Pages

Wednesday 5 February 2014

Aale Ahmad Saroor Poetry













Wo Bhi Kya Log They Aasaan Thi Raahein Jin Ki

Wo Bhi Kya Log They Aasaan Thi Raahein Jin Ki
Band Aankhein Kiye Ik Simt Chaley Jaatey They
Aql-O-Dil Khaab-O-Haqeeqat Ki Na Uljhan Na Khalish
Mukhtalif Jalvey Nigaahon Ko Na Behlaatey They

Ishq Saadaa Bhi Thaa, Bekhud Bhi, Junoon-Pesha Bhi
Husn Ko Apni Adaaon Pey Hijaab Aataa Thaa
Phool Khiltey They To Phoolon Mein Nashaa Hotaa Thaa
Raat Dhalti Thi To Sheeshon Pey Shabaab Aata Thaa

Chaandni Kaif-Asar Ruh-Afaza Hoti Thi
Abr Aataa Thaa To Badmast Bhi Ho Jaatey They
Din Mein Shorish Bhi Huwa Karti Thi, Hangaamey Bhi
Raat Ki God Mein Moon Dhaanp Key So Jaatey They

Narm-Ro Waqt Key Dhaarey Pey Safeeney They Ravaan
Saahil-O-Behr Key Aaeen Na Badaltey They Kabhi
Naakhudaaon Pey Bharosa Tha Muqaddar Pey Yaqeen
Chaadar-E-Aab Sey Toofaan Na Ubaltey They Kabhi

Ham Key Toofaanon Key Paaley Bhi Sataaye Bhi Hein
Barq-O-Baaraan Mein Wohi Shm'mein Jalaayen Kesey
Ye Jo Aatish-Kadaa Dunyaa Mein Bharrak Utthaa Hey
Aansu'on Sey Usey Har Baar Bujhaayen Kesey

Kar Diyaa Barq-O-Bukhaaraat Ney Mehshar Barpaa
Apney Daftar Mein Litaafat Key Sivaa Kuch Bhi Nahin
Ghir Gaye Waqt Ki Be-Reham Kashmaakash Mein Magar
Paas Tehzeeb Ki Daulat Key Sivaa Kuch Bhi Nahin

Ye Andheraa Ye Talaatum Ye Havaaon Kaa Kharosh
Is Mein Taaron Ki Subuk Narm Ziyaa Kyaa Karti
Talkhi-E-Zeest Sey Karrwa Huwa Aashiq Kaa Mizaaj
Nigaah-E-Yaar Ki Maasoom Adaa Kya Karti

Safar Aasaan Thaa To Manzil Bhi Barri Roshan Thi
Aaj Kis Darja Purasraar Hein Raahen Apni
Kitni Parchaa'iyaan Aati Hein Tajalli Ban Kar
Kitney Jalvon Sey Ulajhti Hein Nigaahen Apni_____!!

0 comments:

Post a Comment