Pages

Wednesday, 5 February 2014

Wasi Shah Poetry




















Kal Ajab Saaniha Sa Howa Rait Per

Kal Ajab Saaniha Sa Howa Rait Per
Naam Tera Nahee Likh Saka Rait Per

Kis Ki Awaaz Se Tham Gaye Hain Qadam ?
Phir Se Kis Ne Mujhe Di Sadaa Rait Per ?

Oski Aankhon Se Sholay Nikaltay Rahay
Naachti Reh Gayi Kal Ghataa Rait Per

TU Ne Jo Bhee Hawaa Se Kahaa Reh Gaya
Mit Gaya Mein Ne Jo Bhee Likha Rait Per

Mein Tumhain Choomna Chahta Hun Abhee
Os Ne Mujh Se Ye Ik Din Kaha Rait Per

Ab Ye Sehra Hee Tere Muqaddar Mein Hain
TU Ne Maangi Hee Kiun Thi Duaa Rait Per ?

Ik Shola Uthaa Os Jaga Se “Wasi”
Mera Aansoo Jahan Gir Gaya Rait Per_____!!

__________________________

Woh Mujhe Chorr Gaya Tha Kisi Rangeeni Main

Woh mujhe chorr geya tha kisi rangeeni main
Woh jo ab dhoondta rehta hai kharabon mein mujhe

Tum ne ik umar kiya hai nazar’andaaz Wasi
Aur ab dhoondte phirte ho saraabon mein mujhe

Zaroob-o-taqseem Wasi ishq mein la’hasil hai
Jaaney kyon khojtay rehte ho hisaabon mein mujhe__!!

__________________________

Mein Is Hisaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Mein Is Hisaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun
Tumhaaray Pyaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Teri Gali Ke iLaawa Bhee Aur Qirye Hain
Jo Is Dayaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Tumhaaray Hijr Ki Sadyaan Tumhaaray Vasl Ke Din
Mein Is Shumaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Racha Howa Hai Tera Ishq Meri Pooron Mein
Mein Is Khumaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Ye Mera Jism Ke Maatam Saraa-e-Hasrat Hai
Mein Is Mazaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Ye Mujh Mein Kon Mere Raat Din Sambhaalta Hai ?
Is Ikhtiyaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Tumhaari Jism Ki Khushbuu Ne Kardia Mas-hoor
Is Aabshaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Ye Be-Qaraari Meri Rooh Ka Ujaala Hai
Mein Is Qaraar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun_______!!

__________________________

Mujhe Us Say Mohabbat Hai

Mujhe us se mohabbat hai
Magar kese kahoon us se
Woh meri baat ko sanjeedgi se
Kam hi leti hai
Har ik pal muskurana
Khilkhilaana
Doston per fikray qassna
Nit’naye masoom mansoobay banana
Shokh chanchal har gharri taaza shararat
main bohat masroof rehti hai
Magar ik aur hadsha bhi hai mujh ko
Main izhaar se
Iqraar se
khud rokay rakhta hai
Ke mehke khawab bun’ne, khelne ka waqt hai uska
Meri chahat
Kahin masoomiyat na cheen le uski
Sadaa se hum ne dekha hai
Mohabbat aadmi ko is’qadar sanjeeda karti hai
Ke phir mehfil, tamashey, khel us ko bojh lagte hain
Main darta hoon
Kahin yeh bhol’pan us ka
Yeh har pal cheh’chihaana muskurana sab
Meri izhaar se sanjeedgi mein na badal jaye
Kahin us shokhh ko bhi rog koi
Chup chaap na lag jaye
Mujhe us se mohabbat hai
Magar kese kahoon us sey_______!!

__________________________

Meri Wafa Ne Khilaaye Thy Jo Gulaab Saray Jhulas Gaye Hain

Meri Wafa Ne Khilaaye Thy Jo Gulaab Saray Jhulas Gaye Hain
Tumhari Ankhon Main Jis Qadar Thy Wo Khwaab Saray Jhulas Gaye Hain

Meri Zameen Ko Kisi Naye Haadsay Ka Hai Intezaar Shayad
Gunah Phailnay Lagay Hain Ajar-O-Sawab Saray Jhulas Gaye Hain

Jo Tum Gaye Tou Meri Nazar Pe Haqeeqaton K Azaab Utray
Yeh Sochta Hoon K Kia Karoonga Saraab Saray Jhulas Gaye Hain

Yeh Moajza Sirf Aik Shab Ki Musafaton K Sabab Hua Hai
Tumharay Or Meray Darmiyaan K Hijaab Saray Jhulas Gaye Hain

Usay Batana K Uski Yaadon K Saray Safhay Jala Chuka Hoon
Kitaab-E-Dil Main Raqam Thy Jitnay Wo Baab Saray Jhulas Gaye Hain

Nazar Uthaon Mai Jis Taraf Bhi Muheeb Saaye Hain Zulmaton K
Ye Kia K Meray Naseeb K Mahtaab Saray Jhulas Gaye Hain

Tumhari Nazron Ki Yeh Tapish Hai K Meray Lafzon Pe Aablay Hain
Sawal Saray Jhulas Gaye Hain Jawab Saray Jhulas Gaye Hain

Yeh Aag Khamoshion Ki Kaisi Tumhari Aankhon Main Tairti Hai
Tumharay Honton Pe Darj Thy Jo Nisaab Saray Jhulas Gaye Hain___!!

