Pages

Thursday, 6 February 2014

Nice Poetry Of Parveen Shakir














Bhulanay Say Jo Bhoolay Na Wo Kahani Chor Jaon Gi

Bhulanay se jo bhuly na wo kahani chor jaoungi
Teri ankhoon me pani ki aisy nami chor jaoungi

Lipat kar dair tak dar-o-dewar roye gy
Main aisi sog me lipti jwani chor jaoungi

Mitao gy kahan thak tum meri batan meri yadan
Main har ik mor per apni nishani chor jaoungi

Mera ya lafz mujha mar kay bhi marna nahi dain gay
Main chup ho kay bhi lehje ki rawani chor jaoun gi

Kuch is tarhan se niklon gi is dunya ko thukra kar
Main dushman kay bhi chehry par herani chor jaoungi____!!
_______________________________

Ajab Makaan Hai Ke Jis Mein Makeen Nahee Aata

Ajab Makaa.n Hai Ke Jis Mein Makee.n Nahee Aata
Hudood-e-Sheher Mein Kia Dil Kaheen Nahee Aata

Mein Jis Ke Ishq Mein Ghar Baar Chodh Baithi Thi
Yehi Wo Shaks Hai Mujhko Yaqeen Nahee Aata

Maza Hee Shair Sunaanay Ka Kuch Nahi Jub Tak
Qaseedah-Go Yun Mein Wo Nukta Chee.n Nahee Aata

FIshaar Jaa.n Ke Bohat Hain Agar Nazar Aayein
Har Ik Zalzala Zair-e-Zameen Nahee Aaata

Bharam Hai Mehr-o- Maa-o-Najam Ka Bhi Bas Jab Tak
Muqaabil In Ke Wo Roshan Jabee.n Nahee Aata_______!!
_______________________________

Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k Logon Nay

Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k Logon Nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena

Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena

Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to katra k nikal jana

Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay____!!
_______________________________

Chaand Meri Tarah Pighalta Raha

Chaand Meri Tarah Pighalta Raha
Neend Mein Saari Raat Chalta Raha

Jaanay Kis Dukh Se Dil Girifta Tha
Mun Pe Baadal Ki Raakh Malta Raha

Mein Tou Paaon Ke Kaantay Chunti Rahi
Aur Wo Raasta Badalta Raha

Raat Galyon Mein Jub Bhatakti Thi
Koi Tou Tha Jo Saath Chalta Raha

Sard Rut Mein, Musaafiron Ke Lye
Payrr, Ban Kar Alaao, Jalta Raha

Mausami Bel Thi Mein Sookh Gayi
Wo Tanaawar Darakht, Phalta Raha

Dil, Mere Tan Ka Phool Sa Bacha
Patharon Ke Nagar Mein Palta Raha

Neend Hee Neend Mein Khilonay Lye
Khwaab Hee Khwaab Mein Behelta Raha________!!
_______________________________

Gair To Kiya Apne Liye Bhi Bekar Howe Hum

Gair To Kiya Apne Liye Bhi Bekar Howe Hum
Ek Khaar K Liye Bhi Boht Khawaar Howe Hum

Jab Weeran Sabza Zaar Men Ek Phool Aagiya
To kehne Lage Sabhi Raqeeb Khazaan Daar Howe Hum

Yeh Shekwe Shekayten Nahi Ahwaal Hai Mera
Ab Anjaan Hain Jin K Liye Dildaar Howe Hum

Afsos k is Ne Wafa Ka Paas Na Rakha
Jis K Liye Khud Se Bhi Gaddaar Howe Hum____!!
_______________________________

Justajuu Khoye Howon Ki Umar Bhar Kartay Rahay

Justajuu Khoye Howon Ki Umar Bhar Kartay Rahay
Chaand Kay Hamrah Hum Har Shab Safar Kartay Rahay

Raaston Ka iLm Tha Na Ham Ko Simton Ki Khabar
Sheher-e-Na-Maaloom Ki Chaahat Magar Kartay Rahay

Ham Ne Khud Se Bhee Chhupaya Hai Aur Saaray Sheher Ko
Tere Jaanay Ki Khabar Deewaar-o-Dar Kartay Rahay

Wo Na Aaye Ga Hamain Maaloom Tha, Os Shaam Bhi
Intezaar Os Ka Magar Kuch Soch Kar Kartay Rahay

Aaj Aaya Hai Hamain Bhee Un Uraanon Ka Khayaal
Jin Ko Tere Zaim Mein, Be-Baal-o-Par Kartay Rahay_____!!
_______________________________

Kal Halki Halki Barish Thi

Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha
Kal phool bhi nikhray nikhray the
Kal un main app ka aqs bhi tha
kal badal gehray kaale the
Kal chand pe laakhon pehre the____!!
Kuch tukry app ki yaadon ke
Bari dair se dil main thehre the
Kal yaadien uljhi uljhi thien
Aur kal tak yeh na suljhi thien
Kal yaad buhat tum aye the____!!
Kal yaad buhat tum aye the____!!
_______________________________

Kamaal-E-Zabt Ko Khud Bhi To Aazamaungi

Kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamauNgii
Main apane haath se us kii dulhan sajauNgii

Supurd kar ke use chaaNdanii ke haathon
Main apane ghar ke aNdheron ko lauT auNgii

