Main Kahin Bhi Kisi Nagar Mein Raha
Main kahin bhi kisi nagar mein raha
Tere asaib ke asar mein raha
Woh bhi paagal hua juda ho kar
Umar bhar mein phir bhi safar mein raha
Aik jadugari to thi tujh me
Mein bhi kuch din tere asar mein raha
Bheegta doobta raha dil mein
Tera chehra meri nazar mein raha
Pesh-kash maan li zamane ne
Aur ek mein, Agar magar mein raha_____!!
__________________________
Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kry
Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kry
Mujhko Hasrat hai Koi Youn Bhi Mujhe Piyaar Kry
Meri Khatir Wo Sahy Dunya ke Ta’ny , Dhaky
Nangy Pairon se Wo Seharaoun ke Kanty Chakhy
Mujhko Paany Ke Liye June k Rozy Rakhy
Main Hon Dewana, Wo Dewno Sa Izhaar Kry
Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kry
Mujhko Hasrat hai Koi Youn Bhi Mujhe Piyaar Kry______!!
__________________________
Jab Tumhari Aankh Ho Gehrey Sumandar Ki Tarah
Jab tumhari aankh ho gehre sumandar ki tarah
Kion na lagata ho samandar dida-e-tar ki tarah
Iss lie roshan kia hai tere chehre ka charagh
Dopahar tarekh hai mere maqadar ki tarah
Nashna sa jiss ki diwaren hain dar bhi ajnabi
Wo mila tha mujh ko hamesha ikk nae ghar ki tarah_______!!
__________________________
Tum Jis Baat Pay Hanste Ho Main Ro Parta Hoon
Tum jis baat pe hanste ho main ro parta hoon
Main jis baat pe rota hoon tum hanss dete ho
Main jis baat pe bujh jaaon tum khil jate ho
Main jis baat pe marta hoon tum jee uthte ho
Main jiss baat pe dard mein dooba rehta hoon
Tum us baat pe roshan roshan lagte ho
Soch raha hon kitne zyada alag alag hain
Teri meri soch ke dhaarey
Kitne zeyada judaa judaa hain
Soch raha hoon
Itne mukhaalif tufaanon ko sahain ge kese
Tum aur mein ik chat ke neechey rahain ge kese____!!
__________________________
Jaab Bhi Raat Ko Ghar Aata Hon
Jaab bhi raat ko ghar ata hon
Apne darwaze pe dastak dete lamhe
Aksar meri soch yee mujh se kahti hai
Aaj tou darwaza khole gi
Mujh ko dekh ke muskaey gi
Mera matha chomay gi
Sharmayay gi ___!!
Ghar me dakhil ko kar me bhi koe shararat kar don ga
To Khud me simat kar rah jay gi
Me bhi kitna pagal hon na
Kia kia socha karta hon
Me bhi kitna pagal hoon na____!!
__________________________
Jo Us K Samney Mera Yeh Haal Aa Jaaye
Jo us ke samne mera yeh haal aa jaye
To dukh se aur bhi us par jamal aa jaye
Mera khayal bhi ghunghru pehen ke nachey ga
Agar khayal ko tera khayal aa jaye
Har ek shaam naye khawab is pe garrhain ge
Hamare hath agar teri shaal aa jaye
Unhi dinon woh mere sath chaye peeta tha
Kahin se kaash mera pichla saal aa jaye
Main apne gham ke khazaney kahan chupaon ga
Agar kahin se koi aur maal aa jaye
Har aik baar naye dhang se sajayen tujhe
Hamare hath jo phoolon ki dhaal aa jaye
Yeh doobta hua suraj theher na jaye Wasi
Agar woh saamne waqt-e-zawaal aa jaye___!!
