Pages

Friday 7 February 2014

Ahmad Nadeem Qasmi Shayari



















Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon

Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Mein Tujh Ko Kho Ke, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon

Mein Intezaar-e-Tuluu-e-Seher Mein Jeeta Hun
Mein Apna Chaak-e-Girebaan Kubhi Raffu Na Karoon

TU Sirf Jism Nahi Hai, Waraa-e-Jism Bhi Hai
Mein Tujh Ko Paa Ke Bhi Kiun Teri Aarzoo Na Karoon ?

Gayuur Hun Ke Ijaara Pasand Hun, Kia Hun ?
Mein Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ruu-Baruu Na Karoon

Ye Mashwaray Tou Mere Tark-e-Shair Ke Hain Nadeem
Ke Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon_____!!
____________________________

Zehanon Mein Khayaal Jal Rahey Hain

Zehano.n me.n Khayaal jal rahe hai.n
Socho.n ke alaav-se lage hai.n

Duniyaa ki Girift Mein Hain Saaye
Hum Apna Wajood Dhoondhatey Hain

Ab Bhookh Say Koi Kyaa Marey Ga
Mandi Mein Zamir Bik Rahey Hain

Maazi Mein To Sirf Dil Dukhatey They
Is Daur Mein Zehan Bhi Dukhey Hain

Sir Kaatatey They Kabhi Shehanshah
Ab Log Zubaan Kaatatey Hain

Hum Kaisey Churraayein Shab Sey Daaman
Din Nikala To Saaye Chal Parrey Hain

Laashon K Hujoom Mein Bhii Hans Dein
Ab Aisey Bhii Hausaley Kisey Hain____!!
____________________________

Zeest Aazaar Hui Jaati Hai

Zeest aazaar hu_ii jaatii hai
SaaNs talavaar hu_ii jaatii hai

Jism bekaar huaa jaataa hai
Ruuh bedaar hu_ii jaatii hai

Kaan se dil me.n utaratii nahii.n baat
Aur guftaar hu_ii jaatii hai

Dhal ke nikali hai haqiiqat jab se
Kuchh pur_asraar hu_ii jaatii hai

Ab to har zaKHm kii muu.Nh_band kalii
Lab-e-izahaar hu_ii jaatii hai

Phool hii phuul hai.n har simt 'Nadeem'
Raah dushvaar hu_ii jaatii hai_______!!
____________________________

Mujh Say Kafir Ko Terey Ishq Ney Youn Sharmaaya

Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya
Dil tujhe dekh ke dharrka to khudaa yaad aaya

Mere dil pe to hai ab tak tere gham ka saaya
Log kehte hain neya daur naye dukh laya

Mera meyaar-e-wafaa hi meri majboori hai
Rukh badal kar bhi tujhe apne muqaabil paya

Charagar aaj sitaron ki kasam kha ke bata
Kis ne insaan ko tabasum ke liye tarrpaya

Log hanstey hain to is soch main kho jata hon
Mauj-e-sailaab ne phir kis ka gharaunda dhaaya

Uss ke andar koi fankaar chupaa betha hai
Jaantey boojhtey jis shakhs ne dhoka khaya___!!
____________________________

Khuda Kere K Meri Arz E Pak Per Utray

Khuda Kere K Meri Arz E Pak Per Utray
Wo Nasal E Ghul Jisay Andesha E Zawal Na Ho

Yaha Jo Phol Khilay Wo Khila Rahay Bharson
Yaha Khizan Ko Bhi Guzarnay Ki Majal Na Ho

Yaha Jo Sabza Ugay Wo Hamaisha Sabaz Rahay
Our Aysa Sabz K Jis Ki Koi Misaal Na Ho

Ghani Ghtayen Yaha Aysi Barshain Barsayen
K Pathro Se Bhi Roydgi Mahal Na Ho

Khuda Keray K Waqar Is K Ghair Fani Ho
Our Is K Husn Ko Tashwish Mah O Saal Na Ho

