Pages

Thursday 6 February 2014

Parveen Shakir Poetry




















Yeh Chaand Aur Yeh Abar-e-Rawaan Guzarta Rahe

Yeh Chaand Aur Yeh Abar-e-Rawaan Guzarta Rahe
Jamaal-e-Shaam Teh-e-Asmaan Guzarta Rahe

Bhara Rahe Teri Khushbu Se Tera Sehn-e-Chaman
Bas Ek Mosam-e-Ambar Fishaan Guzarta Rahe

Sama`aten Tere Lehje Se Phool Chunti Rahein
Dilon K Saaz Pe Tu Naghma Khawaan Guzarta Rahe

Khuda Kare Teri Aankhen Humesha Hansti Rahen
Diyaar-e-Waqt Se Tu Shaadmaan Guzarta Rahe

Main Tujh Ko Dekh Na Paaon To Kuch Malaal Nahi
Kaheen Bhi Ho Tu, Sitara Nishaan Guzarta Rahe

Main Maangti Hoon Teri ZIndgi Qiyamat Tak
Hawaa Ki Tarah Se Tu Jawedaan Guzarta Rahe

Mera Sitara Kaheen Toot Kar Bekhar Jaaye
Falaik Se Tera Khat-e-Kehkashaan Guzarta Rahe

Main Teri CHaaon Mein Kuch Dair Bayth Loon Aur Pher
Tamaam Raasta Be Saaiebaan Guzarta Rahe

Yeh Aag Mujh Ko Humesha Kiye Rahe Roshan
Mere Wajood Se Tu Shola Saan Guzarta Rahe

Main Tujh Ko Dekh Sakoon Aakhri Basarat Tak
Nazar Kay Saamne Bass Ek Samaan Guzarta Rahe

Humaara Naam Kaheen To Likha Howa Hoga
Mah-o-Najoom Se Yeh Khakdaan Guzarta Rahe

Main Tera Saath na De Paaon Pher Bhi Tera Safar
Gulaab-o-Khawab Kay Hi Darmiyaan Guzarta Rahe

Main Tere Seene Pe Sarr Rakh Kar Waqt Bhool Gai
Khiyaal-e-Tezi Umar-e-Rawaan Guzarta Rahe________!!
___________________________

Jab Aankh Mein Shaam Utrey

Jab aankh mein shaam utre
Palkon pe shafaq phooley

Kajal ki tarah meri
Ankh ko dhank choo’ley

Us waqat koi us ko
Aankh se meri dekhe

Palkon se meri choomey__!!
___________________________

Qismat Se Bhi Kuch Siwaa Dia Hai 

Qismat Se Bhi Kuch Siwaa Dia Hai
Baarish Ne Hamain Mila Dia Hai

Dekhi Hai Meri Udaasi Os Ne
Aur Dekh Ke Muskura Diya Hai

Ab Tou Mujhe Sabar Aa Gaya Tha
Ye Kis Ne Mujhe Rula Dia Hai ?

Wo Chaahay Tou Raasta Badal Le
Mein Ne Tou Dia Jala Dia Hai

Os Ronaq-e-Bazm Ne Tou Meri
Tanhaayi Ko Sajaa Dia Hai

Wo Pal Ke Sulagh Uthaa Hai Malboos
Aur Os Ne Diya Bujhaa Dia Hai_______!!
___________________________

Rasta Hi Naya Hai Na Main Anjaan Bohat Hoon

Rasta hi neya hai, na main anjaan bohat hoon
Phir kuye’malaamat mein hoon, nadaan bohat hoon

Ik umar jisey khawab ki manind hi dekha
Chooney ko mila hai to pareshaan bohat hoon

Mujh mein kabhi aahat ki tarah se koi aye
Ik band gali ki tarah sunsaan bohat hoon

Uljhen ke keyi baar abhi lafz se mafhoom
Saada hai bohat woh, na main asaan bohat hoon____!!
___________________________

Chaara Saazon Ki Azyat Nahi Dekhi Jaati

Chaara Saazon Ki Azyat Nahi Dekhi Jaati
Tere Bimaar Ki Haalat Nahi Dekhi Jaati

Dene Waalay Ki Mashiyyat Pe Hai Sab Kuch Mauqoof
Maangnay Waalay Ki Haajat Nahi Dekhi Jaati

Din Behel Jaata Hai Laikin Tere Dewaanon Ki
Shaam Hoti Hai Tou Wehshat Nahi Dekhi Jaati

Tamkanat Se Tujhay Rukhsat Tou Kia Hai Laikin
Ham Se In Aankhon Ki Hasrat Nahi Dekhi Jaati

Kon Utraa Hai Ye Aafaaq Ki Pehnaayi Mein ?
Aaina Khaanay Ki Hairat Nahi Dekhi Jaati_____!!
___________________________

Kaisay Chhorain Ose Tanhayi Per

Kaisay Chhorain Ose Tanhayi Per
Harf Aata Hai Maseehayi Per

Oski Shohrat Bhee Tou Phaili Har Suu
Pyaar Aanay Laga Sodaayi Per

Theherti Hee Nahin Aankhain Jaanan !
Teri Tasweer Ki Zebaayi Per

Rashk Aaya Hai Bohat Husn Ko Bhee
Qaamat-e-Ishq Ki Ra’naayi Per

Sataah Se Dekh Ke Andaazay Lagain
Aankh Jaati Hee Nahi Gehraayi Per

Zikar Aaye Ga Jahan Bhanwaron Ka
Baat Ho Gi Meri Harjaayi Ki

Khud Ko Khushbuu Ke Hawaalay Kar Dain
Phool Ki Tarz-e-Paziraayi Per________!!
___________________________

Apni He Sadaa Sunuun Kahan Tak 

Apni hee sadaa sunuun kahan tak ???
Jungul ki hawa rahuun kahan tak ???

