Jab Bhi Hansne Ke Zamaane Aaye
"Jab bhi hansne ke zamaane aaye
Zakhm phir yaad puraane aaye"
"Baar-ha unko manaaya to hamein
RooTh jaane ke bahaane aaye"
"Phir mujhe toot ke chaaha usne
Phir bichhaRne ke zamaane aaye"
"Muskuraa kar hamein milne waale
Zindagi bhar ko rulaane aaye"
"Kitni mahroom thiN neendein unki
Khaab bhi jin ko jagaane aaye"
"Teri chahat ne Thaharne na diya
Raah mein kitne thikaane aaye"
"Tu nahi hai to hawa ka jhoNka
Ghar ki zanjeer hilaane aaye"
"Dil bujhaa hai na jale hain kheeme
Aap kyuN jashn manaane aaye"
"Isi ummeed pe jaago yaaro
Ab woh kis waqt na jaane aaye"
"Raas aaya jinhein sehra ‘Muhsin’
Unki qismat mein khazaane aaye"
______________________________________________________
Jisam Tarpa Khak Par Tanha
"Jisam tarpa khak per tanha
Rooh karti rahi safar tanha"
"Nend valo'n ko khabar kya iss ki
Kon jaga hy raat bhar tanha"
"Log soe kahi'n band kamro'n mai
Chand bhatakta hy dar-badar tanha"
"Sath deta hy kon manzil tak
Sath chalti hy rahguzar tanha"
"Shehr ka shehr bujha jata hy
Ja raha tha vo apne ghar tanha"
"Ae gham.e.zindagi k raat k chand
Dhoond mujh ko nagar nagar tanha"
"Vo jo hansta tha ehl.e.dil pe kabhi
Ro para khud ko dekh kar tanha"
"Bhool kar apne husan k aadab
Mere dil mai kabhi utar tanha"
"Ye khudao'n ka dor hy iss mai
Reh gaya faqat bashar tanha"
"Yad ae hazar shehr mujhe
Jab b dekha koi khanda'n tanha"
"Iss bhare shehr mai MOHSIN
Anjuman tha koi magar tanha"
______________________________________________________
Maghroor hi sahi mujey acha buhat laga
"Maghroor hi sahi mujey acha buhat laga
Woh ajnabi tou tha mager apna buhat laga"
"Rotha howa tha hans tou pera muj ko dekh ker
Muj ko tou iss qader bhi dalasa buhat laga"
"Sehra mein ji raha tha jo derya dili kai sath
Dekh jo ghor sai tou woh payasa buhat laga"
"Woh jis kay dam qadam sai thin basti ki ronkain
Basti ujer gai tou akela buhat laga"
"Lipta howa ho jesey kuhar mein jesey khazan ka chand
Melay libas mein b woh payara buhat laga"
"Resham pahan kai bi meri qimat na ber saki
Kadher bi uss k jisam pe mehnga buhat laga"
"Mohsin jab aiyne pe mari sans jamm gai
Mujh ko khud apna akas bhi dundhala buhat laga"
Qatal Cchuptay Thay Kabhi Sang Ki Deewar K Bech
"Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech"
"Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech"
"Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech"
"Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily
Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech"
"Dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
Sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech"
"Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar k bech"
"Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech"
______________________________________________________
In Dino Shehar Bhar Kay Rasto Mein
"In Dino Shehar Bhar Kay Rasto Mein
Jachati Hai Bala Ki Verani"
"Akas Dar Akas Dasti Rehti Hai
Be Sada Ayino Ki Herani"
"Saray Chehro Kay Rang Phekay Hein
Sari Ankhain Ujhar Lagti Hain"
"Saray Din Ahato Ki Ginti Mein
Sari Ratain Paharh Lagti Hein"
"Bujhti Jati Hein Yaad Ki Shamain
Apni Palko Se Anson Ki Nagain"
"Totatay Hein Tu Dil Nahi Chunta
Jese Shakho Se Zard Ro Patay"
"Totatay Hein Koi Nahi Sunta
Tu Kaha Hai Kaha Nahi Hai Tu?"
"Bhol Ja Yaad Kiyn Nahi Ata?
Hum Se Kaya Pochna Mizaj E Hayat?"
