Pages

Saturday 8 February 2014

Best Poetry Of Allama Iqbal




















The One I Was Searching For On the Earth and in Heaven

The one I was searching for on the earth and in heaven
Appeared residing in the recesses of my own heart

When the reality of the self became evident to my eyes
The house appeared among residents of my own heart

If it were somewhat familiar with taste of rubbing foreheads
The stone of Ka’ba’s threshold would have joined the foreheads

O Majnun! Have you ever glanced at yourself
That like Layla you are also sitting in the litter

The months of the union continue flying like moments
But the moments of separation linger for months!

O seaman, how will you protect me from being drowned
As those destined to drowning get drowned in the boats also

The one who concealed His Beauty from Kalim Allah
The same Beloved is manifest among beloveds

The breath of Lovers can light up the extinguished candle
O God! What is kept concealed in the breast of the Lovers?

Serve the fakirs if you have the longing for Love
This pearl is not available in the treasures of kings

Do not ask of these Devotees, if you have faith, you should look at them
They have the illuminated palm up their sleeves

The insightful eye for whose spectacle is tantalized
That elegance of congregation is in these very recluses

Burn the produce of your heart with some such spark
That the Last Day’s sun may also be among your gleaners

For Love search for some heart which would become mortified
This is the wine which is not kept in delicate wine glasses

The Beauty itself becomes the Lover of whose Beauty
O Heart! Does someone among the beautiful has that beauty?

Someone became highly excited at your grace of Ma’arafna
Your rank remained among the most elegant of all the Lovers

Manifest Thyself and show them Thy Beauty some time
Talks have continued among the sagacious since long time

Silent, O Heart! Crying in the full assembly is not good
Decorum is the most important etiquette among the ways of Love

It is not possible for me to deem my critics bad
Because Iqbal, I am myself among my critics______!!

The Sun

O Sun! The world's essence and motivator you are
The organizer of the book of the world you are

The splendor of existence has been created by you
The verdure of the garden of existence depends on you

The spectacle of elements is maintained by you
The exigency of life in all is maintained by you

Your appearance confers stability on everything
Your illumination and concord is completion of life

You are the sun which establishes light in the world
Which establishes heart, intellect, essence and wisdom

O Sun! Bestow on us the light of wisdom
Bestow your luster's light on the intellect's eye

You are the decorator of necessaries of existence' assemblage
You are the Yazdan of the denizens of the high and the low

Your excellence is reflected from every living thing
The mountain range also shows your elegance

You are the sustainer of the life of all
You are the king of the light's children

There is no beginning and no end of yours
Free of limits of time is the light of yours_____!!

The Tomb-Stone Of Saiyyid

O you whose life is confined in the material world
O you whose soul is imprisoned in the cage

Look at the freedom of this garden's warblers
Look at the prosperity of those once desolate

This is the congregation with which I was concerned
This is the reward of patience and perseverance

My tomb-stone is ardently desirous of speech, look!
At this tomb-stone's inscription with insight look______!!

The Withered Rose

O withered rose! How can I still call you a rose?
How can I call you the longing of nightingale's heart?

Once the zephyr's movement was your rocking cradle
In the garden's expanse joyous rose was your name

The morning breeze acknowledged your benevolence
The garden was like perfumer's tray by your presence

My weeping eye sheds dew on you
My desolate heart is concealed in your sorrow

You are a tiny picture of my destruction
You are the interpretation of my life's dream

Like a flute to my reed-brake I narrate my story
Listen O rose! I complain about separations_____!!

Dayar-E-Ishk Mein Apna Maqam Paida Kar

Dayar-E-Ishk Mein Apna Maqam Paida Kar
Naya Zamana Naye Subuh Sham Paida Kar

Khuda Agar Dil-E-Fitrat Shinas De Tujh Ko
Sakood E Lalov Gul Se Kalam Paida Kar

Baad E Mukhalif Se Na Na Ghabra Tu Aey Uqaab
Yeh To Chalti Hain Tujhe Uncha Udhaane Keliye

Mauj E Sar Sar Se Daraata Hai Usse Tu Bekaar
Bujh Chuka Hai Jo Naseeb E Sehri Se Sow Baar

Mera Tareen Ameeri Nahi Faqeeri Hai
Khudi Na Bech Ghareebi Mein Naam Paida Kar

Nahi Mera Nishewant Kasr E Sultani Ke Pat Par
Tu Shahi Hai Basera Kar Pahadon Ki Chatanon P

Khuda Tujhe Kisi Toofan Se Aashina Kar De
Kih Tere Behr Ki Mojon Mein Iztaraab De

Tujhe Kitaab Se Gin Nahi Karar Kih Tu
Kitaab Khawh Hai Saahib E Kitaab Mein

Khudi Ko Kar Buland Itna Kih Har Taqdeer Se Pehle
Khuda Bande Se Khud Pooche Bata Teri Raza Kya Hai_____!!