Badan ke karb ko vo bhii samajh na payega
Main dil men rouuNgii aaNkhon men muskurauNgii

Wo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye
Main kis se ruuTh sakuuNgii kise manauNgii

Wo ik rishtaa-e-benaam bhii nahiin lekin
Main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukauNgii

Bichhaa diyaa thaa gulaabon ke saath apanaa vajuud
Wo so ke uThe to Khvaabon kii raakh uThauNgii

Ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa
Main kis kii nazm akele men gun_gunauNgii

Javaz DhuuNDh rahaa thaa nayii muhabbat kaa
vo kah rahaa thaa ke main us ko bhuul jauNgii_____!!
_______________________________

Theher Jaye, Magar Raat Katay

Theher Jaye, Magar Raat Katay
Koi Soorat Ho Ke Barsaat Katay

Khushbuuain Mujhko Qalam Karti Gayin
Shaakh Dar Shaakh Mere Haath Katay

Mouj-e-Gul Hai Ke Talwaar Koi
Darmiaan Se Hee Manajaat Katay

Harf Kiun Apne Ganwayein Jaa Kar
Baat Se Phele Jahan Baat Katay

Chaand ! Aa Mil Ke Manayein Ye Shab
Aaj Ki Raat Tere Saath Katay

Pooray Insaanon Mein Ghus Aayein Hain
Sar Katay, Jism Katay, Zaat Katay________!!
_______________________________

Suna Hai Janglon Ka Bhi Koi Dastoor Hota Hai

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai
Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye
To wo hamla nahin kerta
Suna hai jab kisi nadi k paani mainBue k ghonsle ka gandami saaya larazta hai
To nadi ki ro pehli machhilyaan us ko
Parosi maan leti hain
Hava k taiz jhonke jab darakhton ko hilaate hain
To Meena apne ghar ko bhool ker
Ka?uve k andon ko paron main thaam leti hai
Suna hai Ghonsle se jab koi bacha gire to
Saara jangle jaag jaata hai
Naddi main baar aa jaaye
Koi Pull toot jaaye
To kisi lakri k takhte per
Gulahri, Saanp, Cheeta aur Bakri
Saath hote hain
Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai
Khuda-wanda Jaleel-o Mu?atbar, Daana-o Beena Munsif-o Akber
HUMARE SHAHAR MAIN AB
JANGLON KA HI KOI DASTOOR NAAFIZ KER________!!
_______________________________

Taar-E-Mazgaan Nahee Mil Raha Tha

Taar-e-Mazgaan Nahee Mil Raha Tha
Zakham Kis Yaad Ka Sil Raha Tha

Barf Mein Roshni Ghul Rahee Thi
Wo Mujhe Khwaab Mein Mil Raha Tha

Kuch Ajab Roshni Baagh Mein Thi
Phool Kis Rung Ka Khil Raha Tha

Saamnay Tha Wo Aur Dono Chup Thay
Ab Na Ham Thay Na Wo Dil Raha Tha

Rung-o-Rogan Ki Baatain Mehel Mein
Sheher Bunyaad Se Hil Raha Tha______!!
_______________________________

Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai

Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai
Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai

Mein Os Ke Khayaal Se Gurezaan
Wo Meri Sadaa Jhatak Raha Hai

Tehreer Osi Ki Hai, Magar Dil
Khat Parhtay Howay Atak Raha Hai

Hain Phone Pe Kis Ke Saath Baatain
Aur Zehen Kahan Bhatak Raha Hai

Sadyon Se Safar Mein Hai Samandar
Saahil Pe Thakan Tapak Raha Hai

Ek Chaand Salaib-e-Shaakh-e-Gul Per
Baali Ki Tarah Latak Raha Hai_____!!
_______________________________

Ku-Ba-Ku Phail Gai Baat Shanasai Ki

Ku-Ba-Ku Phail Gai Baat Shanasai Ki
Us Ne Khushbu Ki Tarah Meri Pazirai Ki

Kaise Keh Dun K Mujhe Chor Diya Hai Us Ne
Baat To Sach Hai Magar Baat Hai Ruswai Ki

Wo Kahin Bhi Gaya Lauta To Mere Pas Aaya
Bass Yahi Baat Hai Achi Mere Harjai Ki

Tera Pehlu Tere Dil Ki Tarah Abaad Rahe
Tujh Pe Guzre Na Qayamat Shab-E-Tanhai Ki

Us Ne Jalti Hui Peshani Pe Jo Hath Rakha
Rooh Tak Aa Gai Taasir Masihai Ki_____!!
_______________________________

KOI RAAT MERE ASHNA MUJHE YOUN B TO NASEEB HO

KOI RAAT MERE ASHNA MUJHE YOUN B TO NASEEB HO
NA KHYAL HO LIBAS KA WO ITNA MERE QAREEB HO

BADAN KI GARAM AANCH SE MERI AARZU KO AAG DE
MERA JOSH B BEHAK UTHAY MERA HAAL B AJEEB HO

TERAY CHASHNI WAJOOD KA MAIN SARA RASS NICHOR LOON
PHIR TU HE MERA MARZ HO PHIR TU HE MERA TABEEB HO____!!

Read More..

0 comments:

Post a Comment