__________________________
Jo meri ankhon se khawab daikho
Jo meri ankhon se khawab daikho
To aik shab bhi shab na so sako ge
K lakh chaho na hans sako ge
Hazaar chaho na ro sako ge
K khawab kia hain aazaab Hain yeh
Mere dokhon ki kitaab hain yeh
Rifaqatain In main chotti hain
Mohabbatain in me rothati hain
Pinapti hain in me wahshaten se
Aziaten in main photati hain
Unhi ke dar se khizan hain jazbe
Unhi se shakhen se totati hain
Ghamon ki bandish hain khawab mere
Dhokon ki barish hain khawab mere
Obhal raha hai dukhon ka lava
Rahen atish hain khawab mere
Khayal sare Jholas gae hain
Sulagti Khwahish hain khuaab mere
Okharti Sansain hain Zindagi ki
Lahoo ki sazish hain khawab mere
Jo meri ankhon se khawab dekho
To aik shab bhi na so sako ge____!!
__________________________
Kahin Jaye Ssay Meri Duaayen Yaad Karti Hain
Kahin jaye usey meri duyayen yaad karti hain
Usey kehna usey meri wafayain yaad karti hain
Main aksar aayiney ke samne bechain rehti hoon
Kisi ne khat mein likha hai, adayain yaad karti hain
Usey kehna khazayen aagayi hain ab to laut aye
Usey kehna december ki hawaayain yaad karti hain
Usey kehna ke aankhon mein ghanni badli si chaayi hai
Jinhain dil pe barasna hai, ghatayain yaad karti hain
Geya tha jab tu meri khawhishain bhi sath le jata
Lahuu mein naachti kuch iltjaayain yaad karti hain____!!
__________________________
Kal Hamesha Ki Tarha Us Ney Kaha Ye Fone Par
Kal hamesha ki tarha us ne kaha ye fone par
Me bahut masrof hon mujh ko bahut se kaam hain
Iss liye tum ao milney me to aa sakti nahin
Har riwayat torh kar is baar me ne keh diya
Tum jo ho masrof to me bhi bahut masrof hon
Tum jo ho mashhoor to me bhi bahut maroof Hon
Tum agar ghamgen ho me bhi bahut ranjor Hon
Tum thakan se chor to me bhi thakan se choor Hon
Jan-e-man hai waqt mera bhi bahut hi qemti
Kuch purane doston ne milne ana hai abhi
Mein bhi ab farigh nahin mujh ko bhi lakhon kaam hain
Warna kehne ko to sab lamhe tumhare naam hain
Meri ankhein bhi bahut bojhal hain sona hai mujhe
Ratjagon ke bad aab nendon me Khona hai mujhe
Mein lahoo apni anaoon ka bhaha sakta nahin
Tum nahin ati to milney me bhi aa sakta nahin
Us ko ye keh kar Wasi me Ne reciever rakh diya
Aur phir apni aana ke paon pey sar rakh diya___!!
__________________________
Ab Koi Yaar Hai Na Baili Hai
Ab koi yaar hai na baili hai
Zindagi dard ki saheli hai
Uthne joga nahin hai tere baad
Dil ne takleef aesi jhaili hai
Sham se is liye mohabbat hai
Teri yadon ke sath kheli hai
Muztarib kyon na hoon shab-e-hijran
Dard ki gaud mein akeli hai
Koi batlaye khawab ka mafhoom
Raat hai, saamp hai, chambeli hai
In lakeeron mein tu nahin to Wasi
Kitni veeran yeh hatheli hai_______!!
__________________________
Qalam Ho Taigh Ho Taisha K Dhaal Mat Cheno
Qalam ho taigh ho taisha k dhaal mat cheno
Kabi kisi se kisi ka kamal mat cheno
Khushi isi me agar hai to har khushi lay lo
Yeh dukh yeh dard yeh huzan o malal mat cheno
Isi khalash k sabab phir muje obharna hai
Khuda k wastay ahed-e-zawal mat cheno
Me chor sakta nahin sath istiqamat ka
Meri azan se josh-e-Bilal mat cheno
Abi kitab na cheno tum in k hathon se
Hamare bachon ka hussan-o-jamal mat cheno
Hamari ankh me yaadon k zakham rehnay do
Hamare hath se pholon ki dhaal mat cheno
Abi bhojao na Candle na cake katon abi
Kuch aar dair mera pichla saal mat cheno__!!!