Ishq Qatil Se Bhi Maqtool Se Hamdardi Bhi

Ishq Qatil Se Bhi Maqtool Se Hamdardi Bhi
Ye Bata Kis Se Muhabbat Ki Jaza Mangega

Sajda Khaliq Ko Bhi Iblees Se Yaarana Bhi
Hashar Main Kis Se Aqeedat Ka Sila Mangega_____!!

Keh Do Gham-E- Husain Manany Walon Ko

Keh Do Gham-E- Husain Manany Walon Ko
Momin Kbhi Shaheed Ka Matam Nhi Krte

Hy Ishq Apni Jan Se Zyada Aal-E-Rasol Se
Yun Sar-E-Aam Hum Unka Tamasha Nai Krty

Roein Wo Jo Munkir Hain Shahadat-E-HUSSAIN K
Hum Zinda-O-Javaid Ka Matam Nahi Kertay_____!!

Mohabbat Ka Junun Baqi Nahin Hai

Mohabbat Ka Junun Baqi Nahin Hai
Musalmanon Mein Khun Baqi Nahin Hai

Safen Kaj, Dil Pareshan, Sajda Bezuk
K Jazba-E-Andrun Baqi Nahin Hai

Ragon Mein Lahu Baqi Nahin Hai
Wo Dil, Wo Awaz Baqi Nahin Hai

Namaz-O-Roza-O-Qurbani-O-Haj
Ye Sab Baqi Hai Tu Baqi Nahin Hai____!!

Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo

Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo
Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo

Tum Ne B Suni Ho Gi Bari Aam Kahawat Hy
Anjam Ka Jo Ho Khatra Aghaz Badal Dalo

Pur-Soz Dilon Ko Jo Muskan Na De Paye
Sur Hi Na Mile Jis Mai Wo Saaz Badal Dalo

Dushman K Iradon Ko Hy Zahir Agar Karna
Tum Khel Wohi Khelo Andaz Badal Dalo

Ay Dost Karo Himat Kuch Door Sawera Hy
Agar Chahte Ho Manzil Tu Parwaaz Badal Dalo____!!

Gaisuay Tabdar Ko Aur Bhi Tabdar Kar

Gaisuay Tabdar Ko Aur Bhi Tabdar Kar
Hosh-o-Khirad Shakar Kar, Qalb-o-Nazar Shakar Kar

Ishq Bhi Ho Hijab Mein, Husn Bhi Ho Hijab Mein
Ya Tu Khud Ashkar Ho Ya Mujhe Aashkar Kar

Tu Hai Muheet-e-Bekaran, Mein Hun Zara Si Aabjoo
Ya Mujhe Hamkinar Kar Ya Mujhe Bekinar Kar

Main Hun Sadaf Tou Tere Hath Mere Guhar Ki Abroo
Mein Hun Khazaf Tou Tu Mujhe Gohar-e-Shahsawar Kar

Naghma’ay Nau Bahar Agar Mere Naseeb Mein Na Ho
Iss Dam-e-Neem Souz Ko Taeerak-e-Bahar Kar

Bagh-e-Bahisht Se Mujhe Hukam-e-Safar Diya Tha Kyun
Kaar-e-Jahan Daraz Hai, Ab Mera Intizar Kar

Roz-e-Hisab Jab Mera Paish Ho Daftar-e-Amal
Aap Bhi Sharamsaar Ho, Mujh Ko Bhi Sharamsaar Kar____!!

Ya Rab Dil-e-Muslim Ko Woh Zinda Tamana De

Ya Rab! Dil-e-Muslim Ko Woh Zinda Tamana De
Jo Qalb Ko Garma De, Jo Rooh Ko Tarpa De

Phir Wadi-e-Faran Ke Har Zarre Ko Chamka De
Phir Shauq-e-Tamasha De, Phir Zauq-e-Taqaza

Mehroom-e-Tamasha Ko Phir Dida-e-Beena De
Dekha Hai Jo Kuch Mein Ne Auron Ko Bhi Dikhla De

Bhatke Huway Aahu Ko Phir Soo’ay Haram Le Chal
Iss Sheher Ke Khugar Ko Phir Wusaat-e-Sehra De

Paida Dil-e-Weeran Mein Phir Shaurish-e-Mehshar Kar
Iss Mehmil-e-Khali Ko Phir Shahid-e-Laila De

Iss Dour Ki Zulmat Mein Har Qalb-e-Preshan Ko
Woh Dagh-e-Mohabbat De Jo Chand Ko Sharma De

Riffat Mein Maqasid Ko Humdosh-e-Surraya Kar
Khuddari-e-Sahil De, Azadi-e-Darya De

Be Lous Mohabbat Ho, Bebak Sadaqat Ho
Seenon Mein Ujala Kar, Dil Soorat-e-Meena De

Ehsas Anayat Kar Asaar-e-Mosibat Ka
Amroz Ki Shuarish Mein Andesha-e-Farda De

Main Bulbul-e-Nalan Hun Ek Ujre Gulistan Ka
Taseer Ka Saa’il Hun, Mauhtaj Ko, Data De!_______!!

