Pages

Tuesday 4 February 2014

Wasi Shah Poetry



















Kabhi Jo Hum Nahi Hon Gay

Kabhi jo hum nahi hoon gy
Kaho kis ko batao gy

Wo apni uljahnain sari
Wo becheni main dooby pal

Wo ankhon main chupe ansu
Kise phir tum dikhao ye

Kabhi jo hum nahi hoon gy
Bohat bechain ho gy tum

Bohat tenha reh jao gy
Abhi b tum nahi sumjhe

Hamari unkahi batein
Mager jub yaad aayen gy

Bohat tum ko rulayen gy
Bohat chaho gy phir b tum

Humein na dhoond pao gy
Kabhi jo hum nahi hoon gy___!!
__________________________

Jabb Sa Tere Khyal Ka Mosam Hua Hai Dost

Jabb se tere kheal ka mosam hoa hai dost
Dunia ki dhop chaon se age nikal gae

Mur mur k abb bhi kheet sadaen diya kae
Abb k bhi tere gaon se age nikal gae

Hum ko palat k daikhana mushkal sa ho gea hai
Shaid teri sadaon se age nikal gae___!!
__________________________

Abhi To Ishq Mein Aisa Bhi Haal Hona Hai

Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai
K ashk rokna tum sa mahaal hona haai

Har aik lab per hain mere wafaa k afsanay
Teray sitam ko abhi la-zawaal honaa hai

Tumhein khabar hi nahin,tum to lot jao ge
Tuhare hijar mein aik lamha saal hona hai

Humari rooh pe jab bhi azaab utrein ge
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai

Kabhi to roye ga wo bhi kisi ki bahon mein
Kabhi to uski hansi ko zawaal hona hai

Mile gi hamko bhi apne naseeb ki khushiyan
Bas intazar hai kab ye kamal hona hai

Har ek shakhs chalay ga humari raahon par
Muhabaton mein humain wo misaal hona hai

Zamana jiske kham-o-paich mein ulajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hon hai

Yaqeen hai mujh ko k wo lot aaye ga
Usay bhi apne kiye ka malaal hona hai____!!
__________________________

Teri Jabee’n Pay Likha Tha K Tou Bhula Dega

Teri jabee’n pe likha tha ke tu bhula dega
So mein bhi bhaamp geya tha ke tu bhula dega

Har aik shakhs se larta raha mein tere liye
Har ik ne mujhe se kaha tha ke tu bhula dega

Yeh teri aankhon pe halqey se parr gaye kaise
Mujhe to tu ne kaha tha ke tu bhula de ga

Nikaal laya hai ilzaam phir puraney tu
Yeh hum ne tey’y bhi kiya tha ke tu bhula de ga

Kuch is liye bhi ke ik til tha teri ankhon mein
Mujhe to tab pata tha ke tu bhula de ga_______!!
__________________________

Main Woh Nanha Bacha Hon

Main wo nanha bacha hon
Bhol nahin sakata hai jo
Aur ikk ojare station par
Apni maa se bichar gea hai
Maa bechari
Jane kab se
Mujh ko chalati gharhi me hi dhond rahi hai_____!!
__________________________

Jane Kis Cheez Ki Wo Mujhko Saza Deta Hai

Jane kis cheez ki wo mujhko saza deta hai
Meri hansti huyi aankhon ko rula deta hai

Kis tarah baat likhun dil ki usse, wo aksar
Doston ko mere khat padh ke suna deta hai

Saamne rakh ke nigaahon ke wo tasveer meri
Apne kamre ke charaaghon ko bhuja deta hai

Muddaton se to khabar bhi nahi bheji usne
Uski aadat hai wo apno ko bhula deta hai_______!!
__________________________

Mujhe Teri Mohabbat Mein Kho Jaane Do

Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do
Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do

Isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai
Mujhe ishq ki baaho mein so jaane do

Tadap ki aag hai judaai ki baahon mein
Mujhe aaj iss mohabbat se mil jaane do

Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe
Mujh benaam ko iss naam mein kho jaane do

Kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob
Mujhe iss mohabbat ki aag mein jal jaane do___!!
__________________________

Meri Aankhon K Sumandar Mein Jalan Kaisi Hai

Meri ankhon k samandar me jalan kaisi hai
Ajj phir dil ko tarapane ki lagan kaisi hai

Abb kisi chat pe charaghon ki qataren bhi nahin
Abb tere sheher ki galiyon me ghathan kaisi hai

Baraf k roop me dhal jaen ge sare rishate
Mujh se pocho k mohabbat ki agan kaisi hai

Me tere wasal ki khawaish ko na marane doon ga
Mosam-e-hijar k lehaje me thakan kaisi hai

Regazaron me jo banti rahi kanton ki rida
Uss ki majboor si ankhon me kiran kaisi hai

Mujhe masom si larki pe taras ata hai
Isi daikho to mohabbat me magan kaisi hai____!!!
__________________________

Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi

Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi
Mere Khatoot Ke Tukray Talaash Karti Thi

Kahan Gayi Wo Kunwari, Udaas Bee Aapa ?
Jo Gaon Gaon Mein Rishtay Talaash Karti Thi

Bhulaye Kon Azyat Pasandiyan Uski
Khushi Ke Dhair Main Sadmay Talaash Karti Thi

Ajeeb Hijr Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot’tay Pat’tay Talaash Karti Thi

Qayaam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udaas Rooh Ke Goshay Talaash Karti Thi

Tamaam Raat Wo Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhay Talaash Karti Thi

Kuch Is Liye Bhi Mere Ghar Se Us Ko Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hee Pyaaray Talaash Karti Thi

Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijr Ke Harbe Talaash Karti Thi

Tamam Raat Wo Zakhma Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Raizay Talaash Karti Thi

Duaein Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Baray Ajeeb Sahaaray Talaash Karti Thi

Mujhe to Aaj Bataya Hai Baadlon Ne ”Wasi”
Wo Laut Aanay Ke Raastay Talaash Karti Thi______!!
__________________________

Tamam Shaher Mein Abb To Hai Raaj Kantoon Ka

Tamam shaher me abb to hai raaj kanton ka
Mujhe qabool nahin ye samaj kanton ka

Chalo k kuch to tasali hoi mere dil ko
Isi me khosh hon k paya kheraj kanton ka

Hamare phool se chehron ko nochane walo
Kabhi to tum pe bhi otare anaj kanton ka

Sambhal sakte nahin hum ye gham ki jageren
Otar lijiye sir se yee taaj kanton ka

Ye aur baat k gull ki tarah mehakate rahe
Wagarna rakhate the hum bhi mizaj kanton ka

Bahot ajeeb se lehje mee baat karta hai
Hai ajj phool me kuch imtazaj kanton ka____!!
__________________________

Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon

Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon
Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon

Aaj Pehloon Mein Mujhe Toot Ke Bikhar Jane Do
Kal Ko Shayad Mumkin Nahi Ke Mein Tumko Paon

Tu Ban Jaye Lehar Aur Mein Sahil Ban Jaon
Ho Ishq Mera Sahil To Mein Roz Tujhse Takraon

Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon
Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon___!!
__________________________

Hazaron Dukh Parein Sehna Mohabbat Mar Nahin Sakati

Hazaron dukh paren sahnna mohabbat mar nahin sakati
Hai tum se bus yahii kahna mohabbat mar nahin sakati

Tera har bar maire khat ko parhna aur ro daina
Maira har bar likh daina mohabbat mar nahin sakati

Kiya tha hum ne campus ki nadi par ikk haseen waadda
Bhaly hum ko parhy marna mohabbat mar nahin sakati

Jahan main jab talak panchi chahaktay urahtay phiraty hain
Hai jab tak phool ka khilana mohabbat mar nahin sakati

PuranE ahhad ko jab zinda karne ka khayal ae
Mujhe bus itna likh daina mohabbat mar nahin sakati

Wo tera hijar ki shab main fone rakhany se zara pahalay
Bahat rotey hue kahna mohabbat mar nahin sakati

Agar hum hasaraton ki qabar main hi dafan ho jaen
To yeh qatabon py likh daina mohabbat mar nahin sakati

Purane rabaton ko phir nae waadde ki khawaish hai
Zara ikk baar to kahna mohabbat mar nahin sakati

Gae lamhat fursat k kahan se dhoond kar laon
Wo pahron hath par likhna mohabbat mar nahin sakati_______!!
__________________________

Maan Lai Ab Bhi Meri Jaan-E-Adaa Dard Na Chun

Maan lai ab bhi meri jaan-e-adaa, dard na chun
Kaam aati nahin phir koi duaa, dard na chun

Aur kuch dair mein mujh ko chale jana hoga
Aur kuch dair mujhe khawab dikha, dard na chun

Aik bhi dard na kam hoga keyi sadiyon mein
Ab bhi kehta hoon tujhe waqt bachaa, dard na chun

Woh jo likha hai kisi taur nahin ttal sakta
Aa mere dil main koi deep jala, dard na chun

Main tere lamss se mehroom na rah jaaon kahin
Aakhri baar mujhe khud se laga, dard na chun

Ab to yeh raishmi purain bhi chaddi jati hain
Khud ko ab bakhssh bhi de, zulm na dhaa, dard na chun

Yeh nahin hon ge to khali nahin ho jaon ga mein
Mere zakhmon se koi geet bana, dard na chun

Kuch na de ga yeh masaayel se ulajhtey rehna
Chorr sab kuch meri banhon mein samaa, dard na chun____!!
__________________________

Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Hoga

Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Hoga
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Hoga

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hogi
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Hoga

Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Hoga

Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoga

Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho Gi Tujhy
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Hoga

Hoo Kay Nidhal Mere Yadoon Say Tuu Nay Jana
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoga____!!

Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chhupaya Hoga_______!!
__________________________

Meri Wafa Ney Khilaye They Jo Gulaab Sarey Jhulas Gaye Hain

Meri wafa ne khilaye the jo gulaab Sare jholas gae hain
Tumhari ankhon mai jis qadar the wo khawab sare jhulas gae hain

Meri zameen ko Kisi nae haadse ka hai inatizar shayed
Gunah phalane lage hain ajar-o-sawab sare jhulas gae hain

Jo tum gae to meri nazar pe haqeqaton k aazab otare
Yeh sochata hun k Kia karon ga sarab sare jhulas gae hain

Ye mojaza sirf ikk shab ki musafaton ke sabab hua hai
Tumhare aur mere darmiyan ke hijab sare jhulas gae hain

Use batana K us ki yadon k sare safahe jala chuka hun
Kitaab-e-dil mai raqam the jitne wo baab sarejJhulas gae hain

Nazar othaon mai jis taraf bhi muheb saye hain zulmaton K
Yeh kia K mere naseeb k mahtaab sare jhulas gae hain

Tumhari nazron ki ye tapish hai k mere lafzon pe aabley hain
Sawal sare jhulas gaehHain jawab sare jhulas gae hain

Ye agg khamoshiyon ki kaisi tumhari ankhon mai tairti Hai
Tumhare honton pe daraj the jo nisaab sare jhulas gae hain_____!!
__________________________

Jo Bhi Deewar Hai Raastey Main Giraa K Ro Lain

Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain
Aao ik doojay ko seene se laga ke ro lain

Saamne tu hai to hum dil mein bhi ro sakte hain
Yu’n karain hum tujhe baaton mein laga kar ro lain

Tere aaney se yeh naraaz raha karte hain
Jee mein hai aaj har ik gham ko manaa kar ro lain_____!!
__________________________

Mohabbat Phir Mohabat Hai

Mohabbat phir mohabat hai
Kabhi dil se nhi jaati
Hazaron rang hain is k
Ajab hi dhang hain is k
Kabhi sehra, kabhi darya
Kabhi jugnu, kabhi aansu
Hazaron roop rakhti hai
Badan jhulsa k jo rakh day
Kabhi wo dhoop rakhti hai
Kabhi ban ker ye ek jugnu
Shab-e-gham k andheron mein
Dilon ko aas deti hai
Kabih manzil kinaarey per
Piyasa maar deti hai
Azziyat hi azziyat hai
Magar ye bhi haqiqat hai
Mohabat phir mohabat hai
Kabhi dil se nhi jaati_____!!
__________________________

Tumhain Janan Ijazat Hai

Tumhain Janan Ijazat Hai
K in Tareek Rahon Par
Thakan Si Khud Mein Pao to
Andheron Se Kabhi Dil Dol Jae
Thak Si Jao To
Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Bekangal Hathon Se ChOra K Apne Hathon Ko
Fiza Ki Naghmagi Se tum Nae Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Par Nae Khawab Bun Lena
Koi Gar Pooche Mera To Usse Zikar Mat Karna
Mere Jeevan Ki Jalti Dopahar Se Begharz Ho Kar
Tum Apni Chandni Raton Mein Jugnoo Palti Rehna
Meri Tanhaiyon Ki Wehshaton Ki Fikar Mat Karna
Tumhein Is Ki Ijazat Hai
Mere Sab Khat Jala Dena
Mere Tohfoon Ko Darya Mein Baha Dena
Meri Har Yad Ko Dil Se Khurachna
Or
Mita Dena
Tumhain Bilkul Ijazat hai
K Jab Chaho Bhula Dena
Magar Itni Guzarish Hai
Agar Aisa Na ho Janan
To Acha Hai Na________!!
__________________________

Kal Ajjab Saaneha Sa Hua Rait Par

Kal ajjab saneha sa hoa rait par
Naam tera na likh saka rait per

Kis ki awaz se tham gae hain qadam
Phir se kiss ne mujhe di sada rait per

Us ki ankhon se sholey nikalte rahe
Nachati reh gai kal ghata rait per

To ne jo bhi hawa se kaha reh gaya
Mit gaya mai ne jo bhi likha rait per

Main tumhen chomana chahata hon abhi
Uss ne mujh se yee ikk din kaha rait per

Abb ye sehara hi tere muqadar mein hain
To ne mangi hi kion thi dua rait per

Aik shola otha us jaga se WASI
Mera aansoo jahan gir gea rait per_____!!
__________________________

Eik Masoom Takaddus Me Bhigoya Huwa Lams

Eik Masoom Takaddus Me Bhigoya Huwa Lams
Kitna Pakiza Hay Ehsas Me Dhoya Huwa Lams

Ye Tere Jism Ki Khushbu Ka Sonehra Ehsas
Jis Terha Chand K Haaley Me Paroya Huwa Lams

Us K Hontoon Ko Me Chhu Loon To Gumaan Hota Hay
Jese Jannat K Gulaboon Me Daboya Huwa Lams

Jo Meri Rooh Me Utrey He Chale Jaate Ho
Ik Nae Rang Me Ubhrey Ga Ye Boya Huwa Lams

Bhegi Khusbo Mae Basa, Wasl Me Bhega Bhega
Kitna Masoom Hay Pehlo Me Ye Soya Huwa Lams

Tishnagi Aan Basi Hay Meri Pooroon Me WASI
Dhondta Phirta Hun Muddat Se Main Khoya Huwa Lams_____!!
__________________________

Sari Raat Ki Jaagi Aankhein

Sari raat ki jaagi aankhein
College mein kiya parrhti hon gi

Yunhi khoye, dil hi dil mein
Jaanay kiya kiya karti hon gi

Sari raat ki jaagi aankhen
Koi bolay, kaan na dharna

Koi hillay to ek dam darna
Koi daikhe in ka barhna

Apne aap say larti hon gi
Sari raat ki jagi aankhein

Apni kitaabein phartey rehna
Us ki baaten kartey rehna

Us ki yaadein ghartey rehna
Jeetay jeetay marti hon gi

Sari raat ki jagi aankhein
College mein kiya parrhti hon gi_____!!
__________________________

Mujh Ko Maloom Hai Tum Badal Jao Gey Ja K Pardeis Main

Mujh ko maloom hai tum badal jao ge ja k pardes main
Chahaton ki hadon se nikal jao ge ja ke pardes main

Rakh ho jae gi qarbaton main mehakti hoi zindagi
Hijar ki agg main pigal jao ge ja ke pardes main

Sab ko bholo ge par apne bachon ki jab tum ko yaad ae gi
Khod bhi bachon ki sorat machal jao ge ja ke pardes main

Apni pehchan ko khawahishon k samandar me gir kar kho dia
Dastanon me phr tum bhi dhal jao ge ja ke pardes main

Ain mumkin hai jab tum wahan jao to aur barah jaen dukh
Kis ne tum se kaha hai behal jao ge ja ke pardes main

Ye bata don tumhen sardiyan agg barsaen gin us jaga
Soch loo abb bhi tum warna jaal jao ge ja ke pardes main

Tum pe yon hath dalen gin tanhaiyan aik waqt ae ga
Koi ahhat bhi ho gi dhahal jao ge ja ke pardes main_____!!
__________________________

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain_______!!
__________________________

Kitni Zulfain Khulin Kitney Aanchal Urhey Chand Ko Kaya Khabar

Kitni zulfain khulin kitne anchal urhey chand ko kia khabar
Kitna matam hoa kitne annsoo beahay chand ko kia khabar

Modatoon us ki khawaish main chaltay rehay hath ata nhin
Cha main us ki paron main hain abley chand ko kia khabar

Wo jo nikala nahin to batakte rahe hain mosafar kai
Aur lotate rahe hain kai qafile chand ko kia khabar

Wo to apni hi nagri main madhosh hai kab sa khamosh hai
Kon raja bana kitnE Syed lote chand ko kia khabar

Us ko dawa babot methe pan ka WASI chandni se kaho
Us ki kiranon se kitne hi ghar jal gae chand ko kia khabar_______!!
__________________________

Yahin Pey Tha Mera Bachpan Yahin Kahin Pey Tha

Yahin pe tha mera bachpan, yahin kahin pe tha
Yahin hansa tha
Yahin kahi pe roya tha
Yahin darakhton k saye main
Thak k soya tha
Yahin pe jugnuon se apni bat chalti thi
Wo hansi jo har pal sath chalti thi
Yahin pe tha wo larakpan
Yahin kahin pe tha
Yahin pe Maa mujh ko seeny lagaye rakhti thi
Yahin pe papa ne ik bar kaan khincha tha
Shararat kisi aur n ki thi saza?mujhy thi mili
Main kitni dear khara dhoop main raha tanha
Tamam yar mery khush meri saza pe thy
Yahin pe tha wo larakpan yahin kahin pe tha____!!!
__________________________

Jab Main Ghar Sey Nikal Raha Tha

Jab main ghar se nikal raha tha
Chaltey chaltey
Mery senny sey hatatey pal
Dherey se ikk sarghoshi main
Us ney kaha tha
Dekhain cahahy kuch bhi ho jae
Roz MujhyeRING ki jiye ga
Phir jab us ke hath aur nazrain
Dono meri tie per thin
Kehne lagi
‘’Aap nahin hotey hain to bilkul khali ho jati hon’’
Chor nahi sakty yeh BUSINESS ?
Aap mujhy kion tarpate Hain?
Acha daikhen yon karte hain
Aik din khat aur aik din phone
Main ney us ko Boosa de kar
Us sey kaha Tha
Aab k chahy kuch ho jae
Khat likhon ga phone karon ga
Haye ! lekin khod sar fitrat
Aur kuch karobar k jhunjhat
Naa to us ko phone kia tha
Aur naa hi koikhat likh paea
Naa koi MESSAGE naa hi card
Ab jo gher ko laut raha hon
Soch raha hon
Tanhai k ye do hafatey
Us par Sadiyon jaise hon ge
Lekin ye bhi janta hey dil
Us ko be hadd shikwe hon ge
Tararpati ho gi
Chup ker takiye main raaton ko roi ho gi
Khafa khafa si
Lekin gher main dakhil ho kar
Jab main us ke Mathe par ikk bosa doun ga
Un honton par hont rakhon ga
Aur kahon ga
‘’Yar mujhe tum yaad ayi Thin
Lamhy lamhy main soo baar’’
Bus itna hi kehna ho ga
Aur wo Pagli
Apna sab kuch sonp kar mujh ko
Mere seene lag jae gi
Phir jab us k hath aur nazrain
Dono mere seene K baalon per hon ge
Woh seena jo un ashkon se bheega ho ga
Sargoshi mai mujhse kahe gi
Aap bhaley abb kuch bhi kar lain
Hargiz abb naa janey don gi
Sachi aap to bahot bure hain
Bahot bure hain
Hain naa BHONGOO___!!!
__________________________

Jab Koi Naik Kaam Kartey Hain

Jab koi naik kaam karte hain
Jaane man tere naam karte hain

Tere chehre se dhoop lete hain
Teri zulfon mein shaam karte hain

Kis qadar tang hoon mohabbat se
Log yeh kese kaam karte hain

Un ki peshaaniyan chamakti hain
Jo mohabbat ko aam karte hain

Dil ke dalaa’n mein sajaa kar yaad
Jashan ka ehtamaam karte hain

Sochte hain tujhe wuzzu kar ke
Yu’n tera ehtraam karte hain

Hum se hi ibtidaa huyi jana’n
Hum hi ab ehtamaam karte hain_______!!
__________________________

Jann-E- Janna Tum Kehti Then

Jann-e- janna
Tum kehti then
Jannu! aap mere bache ho
Mujh ko aisa lagta hai tum orh k mere laho ko
Mere badan me soye rehe ho
Meri rooh ka nasha pi kar mere andher khoye rahe ho
Mere jisam ka hi hissa ho
Jann-e-janna tum tu kehti then
Jannu! aap mere bache ho
Liken aise
Jis ko me anchal k goshon me to chopa kar rakh sakti hon
Jis ko ankh ki patli me pinhan tu kar sakti hoon lakin
Is bache ko
Jannu! aap ko
Duniya ki nazroon me lana nahin hai mumkin
Bara kathan hai
Is dharti ki zalim resmain
Sab jhagre aur sabhi masaeel
Kab tasleem nahin hain mujh ko
Liken janna
Yeh batlao
Kia koi maa
Apne bache ko sardi me
Kholi hoi weran sarak per
Raat ki bheegi tanhai me
Sun sun kerti hui hawa ke jhonkon ke maqtal me
Chor k tanha
Manzal wali roshon raah pee chal sakti hai
Kia koi maa
Aisa b kuch kar sakti hai
Liken tum ne yehi kia hai
Jann-e-janna____!!
__________________________

Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se Shanasaayi Howi

Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se Shanasaayi Howi
Phir Jo Honi Thi Meri Jaan Wo Ruswaayi Howi

Apni Nakaam Mohabbat Ka Na Yun Charcha Karo
Zakham Barh Jaye Ga Gar Is Ki Paziraayi Howi

Phir Zamanay Mein Kisi Ne Ose Dekha Na Suna
Tere Darbaar Mein Jis Shakhs Ki Shanwaayi Howi

Jab Teri Yaad Ko Koi Bhi Thikaana Na Milay
Meri Baahon Mein Chali Aati Hai Ghabraayi Howi_____!!
__________________________

Aaj Youn Mosam Ney D Jashn-E-Mohabbat Ki Khabar

Aaj yon mosam ne di jashn-e-mohabbat ki khabar
Phot kar rone lage hain main mohabbat aur tum

Hum ne jonhi kar liya mehsus manzil hai qareeb
Raste khone lagate hain main mohabbat aur tum

Chaand ki kirnon ne hum ko is tarah bosa dia
Devta hone lage hain main mohabbat aur tum

Dhar gea ilzam jab se apni hurmat par koi
Barshen dhone lage hain main mohabbat aur tum

Aaj phir mehromiyon ki dastanen orh kar
Khak main sone lage hain main mohabbat aur tum

Kho gae andaz bhi awaz bhi ilfaz bhi
Khamashi dhone lage hain main mohabbat aur tum____!!
__________________________

Jis Sey Bandhey Thay Dono, Wo Gham Nahi Rahey Hain

Jis se bandhe thay dono, wo gham nahi rahe hain
Tum tum nahi rahe ho, hum hum nahi rahe hain

Chahat ke geet mein hai, koi kami yaqeenan
Akhir tere mere sur jam nahi rahe hain

Ro ro ke tere dukh, sehra sa ho gaya hoon
Ab aankh ke kinaray bhi nam nahin rahe hain

Lamhon ke pair par hain, kuch phool dard-e-gham ke
Jeewan mein ab khushi ke mausam nahi rahe hain

Tu aur simt mein hai, mein aur simt mein hoon
Ulfat ke raastay ab baham nahi rahe hhain

Fikr-e-muaash ne tu jazbon ko rond dala
Aashiq wagarna hum bhi kuch kam nahi rahe hain

Raahon mein ab kharha hoon, phelaae haath khali
Gham thay mera asasa aur gham nahi rahe hain

Tum hi the meri dunya, tum hi meri muhabbat
Tum jo nahi tu dono aalam nahi rahe hain_____!!!
__________________________

Bhanwar Ki Goad Mein Jaisey Kinara Sath Rehta Hai

Bhanwar ki goud me jaise kinara sath rehta hai
Kuch aise hi tumhara aur hamara sath rehta hai

Mohabbat ho k nafarat ho usi se mashwara ho ga
Meri har kafiyat me istekhara sath rehta hai

Safar me ain mumkin hai main khod ko chor don lekin
Duaen karne walon ka sahara sath rehta hai

Mere mola ne mujh ko chahaton ki saltanat de di
Magar pehli mohabbat ka khasara sath rehta hai

Agar syed mere lab par mohabbat hi mohabbat hai
To phir yeh kis lie nafarat ka dhahara sath rehta hai___!!
__________________________

Dayar-E-Gair Mein Kaisey Tujhey Sada Daitey

Dayar-e-gair me kaise tujhe sada daite
Tu mil bhi jata to akhir tujhe ganwa daite

Tumhin ne ham ko sunaiya na apna dukh warna
Dua wo karte k ham asman hila daite

Hamein ye zoom raha ab k wo pukaren ge
Unhen ye zid thi k har bar ham sada daite

Wo tera hgam tha k taseer mere lahje ki
K jis ko hal sunate use rula daite

Tumhen bholna hi awwal to dastaras me nahin
Jo ikhtiyar bhi hota to kia bhula daite?

Hum apne bachon se kaise kahen k ye ghoriya
Hamare bus me joo hoti to hum dila daite

Tumhari yad ne koi jawab hi na dia
Mere khayal k aansu rahe sada daite

Samaton ko me ta-umer kosata Syed
Wo kuch na kahte magar honth to hila daite___!!!
__________________________

Jub Bhi Wo Shakhs “Wasi” Mujh Se Khafa Ho Jaye

Jub Bhi Wo Shakhs “Wasi” Mujh Se Khafa Ho Jaye
Ik Sunami Mere Seenay Mein Bapaa Ho Jaye

Dil Mein Phir Kuch Bhi Nahi Hoga Khalaon Ke Siwa
TU Kisi Roz Agar Mujh Se Judaa Ho Jaye

Wo Bohat Rakhta Hai Chaahat Ki Namazon Ka Hisaab
Wo Tou Ik Sajda Na Bakhshay Jo Qazaa Ho Jaye

Thapkian De Ke Sulaati Hai Teri Yaad Hamain
Neend Jis Raat Bhi Aankhon Se Khafaa Ho Jaye

Ye Tareeqa Hai Mohabbat Ki Ibaadat Ka “Wasi”
Os Ko Chhuu Lenay Se Ik Rukun Adaa Ho Jaye____!!
__________________________

Teri Janib Agar Chaley Hotey

Teri janib agar chale hote
Hum na yon dar-badar hoe hote

Sari duniya hai meri muthi main
Kon ae ga ab tere hote

Aur ab kiou nahin nibhate tum
Itne wade nahin kiye hote

Paa liya me ne sari duniya ko
Koi khawahish nahin tere hote

Us ki ankhon main baar panne ko
Kash hum khawab ban gae hote________!!
__________________________


Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe
Tumhain Galay Se Laga Loon Tou Chain Aaye Mujhe

Mohabbaton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi ?
Tere Khatoot Jala Loon Tou Chain Aaye Mujhe
__________________________

Adhori Batain Hi Zindagi Hain

Adhori batain hi zindagi hain
Wo guzari batain hi zindagi hain
Agarcha dil ki udas ujari hoi roton me
Bikhar gai hain
Kai zamanon se sari batain
Wo guzri batain
Sulagti shamon k jalte bujhte alao hi me
Pighal gai hain
Adori batain
Zaroori batain
Yeh khushk hoti hoi raggon ki siyah qabron main neem-murda
Dassi hoi khuwahishon ke hamrah
Gondhi hoi hain
Yeh ankh ki putliyon me thak k
Khatakti palkon pe so gai hain
Tamam batain dorust janna
Tamam khadshe baja hain lekin
Har ik imkan zindagi me
Ragon me aur rooh ki zameen me
Inhi ki yaden bhatak rahi hain
Inhi ke dum se zaeef jazbon, thatharte lafzon
Bojhi tamanaon mai ramaq hai
Adhori batain hi zindagi hain
Wo guzri batain hi zindagi hain
Khayal rakhna_______!!
Adhori batain bhola na dena
Wo guzri batain bhola na dena
Khayal rakhna
Khayal rakhna______!!
__________________________

Dil Mein Bikhray Howay Jaalon Se Pareshaan Na Ho

Dil Mein Bikhray Howay Jaalon Se Pareshaan Na Ho
Mere Guzray Howay Saalon Se Pareshaan Na Ho

Meri Aawaaz Ki Talkhi Ko Gawaara Kar Le
Mere Gustaakh Sawaalon Se Pareshaan Na Ho

Mein Ne Maana Teri Aankhain Nahi Khulti Hain Magar
Din Nikalnay De, Ujaalon Se Pareshaan Na Ho

Apni Zulfon Mein Utarti Howi Chaandni Ko Chhupa
Mere Bikhray Howay Baalon Se Pareshaan Na Ho

Ay Nayi Dost Mein Bharpoor Howa Hun Tera
Mere Maazi Ke Hawaalon Se Pareshaan Na Ho

Dekh Yun Door Na Ho Mujh Ko Laga Le Dil Se
Tu Meri Rooh Ke Chhaalon Se Pareshaan Na Ho

Khud Ko Veeraan Na Kar Mere Lye, Jaan Meri
In Pareshaan Khayaalon Se Pareshaan Na Ho____!!

Read More..


0 comments:

Post a Comment