Sochuun Tou Wo Saath Chal Raha Hai
Sochuun Tou Wo Saath Chal Raha Hai
Dekhuun Tou Nazar Badal Raha Hai
Kiun Baat Zabaan Se Keh Ke Khoyi ?
Dil Aaj Bhee Haath Mal Raha Hai
Raaton Ke Safar Mein Wehem Sa Tha
Ye Mein Hun Ke Chaand Chal Raha Hai ?
Hum Bhee Tere Baad Jee Rahain Hain
Aur TU Bhee Kaheen Behel Raha Hai
Samjha Ke Abhee Gayi Hain Sakhiaan
Aur Dil Hai Ke Phir Machal Raha Hai
Hum Hee Buray Ho Gaye —- Ke Tera
Mayaar-e-Wafaa Badal Raha Hai_____!!
_______________________________
Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai
Teri khushbu ka pata karti hai
Mujh pe ehsan hawa karti hai
Shab ki tanhai main ab to aksar
Guftagu tujh se raha karti hai
Dil ko us rah pe chalna hi nahin
Jo mujhe tujh se juda karti hai
Zindagi meri thi lekin ab to
Tere kahne main raha karti hai
Us ne dekha hi nahin warna ye ankh
Dil ka ehwal kaha karti hai
Beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
Teit par nam likha karti hai_______!!
_______________________________
Hawaa Se Jung Mein Hun, Be-Amaan Hun
Hawaa Se Jung Mein Hun, Be-Amaa.n Hun
Shikasta Kashtiyon Per Baadbaa.n Hun
Mein Sooraj Ki Tarah Hun Dhoop Orrhay
Aur Apne Aap Per Khud Saayebaa.n Hun
Mujhe Baarish Ki Chaahat Ne Dubooya
Mein Pukhta Sheher Ka Kacha Makaa.n Hun
Khud Apni Chaal Ulti Chalna Chaahun
Mein Apne Vaastay Khud Aasmaa.n Hun
Duaaein De Rahi Hun Dushmanon Ko
Ik Hamdard Per Na-Meherbaa.n Hun
Parindon Ko Dua Sikhla Rahi Hun
Mein Basti Chhorr, Jangal Ki Azaa.n Hun
Abhi Tasveer Meri Kia Banay Gi ?
Abhi Tou Canvas Per Ik Nishaan Hun____!!
_______________________________
Kyun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi
Kyun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi
Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi
Na_Jane Kiun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par
Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi
Kashish To Bohat Thi Mere Pyaar Main
Magar Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi
Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Ga
Par Suna Hai Wo Marne Se Pehle Kisi Se Milta Nahi____!!
_______________________________
Usi Din Ghar Nahi Aata Ke Jab Aane Ko Kehta Hai
Usi Din Ghar Nahi Aata Ke Jab Aane Ko Kehta Hai
Magar Kya Roothna Usse Wo Apni Dhun Mein Rehta Hai
Madaarat-E-Alam Mein Wo Nahi Shirkat Ka Kaail
Na Apne Dukh Batata Hai Na Mere Ranj Sehta Hai
Lab-E-Khamoosh, Chashm-E-Khushk Kya Samjhayenge Tujhko
Jo Barish Dil Mein Hoti Hai Jo Dariya Dil Mein Behta Hai
Mujhe Tujhse Juda Rakhta Hai Aur Dukh Tak Nahi Hota
Mere Andar Tere Jaisa Ye Aakhir Kaun Rehta Ha___!!
Khayal-E-Yaar Abhi Roshan, Abhi Nazron Se Ojhal Hai
Abhi Ye Raishmee.n Dariya Pahadon Mein Hi Behta Hai____!!
_______________________________
Dard Kia Hota Hai Batayein Gay Kisi Roz
Dard Kia Hota Hai Batayein Gay Kisi Roz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunayein Gay Kisi Roz
Thi Un Ki Zid K Main Jaaoun Un Ko Manane
Mujh Ko Ye Veham Tha Wo Bulayein Gay Kisi Roz
Kabi B Maine To Socha B Nahi Tha
Wo Itna Mere Dil Ko Dukhayein Gay Kisi Roz
Har Roz Sheshay Se Yehi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pe Tabassum Sajayein Gay Kisi Roz
Urney Do In Parindon Ko Azaad Fizaon Mein
Tumhare Hon Agar To Lout Aayein Gay Kisi Roz
Apne Sitam Ko Dekh Lena Khud Hi Saqi Tum
Zakhum-E-Jigar Tumko Dekhein Gay Kisi Roz____!!