__________________________

Mere Lehjey Mein Jo Aansu Say Utar Aaye Hain

Mere lehje mein jo aansu se utar aye hain
Kitne barson ke sitam aankh main dar aye hain

Tum gaye they to yeh dehleez na dekhi thi kabhi
Aaj tum aaye to hum laut ke ghar aaye hain

Jaane tanbeeha ki dhamki ke basharat hai koi
Mere aangan mein jo tootay huye par aaye hain

Ab hamain khauf hai jeeney ka na mar mitne ka
Teri chokhat se jo aye hain to mar aye hain_____!!

__________________________

Kon Kehta Hai, Shararat Se Tumhain Dekhtay Hain

Kon Kehta Hai, Shararat Se Tumhain Dekhtay Hain ?
Jaaneman Hum Tou Mohabbat Se Tumhain Dekhtay Hain

Tum Ko Maaloom Nahee Tum Ho Muqaddas Kitnay
Dekhtay Hain Tou Aqeedat Se Tumhain Dekhtay Hain

Dekh Ke Tum Ko Kisi Aur Ki Yaad Aati Hai
Hum Kisi Aur Hee Nisbat Se Tumhain Dekhtay Hain

Saath Gairon Ke Nazar Aao Tou Jee Gurhta Hai
Kia Kahain Kaisi Azyat Se Tumhain Dekhtay Hain

Jhonkni Parti Hai, Ye Jaan Mein Hamain
Kon Kehta Hai Sahoolat Se Tumhain Dekhtay Hain

Jaanay Kia Likhtay Ho Kia Sochtay Rehtay Ho Wasi
Raat Ko Jab Bhee Kubhi Chhat Se Tumhain Dekhtay Hain_____!!

__________________________

Mujh Say Wo Aksar Kehti Thi

Mujh se wo aksar kehti thi
Meri bus itni khawaish hai

Kuch aisi pehchani jaon
App k naam se jani jaon___!!

__________________________

Zar Ki Namoos Ki Rasmoon Say Baghaawat Kar K

Zar ki namoos ki rasmon se baghaawat kar ke
Kuch nahin paaye ga woh mujh se mohabbat kar ke

Baiy’n karti huyi aankhain, yeh pareshan zulfain
Aur kya chahte ho us se mohabbat kar ke

Phool to phool hain zakhmon ke bhi nakhre hain yahan
Hum ne dekha hai bohat in ki ibadat kar ke

Yeh kisi jabr pe honton ko siyaa karte hain
Zulam karte hain woh zaalim ki himayat kar ke

Dil ke sehraao’n ki veeraaniya’n jati hi nahin
Teri yaadon ne bhi dekha yahan hijrat kar ke

Woh mere hijr ko bhi khail samajhta hai Wasi
Laut jaye ga kisi roz sharaarat kar ke___!!

__________________________

Diwar Pay Larza Hai To Dar Kamp Raha Hai

Diwar pe larza hai to dhar kamp raha hai
Bichare ho to ojhara hoa ghar kamp raha hai

Tum ankh ki patali me chope sach ko bhi daikho
Mujram to nahin hai wo agar kamp raha hai

Weran hai is darja tere bad mera dil
Iss sheher me ate hoe dar kamp raha hai

Ikk main k judai ne mujhe kar dia sakat
Ikk to hai k sadame se odhar kamp raha hai

Anghan ko palat jaon na main chor k uss ko
Sehra main mera khawab safar kamp raha hai

Yaa to meri benai pe hai khof mosalat
Yaa nehar k pani me shajar kamp raha hai

Tujhe nahin don ga main kabhi hijhar k sadme
Dil me teri yadon ka sharer kamp raha hai_____!!

__________________________

Choomna Kya Usay Aankhon Say Lagaana Kesa

Choomna kya usey aankhon se lagana kesa
Phool jo coat se gir jaye uthaana kesa

Apne honton ki haraarat se jagaao mujh ko
Yoon sadaaon se dam’e’subaah jagana kesa_____!!

__________________________

Pa Barhna Aur Mere Charon Taraf  Tanhaiyan

Pa barhna aur mere Charon taraf tanhaiyan
Chon raha hon teri yadon ki solagati kirchiyan

Kia kahen tarak-e-etaluq ka irada to nahin
Yaad jo karne lage ho tum purani talkhiyan

Aah! Wo mosam wo heele aur kinara nehar ka
Yaad ati hain mujhe campus ki sari shokhiyan

Kia kisi wehshat zada mosam ka tum ko khof hai
Kiss lie khamosh ho kholo na dil ki khirkiyan

Me use shohrat k baam-o-dar pe pohchane k bad
Apne daman me chopa le jaon ga ruswaiyan

Apni barbadii ka me ja kar kise ilzam don
Apne hathon se dabaen mene apni kashtiyan

