Pages

Tuesday 4 February 2014

Best Shayari Of Wasi Shah

















Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaatay Hain

Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaatay Hain
Zindah Lagtay Hain Magar Asal Mein Mar Jaatay Hain

Jub Kubhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se TU
Kitnay Khanjar Mere Seenay Mein Utar Jaatay Hain

Teri Yaadon Ki “Agar Bat’tiyan” Jal Uthtay Hee
Hum Tere Dard Ki Khushbouon Se Bhar Jaatay Hain

Hum Se Aawaarah Phira Kartay Hain Galyon Mein Kaheen
Shaam Hotay Hee “Wasi” Loog Tou Ghar Jaatay Hain____!!
__________________________

Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta

Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Ke Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta

Koi Ik Aadha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawab Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta

unse Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta

Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta

Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ganwaa Ker Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi”jaan”
Wasi Be-Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta?
__________________________

Gul-E-Zuban Pe Wohi Sardiyon Ka Mosam Hai

Gul-e-zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai
Tumhari ‘’han’’pe wohi sardiyon ka mosam hai

Darakhat par jo kabhi choriyon se dala tha
Us ikk nishan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Ye aik hum k nai boliyan sada bolain
Teri zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai

Sulag rahi hain dahan me qabaen lafzon ki
Magar zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai

Tumhare ane pe soraj k hath chamken ge
Mere makan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Har aik simat pigalane lage hain sanate
Tere biyan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Jahan jahan teri khoshboo k rang bikhare hain
Wahan wahan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Teri judai k pal se howa hai ishaq hanok
K iss jahan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Wo ‘’han’’ kare gi baharon me us ka wada tha
Us aik ‘’han’’ pe wohi sardiyon ka mosam hai

Wo mujh ko sonmp gea farqaten decembe ki
Darakhat-e-jaan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Hamare lab to duaen jalae rakhate hain
Par asman pe wohi sardiyon ka mosam hai_______!!
__________________________

Kesa Khaufnaak Sa Manzar Hai Kayi Sadiyon Say

Kesa khaufnaak sa manzar hai keyi sadiyon se
Mera qadmon pe mera sar hai keyi sadiyon se

Khauf rehta hai na sailaab kahin le jaye
Meri palkon pe mera tera ghar hai keyi sadiyon se

Ashk aankhon mein sulagtey huye so jatey hain
Yeh meri aankh jo banjar hai keyi sadiyon se

Kaun kehta hai mulaqat meri aaj ki hai
Tu meri rooh ke andar hai keyi sadiyon se

Mene jis ke liye har kisi ko naraaz kiya
Rooth jaye na yehi dar hai keyi sadiyon se

Uss ko aadat hai jarr’en* kaat’tey rehne ki Wasi
Jo meri zaat ka mehwar* hai keyi sadiyon se____!!
__________________________

Jo Meri Aankhon Say Khawab Dekho

Jo meri ankhon se khawab dekho
To ek bhi shab na so sako ge

Ke Laakh chaho na hans sako ge
Hazar chaho na ro sako ge

Ke Khawab kia hain azaab hain yeh
Mere dukhon ki kitaab hain yeh

Rafaqaten un ki choot-ti hain
Mohabbaten un ki rooth-ti hain

Panapti hain un main wehshaten si
Aziyaten un main phoot-ti hain

Inhi ke sar se khizaan hain jazbay
Inhi se shaakhen se toot-ti hain

Ghamon ki bandish main khawab mere
Dukhon ki barish main khawab mere

Ubal raha hai dukhon ka laawa
Zameen aatish hain khawab mere

Khayal saaray jhulas gaye hain
Sulagti khawahish hain khawab mere

Ukharti saansen hain zindagi ki
Lahu ki saazish hain khawab mere

Jo meri ankhon se khawab dekho
To ik shab bhi na so sako ge___!!
__________________________

Dukh Dard K Maron Say Mera Zikar Na Karna

Dukh dard k maron se mera zikar na karna
Ghar jao to yaron se mera zikar na karna

Wo zabat na kar paen gi ankhon k samandar
Tum raah guzaron se mera zikar na karna

