Wafaa Ke Baab Mein Ilzaam-E-Aashiqui Na Lia
Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia_______!!
____________________________
Faraz Ab Koi Sodaa Koi Junoon Bhi Nahi
“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi
Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi
Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi
Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain
Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi
Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaa.n Na Ho
Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi
Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain
Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi
“Faraz” Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay
Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi________!!
____________________________
Is Qadar Musalsal Theen Shiddatain Judayi Ki
Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki
Aaj Pheli Baar Os Se Mein Ne Bewafaayi Ki
Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein
Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki
Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein
Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaayi Ki
Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se
TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki ?
Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraada.n Ko
Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnaayi Ki ?
Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha Ke
Aap Se Koi Poochay Ham Ne Kia Buraayi Ki ?
Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidyon Ka Aur Sayyaad
Dekhna Urra De Ga Phir Khabar Rihaayi Ki
Dukh Howa Jab Os Dar Pe Kal “Faraz” Ko Dekha
Laakh Aib Thay Os Mein Khuu Na Thi Gadaayi Ki________!!
____________________________
Wehshatain Barhti Gayin Hijr K Aazaar Ke Saath
Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath
Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath
Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain
Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath
Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon
Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath
Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog
Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath
Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan
Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath____!!
____________________________
Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz”
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili_______!!!
____________________________
Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon
Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?
Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?
Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay
Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?
Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?
Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz”
Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon
____________________________
Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ?
TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai
Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere
Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman
Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere
Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere
Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko
Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere
TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere
Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere
Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere_______!!
____________________________
Woh Dushman-E-Jaan Jaan Sa Pyara Bhi Kabhi Tha
Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha
Ab kiss se kahen koi hamara bhi kabhi tha
Utra hai rag-o-pey* main to dil katt sa geya hai
Yeh zeher-e-judaayi ke gawaara bhi kabhi tha
Har dost jahan abar-e-gurezaan ki tarah hai
Yeh sheher kabhi sheher hamara bhi kabhi tha
Titlii ke taaqub* mein koi phool sa bacha
Aesa hi koi khawb hamara bhi kabhi tha
Ab agley zamaney ke milain log to poochain
Jo haal hamara hai, tumhara bhi kabhi tha
Har bazm main hum ne usey afsurdaa hi dekha
Kehtey hain Faraz anjuman-e-araa* bhi kabhi tha____!!
____________________________
Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe
Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe
Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe
Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain
Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe
Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam
Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe
Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay
Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe
Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar
Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe
Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer
“Faraz” Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe_______!!
____________________________
Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay
Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali
Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay
Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain
Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay
Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay
Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay
Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain
Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay
Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-e-Hina
Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay
Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz”
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay_____!!
____________________________
Beniyaaz E Gham E Paimaan E Wafa Ho Jana
Beniyaaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jana
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujhse Juda Ho Jana
Main Bhi Palkon Pe Saja Lunga Lahoo Ki Boondein
Tum Bhi Paabasta-E-Zanjeer-E-Heena Ho Jana
Khalq Ki Sang-Zani Meri Khaton Ka Sila
Tum Tou Masoom Ho, Tum Door Zara Ho Jana
Ab Mere Waaste Tariyaq Hai Ilhaad Ka Zeher
Tum Kisi Aur Pujaari Ke Khuda Ho Jana_____!!
____________________________
Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay
Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay
Jaisay Kubhi Aashna Nahi Thay
Maana Ke Behem Kahan Thay Aisay
Per Yun Bhi Judaa Judaa Nahi Thay
Thi Jitni Bisaat, Ki Parastish
Tum Bhi Tou Koi Khudaa Nahi Thay
Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir
Ham Tere Nahi Thay, Jaa Nahi Thay
Kis Kis Se Nibhaatay Rafaaqat
Hum Loog Ke Bewafa Nahi Thay
Rukhsat Howa Wo Tou Mein Ne Dekha
Phool Itnay Bhi Khushnuma Nahi Thay
Thay Yun Tou Hum Oski Anjuman Mein
Koi Hamain Dekhta, Nahi Thay
Jab Osko Tha Maan Khud Pe Kia Kia
Tab Ham Bhi “Faraz” Kia Nahi Thay_______!!
____________________________
Chandni Raat Ko Saher Kehna
Chandni Raat Ko Saher Kehna
Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna
Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki
Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna
Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh
In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna
Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo
Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna
Khud Ujaagar Karo Hunar Apna
Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna
Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein
Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna
Zikar Teraa Gali Gali Karna
Haal Apna Nagar Nagar kehna
Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz”
Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna_______!!
Read More..
For more Click Here : Ahmad Faraz Poetry
ReplyDelete