"Hum Tu Bus Ek Dareda Daman Hein
Bhar Kay Khasatar E Diyar E Wafa"
"Lay Kay Sadio Ki Baas Phirte Hein
In Dino Shehar Bhar Kay Rasto Mein"
"HUm Akele Udas PHirte Hein
Ab Ye Sochain Tu Ankh Bhar Aye"
"IN Akele Ujar Rasto Mein
Tu Bhi Shayed Kahin Nazar Aye"
______________________________________________________
Bahar Kya Ab Khizan B Mje Gale Lagaye Tu Kch Na Paye
"Bahar Kaya Ab Khizan Bhi Muje Gale Lagaye Tu Kuch Na Paye
Main Barge Sehra Hon Yon Bhi Muj Ko Hawa Urhaye Tu Kuch Na Paye"
"Main Pastiyo Mein B Bara Khosh Hon Zamin K Malbos Mein Jura Hon
Misal E Naqash E Qadam Perha Hon Koi Mitaye Tu Kuch Na Paye"
"Tumam Rasmain He Tor De Hein K Main Ne Ankhain He Phor Di Hein
Zamana Ab Muj Ko Mera Ayna Bhi Dikhaye Tu Kuch Na Paye"
"Ajeeb Khawhish Hai Mere Dil Mein Kabhi Tu Meri Sada Sun Ker
Nazar Jhokaye To Khof Khaye Nazar Uthaye Tu Khuch Na Paye"
"Main Apni Be Mayegi Chopa Ker Koar Apne Khule Rakho Ga
K Mere Ghar Mein Udas Mosam Ki Shaam Aye Tu Kuch Na Paye"
"Tu Ashna Hai Na Ajnabhi Terea Mera Payar Hai Sersari
Magar Ye Kaya Rasme Dosti Hai K Tu Roth Jaye Tu Kuch Na Paye"
"Usay Ganwa Ker Usay Phir Pane Ka Shoq Dil Mein Yon Hai Mohsin
K Jese Pani Pay Dayra Sa Koi Banaye Tu Kuch Na Paye"
______________________________________________________
Tark_E_Muhabat Kr Baithey Hm Zabt_E_Muhabat Or B Hai
"Tark E muhabbat kar baiThe hum, zabt E muhabbat aur bhi hai
Ek Qyaamat beet chuki hai, ek Qyaamat aur bhi hai"
"Hum ne usi ke dard se apne saaNs ka rishta joR liya
Wana shahr me zindaa rahne ki ek surat aur bhi hai"
"Doobta suraj dekh ke khush rahna kis ko raas aaya
Din ka dukh sah jaane walo, raat ki wahshat aur bhi hai"
"Sirf rutoN ke saath badalte rahne par mauQoof nahi
Us me bach_choN jaisi zid karne ki aadat aur bhi hai"
"Meri bheegti palkoN par jab us ne donoN haath rakhe
Phir yeh bhed khula in ashkoN ki kuchh Qeemat aur bhi hai"
"Us ko gaNvakar ‘Mohsin’us ke dard ka Qarz chukaana hai
Ek aziyyat maaNd paRi hai, ek aziyyat aur bhi hai"
______________________________________________________
Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Bujhaa Bhee Dena
"Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Bujhaa Bhee Dena
Yaad Karna Bhee Ose Roz Bhula Bhee Dena"
"Kia Kahoon Ye Meri Chaahat Hai Ke Nafrat Oski ?
Naam Likhna Bhee Mera, Likh Ke Mitaa Bhee Dena"
"Phir Na Milnay Ko Bicharta Hun Tujh Se Laikin
Murr Ke Dekhuun Tou Palatnay Ki Duaa Bhee Dena"
"Khat Bhee Likhna Mayoos Bhee Rehna Os Se
Jurm Karna Bhee Magar Khud Ko Sazaa Bhee Dena"
"Mujh Ko Rasmon Ka Takalluf Bhee Ganwaara Laikin
Jee Mein Aaye Tou Ye Deewaar Gira Bhee Dena"
"Os Se Mansoob Bhee Karlaina Puraanay Qissay
Os Ke Baalon Mein Naya Phool Sajaa Bhee Dena"
"Soorat-e-Naqsh-e-Qadam, Dasht Mein Rehna “Mohsin”
Apnay Honay Se Na Honay Ka Pataa Bhee Dena"
______________________________________________________
Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon
"Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon
Kaash Main Bhe Kubhi So Ker Dekhoon"
"Shayed Ubhray Teri Tasveer Kaheen
Main Teri Yaad Mein Ro Ker Dekhoon"
"Issi Khwahish Mein Mitta Jaata Hun
Tere Paon, Teri ThoKer Dekhoon"
"Ashk Hain , Vehm Ki Shabnam , K Lahoo??
Apni Palkain Tou Bhigo Ker Dekhoon"
"Kesa Lagta Hai Bichhar Ker Milna?