_______________________________
Tamaam Raat Merey Ghar Ka Aik Dar Khula Raha
Tamaam raat mere ghar ka aik dar khula raha
Main raah dekhti rahi, woh rasta badal geya
Woh sheher hai ke jadugarniyon ka koi des
Wahan to jo geya kabhi laut kar na aasaka
Main wajah-e-tark-e-dosti ko sun ke muskurayi to
Woh chaunk utha, ajab nazar se mujh ko dekhne laga
Bichar ke mujh se, halaq ko aziz ho geya hai tu
Mujhe to jo koi mila, tujhi ko puchta raha
Woh dilnawaaz lamhe bhi gayi ruton mein aye jab
Main khawb dekhti rahi, woh mujh ko dekhta raha
Woh jis ki ek pal ki be’rukhi bhi dil ko haar thi
Usey khud apne hath se likha hai, mujhe bhool ja
Damak raha hai aik chaand se jabee’n pe ab talak
Gurez’paa mohabton ka koi pal theher geya___!!
_______________________________
Gham-E-Dauran Ney Bhi Seekhey Gham-E-Jaana K Chalan
Gham-e-dauran’ ne bhi seekhey Gham-e-jaana k chalan
Wohi sochi hui chalein’ wohi besaKhtapan
Wohi iqrar mein inkaar k lakhon’ pehlu
Wohi hon’ton’ pe tabassum wohi abaru pe shikan
Kis ko dekhaa hai k pindaar-e-nazar ke baavasaf
Ek lamhe ke liye ruk gai dil ki dharkan
Kaun si fasl mein is baar mile hein tujh se
Ham ko parvaah-e-gireban’ hey na fikr-e-daman
Ab to chubhati hai hava barf ke maidaano ki
Un dino jism ke ehasas se jalata tha badan___!!
_______________________________
Sheher Ko Teri Justaju Hai Bohat
Sheher ko teri justaju hai bohat
In dinon hum pe guftagu hai bohat
Jab se parvaaz ke shareek miley
Ghar bananey ki aarzoo hai bohat
Dard reh reh ke sar uthaata hai
Kabhi kam ho gaya, Kabhi hai bohat
Kuch tou woh yaad bhi bohat aya
Kuch in ankhon mein bhi lahu hai bohat
Peeney wali aankh hai darkaar
Aankh ko chaand ka sabuu hai bohat____!!
_______________________________
Woh Jab Say Sheher-E-Harabaat Ko Rawaana Hua
Woh jab se sheher-e-harabaat ko rawaana hua
Barahe’raast mulaqaat ko zamana hua
Woh sheher chorr ke jaana to kab ka chahta tha
Yeh naukri ka bulawaa to ik bahaana hua
Khudaa kare teri ankhain hamesha hansti rahain
Yeh aankhain jin ko kabhi dukha ka hausla na hua
Kinaar-e-sehen chaman sabz bail ke nechey
Woh roz subah ka milna to ab fasaana hua
Main sochti hoon ke mujh mein kami thi kis shayy ki
Ke sab ka ho ke raha woh, bas ik mera na hua_____!!
Kisey bulati hain aangan ki champayi shaakhain
Ke woh ab apne naye ghar mein bhi purana hua
Dhanak ke rang main saari to rang li hain mene
Aur ab yeh dukh, ke pehen kar kise dikhana hua
Main apne kaano’n main bele ke phool kyon na pehnoon
Zabaan-e-rang se kiss ko mujhe bulana hua_______!!
