Pages

Wednesday 5 February 2014

Best Poetry Of Ahmad Fraz



















Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga

Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga
Waqt Ka Kia Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga

Itna Manoos Na Ho Khilwat-e-Gham Se Apni
TU Kubhi Khud Ko Bhi Dekhay Ga Tou Dar Jaye Ga

Tum Sar-e-Raah Wafa Dekhtay Reh Jao Ge
Aur Wo Baam-e-Rafaqat Se Utar Jaye Ga

Zindagi Teri Ata Hai Tou Ye Jaanay Wala
Teri Bakhshish Teri Dehleez Pe Dhar Jaye Ga

Doobtay Doobtay Kishti Ko Uchaala De Dun
Mein Nahi Koi TU Saahil Pe Utar Jaye Ga

Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka “Faraz”
Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga Tou Mar Jaye Ga_____!!
_________________________________

Aansuoon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne

Aansuoon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne

Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha
Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne

Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne

Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne

Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh “FARAZ”
Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne____!!
_________________________________

Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein

Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein
Kiun Na Ay Dost Ham Judaa Ho Jayein ?

TU Bhee Heeray Se Ban Gaya Patthar
Ham Bhee Kal Jaanay Kia Se Kia Ho Jayein

Hum Bhee Majboorion Ka Uzar Karain
Phir Kaheen Aur Mubtala Ho Jayein

Ab Ke Gar TU Milay Tou Ham Tujhse
Aisay Liptain Teri Qabaa Ho Jayein

Bandagi Ham Ne Chhod Di Hai “Faraz”
Kia Karain Jub Loog Khuda Ho Jayein______!!
_________________________________

Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge

Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge
Loog Aaraam Se Soye Honge

Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil
Hum Tou Kia Aap Bhee Roye Honge

Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kia Kia
Phool Kaanton Mein Piroye Honge

Wo Safeenay Jinhain Toofan Na Milay
Na-Khudaon Ne Duboyein Honge

Kya Ajab Hai Wo Milay Bhee Hon “Faraz”
Hum Kisi Dehaan Mein Khoye Honge____!!
_________________________________

Umar Bhar Ka Maan Toota Aur Kaya

Umar bhar ka maan toota, aur kya
Morr aya, sath choota, aur kya

Kon sach kehta hai, sach sunta hai kon
Main bhi jhoota, tu bhi jhoota, aur kya

Jaan se jaana zaroori to nahin
Aashiqui mein sar to phoota, aur kya

Rote huye laal pathar ho gaye
Rafta rafta rang choota, aur kya

Reh gaya tha yaad ka rishta faqat
Akhrish yeh pul bhi toota, aur kya

Us ki ankhain bhi kabhi sach bolti’n
Dil to tha jhooton sa jhoota, aur kya

Ghair to they ghair apne aap ko
Sab se barh kar hum ne loota, aur kya

aao dekho to zara baagh-e-wafaa
Ab koi gul hai na boota, aur kya

Fitna samaani mein yaksaan hain Faraz
Apna dil ho ya kahuta, aur kya_____!!
_________________________________

Teri Baatein Hi Sunaane Aaye

Teri Baatein Hi Sunaane Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye

Phool khilte Hain To Ham Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamaane Aaye

Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise
Ham Tujhe Haal Sunaane Aaye

Ishq Tanha Hai Sar-e-Manzil-e-Gham
Kaun Ye Bojh Uthane Aaye ?

Ajnabi Dost Hamein Dekh K Ham
Kuch Tujhe Yaad Dilaane Aaye

Dil Dhadakta Hai Safar K Hangam
Kaash Phir Koi Bulaane Aaye

Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye

Kyaa Kahein Phir Koi Basti Ujdii
Log Kyun Jashn Manaane Aaye ?

So Raho Maut Ke Pehluu Mein ‘Faraz’
Neend Kis Vaqt Na Jaane Aaye____!!
_________________________________

Ab Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milain

Ab Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milain
Jis Tarah Sukhe Huye Phool Kitabon Mein Milain

Dhoond Ujre Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milain

Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Bardhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milain

TU Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain Tou Kyun Hijabon Mein Milain ?

Aaj Hum Daar Pe Khainchay Gaye Jin Baaton Par
Kya Ajab Kal Wo Zamaanay Ko Nisaabon Mein Milain

Ab Na Wo Main Hun, Na TU Hai, Na Wo Maazi Hai “Faraaz”
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milain____!!
_________________________________

Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai

Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai
Kiya Baad-e-Muraad Chal Rahi Hai

Hum Hain Ke Faraib Kha Rahe Hain
Duniya Hai Ke Chaal Chal Rahi Hai

Yoon Dil Mein Hai Teri Yaad Jaise
Weerane Mein Aag Jal Rahi Hai

Rukh Pher Liya Hai Jab Se Tune
Duniya Ki Nazar Badal Rahi Hai

Dar Pesh Hai Aaj Bhi Wohi Surat-e-Haal
Jo Soorat-e-Haal Kal Rahi Hai

Itni Bhi “Faraz” Bad Dili Kiya ?
Sambhlo ! Ke Fizaa Badal Rahi Hai_____!!
_________________________________

