Pages

Sunday 9 February 2014

AMjad Islam Amjad Ghazals















Teri Zad Say Nikalana Chahata Hai

Teri zad se nikalana chahata hai
Ye dariya rukh badalana chahata hai

Wo sapana jis ke surat hi nahi hai
Meri aankhon mein chalana chahata hai

Dilon ke mandagi pe kya ta’ajjub
Ki suraj bhi to dhalana chahata hai

Nashist-e-dard badali hai to ab dil
Zara pehlu badalana chahata hai

Mujhe bhi samana hai karbala ka
Mera sar bhi uchalana chahata hai

Nahi hai tarjuman-e-gam ye aansu
Ye pani ab ubalana chahata hai

Tabassum zer-e-lab kehta hai ‘amjad’
Koi jazba machalana chahata hai____!!

Fasl-E-Gul Aayi Phir Ik Bar Asiran-E-Wafa

Fasl-e gul aayi phir ik bar asiran-e-vafa
Apney hi khun ke dariya mein nahane nikale

Hijr ki chot ajab sang-shikan hoti hai
Dil ke befaiz zaminon se khazane nikale

Umar guzari hai shab-e-tar mein aankhen malate
Kis ufaq se mera khurshid na jane nikale

Ku-e-qatil mein chale jaise shahidon ka julus
Khvab yun bhigati aankhon ko sajane nikale

Dil ne ik int se tamir kiya taj mahal
Tou ne ik bat kahi lakh fasane nikale

Dasht-e tanhai-e-hijran mein khada sochata hun
Haye kya log mera sath nibhane nikale

Main ne ‘amjad’ use bevasta dekha hi nahi
Wo to khushbu mein bhi aahat ke bahane nikale____!!

Koi Lamha Bhi Kabhi Laut Kar Nahi Aya

Koi Lamha Bhi Kabhi Laut Kar Nahi Aya
Woh Shaks Aisa Gaya Phir Nazar Nahee Aaya

Wafa Ke Dasht Main Raasta Nahi Mila Koi
Siwaye Gard-e-safar Humsafar Nahi Aya

Kisi Chiraagh Ne Poochi Nahi Khabar Meri
Koi Bhi Phool Meray Naam Par Nahi Aya

Palat Kar Anay Lagay Shaam Ke Parinday Bhi
Hamara Subha Ka Bhoola Magar Nahi Aya

Hamein Yaqeen Hai “amjad” Wo Wada Khilaaf
Yeh Umr Kaisay Kategi Agar Nahi Aya____!!

Zameen Jalti Hai Aur Aasman Toota Hai

Zameen jalti hai aur aasman tootta hai
Magar guraiz karain hum tou maan tootta hai

Koi bhikaam hoanjaam tak nahi jata
Kkisi kay dihaan main pal paldihaan tootta hai

K jaisay matan main har lafz ki hai apni jaga
Jo aik fard katay kaarwaan tootta hai

Nizad-e-subah k lashkar ki aamad aamad hai
Hisaar-e-halqa shab zadgaan tootta hai

Wafa kay shehar kay rustay ajeeb hain amjad
Har aik mar pe ik meharbaan tootta hai_______!!

Kisi Ki Ankh Jo Purnam Nahin Hai

Kisi ki ankh jo purnam nahin hai
Na samajho ye ke us ko Gam nahin hai
 
Savad-e-dard men tanha khada hun
Palat jaun magar mausam nahin hai
 
Samajh men kuch nahin ata kisi ke
Agarche guftagu mubaham nahin hai____!!

Apnay Ghar Ki Khirki Say Aasmaan Ko Dekhon Ga

Apnay Ghar Ki Khirki Say Aasmaan Ko Dekhon Ga
Jis Per Tera Naam Likha Hay Us Taaray Ko Dhundon Ga

Tum Bhi Har Shab Dia Jala Kar Palkon Ki Dehleez Pay Rakhna
Main Bhi Rooz Ak Khowab Tumhara Shaher Ki Janib Bhejon Ga

Hijar Kay Darya Main Tum Parhna Lehron K Tahreerain Bhi
Pani Ki Har Satah Pay Main Kuch Dil Ki Baatein Likhon Ga

Jis Tanha Say Pair Kay Nechay Hum Barish Main Bheegay Thay
Tum Bhi Us Ko Cho Kay Guzarna , Main Bhi Us Say Lipton Ga

Khowab Musafir Lamhon Kay Hain, Saath Kaha Tak Jaaye Gay
Tum Nay Bilkul Theek Kaha Hay, Main Bhi Ab Kuch Sochon Ga