__________________________
Teri Har Baat Say Anjaan Bhi Ho Sakta Hai
Teri har baat se anjaan bhi ho sakta hai
Dil-e-wehshi, dil-e-nadaan bhi ho sakta hai
Hum jahan beth ke taaron se teri baat karain
Woh kisi jism ka dalaa’n bhi ho sakta hai
Yeh jo ik bherriya* jungle mein hua karta hai
Kal isi bhaiss* main insaan bhi ho sakta hai
Ain mumkin hai jisey dil ke bajaye thaamon
Ab kisi shokh ka damaan bhi ho sakta hai
Titliyaan nochney* ka jurm kiya hai jis ne
Woh mere sheher ka sultaan bhi ho sakta hai
Aaj dil mein teri yadon ke diye jalte hain
Kal yehi rasta sunsaan bhi ho sakta hai
Jo tujhe aur kisi ka hone nahin deta
Yeh mere ishq ka imkaan bhi ho sakta hai
Yeh jo ik shakhs tujhe dekh kar roshan hai bohat
Bujh bhi sakta hai yeh veeraan bhi ho sakta hai_____!!
__________________________
Us K Haathon Say Jo Khushbu-E-Hina Aati Hai
Us k hathon se joo khoshbo-e-hina atii hai
Aisa lagta hai k jannat se hawaa atii hai
Chomne daar ko kis dhaj se chala hai koi
Aj kis naaz se maqtal mee qaza aati hai
Na kabhi koi kare tujh se tere jaise salook
Hath uthtay hi yehi lab pe dua aati hai
Tere gham ko ye bar-hana nahin rehne deti
Meri ankhon pe jo ashkon ki rida aati hai
Us ke chehray ki tamazat bhi hai shamil is main
Aaj tapti hoi saavan ki ghata aati hai
Ghomnay jab bhi tere shehar me jati hai wafa
Bain karti hui wapis woh sada aati hai
Hai wohi bat har ik lab pe bohat aam yahan
Hum se jo kehte hue un ko haya ati ha____!!!
__________________________
Tum Ney Kaha Tha
Tum ne kaha tha
Pehli barish ke parte hi
Laut aao ge___!!
Hum aur tum mil kar bheegain ge
Dekho jana___!!
Kitni phua’rain beet chuki hain
Saawan phir se laut ke aaya hai
Barson pehle kiya tha tum ne
Mujh se ehad
Nibhaa jao na
Janaan! Laut ke aajao naa
Ab to laut ke aajao naa__!!
__________________________
Tumhen Jana Ijazat Hai
Tumhen janna ijazat hai
Keh in tareekh rahon par
Thakan si khud me pao to
Andheron se kabhi dil dool jae
Thak si jao to
Mere jultey hoe lamhon
Mere kangal hathon se chora ke apny hathon ko
Fiza ki naghmagi se tum nae geet chun lena
Haseen palkon ki nokon per nae kuch khawab bun lena
Koi agar poch le mera to us se zikar mat karna
Mery jivan ki jalti dopahar se be gharaz ho ker
Tum apni chandni raton me jugno palti rehna
Meri tanhaiyon ki wehshaton ki fikar mat karna
Tumhein iski ijazat hai
Mere sub khat jala dena
Mere tohfon ko darya me baha dena
Tumhein bilkul ijazat hai
Keh jab chaho bhula dena
Muger itni guzarish hai
Agae aiisa na ho janna
To acha hai_____!!
__________________________
Kab Nahin Naaz Uthaaye Hain Tumharey Meiney
Kab nahin naaz uthaye hain tumhare mene
Dekho aanchal pe sajaye hain sitare mene
Wohi lamhaat asaasa hain mere jeevan ka
Jo tere qurb mein lamhaat guzaarey mene
Roz aate hain mujhe yaad tere zulm-o-sitam
Roz khanjar keyi seeney mein utare mene
Har bahana tera aankhon mein saja kar rakha
Apne seeney se lagaye tere laaray mene
Meri pooron se mehek ati rahi hai din bhar
Jab bhi khawbon mein tere baal sanwarey mene
Teri chokhatt pe keyi baar huyi mujh ko shikast
Teri dehleez pe aansu keyi haarey mene
Meri awaaz akeli hi palat kar aayi
Jab musibat mein kabhi yaar pukarey mene____!!