Main Achanak Tujhe Kho Ker Dekhoon"
"Ab Kahaan Apne Girebaan Ki Bahaar?
Taar Mein Zakhm Pirro Ker Dekhoon"
"Mere Hony Se Na Hona Behtar
Tu Jo Chahay , Tera Ho Ker dekhoon?"
"Rooh ki Gardd Se Pehlay MOHSIN
Daagh-e-Daman Ko Tou Dho Ker Dekhoon"
______________________________________________________
Bahar Rut Mei Ujaar Rasty
"Bahar Rutt me ujar Rasty
Tak’ka kro gy to Ro paro gy"
"Kisi se milny ko jab bhi Mohsin
Sajja karo gy to Ro paro gy"
"Tumhare wadon ne yar muj ko
Tabah kiya hy kuch is trha se"
"K zindgi me jo phir kisi se
Dagha karo gy to Ro paro gy"
"Main janta hon meri muhabbt
Ujar dy gi tumhe bhi aise"
"K chand raton me ab kisi se
Mila kro gy to Ro paro gy"
"Barasti barish me yad rakhna
Tumhe stayein gi meri ankhen"
"Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy"
______________________________________________________
Kuch To Ae Yaar Elaj-E-ghum-E-Tanhai Ho
"Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum-e-tanhai ho
Baat itni b na brr jaye k ruswai ho"
"Jis ne b mujhko tamasha sa bana rakha hy
Ab zarori hy wohi aankh tamashai ho"
"Dobne wale to aankho se b kub nikle hain
Dobne k liye lazim nahi,gehrai ho"
"Main tujhe jeet b tohfey me nahi de sakta
Chahta ye b nahi hon teri paspai ho"
"Koi anjan na ho shehr-e-mohabat ka makeen
KASH har dil ki har ik dil se shanasai ho"
"Yon guzar jata hai MOHsin tere koche se woh
Tera wakif na ho jese koi SODAI ho"
______________________________________________________
BicChar K Tum Sey Yeh Sochun, K Dil Kahaan Jaaye
"BichhaR ke tum se yeh sochuN, K dil kahaaN jaaye
Sehar udaas kare, shaam raayegaaN jaaye"
"ZameeN – badar jo hue ho to mere ham-safaro
Chalay chalo K jahaaN tak yeh aasmaaN jaaye"
"Tamaam shahr mein phailii hui hai tanhaayii
Ye dil jawaaN sahi, lekin kahaaN kahaaN jaaye"
"JaluN to yuN K azal jagmagaa uThe mujh se
BujhuN to yuN K abad tak mera dhuwaaN jaaye"
"Abhi to dil se nikal kar zabaaN tak aayi hai
Kise khabar K kahaaN tak yeh daastaaN jaaye"
"Qadam-qadam pe hai zandaN ravish-ravish pe salib
Koi to ho jo K jo ab bahr E imtehaaN jaaye"
"BichhaR chalaa hai to meri duaa bhi leta ja
WahaaN-wahaaN mujhe paye, jahaaN-jahaaN jaye"
"Main apne ghar ki taraf jaarahaa huN yuN ‘Muhsin’
K jaise luT ke, kisi ban mein kaarvaaN jaaye"
______________________________________________________
Ta’Zeer-E-Ehtimaam-E-Chaman Kaun Day Gaya
"Ta’zeer-E-ehtimaam-E-chaman kaun day gaya
Mujh ko gulaab jaisa kafan kaun day gaya"
"Daikhay jo khadd-O-khaal to socha hai baarhaa
Sehra ki chaaNdni ko badan kaun day gaya"
"Meri jabeeN ki saari lakeeraiN teri ataa
Lekin teri qaba ko shikan kaun day gaya"
"Teray hunar mai khilwat-E-khushboo sahi magar
KaantoN ko umr bhar ki chubhan kaun day gaya"
"Jungal say poochti haiN hawaaoN ki barhami
Jugnoo ko tairgi mai kiran kaun day gaya"
"Kis ne basaaye aaNkh mai ashkoN kay qaaflay
Be-ghar musaafiroN ko watan kaun day gaya"
"Tujh say to khair pal ki musaafat ka saath tha
Meray badan ko itni thakan kaun day gaya"
"Torra hai kis nay nok-E-sinaaN par sakoot-E-sabr
Lab bastagi ko taab-E-sukhan kaun day gaya"
"‘Mohsin’ wo kaayinaat-e-ghazal hai ussay bhi daikh
Mujh say na pooch mujh ko yeh fun kaun day gaya"
______________________________________________________
Usay Kehna Bicharne Sey Muhabat To Nahi Marti
"Usay kehna bicharne se muhabat to nahi marti
Bichar jana muhabat ki sadaqt ki alamat hai "
"Muhabat aik fitrat hai , Han fitrat kab badaltai hai
So, jab hum door ho jaein, Naye rishton mein kho jaein"
"Tu yeh mat soch lena tum, Keh muhabat mar gai ho gi
Nahi aise nahi hoga "
"Mere bare mein gar tumhari ankhein bhar ayein
Chalak kar aik bhi ansu palak pe jo utar aye"
"To bas itna samaj lena
Jo mere nam se itni tere DIL ko aqeedat hai"
"Tere dil mein bichar kar bhi abhi meri muhabat hai
Muhabat tu bichar kar bhi sada abad rehti hai"
"Muhabat ho kisi se tu hamesha yaad rehti hai
Muhabat waqt ke Be-Reham tufaan se nahi darti"
"Usay Kehna Bicharne Sey Muhabat To Nahi Marti"
______________________________________________________
Wafa Mein Ab Yeh Hunar Ikhtiyaar Karna Hai
"Wafa mein Ab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai"
"Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say hua ?
