman Ne Hawaye Di Hein

Kesa Mahool Mila Hai Hamain Jine Kay Liye
Dene Wale Ne Hamain Kesi Fizain Di Hein_____!!

Bhari Mehfil Mein Tanhai Ka Alam Dhond Leta Hon

Bhari Mehfil Mein Tanhai Ka Alam Dhond Leta Hon
Jahan Jata Hon Apne Dil Ka Mousam Dhond Leta Hon

Akela Khud Ko Jab Mehsos Kerta Hon Kisi Lamhay
Kisi Umeed Ka Chehra Koi Gham Dhond Leta Hon

Boht Hansi Nazar Ati Hein Jo Ankhain Sar E Mehfil
Main In Ankhon Kay Pechay Chashm E Purnam Dhond Leta Hon

Gale Lag Ker Kisi Kay Chahta Hon Jab Kabhi Rona
Shiksta Koi Apne Jesa Ham Dam Dhond Leta Hon

Kelander Se Nahi Mashrot Mere Raat Din Sajid
Main Jesa Chahta Hon Wesa Mousam Dhond Leta Hon_____!!

Kitni Badal Chuki Hai Rut Jazbay Bhi Wo Nahi Rahay

Kitni Badal Chuki Hai Rut Jazbay Bhi Wo Nahi Rahay
Dil Pay Tere Firaq K Sadmain Bhi Wo Nahi Rahay

Mehfile Shab Mein Guftago Hoi To Ye Khula
Batain Bhi Wo Nahi Rahi Lehjay Bhi Wo Nahi Rahay

Huliye Badal K Rakh Diye Jese Shab E Firaq Ne
Ankhain Bhi Wo Nahi Rahi Chehray Bhi Wo Nahi Rahay

Us Ka May Jamal Bhi Goya Gharoob Ho Chala
Apne Wafoor Shooq K Charchay Bhi Wo Nahi Rahay

Hosh E Kharon Gawa Chukay Khud Se Bhi Door Ja Chukay
Log Jo Tere Thay Kabhi Apne Bhi Wo Nahi Rahay

Ye Bhi Howa K Tere Baad Shooq E Safa Nahi Raha
Jin Pay Bichay Hoye Thay Dil Raste Bhi Wo Nahi Rahay_______!!

Chahto K Be Samar Be Sood Khawabo Mein Rakha

Chahto Ke Be Samar Be Sood Khawabo Mein Rakha
Umer Bhar Tune Muje Na Haz Sarabo Mein Rakha

Kaye Mila Tuj Ko Meri Mati Jo Tune Ki Kharab
Kiyn Muje Tune Tamana K Azabo Mein Rakha

Ik Radaye Wada Farwa Ki Dilkash Aarh Mein
Khawab Janat K Dikhaye Our Kharabo Mein Rakha

Rouh Ko Hum Khaarzaro Mein Liye Phirte Rahay
Jan O Dil Ko Mubtala Kitne Azabo Mein Rakha

Ik Dil E Zinda Ko Silo Mein Rakh Diya
Ik Gul E Shadab Ko Murda Kitabo Mein Rakha

Ay Qaza Pervar Ye Mere Sath Tune Kaya Kiya
Ay Ajal Pesha Mera Dukh Kin Hisabo Mein Rakha____!!

Main Kesey Suna Raha Hun Ye Ghazal Mohabbaton Ki

Main Kese Suna Raha Hun Ye Ghazal Mohabbaton Ki
Kahin Aag Sazisho Ki Kahin Aanch Nafrato Ki

Koi Bagh Jal Raha Hai Ye Magar Meri Dua Hai
Mere Phool Tak Na Pohanche Ye Hawa Tamazto Ki

Mera Kon Sa Hai Mosam Mere Mosamo K Wali!
Ye Bahar Be Dili Ki Ye Khiza Murawato Ki

Main Qadeem E Baam O Dar Mein Unhain Ja K Dhondta Hun
Wo Diyare Tigato K Wo Fizayen Chahto Ki

Kahin Chad Ya Sitare Hoye Hum Kalam Muj Se
Kahin Phool Siriyon K Kahi Chariya Chato Ki

Mere Kaghazo Mein Shayed Kahin Ab Bhi So Rahi Ho
Koi Sobha Gulsita Ki Koi Shaam Perbato Ki_________!!

Aysa Nahi K Tere Baad Ahal E Karam Nahi Milay

Aysa Nahi K Tere Baad Ahal E Karam Nahi Milay
Tuj Sa Nahi Mila Koi Log To Kam Nahi Milay

Ik Teri Judai K Dard Ki Baat Our Hai
Jin Ko Na Seh Sakay Ye Dil Ayse To Gham Nahi Milay

Tuj Se Bicharne Ki Katha Is K Siwa Hai Our Kaya
Mil Na Saki Tabiyatain Apne Qadam Nahi Milay

Ye To Howa K Ishq Mein Naam Bohat Kama Liya
Khod Ko Bohat Gawan Liya Daam O Dharam Nahi Milay

Aysa Diyar E Hijar Ne Hum Ko Aseer Ker Liya
Our Kisi Ka Zikar Kaya Khud Ko Bhi Hum Nahi Milay

Naam Waro K Shehar Mein Naam Bohat Milay Magar
Hum Se Gadaze Dil Usay Ahale Qalam Nahi Milay________!!

Read More..

0 comments:

Post a Comment