__________________________
Meine Ghar K Saarey Mosam
Meine ghar ke sarey mausam
Sab deewarain
Saarey pardey
Yaadon se rang daaley hain
Tum aao ge
Tum is ghar ki har khirrki
Har bagheechey
Har ik goshay ko
Apne rang mein dooba hua mehsus karo ge
Aajao na___!!
Aa bhi jao__!!
__________________________
Jo Apni Umar Say Aagey Nikal Rahi Ho Tum
Jo apni umar se aagey nikal rahi ho tum
Tumhain khabar hai jawani mein dhal rahi ho tum
Kabhi tumhe bhi to daawa tha sard-mehri ka
Kisi ke lamss ko paa kar pighal rahi ho tum
Batao kyon nahin roka tha jaane waley ko
Ab aik umar se kyon hath mall rahi ho tum
Jo waaldain ne tum se kaha woh maan liya
Ab apni aag mein chup chaap jal rahi ho tum
Hamare dil ka khilona tumhi ne torra hai
Ab isi khilone ki khatir machal rahi ho tum
Tumhe gumaa’n hai ke mein janta nahin kuch bhi
Mujhe khabar hai ke rasta badal rahi ho tum______!!
__________________________
Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon Mein Mujhe
Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon Mein Mujhe
Zindagi Ghairnay Waali Hai Azaabon Mein Mujhe
Ek Tasveer Thi Aur Wo Bhi Kaheen Guum Kar Di
Umer Bhar Dhoondna Ab Apni Kitaabon Mein Mujhe
Jab Se Utra Hai Tere Dard Ka Nasha Mujh Mein
Lutf Aata Nahi Duniya Ki Sharaabon Mein Mujhe
Wo Mujhe Chhorr Gaya Tha Kisi Rangeeni Mein
Wo Jo Ab Dhoondta Rehta Hai Kharaabon Mein Mujhe
Tum Ne Ek Umer Kia Hai Nazar Andaaz “Wasi”
Aur Ab Dhoondtay Phirtay Ho Saraabon Mein Mujhe
Zaroob-o-Taqseem “Wasi” Ishq Mein Laa Haasil Hai
Jaanay Kiun Khojtay Rehtay Ho Hisaabon Mein Mujhe___!!
__________________________
Kaheen Charaagh Hain Roshan, Kaheen Pe Maddham Hain
Kaheen Charaagh Hain Roshan, Kaheen Pe Maddham Hain
Tumhaaray Aanay Ke Imkaan Hain, Magar Kam Hain
Mein Lout-tay Howay Chupkay Se Chhor Aaya Tha
Tumhaaray Takye Pe Mere Hazaar Mausam Hain
Tumhaaray Paon Ko Chhuu Kar Zamaana Jeet Liya
Tumhaaray Paon Nahi Hain, Ye Ek Aalam Hain
Mohabbatain Huween Taqseem Tou Ye Bhaid Khulaa
Hamaray Hissay Mein Khushian Nahi Hain, Maatham Hain
Kuch Isi Lye Bhee Hamain Dukh Se Dar Nahi Lagta
Hamaari Dhaal Tere Dard Hain, Tere Gham Hain
Abhi Kaho, Tou Abhee, Ye Bhi Tum Ko De Dein Ge
Hamaaray Paas Jo Ginti Ke Ek Do Dam Hain
Abhi Khulain Ge Bhalaa Kaisay Kaainaat Ke Raaz
Teri Kamar Mein Kayi Morr Hain, Kayi Kham Hain____!!