Mujhay tu khair tera intazar karna hai "
"Hawa ki zad mein jalanay hain ansoon k chiraagh
Kabhi yeah jashan sar e rah’guzaar karna hai"
"Woh muskura kay naey waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha k ussay sharamsaar karna hai"
"Misaal e shaakh e barhana khizan ki rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bey barg o baar karna hai"
"Terey firaaq mein din kis tarha kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai"
"Chalo ye ashak hi moti samajh kay baich aein
Kisi tarha tu humain rooz’gaar karna hai"
"Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai"
"Khda janey ye koi zid, k shouq hai mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai"
______________________________________________________
Aainay Per Kubhi Kitaab Mein Hain
"Aainay Per Kubhi Kitaab Mein Hain
Oski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain"
"Thaktay Phirtay Hain Dhoop Mein Bachay
Titliaan Saaya-e-Gulaab Mein Hain"
"Ek Kachay Gharay Ki Jurrat Per
Kitni Tugyaaniaan Chanaab Mein Hain"
"Wo Abhi Tak Hai Ru-Baruu Apnay,
Hum Abhi Tak Hisaar-e-Khwaab Mein Hain"
"Oski Aadat Hai Roothna Mohsin
Loog Be-Waja Iztaraab Mein Hain"
______________________________________________________
Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha
"Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha
Khud Apni Nigaahon Mein Gunaahgaar Bhi Mein Tha"
"Kiun Ab Mere Mansab Ki Salaami Ko Kharay Ho ?
Yaaro Kubhi Ruswa Sar-e-Baazaar Bhi Mein Tha"
"Mein Khud Hee Chhupa Tha Qaf-e-Qaatil Ki Shikan Mein
Maqtool Ki Tooti Howi Talwaar Bhi Mein Tha"
"Chheentay Hain Jahan Ab Mere Maasoom Lahoo Ke
Os Farq-e-Falak-Naaz Ki Dastaar Bhi Mein Tha"
"Meri Hee Sadaa Lout Ke Aayi Hai Mujhi Tak
Shayad Had-e-Aflaak Ke Os Paar Bhi Mein Tha"
"Manzil Pe Jo Pohancha Hun Tou Maaloom Howa Hai
Khud Apnay Lye Raah Ki Deewaar Bhi Mein Tha"
"Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai TU Laikin
Kal Tak Teri Pehchaan Ki Mayaar Bhi Mein Tha"
"Dekha Tou Mein Afshaa Tha Har Ik Zehen Pe Mohsin
Socha Tou Pas-e-Parda Israar Bhi Mein Tha"
______________________________________________________
Main Dil Pe Jabar Karun Ga Tujhe Bhula Dun Ga
Main dil pe jabar karun ga, tujhe bhula dun ga
Marrun ga khud bhi tujhe bhi karri saza dunga"
"Yeh tergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho
Main tere shehr ke saare diye bhuja dun ga"
Hawa ka hath bataon ga har tabahi main
Haray shajar se parinday main khud urra dun ga"
"Waffa karun ga kisi sogwaar chehre se
Purani qabar pe katbah naya saja dun ga"
"Issi khayal mein guzri hai shaam-e-gham aksar
Ke dard hadh se barrhe ga to muskura dun ga"
Barrha rahi hain mere dukh, nishaniyan teri
Main tere khat, teri tasveer tak jala dun ga"
"Bohat dino se mera dil udaas hai ‘Mohsin’
Iss aaiine ko koi aks ab naya dunga"
______________________________________________________
Aainay Per Kubhi Kitaab Mein Hain
"Aainay Per Kubhi Kitaab Mein Hain