_______________________________
Dasht-O-Darya Se Guzarna Ho Ke Ghar Mein Rehna
Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke Ghar Mein Rehna
Ab Tou Har Haal Mein Hai Ham Ko Safar Mein Rehna
Dil Ko Har Pal Kisi Jaadu Ke Asar Mein Rehna
Khud Se Niklay Tou Kisi Aur Ke Dar Mein Rehna
Sheher-e-Gham ! Dekh, Teri Aab-o-Hawaa Khushk Na Ho
Raas Aata Hai Ose Deeda-e-Tar Mein Rehna
Faislay Saaray Osi Ke Hain Hamaari Baabat
Ikhtiyaar Apna Bas Itna Ke Khabar Mein Rehna
Tootna Yun Tou Muqaddar Hai Magar Kuch Lamhay
Phool Ki Tarah Mayassar Ho Shajar Mein Rehna
Taayir-e-Jaan Ke Guzarnay Se Badaa Saaneha Hai
Shoq-e-Parwaaz Ka Tootay Howay Par Mein Rehna_____!!
_______________________________
Bajaa Ke Aankh Mein Neendon Ke Silsilay Bhee Nahe
Bajaa Ke Aankh Mein Neendon Ke Silsilay Bhee Nahee
Shikast-e-Khwaab Ke Ab Mujh Mein Honslay Bhee Nahee
Nahee Nahee ! Ye Khabar Dushmanon Ne Di Hogi
Wo Aaye, Aa Ke Chalay Bhee Gaye ! Milay Bhee Nahee
Ye Kon Loog Andheron Ki Baat Kartay Hain ?
Abhee Tou Chaand Teri Yaad Ke Dhalay Bhee Nahee
Abhee Se Mere Raffugar Ke Haath Thaknay Lagay
Abhee Tou Chaak Mere Zakham Ke Silay Bhee Nahee
Khafaa Agarche Hamesha Howay Magar Ab Ke
Wo Barhami Hai Ke Hum Se Unhain Gilay Bhee Nahee_____!!
_______________________________
Gawahi Kaisay Toot’ti, Muamla Khuda Ka Tha
Gawahi Kaisay Toot’ti, Muamla Khuda Ka Tha
Mera Aur Uska Rabta To Haath Aur Dua Ka Tha
Gulab Qaimat-E-Shaguft, Shaam Tak Chuka Sakay
Ada Wo Dhoop Ko Hua, Jo Qarz Bhi Saba Ka Tha
Bikhar Gaya Hai Phool To Hum Hee Se Pooch Guchh Hui
Hisaab Baghbaan Se Hai Kia Dharaa Hawa Ka Tha
Lahoo Chashida Hath Us Ne Choom Ker Dikha Dia
Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha_____!!
Jo Barishon Se Kabal Apna Rizq Ghar Mein Bhar Chuka
Woh Sheher e Moor Se Na Tha Door Bais Balaa Ka Tha____!!
_______________________________
Aqs Khushbu Hun, Bikharnay Se Na Rokay Koi
Aqs Khushbu Hun, Bikharnay Se Na Rokay Koi
Aur Bikhar Jaon Tou Mujhko Na Samaitay Koi
Kaanp Uthti Hun Mein Ye Soch Ke Tanhaayi Mein
Mere Chehray Pe Tera Naam Na Parh Le Koi
Jis Tarah Khwaab Mere Hogaye Raiza Raiza
Is Tarah Se Na Kabhi Toot Ke Bikhray Koi
Mein Tou Is Din Se Hiraasaan Hun Ke Jab Hukm Milay
Khushk Phoolon Ko Kitaabon Mein Na Rakhay Koi
Ab Tou Os Raah Se Wo Shaks Guzarta Bhee Nahee
Ab Kis Umeed Pe Darwaazay Se Jhaankay Koi?
Koi Aahat, Koi Aawaaz, Koi Chaap Nahee
Dil Ki Galyaan Badi Sunsaan Hain, Aaye Koi_______!!
_______________________________
Charaagh-e-Raah Bujha Kia, Ke Rehnumaa Bhi Gaya
Charaagh-e-Raah Bujha Kia, Ke Rehnumaa Bhi Gaya
Hawa Ke Saath Musaafir Ka Naqsh-e-Paa Bhee Gaya
Mein Phool Chunti Rahee Aur Mujhe Khabar Na Howi
Wo Shakhs Aa Ke Mere Sheher Se Chala Bhee Gaya
Bohat Azeez Sahee Osko Meri Dildaari
Magar Ye Hai Ke Kubhi Dil Mera Dukha Bhee Gaya
Ab Un Dareechon Pe Gehray Dabaiz Parday Hain
Wo Taank Jhaank Ka Masoom Silsila Bhee Gaya
Sab Aaye Meri Ayaadat Ko, Wo Bhee Aaya Tha
Jo Sab Gaye Tou Mera Dard Aashna Bhee Gaya
Ye Ghurbatain Meri Aankhon Mein Kaisi Utri Hain ?