Pholon k nasheman me raha hon me sada se
Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna

Shaid ye andhaire hi mujhe raah dikhaen
Abb chand sitaron se mera zikar na karna

Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain
Afsana nigaron semera zikar na karna

Shaid wo mere haal pe be- sakhata roo dain
Iss bar baharon se mera zikar na karna

Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar
Darya k kinaron se mera zikar na karna

Wo shakhs mile to use har bat batana
Tum sirf isharon se mera zikar na karna_____!!
__________________________

Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kr Lia Us Ne

Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kr Lia Us Ne
Hmaray Baad B Akhir Guzara Kr Lia Us Ne

Hmara Zikr To Us K Labon Par aa Nahin Sakta
Hamen Ehsas Hy Hum Se Kinara Kr Lia Us Ne

Wo Basti Ghair Ki Basti Wo Koocha Ghair Ka Koocha
Suna Hy Ishq B Ab To Dobara Kr Lia Us Ne

Suna Hai Ghair Ki Bahon Ko Wo Apna Ghar Samajhta Hai
Lagta Hai Mera Ye Dukh Gawara Kr Lia Us Ne

Bhula Kr Pyar Ki Qasmen Wo Waday Torh Kr “Wasi”
Kisi Ko Zindagi Se b Pyara Kr Lia Us Ne_________!!!
__________________________

Apni Khaatir Jaagey Ho Soye Ho

Apni khaatir jage ho, soye ho
Apni haatir hanse ho, roye ho
Kis liye, Aaj khoye khoye ho
Tum ne aansuu bohat piye apne
Tum bohat saal reh liye apne
Ab mere, Sirf mere ho ke raho
Tum azal se dikhon ke dairey ho
Chahey khud ko ghamon mein ghairey ho
Jab se paida huye ho mere ho
Aaj kholain ge lab siye apne
Tum bohat saal reh liye apne
Ab mere sirf mere ho ke raho
Ab mujhe apne dard sehne do
Dil ki har baat dil se kehne do
Meri banhon mein khud ko behne do
Mudatt’ton zakham khud siye apne
Tum bohat saal reh liye apne
Ab mere, Sirf mere ho ke raho
Hussan hi hussan ho, Zahanat ho
Aashiq hon mein, Tum to mohabbat ho
Tum meri , Bas meri amanat ho
Ji liye, Jis qadar jiye apne
Tum bohat saal reh liye apne
Ab mere, Sirf mere ho ke raho
Rehte ho ranj-o-gham ke ghairon mein
Dukh ke, asaib ke baseron mein
Kese choroon tumhain andheron mein
Tum ko de doon ga sab diye apne
Tum bohat saal reh liye apne
Ab mere, Sirf mere ho ke raho_____!!
__________________________

Kitni Saada Kitni Pyari

Kitni saada
Kitni pyari
Kaanch ki choorhi jesi larhki
College k kamry mein bethi
Janay kya kuch soch rahi thi
Main bhe Oss k pas hee betha
Oss ko ghoor se dekh raha thaa
Kiya Qissa hai?
Main ne pocha?
Oss ki ankhein bheeg gaein
Dheemi si awaaz mein boli
Dekho?_____?
“Chorhi toot gai”
__________________________

Me Janata Hon K Abb Chaton Par

Me janata hon k abb chaton par
Diye jalane ki rasam baki nahin rahi hai
Magar tumhen meri yaad ae
To yaad rakho
Tum apni ankhon se
Ansaon k chamakate moti na giarane daina
Bus itna karna
K apni chat par
Meri mohabbat ki nazam gaa kar
Meri rafaqat ko yaad kar k
Diya jhalana
Tum apni chat par kisi bhi kone me baith kar
Ikk diya jhalana________!!
__________________________

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain_____!!
__________________________

