Pages

Sunday 9 February 2014

Amjad Islam Amjad Poetry






















Koi Zanjeer Ho

Koi Zanjeer Ho
Aahan kii, chaandii kii, rivaayat kii
Mohabbat toR saktii hai!

Yeh aisii Dhaal hai jis par
Zamaane kii kisii talwaar kaa lohaa nahiiN chaltaa!
Yeh aisaa shehar hai jis meiN
Kisii aamir, kisii sultaan kaa sikkaa nahiiN chalta!
Agar chashm-e-tamaashaa meiN zaraa sii bhii milaavaT ho
Yeh aaina nahiiN chaltaa!

Yeh aisii aag hai jis meiN
Badan sholoN meiN jalte haiN, to ruuheN muskuraatii haiN
Yeh voh sailaab hai jis ko
DiloN kii bastiiyaaN aavaaz de kar Khud bulaatii haiN

Yeh jab chaahe kisii bhii Khwaab ko taabiir mil jaaye
Jo manzar bhuj chuke haiN, un ko bhii tanviir mil jaaye
Dua, jo be_Thikaanaa thii, use taasiir mil jaaye
Kisii raste meiN rastaa puuChtii taqdiir mil jaaye

Muhabbat rok saktii hai samay ke tez dhaare ko!
Kisii jalte sharaare ko, fanaa ke istiyaare ko!
Muhabbat rok saktii hai kisii girte sitaare ko!
Yeh chaknaa chuur aaine ke reze joR saktii hai
Jidhar chaahe yeh baageN mausmoN kii moR saktii hai!
Koii zaNjiir ho, us ko muhabbat toR saktii hai____!!

Yeh Jo Raig-E-Dasht-E-Firaaq Hai

Yeh jo raig-e-dasht-e-firaq hai yeh ruke agar
Yeh ruke agar to nishaaN mile
Yeh nishaaN mile
K jo faasiloN kii saliib hai
Yeh gaRi hui hai kahaaN kahaaN
Mere aasmaaN se kidhar gayii tere iltefaat ki kehkashaaN
Mere be_Khabar, mire be_nishaaN
Yeh ruke agar to pata chale
MaiN thaa kis nagar tuu rahaa kahaaN
K zamaaN makaaN ki yeh wusateN
Tujhe dekhne ko taras gayiiN
Woh mire nasiib ki baarisheN
Kisi aur Chhat pe baras gayiiN
Mere chaar suu hai ghubaar-e-jaaN
Woh fishaar-e-jaaN
K Khabar nahiiN mire haath ko mire haath kii
Mere Khwaab se tire baam tak
Teri rehguzar ka to zikr kya
NahiiN zaufishaN tera naam tak
HaiN dhuaaN dhuaaN mire ustKhwaaN
Mere aansuuoN meN bhuje hue mire ustKhwaaN
Mere naqsh gar mere naqsh-e-jaaN
Isi raig-e-dasht-e-firaaq meN rahe muntazir
Tere muntazir____!!
Mere Khawab jin ke fishaar meN
Rahi mere haal se beKhabar teri rehguzar
Teri rehguzar ke jo naqsh haiN mire haath par.....
Magar is balaa ki hai tiirgi
K Khabar nahiiN mere haath ko mere haath ki
Woh jo chashm-e-shobadaa saaz thii, woh uThe agar
Mere ustKhwaaN meN ho raushni
Ussi ek lamha-e-diid meN teri rehguzar___!!
Meri tiirah jaaN meN chamak uThe
Mere Khawab se tire baam tak
Sabhii manazroN meN damak uThhe
Usii ek pal meN ho jaavidaaN
Meri arzuu k hai bekaraaN
Meri zindagi k hai muKhtasar
Yeh jo raig-e-dasht-e-firaq hai, yeh ruke agar__!!

Chehre Pay Mere Zulf Ko Pheilao Kisi Din

Chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
Kaya roz garajty ho,barass jao kisi din

Raazon ki tarah utro mere dil me kisi shab
Dasak pe mere haath ki khul jao kisi din

Perun ki tarah husn ki barish me naha lon
Badal ki tarah jhoom k aao kisi din

Khushbo ki tarah guzro mere dil ki gali se
Pholon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din

Phir haath ki khairat mile band qaba ko
Phir lutf sabhe wasal ko duhrao kisi din

Guzrain jo mere ghar se to ruk jaen sitaare
Is tarah meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni har saans uss raat ko de don
Sarr rakh k seene pe mere Soo jao kisi di____!!

Milay Kesi Ki Sadyon Ki Pyas Aur Pani, Zara Phir Se Kehna

Milay Kesi Ki Sadyon Ki Pyas Aur Pani, Zara Phir Se Kehna
Bari Dil Ruba Hai Ye Sari Khani, Zara Phir Se Kehna

Kahan Se Chala Tha Judai Ka Saya, Nahi Dekh Paya
Ke Raste Main Aanson Ki Rwani, Zara Phir Se Kehna

Hawa Ye Khabar Tu Sunati Rahe Aur Main Sunta Rhon
Badalne Ko Hai Ab Ye Mosam Khzani, Zara Phir Se Kehna

Mukr Jane Wala Kabi Zindagi Mai Khushi Phir Na Paye
Yunhi Khatam Kar Lain, Chalo Ye Khani, Zara Phir Se Kehna

Smay Ke Samandar Kaha Tu Ne Jo Bi Suna Par Na Samjhe
Jawani Ki Nadi Mai Tha Teez Pani, Zara Phir Se Kehna_____!!