Ke Khwaab Bhee Mere Rukhsat Hain, Ratjaga Bhee Gaya_____!!
_______________________________
Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai
Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai ?
Kuch Din Se Yeh Aankh Nam Bohat Hai
Mil Leta Hai Guftugu Ki Had Tak
Itna Hee Tera Karam Bohat Hai
Ghar Aap Hi Jagmaga Uthe Ga
Dehleez Pe Ik Qadam Bohat Hai
Mil Jaye Agar Teri Rafaqat
Mujh Ko Tou Yehi Janam Bohat Hai
Kya Shab Se Humein Sawaal Karna ?
Hona Tera Subha Dam Bohat Hai
Kyon Bujhne Lage Chiraagh Mere ?
Ab Ke To Hawa Bhi Kam Bohat Hai
Chup Kyon Tujhe Lag Gayi Hai Parveen ?
Sunte They Ke Tujh Mein Ram Bohat Hai_____!!
_______________________________
Aqs-E-Gul Ter Jala Howa Thaa
Aqs-e-Gul Ter Jala Howa Thaa
Khwaabon Ka Nagar Jala Howa Tha
Ya Dast-e-Dua Na Uth Saka Tha
Ya Os Ka Asar Jalaa Howa Tha
Har Ghar Tha Luta Howa Kayi Baar
Aur Baar-e-Gard Jalaa Howa Tha
Ya Noch Lye Gaye Thay Pattay
Ya Saara Shajar Jalaa Howa Tha
Aankhon Ki Jaga Pe Aablay Thay
Aur Taar-e-Nazar Jalaa Howa Tha
Malba Tha Tamaam, Sheher-e-Khobi
Aur Ho Ke Khandar Jalaa Howa Tha
Teh-Khaana Jaan Mein Tujh Ko Rakhti
Laikin Mera Ghar Jalaa Howa Tha
Kuch Dair Ka Sokhta Na Tha Sheher
Ye Aath Peher Jala Howa Tha
Parwaaz Ka Itna Dar Qafas Mein
Tota Howa Par Jalaa Howa Tha
Manzil Thi Ghubaar-e-Raah Mein Guum
Aur Rakht-e-Safar Jalaa Howa Tha_______!!
_______________________________
Khiyaal-O-Khawab Howa Barg-O-Baar Ka Mosam
Khiyaal-o-Khawab Howa Barg-o-Baar Ka Mosam
Bechar Giya Teri Soorat, Bahaar Ka Mosam
Kai Rotun Se Mere Neem Waa Dareechon Mein
Ther Giya Hai Tere Intezaar Ka Mosam
Woh Narm Lehje Mein Kuch To kahe K Laot Aaye
Samaa`aton Ki Zameen Par Bahaar Ka Mosam
Payaam Aaya Hai Pher Ek Saro Qamat ka
Mere Wajood Ko Khenche Hai Daar ka Mosam
Woh Aag Hai K Meri Poor Poore Jalti Hai
Mere Badan Ko Mila Hai Chanaar Ka Mosam
Rafaqaton Kay Nai Khawab Khushnuma Hain Magar
Guzar Chuka Hai Tere Etbaar Ka Mosam
Hawaa Chali To nai Baarishen Bhi Saath Aaien
Zameen Kay Chehre Pe Aaya Hai Nikhaar Ka Mosam
Woh Mera Naam Liye Jaaye Aur Main Us Ka Naam
Lahu Mein Goojh Raha Hai Pukaar Ka Mosam
Qadam Rakhe Meri Khusbu K Ghar Ko Laota Aaye
Koi Bataaye Mujhe Kowe Yaar Ka Mosam
Woh Roz Aake Mujeh Apna Piyaar Pehnaye
Nera Garoor Hai Bele Kay Haar Ka Mosam
Tere Tareeq-e-Muhabbat Pe Baar Haa Socha
Yeh Jabar Tha Kay Tere Ikhtiyaar Ka Mosam_____!!
Read More..
0 comments:
Post a Comment