Karoon Na Yaad Magar Kis Tarha Bhulaoon Usay
Karoon na yaad magar kistrah bhulaoon ussay
Ghazal bahana karoon aur gungunaoon ussay
Wo khaar khaar hay shakh-e-gulab ki manind
Main zakhm zakhm hon magar galay lagaoon ussay
Yeah loog tazkaray kartay hain apnay logon k
Main kaisay baat karon, Ab kahan say laoon ussay
Magar wo zood-faramoosh zood-runj bhi hay
K rooth jayay, Agur yaad kuch dilaoon ussay
Jo humsafar sar-e-manzil bichar raha hay faraz
Ajjab nahi hay, agur yaad bhi na aaon ussay____!!
_________________________________
Dukh Fasana Nahi K Tujh Say Kahain
Dukh fasana nahi k tujh se kahain
Dil bhi mana nahi k tujh se kahain
Ek tu harf aashna tha magar
Ab zamana nahi k tujh se kahain
Ae khuda dard e dil hai bakhshish e dost
Aab o daanaa nahi k tujh se kahain
Be tarah haal e dil hai aur tujh se
Dostana nahi k tujh se kahain
Qasidaa hum faqeer logon ka
Ek thikana nahi k tujh se kahain
Ab to barson se us gali men FaRAZ
Aana jaana nahi k tujh se kahain_____!!
_________________________________
Dard kia hota hai batayein Gay kisi roz
Dard kia hota hai batayein Gay kisi roz
Kamal ki Ghazal tum ko sunayein Gay kisi roz
Thi un ki zid k main jaaoun un ko manane
Mujh ko ye veham tha wo bulayein Gay kisi roz
kabi b maine to socha b nahi tha
Wo itna mere dil ko dukhayein Gay kisi roz
Har roz Sheshay se yehi poochta hoon main
Kia rukh pe tabassum sajayein Gay kisi roz
Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout AAyein Gay kisi roz
Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakhum-e-jigar tamaam log dekhein Gay kisi roz____!!
_________________________________
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhany K Liye Aa
Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa
Aa phir Say mjhy chor k jany k liye aa
Pehly se marasim na sahi phir b kabi to
Rasm-o-rahy dunya hi nibhany k liye aa
Kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum
Tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa
Ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden
Ye aakhri shammen b bujhany k liye aa____!!
_________________________________
Labon Pey Hansi Aankhon Main Sawal Rakhta Tha
Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha
Is zarf main itna kamal rakhta tha
Kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
Jo meri ik ik cheez sanbhal rakhta tha
Suna hai log ab boht sataty hain usy
Main jis ka itna khyal rakhta tha_______!!
_________________________________
Main Logon Se Mulaqaton K Lamhy Yaad Rakhta Hoon
Main Logon Se Mulaqaton K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon
Main Baatai?n Bhuul Bhi jao?n
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon
Sar-e-Mehfil Nigahai?n Mujh Pe
Jin Logo?n Ki Parti Hyn
Nigaho?n k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon
Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa?yat Se
K Jin Pe Bojh Main Daalo?n
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon_____!!
_________________________________
Qurbaton Mein Bhi Judayi K Zamaney Mangey
Qurbaton men bhi judai ke zamane maNge
Dil vo bemehar ki rone ke bahane maNge
Apana ye hal ke ji har chuke luT bhi chuke
Aur muhabbat vahi andaz purane maNge
Ham na hote to kisi aur ke charche hote
Khalqat-e-shahar to kahane ko fasane maNge
Dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-`Faraz`
Mil gaye tum bhi to kya aur na jane maNge______!!
_________________________________
Ab Aur Kaya Kisi Say Maraasim Barhayein Hum
Ab aur kya kisi se marasim burhaaein hum
Yeh bhi bohut hai, tujhe bhool jaein hum
Sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha
Sunte rahe hein aap hi apni sadaein hum
Iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb
Itna na yaad aa ke tujhe bhool ja?ein hum
Tou itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq
Aa tere raaste mein sitare lota?ein hum
Woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz
Heh heh khuda na karta tujhe bhi rulaein hum____!!