__________________________
Chahay To Kaam Main La, Chahey Nikama Kar Dey
Chahay tu kaam main la, Chahe nikama karde
Main tera hoon, teri marzi mujhr jesa karde
Tera bemar hoon azloon say, Na mar jaon kahin
Ek nazar dekh lay mujh ko mujhe acha karde
Tujh se bas itni he khuwahish mere malik ki hai
Us ke dil ko main Lubhaa loon mujhe aesa karde
Jo tera ho ga zamanay se wo kat jaye ga
Tu to jis shaks ko chahe usey tanha karde
Aesa noor ayee ke dunia mera chehra dekhe
Tu jo palkon ka mere Chehray pay saya karde
Wo khuda tujh se faqeeron ki to sun leta hai
Us se kehna k mujhay ishq main Ruswa karde
Mujh ko deta hay wo izat, yeh karam hai uska
Tere bas main ho agar tu mujhay Ruswa karde___!!
__________________________
Tum Wahan Ho Yahan Nahin Ho Tum
Tum wahan ho, yahan nahin ho tum
Gham hi gham hain, jahan nahin ho tum
Ab kisi aur simt dekhta hoon
Ab mera aasmaan nahin ho tum
Ishq zinda rahe ga mera
Haan magar jaavedaa’n nahin ho tum
Yeh zameen, aasman, hamara dil
Har jagha ho, kahan nahin ho tum
Tum karri dhoop ka safar na sahi
Haan magar saayebaa’n nahin ho tum
Meri yadain tumhare sar per hain
Jane man! be’imaan nahin ho tum
Kis liye aap aap karte ho
Mujh se gar bad’gumaan nahin ho tum____!!
__________________________
Dard Ki Dil Pey Hakoomat Thi, Kahan Tha Us Waqt
Dard ki dil pe hakumat thi, Kahan tha us waqt ?
Jab mujhe teri zaroorat thi, Kahan tha us waqt ?
Maut ke sukh mein chala aya mujhe dekhne ko,
Zinda rehne ki museebat thi, Kahan tha us waqt ?
Dil ke darya’on mein ab rait hai sehraon ki,
Jab mujhe tujhse mohabat thi, Kahan tha us wakt ?
__________________________
Roshni Aur Bahaarain Tumhi Rakh Lo Jana
Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana
Mere jugnu mere mausam wapis kar do
Meri hasrat, meri mehroomiyan lauta do mujhe
Mere aansu, mere maatam mujhe wapis kar do
Jane waley se bas itna hi kaha tha mene
Kuch na lotao mere gham mujhe wapis kar do
Kyon yeh takraar si hone lagi “Main” ki jana’n
Woh to hum tum mein tha, ik “Hum” mujhe wapis kar do
Jitni khushiyan hain woh rakh lo meri janib se Wasi
Meri aankhon mein chupey namm mujhe wapis kar do_____!!
__________________________
Tere Firaaq Ke Lamhay Shumaar Kartay Howay
Tere Firaaq Ke Lamhay Shumaar Kartay Howay
Bikhar Chalay Hain Tera Intezaar Kartay Howay
Tou Mein Bhi Khush Hun Koi Os Se Ja Ke Keh Dena
Agar Wo Khush Hai Mujhe Be-Karaar Kartay Howay
Tumhain Khabar Hee Nahi Koi Toot Gaya
Mohabbaton Ko Bohat Paayedaar Kartay Howay
Mein Muskurata Howa Aainay Mein Ubhruun Ga
Wo Ro Paray Gi Achaanak Singhaar Kartay Howay
Mujhe Khabar Thi Ke Ab Lout Kar Na Aaon Ga
So Tujh Ko Yaad Kia Dil Pe Waar Kartay Howay
Wo Keh Rahi Thi Samandar Nahi Hain Aankhain Hain
Mein Un Mein Doob Gaya Aitebaar Kartay Howay
Bhanwar Jo Mujh Mein Parray Hain Wo Mein Hee Jaanta Hun
Tumhaaray Hijr Ke Darya Ko Paar Kartay Howay_____!!
Read More..
0 comments:
Post a Comment