Har baar hawa na hogi dar per
Har baar magar uthuun kahan tak ???

Dum ghut’ta hai ghar mein hubs wo hai
Khushbo ke lye apna raffuu karuun kahan tak ???

Saahil pe samandaron se bach kar
Mein naam tera likhoon kahan tak ???

Tanhaayi ka ek ek lamha
Hungaamon se qarz loon kahan tak ???

Gar lams nahee tou lafz hee bhej
Mein tujh se juda rahuun kahan tak ???

Sukh se bhee tou dosti kubhi ho
Dukh se hee galay miluun kahan tak ???

Mansoob ho har kiran ksi se
Apnay hee lye jaluun kahan tak ???

Aanchal mere bhar ke phat rahay hain
Phool us ke lye chunuun kahan tak ???
___________________________

Ajab Makan Hai K Jis Mein Makeen Nahe Aata

Ajab Makaan Hai Ke Jis Mein Makeenn Nahee Aata
Hudood-e-Sheher Mein Kia Dil Kaheen Nahee Aata

Mein Jis Ke Ishq Mein Ghar Baar Chorr Baithi Thi
Yehi Wo Shaks Hai Mujhko Yaqeen Nahee Aata

Maza Hee Shair Sunaanay Ka Kuch Nahi Jub Tak
Qaseedah-Go Yun Mein Wo Nukta Cheen Nahee Aata

FIshaar Jaa.n Ke Bohat Hain Agar Nazar Aayein
Har Ik Zalzala Zair-e-Zameen Nahee Aaata______!!
___________________________

Ab Kaisi Pardah-Daari  Khabar Aam Ho Chuki

Ab Kaisi Pardah-Daari , Khabar Aam Ho Chuki
Maa Ki Rida Tou, Din Howe, Neelaam Ho Chuki

Ab Aasmaa.n Se Chadar-e Shab Aaye Bhi Tou Kiya
Be-Chadari Zameen Pe iLzaam Ho Chuki

Ujrey Howe Diyaar Pe Phir Kiun Nigah Hai
Is Kasht Per Tou Barish-e-Ikraam Ho Chuki

Sooraj Bhi Os Ko Dhoond Ke Wapas Chala Gaya
Ab Ham Bhi Ghar Ko Lout Chalain Shaam Ho Chuki

Shimley Sambhaaltey Hee Rahay Maslehat Pasand
Hona Tha Jis Ko Pyaar Main Bad-Naam Ho Chuki

Aankhain Hain Aur Subha Talak Tera Intezaar
Mishal Bad’dast Raat Terey Naam Ho Chuki

Koh-e-Nida Se Bhi Sukhan Utrey Agar, Tou Kiya
Na-Sameoo.n Main Hurmat-e-iLhaam Ho Chuki____!!
___________________________

Ik Shaks Ko Soochnay Lagi Mein

Ik Shaks Ko Soochnay Lagi Mein
Phir Aaina Dekhne Lagi Mein

Oski Tarah Apna Naam Le Kar
Khud Ko Bhee Lagi Nayi Nayi Mein

TU Mere Bagair Na Reh Sakaa Tou
Kub Tere Bagair Jee Saki Mein ???

Aati Rahay Ab Kaheen Se Aawaaz
Ab Tou Tere Paas Aagayi Mein

Daaman Tha Tera Ke Mera Maatha ?
Jo Daagh Bhee Thay Mita CHuki Mein______!!
___________________________

Rung Khushbu Mein Agar Hal Ho Jaye

Rung, Khushbuu Mein Agar Hal Ho Jaye
Vasl Ka Khwaab Mukammal Ho Jaye

Chaand Ka Chooma Howa Surkh Gulaab
Teetri Dekhay Tou Paagal Ho Jaye

Mein Andheron Ko Ujaalon Aisay
Teergi Aankh Ka Kaajal Ho Jaye

Doush Per Baarishain Le Ke Ghoomain
Mein Hawa Aur Wo Baadal Ho Jaye

Narm Sabzay Per Zara Jhuk Ke Chalay
Shabnami Raat Ka Aanchal Ho Jaye

Umer Bhar Thaamay Rahay Khushbuu Ko
Phool Ka Haath Magar Shal Ho Jaye

Chirrya Pat’ton Mein Simat Kar Soye
Pairr Yun Phailay Ke Jangal Ho Jaye_____!!
___________________________

Hawa K Hotey Huye Roshni To Kar Jaye

Hawaa ke hote huye roshni tu kar jaye
Meri tarah se koi zindagi tu kar jaye

Tamaam umar tayeb mein hi basar hogi
Teri taraf se nazar be-rukhi to kar jaye

Chiragh-e-dil teh mehraab jaan na chore
Hawaa ke sath koi dushmani to kar jaye

Phir is ke baad jahan mein kahin panaah nahin
Tere huzoor yeh jaan sarkashi tou kar jaye

Woh dushmani ke bhi kaabil na mujh ko chore ga
Us aadmi se yeh dil dosti tou ka jaye______!!



0 comments:

Post a Comment