Pages

Sunday 9 February 2014

Amjad Islam Amjad Shayari
















Aakhiri Baat

Tuluu-e-shams-e-mufaaraqat hai
Puranii kiraneN naye makaanoN ke aaNganoN meN laraz rahii haiN
Fasiil-e-shahar-e-vafa ke rozan chamakte zarroN se bhar gayii haiN
Gaye dinoN kii aziz baateN, nigaar subaheN gulaab raateN
Bisaat-e-dil bhii ajiib shai ha, hazaar jiiteN hazaar maateN!
JudaaiyoN kii havaayeN lamhoN kii Khushk maTTii uRaa rahii haiN
Gayii rutoN kaa malaal kab tak?!
Ahalo ke shaaKheN to TuuTtii haiN
Chalo ke qabroN pe Khuun rone se
Apnii aaNkheN hii phuuTtii haiN
Ye moR voh hai jahaaN se mere tumhaare raste badal gaye haiN
Puraanii raahoN ko lauTnaa bhii hamaarii taqdiir meN nahiiN hai
K raaste bhii hamaare qadamoN ke saath aage nikal gaye haiN
Tuluu-e-shams-e-mufaaraqat hai
Tum apnii aaNkhoN meN jhil_milaate hue sitaaroN ko maut de do
Gayii rutoN ke tamaam phuuloN tamaam KhaaroN ko maut de do
Naye safar ko hayaat baKhsho
K piChhlii raahoN pe sabt jitne nuquush-e-paa haiN
Woh baar hoNge
Havaa uRaaye k tum uRaayo_______!!

Baaz_gasht

Aisii hii sard shaam thii voh bhii
Jab vo mehndi rachaaye haathoN meN
Apnii aahaT ke Khauf se larzaaN
Surkh aaNchal meN muuNh Chhupaaye hue
Apne Khat mujh se lene aayii thii
Us kii sehmii huii nigaahoN meN
Kitnii Khaamosh iltijaayeN thiiN
Us ke chehre kii zard rangat meN
Kitnii majabuurioN ke saaye the!
Mere haathoN se Khat pakaRte hii
Jaane kyaa soch kar achaanak voh,
Meraa shaanaa pakaR ke royii thii
Us ke yaaquut rang hoThoN ke
Kap_kapaate hue kinaaroN par
SainkRoN ankahe fasaane the !
Sard shaamoN meN der tak aksar
Jab ye manzar dikhaayii detaa hai
Ek lamhaa hinaayii haathoN se
Mujh ko apnii taraf bulaataa hai
Ham_nashiiN ruuThh kar na jaa mujh se!
Aisii hii sard shaam thii vo bhi_____!!

Bevafai Ki Mushkilen

Jo tum ne Thhaan hi lii hai
Hamaare dil se nikloge
To itnaa jaan lo pyaare
Wafa ki siiRhioN par har qadam phaila hua
Yeh aarzuuoN ka lahu zaaya' na jaayega!
Samundar saamne hoga, agar saahil se nikloge!
Sitaare, jin kii aaNkhoN ne hameN ik saath dekhaa hai,
Gavaahii dene aayeNge!
Puraane kaaghazoN ki balkoni se bahut se lafz jhaankeNge,
TumheiN vaapas bulaayeNge!
Kaii vaade, fasaadii qarz_KhwahoN ki tarah raste meiN rokeNge
TumheiN daaman se pakReNge
tumhaari jaan khaayeNge!
Chhupa kar kis tarah chehra
Bhari mehfil se nikloge?!
Zara phir soch lo jaanaN
Nikal to jaayoge shaayad
Magar mushkil se nikloge____!!

Inkeshaaf

Na vaadaa hai koii tum se, koii rishtaa nibhaane kaa
Na koii aur hii dil meiN taHaaiya yaa iraadaa hai!
Kaii din se magar dil meiN
Ajab uljhan sii rehtii hai!
Na tum is daastaaN ke sarsarii kirdaar ho koii
Na qissah itnaa saadaa hai!
Tt'alluq jo maiN samjhaa thaa, kahiiN us se ziyadaa hai___!!

0 comments:

Post a Comment