Baadal oRh ke guzruN ga maiN tere ghar ke aangan se
Qos-e-qaza ke sab rangoN meN tujh ko bhiiga dekhuuN ga

Raat gaye jab chaand sitaare lukan miiTi kheleN ge
Aadhi neeNd ka sapna ban kar maiN bhi tum ko Chhuu luuN ga

Be mausam baarish ki suurat der talak or duur talak
Tere diyaar-e-husn pe maiN bhii kin min kin min barsuun ga

Sharm se dohra ho jaye ga kaan paRa voh bunda bhi
Bad-e-Saba ke lehje meiN ik baat maiN aisi puuChhuuN ga

Safha safha ek kitaab-e-husn si khulti jaaye gi
Aur isii ki lau meN phir maiN tum ko azbar kar luun ga

Waqt ke ik kankar ne jis ko aksoN meN taqsiim kiya
Ab-e-rawaN meN kaise Amjad ab voh chehra joRuuN ga___!!

Jo Kuch Daikha Jo Socha Hai Wohi Tehreer Kar Jayen

Jo kuch daikha jo socha hai wohi tehreer kar jaen
Jo kaaghaz apnay hissay ka hai wo kaaghaz tou bhar jaen

Nashay main neend kay taaray bhi ik doojay par girtay hain
Thakan rston ki kehti hai chalo ab apnay ghar jaen

Kuch aisi be hisi ki dhund si pheli hai ankhon main
Hamari sooratain daikhain tou aaenay bhi dar jaen

Na himmat hai ganeem-e-wakt se ankhain milanay ki
Na dil main hosla itn kay mtti main uttar jaen

Gul-e-umeed ki soorat tere baaghon main rehtay hain
Koi mousam hamain bhi dai k apni baat kar jaen

Deyaar-e-dasht main raig-e-rawan jin ko banati hai
Bata ae manzil-e-hasti k wo rstay kidhar jaen

Tou kya ae qasim-e-ashya yehi ankhon ki qismat hai
Agar khawabon se khaali hon tou pachtawon se bhar jaen

Jo bakhshish main milay amjadtou us khushbu se behtar hai
K us be faiz gulshan se bandhi muthi guzar jaen____!!

Ab K Safar Kuch Aur Tha Aur Hi Kuch Saraab Thay

Ab K Safar Kuch Aur Tha, Aur Hi Kuch Saraab Thay
Dasht-e-Talab Mein Ja-Ba-Ja, Sang-e-Giraan-e-Khuwaab Thay

Hashar K Din Ka Ghulghula Shehar K Baam-o-Dar Mein Tha
Nigle Huwe Khuwab Thay, Ugle Huwe Jawaab Thay

Ab K Baras, Bahar Ki Rut Bhi Thi Intizar Ki
Lehjon Mein Sail-e-Dard Tha, Aankhon Mein Izteraab Thay

Khuwabon K Chaand Dhal Gaye, Taaron K Dam Nikal Gaye
Pholon K Hath Jal Gaye, Kaise Ye Aftaab Thay

Sahil Ki Rehguzar Huwe, Hoont Na Phir Bhi Tar Huwe
Kesi Ajeeb Piyas Thi Kaisy Ajeeb Sahaab Thay

Umar Isi Tazaad Mein, Rizq-e-Ghubaar Ho Gai
Jism Tha Aur Azaab Thay, Aankhen Theen Aur Khuwaab Thay

Subah Huwi To Shehar K Shor Mein Youn Bikhar Gaye
Jaisay Wo Aadmi Na Thay, Naqsh-o-Nigaar-e-Aab Thay

Aankho'n Mein Khoon Bhar Gaye Rastoo'n Mein Bikhar Gaye
Aane Se Qabal Mar Gaye, Aisey Bhi Inqilaab Thay

Saath Wo Ek Raat Ka, Chashm-e-Zadan Ki Baat Tha
Phir Na Wo Iltefaat Tha, Phir Na Wo Ijtinaab Thay

Rabt Ki Baat Aur Hai, Zabt Ki Baat Aur Hai
Ye Jo Fishaar-e-Khaak Hai, Is Mein Kabhi Gulaab Thay

Abar Baras K Khul Gaye, Jee K Ghubaar Dhul Gaye
Aankh Mein Roo-Numa Huwey, Shehar Jo Zair-e-Aab Thay

Dard Ki Rehguzar Mein, Chalte To Kis Khumaar Mein
Chashm K Be-Nigaah Thi, Hoont K Be-Khitaab Thay_____!!

0 comments:

Post a Comment