_________________________________
Kiyon Tabiaat Kahin Theharti Nahi
Kiyon Tabiaat Kahin Theharti Nahi
Dosti Tau Udaas Karti Nahi
Hum Hamesha Ke Ser Chashm Sahi
Tujh Ko Dekhain Tau Aankh Bharti Nahi
Shab-e-Hijraan Bhi Roz-e-Bad Ki Tarah
Kutt Tau Jaati Hai Par Guzarti Nahi
Sher Bhi Aayton Se Kiya Kum Hein
Hum Pe Mana Wahi Utarti Nahi
Yeh Mohabbat Hai, Sun Zamany Sun
Itni Aasanion Se Marti Nahi
Jiss Tarah Tum Guzaarty Ho Faraz
Zindagi Iss Tarah Guzarti Nahi_____!!
_________________________________
Bay Niyaz E Gham E Paymaan E Wafa Ho Jana
Bay nayaz-e-gham-e-paymaan-e- wafa hojaana
Tum bhi oroun ki tarah mujh say judaa hojaana
Main bhi palkoun pay saja loonga lahoo ki boondain
Tum bhi paabasta-e-zanjeer-e-hina hojana
Gar chay ab qurb ka imkaan hai bohat kam phr bhi
Kahin mil jain to tasveer numa hojana
Sirf manzil ki talab ho to kahan mumkin hai
Dosroon k liye khud aabla paa hojana
Khalq ki sangzani meri khata'aoun ka silaa
Tum to masoom hou tum door zara hojaana
Ab meray waastey taryaaq hay ilhaad ka zehar
Tum kisi or pujaari k khuda hojana____!!
_________________________________
Ab K Tajded E Wafa Ka Nahi Imkan Jana
Ab ke tajdid-e-vafa ka nahin imkan jana
Yad kya tujh ko dilayain tera paiman jana
Youn hi mausam ki ada dekh ke yad aya hai
Kis qadar jald badal jate hain insan jana
Zindagi teri ata thi so tere nam ki hai
Ham ne jaise bhi basar ki tera ehsan jana
Dil ye kahata hai ki shayad ho fasurda tu bhi
Dil ki kya bat karain dil to hai nadan jana
Awal-awal ki muhabbat ke nashe yad to kar
Be_piye bhi tera chehara tha gulistan jana_____!!
Akhir akhir to ye alam hai ki ab hosh nahin
Rag-e-mina sulag uthi ki rag-e-jan jana
Muddaton se ye alam na tavaqqo na ummid
Dil pukare hi chala jata hai jana jana
Ham bhi kya sada the ham ne bhi samajh rakha tha
Gam-e-dauran se juda hai gam-e-jana jana
Ab ki kuch aisi saji mahafil-e-yaran jana
Sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gireban jana
Har koi apani hi avaz se kanp uthata hai
Har koi apane hi saye se hirasan jana_______!!
_________________________________
Jis Ko Dekho Wohi Zanjir E Ba Pa Lagata Hai
Jis ko dekho vahi zanjir-ba-pa lagata hai
Shahar ka shahar hua dakhil-e-zindan jana
Ab tera zikr bhi shayad hi gazal main aye
Aur se aur hua dard ka unvan jana
Ham ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the
Ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jana
Hosh aya to sabhi khvab the reza-reza
Jaise urate huye auraq-e-pareshan jana_____!!
_________________________________
Sun To Sahi Jahaan Main Hai Teraa Fasaana Kaya
Sun to sahi jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
Kehti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya
Zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
Baam-e-baland yaar ka hai astana kya
Ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
Dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya
Betab hai kamal hamara dil-e-aziim
Mehmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya_____!!
_________________________________
Qareb Mot Khari Hai Zaraa Thehar Jaao
Qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao
Qazaa se aa.Nkh la.Dii hai zaraa Thahar jaao
Thakii thakii sii fazaaye.N bujhe bujhe taare
Bari udaas gha.Dii hai zaraa Thahar jaao
Nahii.n ummiid ki ham aaj kii sahar dekhe.n
Ye raat ham pe ka.Dii hai zaraa Thahar jaao
Abhii na jaao ki taaro.n kaa dil dha.Dakataa hai
Tamaam raat pa.Dii hai zaraa Thahar jaao
Phir is ke baad kabhii ham na tum ko roke.nge
Labo.n pe saa.Ns a.Dii hai zaraa Thahar jaao
Dam-e-firaaq me.n jii bhar ke tum ko dekh to luu.N
Ye faisale kii gha.Dii hai zaraa Thahar jaao________!!
Read More..
0 comments:
Post a Comment