Sarzameen Dilli Ki Masjood-E-Dil-E-Gham Didah Hai

Sarzameen Dilli Ki Masjood-E-Dil-E-Gham Didah Hai
Zarre Zarre Mein Lahoo Aslaaf Ka Khawabidah Hai

Paak Iss Ujhre Gulistan Ki Na Ho Kyunkar Zameen
Khanqah-E-Azmat-E-Islam Hai Ye Sarzameen

Sote Hain Iss Khaak Mein Khair-Ul-Ummam Ke Tajdar
Nazam-E-Alam Ka Raha Jin Ki Hukumat Par Madar

Dil Ko Tarpati Hai Ab Taak Garmi-E-Mehfil Ki Yaad
Jal Chuka Hasil Magar Mehfooz Hai Hasil Ki Yaad

Hai Ziaratgah-E-Muslim Go Jahan Abad Bhi
Iss Karamat Ka Magar Haqdar Hai Baghdad Bhi

Ye Chaman Woh Hai Ke Tha Jis Ke Liye Saman-E-Naz
Lala’ay Sehra Jise Kehte Hain Tehzeeb-E-Hijaz

Khak Iss Basti Ki Ho Kyunkar Na Humdosh-E-Iram
Jis Ne Dekhe Janasheenan-E-Peyambar (S.A.W.W.) Ke Qadam

Jis Ke Gunche The Chaman Saman, Woh Gulshan Hai Yehi
Kanpta Tha Jin Se Roma, Un Ka Madfan Hai Yehi

Hai Zameen-E-Qurtuba Bhi Didah-E-Muslim Ka Noor
Zulmat-E-Maghrib Mein Jo Roshan Thi Misl-E-Shama-E-Toor

Bujh Ke Bazm-E-Millat-E-Baiza Preshan Kar Gyi
Aur Diya Tehzeeb-E-Hazir Ka Farozaan Kar Gyi

Qabar Uss Tehzeeb Ki Ye Sarzameen-E-Paak Hai
Jis Se Taak-E-Gulshan-E-Yourap Ki Rag Namnaak Hai

Khitta-E-Qustuntuniya Yani Qaisar Ka Diyar
Mehdi-E-Ummat Ki Satwat Ka Nishan-E-Paidar

Soorat-E-Khaak-E-Haram Ye Sarzameen Bhi Paak Hai
Astaan-E-Masnad Araye Shah-E-Loulaak (S.A.W.W.) Hai

Nikhat-E-Gul Ki Tarah Pakeezah Hai Iss Ki Hawa
Turbat-E-Ayub Ansari (R.A.) Se Ati Hai Sada

Ae Musalman! Millat-E-Islam Ka Dil Hai Ye Shehar
Saikron Sadiyon Ki Kusht-O-Khoon Ka Hasil Hai Ye Shehar

Woh Zameen Hai Tu Magar Ae Khawab Gah-E-Mustafa (S.A.W.W.)
Deed Hai Kaabe Ko Teri Hajj-E-Akbar Se Sawa

Khatam-E-Hasti Mein Tu Taban Hai Manind-E-Nageen
Apni Azmat Ki Waladat Gah Thi Teri Zameen

Tujh Mein Rahat Uss Shehanshah-E-Moazam (S.A.W.W.) Ko Mili
Jis Ke Daman Mein Aman Aqwam-E-Alam Ko Mili

Naam Lewa Jis Ke Shahanshah Alam Ke Huway
Janasheen Qaisar Ke, Waris Masnad-E-Jim Ke Huway

Hai Agar Qoumiat-E-Islam Paband-E-Maqam
Hind Hi Bunyaad Hai Iss Ki, Na Faris Hai, Na Shaam

Ah Yasrib! Dais Hai Muslim Ka Tu, Mawa Hai Tu
Nukta’ay Jazib Tassar Ki Shuaon Ka Hai Tu

Jab Talak Baqi Hai Tu Dunya Mein, Baqi Hum Bhi Hain
Subah Hai Tou Iss Chaman Mein Gohar-E-Shabnam Bhi Hain________!!

Read More..

0 comments:

Post a Comment