Jeet to jata hon phir bhi dukh sa rehta hai mujhe
Kab talak us se me khelon ga shikasta baziyan

Boliyan lagati hain abb bhi khoshiyon k sheher me
Ajj bhi bazar me bikati hain nazak titliyan

Lijiye iss dil Ka phir mah-e-Moharam aa gea
Matamon ka shor hai aur chal rahi hain bar-chaiyan

Yaad hai mujh ko December me judai ki wo raat
Chaand ki kirnain lahoo me ban gaen changariyan

Hijar k sahil pe kiss k muntazir baithe ho tum
Iss sumandar se bhala kab lotati hain kashtiyan

Phir kasila zaiqa mosam ka iss dil ko laga
Phir se ankhon me otar aen purani talkhiyan

Kon jane kiss se badala le raha hon me WASI
Aik modat se ragon me paal kar weraniyan_______!!

__________________________

Kaisa Maftooh Sa Manzar Hai Kayi Sadiyoon Say

Kaisa maftoh sa manzar hai kai sadiyon se
Mere qadmon pe mera sir hai kai sadiyon se

Khof rehta hai na seelab kahen le jae
Meri plkon pe tera ghar hai kai sadiyon se

Uss k pani me bhi pehle sa wo thehrao nahin
To bhi bechain sumandar hai kai sadiyon se

Ashak ankhon me solagate hoe s oo jate hain
Ye meri ankh jo banjhar hai kai sadiyon se

Kon kehta hai mulaqat meri ajj ki hai
Too meri rooh k andar hai kai sadiyon se

Yee mujhe sans bhi khol kar nahin laine daita
Meri shee raag pe jo khanjar hai kai sadiyon se

Ae meri maa main har ikk dhop se lar sakta hon
Mere sir par teri chadar hai kai sadiyon se

Main ne jis k lie har shakhs ko naraz kia
Roth jae na yahi dar hai kai sadiyon se

Usski adat hai jharhen katate rehne ki WASI
Jo meri zaat ka mehwar hai kai sadiyon se_____!!

__________________________

Teri Aankhon K Haseen Jaal Mein Aajaon Ga Main

Teri aankhon ke haseen jaal mein aajaon ga main
Mujh ko lagta hai teri chaal main aajaon ga main

Zindagi baad tere hona thi mushkil lekin
Yeh na socha ke is haal mein ajaon ga main

Dekh kar us ko mujhe yad kare gi dunya
Aik din us ke had’o’haal mein aajaon ga main

Kitne mausam they jo de kar mujhe taanay guzre
Tum to kehte they ke ik saal mein ajaon ga main

Sur mein ajaye ga jeevan tere aa jane se
Tere aaney se kisi taal mein aajaon ga main_____!!

__________________________

Mein Tere Lab Pe Hun Daireena Shikayat Ki Tarah

Mein Tere Lab Pe Hun Daireena Shikayat Ki Tarah
Yaad Rakha Hai TU Ne Mujh Ko Adaawat Ki Tarah

Chaand Niklay Tou Mera Jism Mehak Uthta Hai
Rooh Mein Utri Howi Taaza Mohabbat Ki Tarah

Teri Khatir Tou Koi Jaan Bhi Le Sakta Hun
Mein Ne Chaaha Hai Tujhe Gaon Ki Izzat Ki Tarah

Khul Rahi Hai Mere Daireena Masaail Ki Giraah
Mere Mahoul Mein Utra Hai Wo Barkat Ki Tarah

Ab Tere Hijr Mein Kuch Lutf Nahi Hai Baaqi
Ab Tujhe Yaad Bhi Kartay Hain Tou Aadat Ki Tarah

Tum Meri Pehli Mohabbat Tou Nahi Ho Laikin
Mein Ne Chaaha Hai Tumhain Pehli Mohabbat Ki Tarah

Wo Jo Aati Hai Tou Phir Lout Ke Jaati Hee Nahi
Tum Lipat Jao Kubhi Aisi Museebat Ki Tarah

Mere Dil Mein Koi Maasoom Sa Bacha Hai “Wasi”
Jo Tujhe Sochta Rehta Hai Shararat Ki Tarah_____!!

__________________________

Jane Kyun Pandara Ka Tanhaa

Jane kion pandara (15) ka tanhaa
Aur odasi pehne chand
Mujh ko acha lagta hai
Shaid yoon
Choda to abb meri zid hai
Kion k choda ka khosh chand
Uss ko acha lagta tha____!!

__________________________

Baar Haa Aise Laga

Baar’haa aese laga
Jese tera hath
Mere baalon ko chuaa ho
Tu ne mujhse kaha ho lekin
Raat bhar rootha raha
Tu ne manaya hi nahi____!!

__________________________

Tum Say Meri Bat Hui Thi

Tum se meri bat hoi thi
Tum ne mujh ko samjhaea tha
Apni zaat se bahir nikalo
Ghar ko loto
Ghar ko daikho
Aur bhi log tumhare dam se zinda hain
Tum me apni sari khoshiyan
Daikh rahe hain
Soch lia hai
Daikh lia hai____!!

Read More..

0 comments:

Post a Comment