Abhi Kuch Bhi Nahin Badla

Abhi kuch bhi nahin badla
Darakhton par wohi mausam abi tak muskuratey hain
Abhi tak surmeyi shamain hamarey sath roti hain
Abhi tak mere honton per tumhare honton ki khushbu
Raqss karti hai_______!!
Abhi tak meri ankhon mein tumhare khawb hanstey hain
Abhi tak mere hathon per tumhari ungliyon
Ki narm pooron se likhey sab harf
zinda hain_______!!
Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai,
Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley
Sarey naqsh qayem hain________!!
Abhi almaariyon mein sarey tohfey gungunatey hain
Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se
Tumhari baat kartey hain
Bohat se saal guzrey hain
Bohat se waqt beeta hai
Meri chahat nahin beeti
Meri himmat nahin guzri
Abhi kuch bhi nahin badla
Abhi kuch bhi nahin badla
Agar chaho
Agar samjho
Meri maano
To laut aao__________!!
__________________________

Dukh Dard Mein Hamaisha Nikale Tumhare Khat

Dukh dard me hamaisha nikale tumhare khat
Aur mill gai khoshi ti ochale tumhare khat

Sub choriyan tumhari samandar ko somp din
Aur kar diye hawa k hawale tumhare khat

Mere lahoo me gonj raha hai har ik lafaf
Me ne ragon k dashat me pale tumhare khat

Yon to hain be shumar wafa ki nishaniyan
Lakin har ikk shee se nirale tumhare khat

Jaise ho umer bhar ka asasa ghareb ka
Kuch iss tarah se me ne sambhale tumhare khat

Ahal-e-hunar ko mujh pe WASI ehtaraz hai
Me ne jo apne sher me dhale tumhare khat

Parwa mujhe nahin hai chand ki WASI
Zulmat ki dashat me hain ojhale tumhare khat_______!!
__________________________

Tum Meri Aankh K Tewar  Bhula Na Pao Gey

Tum meri ankh k tewar bhula na paoge
Ankahi bat ko samjhoge to yad aunga

Ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe
Safah-e-zist ko paltoge to yad aunga

Isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
Khat kisi aur ko likhoge to yad aunga

Sard raton k mahkate hue sannaton mein
Jab kisi phul ko chumoge to yad aunga

Ab tere ashk main honthon se chura leta hun
Hath se khud inhen ponchoge to yad aunga

Shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen
Barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga

Aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut
Jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga

Haadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal
Kisi diwar ko thamoge to yad aunga

Is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi
Tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga_______!!
__________________________

Dayar-E-Gair Mein Kaise Tujhe Sada Dete

Dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
Tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

Tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
Dua wo karte k ham asman hila dete

Hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
Unhen ye zid thi k har bar ham sada dete

Wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
K jis ko hal sunate use rula dete

Tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
Jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete

Tumhari yad ne koi jawab hi na diya
Mere khayal k ansu rahe sada dete

Sama'aton ko main ta-umr kosta Syed
Wo kuch na kahte magar honth to hila dete____!!
__________________________

Samandar Main Utarta Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain

Samandar main utarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain
Teri aankhoun ko parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

tTumhaara naam likhney ki ijaazat chin gayi jub say
Koi bhi lafz likhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

Teri yaadoun ki khushboo khirkiyoun main raqs karti hay
Teray gham main sulagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

Main huns k jhail laita hoon judaayi ki sub hee rasmain
Galey jub us k lagta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

Najaaney hogaya hoon isqadar hassaas main kub say
Kisi say baat karta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

Woh sub guzrey huay lamhaat mujh ko yaad aatey hain
Tumhaarey khut jo parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

Main saara din bohat masroof rehta hoon magar joonhi
Qadam chaukhat pay rakhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

Her ik muflis k maathey par alam ki daastaanain hain
Koi chehra bhi parhta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

Barey logoun k oonchey budnuma or sard mehloun ko
Ghareeb aankhoun say takta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

Teray koochey say ab mera talluq waajibi sa hay
Magar jub bhi guzarta hoon tou aankhain bheeg jaati hain

Hazaaroun mausamoun ki hukmraani hay meray dil par
Wasi main jub bhi hunsta hoon tou aankhain bheeg jaati hain___!!
__________________________

Kisi Ki Aankh Say Sapney Chura Kar Kuch Nahin Milta

Kisi Ki aankh se sapney chora kar kuch nahin milta
Manderon se chiraghon ko bhojha kar kuch nahin milta