Jo Baat Nahi Kartey

Jo Baat Nahi Karte
Un Bolte Rangon Mai
Main Ne Tumhain Socha Hai
Jo Dil Se Guzarte Hain
Un Ajnabi Raston Mai
Mai Ne Tumhain Dekha Hai

Kehne K Liye Tum Se
Batain Tu Bahot Si Hain
Alfaz Nahi Milte
Jo Meri Nazar Main Hain
Is Shehr K Baghon Mai
Wo Phol Nahi Khilte

Main Ne Tumhain Jana Hai
Azhar K Rishton Se
Jis Tarah Koi Banda
Dharti Pe Nazar Dale
Ik Bar Khuda Ho Ke_____!!

Ab Tak Na Khul Saka K Mere Roo_Baroo Hai Kon

Ab tak na khul saka ke mere roo baroo hai kaun!
Kis se mukaalama hai pas e guftgoo hai kaun!

Saaya agar hai woh to hai us ka badan kahan
Markaz agar hoon main to mere chaar soo hai kaun!

Har shey ki maahiyat pe jo karta hai tu sawaal
Tujh se agar yeh poochh le koi ke tu hai kaun!

Ashkon mein jhilmilata hua kis ka aks hai
Taaron ki rahguzaar mein yeh maahroo hai kaun!

Baahir kabhi to jhaank ke khidki se dekhte
Kis ko pukaarta hua yeh koo bakoo hai kaun!

Aankhon mein raat aa gai lekin nahin khula
Main kis ka mudda'aa hoon meri justuju hai kaun!

Kis ki nigaah e lutf ne mausam badal diye
Fasl e khizaan ki raah mein yeh mushk boo hai kaun!

Baadal ki ote se kabhi taaron ki aad se
Chhup chhup ke dekhta hua yeh heela joo hai kaun!

Taare hain aasmaan mein jaise zameen pe log
Har chand ek se hain magar hoo bahoo hai kaun!

Hona to chahiye ke yeh mera hi aks ho
Lekin yeh aaine mein mere roo baroo hai kaun!

Is be kanaar phaili hui kainaat mein
Kis ko khabar ke kaun hoon main aur tu hai kaun!

Saara fasaad badhti hui khaahishon ka hai
Dil se bada jahan mein Amjad adoo hai kaun_____!!

Hum To Aseer E Khawab Thay Tabeer Jo Bhi Thi

Hum to aseer e khawab thay tabeer jo bhi thi
Deewar par likhi hui tehreer jo bhi thi

Har fard la jawab tha har naqsh be misal
Mil jul apni qom ki tasveer jo bhi thi

Jo samne hai sub hai ye apne kiye ka khail
Taqdeer ki to chorriye taqdeer jo bhi thi

Aaya or ik nigaah me barbaad kar gaya
Hum ahl e intezar ki jageer jo bhi thi

Qadren jo apna maan theen nilaam ho gaeen
Malbe k mol bik gai tameer jo bhi thi

Talib hain tere reham k adal k nahi
Jaisa bhi apna jurm tha taqseer jo bhi thi

Hathon pe koi zakham na pairon pe kuch nishaan
Sochon me thi parri hui zanjeer jo bhi thi

Ye aur bat chashm na ho ma'ani aashna
Ibrat ka aik dars thi tehreer jo bhi thi

Amjad humari bat wo sunta to aik baar,
Aankhon se us ko choomte tazeer jo bhi thi_______!!

Daam-E-Khushbu Mein Giraftaar Saba Hai Kab Say

Daam-e-khushbu mein giraftaar saba hai kab se
Lafz izhaar ki uljhan mein pada hai kab se

Ai kadi chup ke dar-o-baam sajane wale
Muntazir koi sar-e-koh-e-nida hai kab se

Chaand bhi meri  tarah husn shanasa nikla
Uski deewaar pe hairaan khada hai kab se

Baat karta hun to lafzon se mahak aati hai
Koi anfaas ke parde mein chhupa hai kab se

Shaibdahbaazi-e-aaina-e-ehsaas na pooch
Hairat-e-chashm wohi shokh qaba hai kab se

Dekhiye khoon ki barsaat  kahan hoti hai
Shahr par chhi hui surkh ghata hai kab se

Koor chashmon ke liye aaina khaana maloom
Warna har zarra tera aksnuma hai kab se

Khoj mein kis ki bhara shahr laga hai Amjad
Dhoondhti kisko sar-e-dasht hawa hai kab se___!!

Hisaab-E-Umr Ka Itna Sa Goshwara Hai 

Hisaab-E-Umr Ka Itna Sa Goshwara Hai
Tumhay Nikaal Kar Dekha To Sab Khasaara Hai

Kisi Chiraagh Main Hum Hain Kisi Kanwal Main Tum
Kaheen Jamaal Hamara Kaheen Tumhara Hai

Wo Kya Visaal Ka Lamha Tha Jiskay Nashay Main
Tamam Umr Ki Furqat Hamay Ganwara Hai

Ajab Usool Hain Is Karobaar-E-Duniya Ke
Kisi Ka Qarz Kisi Aur Ne Utara Hai

Kaheen Pe Hai Koi Khushboo Ke Jis Ke Honay Ka
Tamaam Alam-E-Majood Istaara Hai

Najanay Kab Tha,Kahan Tha Magar Ye Lagta Hai
Ye Waqt Pehlay Bhi Hamnay Kabhi Guzara Hai

Ye Do Kinaray To Dariya Ke Ho Gaye, Hum Tum
Magar Wo Kon Hai Jo Teesra Kinara Hai_____!!

1 comment: