Pages

Tuesday, 4 February 2014

Best Poetry Of Wasi Shah



















Kaash Mein Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota

Kaash Mein Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota
Tu Bare Piyar See Chaao See Bare Maan K Sath

Apni Nazuk Si Kalaai Me Charhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi See Furqat K Khizaan Lamhom Mee

Tu Kisi Soch Mein Doobi Jo Ghoomati Mujh Ko
Mein Tere Hath Ki Khooshboo See Mehak sa Jata

Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhe Choomaa Karti
Tere Hontoon Ki main Hidat Say Dehaak Sa Jata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Kee Safar Par Jaati
Mar Mareein Haath Ka Takiya Banaiya Karti

Mein Tere Kaan Say Lag Kar Kai Batein Karta
Teri Zulfon ko Tere Gaal Ko Chooma Karta

Jab bhi to band e qaba kholane lagati janan
Apni ankhon ko tere husan se khaira karta

Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Naasha
Mein Teri Rooh K Gulshan Me Meehakta Rehtata Rehta

Mein Tere Jisam K Aangan Me Khanakata rehta
Kuch Nahi To Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota

Kash Me Tere Haseen Hath Ka Kanghan Hota
__________________________

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Say Khof Aata Hai

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai

Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai

Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai

Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai

Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun
Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai_____!!
__________________________

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah

Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah__!!
__________________________

Be Sabab To Na Thin Teri Yadain

Be sabab to na thin teri yadain
Teri yadon se kia nahin sekha

Zabat ka hosala bharha laina
Ansaon ko kahen chopa laina

Kampati dobati sadaon ka
Chop k chadar se dhanp kar rakhana

Be sabab bhi kabhi kabhi hansana
Jab bhi ho baat koi talkhi ki

Mozon goftago badal daina
Be sabab to nahin teri yadain

Teri yadon se kia nahin sekha_____!!
__________________________

Ab To Mumkin Hi Nahi Un Say Mulaqat Wasi

Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat “wasi”
Ab to urooj pe puhanchi hai uski zaat “wasi”

Wohi wady hain aur rasmon ki zanjiren baqi
Kab badalti hain zamany ki riwayat “wasi”

Aik wo din thy k ek dosry ko sochty thy hum
Ab milty nahi dono k khayalat “wasi”

Meri her subha ka aghaz tery naam se ho
Teri yadon mai kati meri her aik raat “wasi”

Tum kahan aur mery piyar ka miyar kahan
Wo kitni sadgi se ker gaya ye baat “wasi_____!!
__________________________

Aadhi Raat K Sanaatey Mein

Aadhi raat ke sanatey mein,
Kis ne phone kiya hai mujh ko ?
Jane kis ka phone aya hai
Phone utha kar yu’n lagta hai
Us jaanib koi gum’sum, gum’sum, ukhrra ukhrra
Dheerey dheerey kaamp raha hai
Mehki huyi ik khamoshi hai
Ghupp khamoshi hai
Lekin is khamoshi mein bhi goonj rahe hain
Thandi saansain, barish, aansu
Khamoshi se thak kar us ne saans liya to
Choorri khanki
Uff yeh khann khann
Ik lamhe mein sarey badan mein phail gayi hai
Tere ilaawa koi nahin hai
Lekin itne barso’n baad_______!!
__________________________

Mujhe Har Kaam Say Pehley

Mujhe har kaam se pehle
Sehar se sham se pehle

Yahi ikk kaam karna hai
Tumhara naam laina hai

Tumhi ko yaad karna hai
K jab bhi dard pena hai

K jab bhi zakham sena hai
Gham-e-dunia se gabra kar

Mujhe jab jam laina hai
Tumhara naam laina hai

Tumhi ko yaad karna hai
Tumhari yaad hai dil me

Koi barbad hai dil me
Use abad karna hai

Tumhara naam laina hai
Tumhi ko yad karna hai____!!
__________________________

Main Shayer Hoon

Main Shayer Hoon
To Aksar Laog Mujh Se Poochtay Hain
Is Haseen Israar Kay Baray main
Batain Toa Bhala Kiya Hai___?
Muhabbat Akhirish Hai Kiyaa___?”
Wasi Main Hans Kay Kehta Hoon
Kisi Piyasay Ko Apnay Hissay Ka Pani Pilana Bhi..
Muhabbat Hai____!!
Bahnwar Mai Doobtay Ko Sahil Tak Lai Kay Jana Bhi..
Muhabbat Hai_____!!
Kisi Kay Wastay Nanhi Si Qurbani
Muhabbat Hai____!!
Kaheen Hum Raaz Saray Khoal Saktay Hoan Magar Phir Bhi,
Kisi Ki Babasi Ko Daikh Ker Khamosh Hojana Bhi…
Muhabbat Hai!
Ho Dil Mai Dard, Veraani Magar Phir Bhi
Kisi Kay Wastay Jabran Hi Hoantaon Pe Hansi Lanaa
Zabardasti Hi Muskana…
Muhabbat Hai!
Kaheen Barish Mai Sehmay, Bheegtay Billi Kay Bachay Ko
Zara Si Dair Ko Ghar Lai Kay Anaa Bhi
Muhabbat Hai!
Koi Chirya Jo Kamray Mai Bhatakti Aan Nikli Ho
Toa Us Chirya Ko
Pankhaa Band Kar Kay Rastaa Bahir Ka Dikhlana
Muhabbat Hai!
Kisi Kay Zakham Sehlanaa
Kisi Rotayhuay Dil Ko Behlana
Muhabbat Hai!
Kay Metha Boal, Methi Baat, Methay Lafz, Sab Kiya Hhai?
Muhabbat Hai!
Muhabbat Aik Hi Bas Aik Hi Insaan Ki Khatir
Magan Rehna
Hama Waqt Uski Bataon, Khushboan Mai
Dolna Kab Hai
Muhabbat Sirf Uski Zulf Kay Bal Kholnaa
Kab hai..
Muhabbat Kay Hazaroan Rang
Laakhoan Istaa’ray Hain
Kisi Bhi Rang Mai Ho Ye
Mujhay Apna Banati Hai
Ye Meray Dil Ko Bhaati Hai____!!
__________________________

Tum Mere Dard Bhi, Gham Bhi, Alam Bhi Tum

Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum
Tumn mera chain ho jana, mera araam bhi tum

Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe chahaa hai
Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum

Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho
Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum

Kya zaroorat hai mujhe dard ke me’khaanon ki
Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum

Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho
Aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum

Yeh seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi
Yahan seyaad bhi tum ho, to teh’daam bhi tum

Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag
Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum

Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai
Meri furssat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum_____!!
__________________________

Ae Mere Chand Ki Aaghosh Say Ubhare Hue Chand

Ae mere chand ki aghosh se obhare hoe chand
Tere ane se meri shokh ki sab moskanen

Us k morjhae hoe chehre pe loat ai hain
To ne hi us k solagate hoe sub zakhmon par

Apna nazak sa mehkata hoa marham rakha
Goya sehraon me barsat ka mosam rakha

Waqat ki andhi ne ikk phol mere angan ka
Gulshan ghair k zindan me la phenka tha

Me k jogno tha chine mujh se hawale mere
Kho gae jane kahan sare ojhale mere

Wo k titali thi sabhi rangon se mehrom hoi
Hijar k dard me din rat wo Maghmom hoi

Bikhari bikhari si wo rehti thi meri sochon me
Tere ane se meri shokh ne khoshiyan paen

To jo hansata hai tujhe daikh k jii othati hai
To jo rota hai to gabra k bikhar jati hai

Mujh se wabasta jo karti thi maqadar apna
Abb samajhati hai faqat tujh ko sikandar apna

Abb teri zaat se mansoob hain sansain us ki
Aur khilati hain tere qurab me ba nahin us ki

Ae mere chand ki aghosh me khilate hoe chand
To ne mujh par ajab ehsas kia hai piayare

Abb tere qurab me wo mujh ko bhala to de gi
Hijar k jalate hoe deep bajha to de gi________!!
__________________________

Ek Aarzoo Hai Puri Parwardigar Karey

Ek aarzoo hai puri parwardigar kare
Men dair se jaon wo mra intzar kre

Apne hathon se sanwarun zlfein uski
Wo shrma kr mhabat ka iqrar kre

Lipat jay mjhse aalm-e-madhoshi men
Or josh-o-janun men mhabat ka izhar kre

Ho shab-e-wisal aesi ya RAB!
K bheegi zulfon se mujhe bedaar kre

Jab use chor k jana chahun Wasi
Wo roke or ik raat ka israr kre

Qasam khuda ki main kisi or ki ho nhi sakti
Ye wada-e-wafa wo bar bar kre_____!!
__________________________

Pehle Mere Khat K Us Ney

Pehle mere khat k us ne
Ikk anjane khof se dar kar
Tokare tokare kar dale
Abb_______!!
Aik haseen ehsas k tabagh
Jis ka koi naam nahin hai
Pichale kitne hi ghanton se
Darwaze ki aot me chop kar
Tokare joor rahi hai
‘’PAGAL’’
__________________________

Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi

Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi
Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi

Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali
Apni Tasweer Se Kia Aankh Milati Hogi ?

Is Zameen Pe Bhi Hay Selaab Meray Ashkon Say
Meray Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi

Shaam Hotay Hi Wo Chokhat Pay Jala Kar Shamain
Apni Palkon Pay Kaii Khowab Sulati Hogi

Us Nay Silwa Bhi Liye Hongay Siya Rang Lebaas
Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi

Hoti Hogi Meray Bosay Ki Talab Main Pagal
Jab Bhi Zulfon Main Koii Phool Sajati Hogi

Meray Tareek Zamano Say Nikalnay Wali
Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati Hogi

Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hogi
Joon Hi Tasweer Ka Kona Wo Jalati Hogi

Roop Day Kar Mujhay Us Main Kisi Shehzaday Ka
Apnay Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi_____!!!
__________________________

Hijar Tara ab Doob Chala Hai Dhalny Lagi Hai Raat Wasi

Hijar Tara ab Doob Chala Hai Dhalny Lagi Hai Raat WaSi
Qatra Qatra Baras Rahi Hai Ashkon Ki Barsat WaSi

Tere Baad Yeh Dunya Walay Mujh Ko Pagal Kar Dain Ge
Khushbu Ke Dais Main Mujh Ko Le Chal Apnay Sath WaSi

Yun Hi Chup Ki Mohar Laga Kar Kab Tak Gum Sum Betho Ge
Khamoshi Se Dam Ghut’ta Hai Cheyro Koi Baat WaSi

Aaj tO Us Ka Chehra B Kuch Badla Badla Lagta Hai
Mosam Dadla Dunya Badli Badal Gaye Halaat WaSi

Mere Ghar Khushbu Ka Yeh Raqs Usi Ke Dam Se Hai
Us Ke Sath Chali Jaye Gi Phulon Ki Baraat WaSi

Chor Wasi Ab Us Ki Yadein Tujh Ko Pagal Kar Dain Gi
To Qatra Hai Wo Darya Hai Dekh Apni Auqaat WaSi____!!!
__________________________

Daikhen Janno App Is Bar

Daikhen Janno App Is Bar
Jaldi jaldi khat likhiye ga
Warna______ Warna___!!
Warna me kia kar sakti hon?
Ro long gi bus____!!
Abb se kitane mosam piche
Me us k khat par roea tha
Shaid pura hafta meri ankh me lali rachi rahi thi
Aur abb itne barson bad
Ajj purane dard kanghale
Pichale kitne ghanton se
Apni us nadani par me
Reh reh kar hans parta hon
Lakin door kahen ankhon me
Anjana sa anso abb bhi
Othata hai aur dab jata hai
Chop jata hai
Jaise kitne mosam piche
Shaid pura hafta meri ankh me lali rachi rahi thi_____!!
__________________________

Phir Woh Campus Ki Fiza Ho Shaam Ho

Phir woh campus ki fiza ho, shaam ho
Hath hathon mein tera ho, shaam ho
Khauf ata hai mujhe us waqt se
Raasta na mil raha ho, shaam ho
Kis qadar be’kaif guzre gi woh shaam
Tu mujhe bhoola hua ho, shaam ho
Kyon na shiddat se mujhe yaad aye gaao’n
Sheher ka banjar’pana ho, shaam ho
Ho rahi ho teri tasveeron se baat
Tera khat khola hua ho, shaam ho
Sardiyaan, barish, hawaa, chaaye ka cup
Woh mujhe yaad aaraha ho, shaam ho
Dard o gham ki dhund mein liptaa hua
Qaafila sa chal para ho, shaam ho
Ya’ilahi aese lamhe se bachaa
Woh kabhi mujh se khafaa ho, shaam ho
Ik yehi khawhish na puri ho saki
Tu kalejey se laga ho, shaam ho____!!
__________________________

Ab Jo Bichray Hain To Ehsaas Hua Hai Hum Ko

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Char su gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain
Ab to khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain

Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay

aik saath hum mil ker raha kertey thay
Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain

Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko

Hum Nay khud apni raahon mai bichaye kantay
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay

Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain
Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai

Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain

Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko_______!!
__________________________

Raat Ka Pichala Pehar Hai

Raat ka pichala pehar hai
Matami malboos orahe
Dard ki un wadiyon se
Wehshaton k raste se
Lar-kharati
Dagamati
Baal khole
Bain karti
Chandani ko sath le kar
Meri janab chal pari hai
Aa rahi hai
Teri yaad____!!!
__________________________

Jab Raat Ki Nagan Dasti Hai

Jab raat ki nagan dasti hai
Naas naas me zehar otarta hai
Jab chand ki kirnain tezi se
Uss dil ko cheer k ati hain
Jab ankh k andar hi ansoo
Zanjeron me bhand jate hain
Sab jazbon par cha jate hain
Tab yaad bahot tum ate ho
Jab dard ki bhanjar bajati hai
Jab raqas ghamon ka hota hai
Khawabon ki taal pe sare dukh
Wehshat k saaz bajate hain
Gate hain khawaish ki lee me
Masti me jhomate jate hain
Sab jazbon par cha jate hain
Tab yaad bahot tum ate ho
Tab yaad bahot tum ate ho____!!

Read More..

0 comments:

Post a Comment