Raatain Hain Udaas Din Karry Hain

Raatain Hain Udaas, Din Karry hain
Ay Dil Tere Honslay Baray Hain

Ay Yaad-e-Habib Sath Daina
Kuch Marhalay Sakht Aa Paray hain

Rukna Ho Agar Tou So Bahaanay
Jaana Ho Tou Rastay Baray Hain

Ab Kaisay Btayen Waja-e-Girya
Jab Aap Bhi Saath Ro Pary Hain

Ab Jaanay Kahan Naseeb Lay Jaye
Ghar Se Tou “FARAZ” Nikal Paray Hain___!!
_________________________________

Phiray Ga TU Bhee Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah

Phiray Ga TU Bhee Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah
Dareedah Daaman-o-Aashafta Muu Hamari Tarah

Kubhi Tou Sang Se Phootay Gi Aabajuu Gham Ki
Kubhi Tou Toot Ke Roye Ga TU Bhee Hamari Tarah

Palat Ke Tujh Ko Bhee Aana Hai Is Taraf Laikin
Lutaa Ke Qaafila-e-Rang-o-Buu Hamari Tarah

Wo Laakh Dushman-e-Jaan Ho Magar Khuda Na Karay
Ke Os Ka Haal Bhee Ho Huu-Ba-Huu Hamari Tarah

Hum Hee “Faraz” Sazawaar-e-Sang Kiun Tehray ?
Ke Aur Bhee Tou Hain Dewaana-e-Khuu Hamari Tarah_____!!
_________________________________


Zahid sharab peene de masjid mein beth kar
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin____!!
(Mirza Ghalib)

Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin___!!
(Allama Iqbal)

Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin___!!
(Ahmad Faraz)
_________________________________

Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai

Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain

Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai
Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain

Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula
Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain

In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ?
Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain

Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun
Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain

Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai
Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain

Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere
Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain________!!
_________________________________

Hui Hai Shaam Tou Aankhon mein Bas Gayaa Phir Tu

Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu

Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu

Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huun
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu

Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii
Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu

Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu?

‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu_____!!
_________________________________

Yeh Dil Ka Chor K Is Ki Zaroortain Theen Bohat

Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat
Wagarna tark-e-taluq ki soortain theen bohat

Miley to toot roye na khul ke batain keen
Ke jese ab dilon mein Kudurtain theen bohat

Bula diye hain tere gham ne dukh zamane ke
Khuda nahin tha tou pathar ki moortain theen bohat

Dareeda peerhano ka khayal kya ata
Ameer sheher ki apni zarooratain theen bohat

Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha
Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat_____!!
_________________________________

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar K Dekhte Hain

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain_______!!
_________________________________

Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi

Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi
Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney Walon Jesi

Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski
K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi

Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha
Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi

Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ”
Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi_____!!
_________________________________

Tu Meraa Pehla Piyar Sajan

Tu Meraa Pehla Piyar Sajan
Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan

Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan
Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan

Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan
Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan

Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal
Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan

Soorat Teri Bholi Bhaali
Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan

Dil Ki Baaten Tum Se Karna
Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan

Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon
Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan

Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar
Main Zakhmi Main Lachaar Sajan

Na Tum Se Jis Din Baat Kare
Dil Rehta Hai Bezaar Sajan

Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main
Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan

Tum Bhi Maano Ek Baat Meri
Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan___!!
_________________________________

Zakhm Ko Phool To Sar Sar Ko Saba Kehtey Hain

Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

Kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
Ab vahi log hamain abalapa kahte hain

Koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
Ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain

Ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain

Jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
Ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain

Kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko ‘faraz’
Wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain______!!
_________________________________

Jis Simat Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai K Tum Ho

Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho

Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho

Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaan
Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho

DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho

Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanoon
Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho

Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaan ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho

Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho

Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho

Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho

Ae jaan-e-’Faraz’ itni bhi taufeeq kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho
_________________________________

Ye Kaya K Sab Say Bayaan Dil Ki Haalaten Karani

Ye kyaa ke sab se bayaan dil ki haalaten karani
Faraz tujh ko na aain muhabbaten karani

Ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hamen
Shumaar abhi se judaai ki sa`aten karani

Koi khudaa ho ke patthar jise bhi ham chaahen
Tamaam umr usi ki ibaadaten karani

Sab apane apanee qarine se muntazir us ke
Kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karani

Ham apane dil se hain majabuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamaten karani

Milen jab un se to mubaham si guftaguu karanaa
Phir apane aap se sau-sau vazaahaten karani

Ye log kaise magar dushmani nibhaaten hain
Hamin ko raas na aain muhabbaten karani

Kabhi `faraz` naye mausamon men ro denaa
Kabhi talaash puraani raqaabaten karani_____!!

Read More..

0 comments:

Post a Comment