Oski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain"
"Thaktay Phirtay Hain Dhoop Mein Bachay
Titliaan Saaya-e-Gulaab Mein Hain"
"Ek Kachay Gharay Ki Jurrat Per
Kitni Tugyaaniaan Chanaab Mein Hain"
"Wo Abhi Tak Hai Ru-Baruu Apnay,
Hum Abhi Tak Hisaar-e-Khwaab Mein Hain"
"Oski Aadat Hai Roothna Mohsin
Loog Be-Waja Iztaraab Mein Hain"
______________________________________________________
Hawa Ka Lamas Jo Apne Kowarh Kholta Hai
"Hum Ayse Khak Nasheen Kab Labha Sakain Gay Usay
"Jo Ho Sakay Tu Yahi Raat Urh Lay Tan Per
"Usi Se Mang Lo Kherat Us Kay Khawabo Ki
"Mohabat tark ki may nay giraiban si liya may nay
"Abhi zinda hoon lekn sochta rehta hoon khilvat may
"Tumhainy apna nahi skta mager itna bhi kiya kam hai
"Bus ab to daman-e-dil chor do bekaar umeedo
"Aik dard bhari cheekh hoon, nakaam dua hoon
"Geeton may samoya hai lahu apnay jigar ka
______________________________________________________
Hawa Ka Lamas Jo Apne Kowarh Kholta Hai
"Hawa Ka Lamas Jo Apne Kowarh Kholta Hai
Tu Dair Tak Mere Gar Ka Sakoot Bolta Hai"
"Hum Ayse Khak Nasheen Kab Labha Sakain Gay Usay
Wo Apna Akas Bhi Mezan E Zar Mein Tolta Hai"
"Jo Ho Sakay Tu Yahi Raat Urh Lay Tan Per
Buja Charagh Andhere Mein Kiyn Tatolta Hai"
"Usi Se Mang Lo Kherat Us Kay Khawabo Ki
Wo Jagti Hoi Ankho Mein Nind Golta Hai"
"Suna Hai Zalzala Ata Hai Arash Per Mohsin
Kay Be Gunah Laho Jab Sana Pay Bolta Hai"
______________________________________________________
Raysham Zulfo Nilam Ankhon Wale Achay Lagte Hein
Raysham Zulfo Nilam Ankhon Wale Achay Lagte Hein
"Raysham Zulfo Nilam Ankhon Wale Achay Lagte Hein
Main Shayer Hon Muje Ujhlay Chehray Achay Lagte Hein"
"Tum Socho Adhi Raat Ko Thanday Chand Ki Chaon Mein
Tanha Raho Per Hum Dono Kitne Achay Lagte Hein"
"Akhir Akhir Sachay Qoul Bhe Chubte Hein Dil Walo Ko
Pehle Pehel Payar K Jhote Wade Achay Lagte Hein"
"Jab Se Wo Perdais Gaya Sheher Ki Ronaq Roth Gai
Ab Tu Apne Ghar K Band Darichay Achay Lagte Hein"
"Kali Raat Mein Jagmag Kerte Tare Kon Bujhata?
Is Dhulhan Ko Ye Moti Ye Gehne Achay Lagte Hein"
"Kal Us Rothay Rothay Yaar Ko Dekha Tu Mehsos Howa
Mohsin Ujhle Jism Pay Kale Kapre Achay Lagte Hein"
______________________________________________________
Mohabat Tark Ki May Nay Giraiban Si Liya May Nay
______________________________________________________
Mohabat Tark Ki May Nay Giraiban Si Liya May Nay
"Mohabat tark ki may nay giraiban si liya may nay
Zamanay ab to khush ho zehr ye bhi pi liya may nay"
"Abhi zinda hoon lekn sochta rehta hoon khilvat may
K ab tak kis tamana kay saharay jee liya may nay"
"Tumhainy apna nahi skta mager itna bhi kiya kam hai
K kuch mudat haseen khaobon k saharay jee liya may nay"
"Bus ab to daman-e-dil chor do bekaar umeedo
Bahot dukh saih liye may nay bahot din jee liya may nay"
"Aik dard bhari cheekh hoon, nakaam dua hoon
Ujray huay maazi ki preshan sada hoon"
"Geeton may samoya hai lahu apnay jigar ka
0 comments:
Post a Comment