Her Aik Fard Ho Tahzeeb O Fun Ka Ooj E Kamal
Koi Malool Na Ho Koi Khasta Haal Na Ho

Khuda Kere K Meri Arze Pak Per Utray
Wo Nasal E Ghul Jisay Andesha E Zawal Na Ho____!!
____________________________

Jab Tera Hukam Mila Tarke Muhabat Ker Di

Jab Tera Hukam Mila Tarke Muhabat Ker Di
Dil Magar Is Pay Wo Dharka K Qayamat Ker Di

Tuj Se Kis Tarah Main Izhare Tamna Kerta
Lafaz Socha To Mayni Ne Baghawat Ker Di

Main To Samja Tha K Lout Atay Hain Janay Walay
To Ne Ja Ker Tu Judai Meri Qismat Ker Di

Muj Ko Dushman K Irado Pay Bhi Payar Ata Hai
Teri Ulfat Ne Muhabat Meri Adat Ker Di

Kaya Tera Jism Tere Husn Ki Hidat Main Jala
Rakh Kis Ne Teri Sonay Ki C Rangat Ker Di____!!
____________________________

Hum Sayasat Se Muhabat K Chalan Mangtay Hain

Hum Sayasat Se Muhabat K Chalan Mangtay Hain
Shab E Sahra Se Magar Subh E Chaman Mangtay Hain

Wo Jo Ubra Bhi To Badal Main Lipat Ker Ubra
Isi Bechray Hoye Soraj Se Kirn Mangtay Hain

Kuch Nahi Mangtay Hum Log Bajiz Azne Kalam
Hum To Insaan Ka Baysakhta Pan Mantay Hain

Ayse Ghunchay Bhi Ghul Chain Ki Kaba Main Hain Aseer
Baat Karnay Ko He Jo Apna Dehaan Mangtay Hain

Hum Ko Matloob Hai Taqreem E Kado Gasoo
Aap Kehtay Hain K Hum Daro Rasan Mangtay Hain

Lamha Phar Ko To Lubha Jatay Hain Nayray Laykin
Hum To Ay Ahalay Watan Watan Darde Watan Mangtay Hain____!!
____________________________

Gul Tere Rang Chura Laye Hain Gulzaro Main

Gul Tere Rang Chura Laye Hain Gulzaro Main
Jhal Raha Ho Bhari Barsat Ki Bhocharo Main

Mujay Se Katra K Nikal Ja Magar Ay Jan E Jahan
Dil Ki Loh Dekh Raha Hun Tere Rakhsaro Main

Muj Ko Nafrat Se Nahi Payar Se Masloob Karo
Main Bhi Shamil Hum Muhabat K Gunahgaro Main

Mere Kese Main Tu Ik Soot Ki Inti Bhi Na Thi
Naam Likhwa Diya Yousuf K Kharidaro Main

Rut Badal Hai Tu Mayar Badal Jatay Hain
Bulbulain Kar Liye Phirti Hain Mankaro Main

Chal Ray Bazar E Hunar Se Koi Bahroop Nadeem
Ab Tu Fankaar Bhi Shamil Hain Ada Karo Main____!!
____________________________

Chandi Ne Rang E Shab Jab Zard Ker Dala

Chandi Ne Rang E Shab Jab Zard Ker Dala_____To Main
Aik Ayse Shahar Se Guzra___Jahan
Sirf Diwarain Numayan Thin
Chatain Madoom Thin
Our Galiyan Main Faqat Saye Rawa Thay
Jism Ghayeb Thay_____!!
____________________________

Buhat Shadid Tashind Main Mubtila Logo

Buhat Shadid Tashind Main Mubtila Logo
Yahin Qareeb Muhabt Ka Aik Qariya Hai

Yahan Duen Ne Manazar Chupa Rakhay Hain Magar
Ufaq Baaq Ka Waha Se Dikhai Deta Hai

Yahan To Apni Sada Kaan Main Nahi Parti
Waha Khuda Ka Tanafus Sunai Deta Hai_____!!

0 comments:

Post a Comment