Hamari soch ki parwaz ko roke nahin koi
Nae aflaq pe pehare bitha kar kuch nahin milata

Koi ikk adha sapana ho to phir acha bhi lagta hai
Hazaro khawab ankhon mein saja kar kuch nahin milta

Sakon un ko nahin milta kabhi pardes ja kar bhi
Jinhen apane watan se dil laga kar kuch nahin milta

Use kehna k palkon per na tanke khawbon ki jhalhar
Samandar k kinare ghar bana ker kuch nahin milta

Yeh acha hai k apas k bharham na tootane payen
Kabhi bhi doston ko azamaa ker kuch nahin milta

Na jane kon se jazabe ki yon taskeen karata hon
Bazahir to tumhare khat jhala kar kuch nahin milta

Faqat tum se hi karata hon me sari raaz ki batain
Har ikk ko dastan-e-dil suna kae kuch nahin milta

Amal ki sokhati raag me zara sa khoon shamil kar
Mare hamdam faqat baten bana kar kuch nahin milta

Use me piar karata hon to mujh ko chain ata hai
Wo kehata hai use mujh ko sata kar kuch nahin milta

Mujhe aksar sitaron se yehi awaaz ati hai
Kisi k hijr me nendein ganwaa ker kuch nahin milta

Jigar ho jaye ga chalani ye ankhein khoon royen gi
WASI be-faiz logon se nibha ker kuch nahi milta_______!!
__________________________

Chahay Tu Kaam Main La, Chaahay Nikama Kar Day

Chahay tu kam main la, Chahay nikama kar day
Main tera hoon, teri marzi mujhay jaysa karday

Main tera bemar hoon azloon say, Na mar jawoon kahieen
Ek nazar dekh lay mujh koo mujhay acha kar day_____!!

Mujh say bas itni he khuwahish meray maleek ke hay
Es k dil ko main Lubha don mujhay aysa karday______!!

Jo tera ho ga zamanay say wo kat jaye ga
Tu to jis shaks ko chahyee tanha kar day

Ayesa noor ayee k dunia mera chehra dekhay___
Tu jo perlkoon ka meray Chehray pay saya kar day_____!!

Wo khuda tujh say faqeeroon ke tu sun layta hay
Us say kehna k mujhay ishq main Ruswa karday_____!!

Mujh ko deta hay wo ezat, yeh karam hay uska
Teray bas main ho agar tu mujhay Ruswa karday_______!!
__________________________

Apna To Chahton Mein Yehi Ik Asool Hai

Apna to chahton mein yehi ik asool hai
Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai

Yeh umar bhar ka jaagna bekaar hi na jaye
Tu naa mila to saari reyaazat fazool hai

Khud hi kaha tha tu ne meri jaan chorr de
Ab chorr di to kyon tera chehra malool hai

Aye Maan yeh meri shohrtain meri yeh iztain
Kuch bhi nahin bass tere kadmon ki dhool hai

Aayi jo teri yaad to aankhain barass parri
Iss waqt tere dard ka dil per nazool hai

Ik doosrey ke waastey dono baney Wasi
Guldaan mera dil hai teri yaad phool hai_____!!
__________________________

Mohabbat Farz Jaisi Hai

Mohabbat Farz Jaisi Hai
Nibhaana Seekh Jaoge

Dilo Pe Qarz Jaisi Hai
Chukaana Seekh Jaoge

Labo Pe Phool Jaisi Hai
Khilaana Seekh Jaoge

Nazar Mein Aag Jaisi Hai
Lagaana Seekh Jaoge

Tum Tak Faasla Jo Hai
Mitaana Seekh Jaoge

Kabhi Jo Dil Mein Aa Beithe
Zamaana Bhool Jaoge_______!!
__________________________

Ajj Wo Mudat Bad Aii Thi

Ajj wo modat bad aii thi
Buss ye kehne
Janna________!!
Mere sare khat lota do
Sab tasveren kalam kitaben
Wapis kar do sare tohfe
Mujh se sub kuch mangane wali
Jate jate
Mere kamare ki chokhat par
Chor gai hai
”APANA APP”

Read More..

0 comments:

Post a Comment