Pages

Friday 7 February 2014

Akhtar Raza Saleemi Poetry



















Dil O Nigah Pay Taari Rahey Fasoo’n Is Ka

Dil o nigah pe taari rahe fasoo’n is ka
Tumhara ho ke bhi mumkin hai mein rahoon us ka

Tujhe khabar nahin is baat ki abhi shayed
Ke tera ho to geya hoon magar mein hoon us ka

Ab is se qata-taluq mein behtri hai meri
Main apna reh nahin sakta agar rahoon us ka

Zameen ki khaak to kab ki urraa chuke hain hum
Hamari zadd mein hai ab chiraag neel’gon us ka

Dil-e-tabaah ki dharkan bata rahi hai Raza
Yahin kahin pe hai woh sheher pur’sakoon us ka___!!


0 comments:

Post a Comment